نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا...

27

Upload: hoangliem

Post on 21-Mar-2018

309 views

Category:

Documents


14 download

TRANSCRIPT

Page 1: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar
Page 2: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

تذکرہ امام احمد رضا خان

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

TAZKIRAH IMAM

AHMAD RAZA KHAN

Ye Risala Shaykh-e-Tareeqat Ameer-e-Ahl-e-Sunnat Bani-e-

Dawat-e-Islami, Hazrat Allamah Maulana Abu Bilal Muhammad

Ilyas Attar Qadiri Razavi nay tehreer farmaya

hay, Majlis-e-Tarajim nay isko Roman-Urdu mayn compose

kiya hay. Agar is may koi kami-bayshi payen to Majlis-e-

Tarajim ko aagah kar key Sawab kay haqdar baniye.

Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

Aalami Madani Markaz, Faizan-e-Madinah, Mahallah Saudagran,

Purani Sabzi Mandi, Bab-ul-Madinah, Karachi, Pakistan

UAN: +92-21-111-25-26-92 – Ext. 7213

Email: [email protected]

www.dawateislami.net

Page 3: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

ii

Kitab Parhnay ki Du’a

Deeni Kitab ya Islami sabaq parhnay say pehlay zail mayn di

hu’i Du’a Parh Lijiye jo kuch parhayn gay yaad

rahay ga. Du’a ye hay:

Tarjuma

Ay Allah hum per Ilm-o-hikmat kay darwazay khol day aur

hum par apni rahmat nazil farma! Ay Azmat aur Buzurgi walay!

Note: Awwal akhir ayk ayk bar Durood-e-Pak parh layn.

www.dawateislami.net

Page 4: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

iii

Kitab Parhnay ki Du’a ................................................................ ii

Durood Shareef Ki Fazilat .............................................................. 1

Wiladat-e-Ba-Sa’adat....................................................................... 1

A’ala Hazrat ka san-e-wiladat ........................................................ 2

Hayrat Angayz Bachpan ................................................................. 3

Bachpan ki ayk hikayat ................................................................... 4

Peyhla Fatwa ..................................................................................... 6

A’la Hazrat Ki Riyazi Dani ............................................................. 6

Hayrat Angez Quwwat-e-Hafiza ................................................... 8

Sirf Aik Maah Mayn Hafiz-e-Quran ............................................. 9

Ishq-e-Rasool .......................................................................... 10

Hukkam Ki Khushamad Say Ijtinab ........................................... 10

Baydari May Dedar-e-Mustafa ............................................. 12

Seerat ki Ba’z Jhalkiyan ................................................................. 14

Doran-e-Milad Bethnay ka Andaz .............................................. 15

Sonay Ka Munfarid Andaz ........................................................... 16

Train Ruki Rahi .............................................................................. 17

Tasaneef .......................................................................................... 18

Tarjama-e-Quranay Kareem ........................................................ 19

Wafat-e-Hasrat A’yaat .................................................................. 20

Darbar-e-Risalat May Intizar ....................................................... 21

Tip1:Click on any heading, it will send you to the required page.Tip2:at inner pages, Click on the Name of the book to get back(here) to contents.

www.dawateislami.net

Page 5: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

1

TAZKIRAH IMAM

AHMAD RAZA KHAN

Shaytan laakh susti dilaey magar ye risala niyyat-e-sawab pura

parh kar apni dunya-o-aakhirat ka bhala kijiye.

Durood Shareef Ki Fazilat

Rahmat-e-A’lam, Noor-e-Mujassam, Shah-e-Bani Adam, Shafi’e-

Umam, Rasool-e-Akram ka farman-e-Shafa’at

nishan hay: ‘Jo Mujh per durood-e-pak parhay ga Mayn uski

shafa’at farmaon ga.’

Wiladat-e-Ba-Sa’adat

Meray Aaqa A’ala Hazrat, Imamay Ahl-Sunnat, Wali-e-

Ne’mat, Azeem-ul-Barakat, A’zeem-ul-Martabat, Parwana-e-

Sham-e-Risalat, Mujadid-e-Den-o-Milat, Hami-e-Sunnat,

www.dawateislami.net

Page 6: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

2

Mahi-e-Bid’at, A’alim-e-Shari’at, Bais-e-Khayr-o-Barakat, Hazrat

A’llama Maulana Al-Haj Al-Hafiz Al-Qari Shah Imam Ahmad

Raza Khan ki wiladat-e-Ba-Sa’adat Bareli Shareef

kay mahalla Jasoli may 10 Shawwal-ul-Mukarram 1272 Hijri

Baroz hafta ba-waqt-e-zuhur mutabiq 14 june 1856 ko hui.

San-e-Paydaish kay a’tibar say aap ka naam Al-Mukhtar (1272

Hijri) hay.

A’ala Hazrat ka san-e-wiladat

Mayray Aaqa A’ala Hazrat nay apna san-e-wiladat

parah 28 Surat-ul-Mujadalah ki aayat number 22 say nikala

hay. Is A’yat-e-karima kay Ilm-e-Abjad kay ay’tibar kay

mutabiq 1272 a’dad hayn our hijri saal kay hisab say yahi apka

san-e-wiladat hay. Chuna-chay Maktabat-ul-Madina ki Matbu’a

malfozat-e-A’ala Hazrat safha 410 per hay: Wiladat ki

tarekhiyon ka zikar tha our is per (Sayyadi A’ala Hazrat

) nay irshad farmaya: mayri wiladat ki

tareekh is a’yat-e-karima may hay:

Tarjama-e-Kanz-ul-Imaan: Ye hayn jin kay dilon may Allah

nay emaan naqsh farma diya our apni taraf ki rooh say un

ki madad ki.

www.dawateislami.net

Page 7: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

3

Apka Naam-e-Mubarak Muhammad hay our Apkay dada nay

Ahmed Raza kah ker pukara our isi naam say mash’hor huway.

Hayrat Angayz Bachpan

U’momam her zamanay kay bachon ka wohi haal hota hay jo

aaj kal bachon ka hay kay saat (7) A’ath (8) saal tak to unhen

kisi baat ka hosh nahi hota our na hi wo kisi baat ki tayh tak

pohanch saktay hayn, Magar A’ala Hazrat ka

bachpan bari ahmiyat ka hamil tha. Kam sini, khurd Sali (ya’ni

bachpan) our kam umri may hosh mandi our quwwat-e-hafiza

ka ye a’alam tha kay sarhay chaar saal ki nanhi si umar may

Quran-e-Majeed nazira mukamal parhnay ki nay’mat say

baryab ho gay.

Chay Saal kay thay kay Rabi-ul-Awal kay Mubarak mahenay

may mumber per jalva-Afroz ho kar Milad-u-Nabi

kay mozo’ per aik bohat baray ijtam’a may nihayat pur

magaz takreer farma ker u’lamaye kiraam our Mashaykh

‘Uzzam say tehseen-o-afreen ki dad wusool ki. Usi umar may

Ap nay Baghdad Shareef kay baray may simt ma’loom kar li phir

tadam-e-Hayat baldah-e-mubarika Ghaus-e-A’zam

(ya’ni Ghaus-e-A’zam kay Mubarak shahar) ki taraf pa’aon na

phaylaye. Namaz say to Ishq ki had tak lagao tha chuna-chay

Namaz-e-panjgana ba-jama’at takbeer-e-ola ka tahaffuz kartay

huwey masjid may ja kar ada farmaya kartay, jab kabhi kisi

www.dawateislami.net

Page 8: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

4

khatoon ka samina hota to furan nazrayn neechi kartay huwey

sar jhuka liya kartay, goya kay Sunnat-e-Mustafa

ka Ap per ghalaba tha jis ka izhar kartay huway Huzoor Pur

Noor ki khidmat A’aliya mey youn salam pesh

kartay hayn:

A’ala Hazrat nay larakpen may takwa ko is qadar

apna liya tha kay chaltay waqt qadmon ki A’ahat tak sunnae na

deti thi. Saat saal kay thay kay Mah-e-Ramazan-ul-Mubarak

may rozay rakhnay shuru ker diye.

Bachpan ki ayk hikayat

Janab-e-Sayad Ayub Ali Shah Sahib farmatay hayn

kay bachpen may Ap ko ghar per aik Moulvi Sahib

Quran-e-Majeed parhanay aaya kartay thay. Aik roz ka zikar

hay kay Moulvi Sahib kisi Aayat-e-karima may bar bar aik lafz

Ap ko batatay thay magar Ap ki zaban

Mubarak say nahen nikalta tha wo ‘Zabar’ batatay thay Ap

‘Zayr’ parhtay thay ye kayfiyat jab Ap

kay Dada Jan Hazrat Raza Ali Khan Sahib nay dekhi

to Huzoor (Ya’ni A’la Hazrat) ko apnay pas bulaya our Kalam-

www.dawateislami.net

Page 9: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

5

e-Pak mangwa ker dekha to us may katib nay galti say zair ki

jaga zabar likh diya tha, ya’ni jo A’la Hazrat ki

zaban say nikalta tha wo sahi tha. Ap kay Dada nay

pucha kay betay jis tarah Moulvi Sahib parhatay thay tum usi

tarah kuyon nahi parhtay thay? Arz ki: Mayn iradah karta tha

magar zaban per qabo na pata tha. A’la Hazrat khud

farmatay thay kay meray ustad jin say Mayn ibtada’e kitab

parhta tha, jab mujhay sabaq parha diya kartay, aik do martaba

mayn dekh ker kitab band ker deta, jab sabaq suntay to haraf

ba-haraf lafz ba-lafz sunna deta. Rozana ye halat dekh ker

sakht ta’jub kartay. Aik din mujh say farmanay lagay kay

Ahmed Miyan! Ye to kaho Admi ho ya Jin? kay mujh ko

parhatay dayr nahi lagti hay magar tum ko yad kartay dayr

nahi lagti ! Ap nay farmaya kay Allah ka sukar hay mayn

insan hi hon haan Allah ka Fazul-o-Karam shamil-e-Hal

hay.

Allah ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari be-

hisab maghfirat ho.

www.dawateislami.net

Page 10: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

6

Peyhla Fatwa

Mayray Aaqa A’la Hazrat nay sirf terah (13) saal

dus (10) mah chaar (4) din ki umer may tamam Muraweja

u’loom ki takmeel apnay Walid Majid Raees-ul-Mutakallimeen

Moulna Naqi Ali Khan say ker kay sanad-e-faraghat

hasil ker li. Usi din Ap nay aik suwal kay jawab may

peyhla fatwa tahreer farmaya tha. Fatwa sahi paa ker Ap

kay Walid-e-Majid nay Masnad-e-Ifta Ap

kay supurd ker di our akhir waqt tak fatwa tahreer farmatay

rahay.

Allah ki un per rahmat ho our unkay sadqay hamari bay-

hisab maghfirat ho.

A’la Hazrat Ki Riyazi Dani

Allah Ta’ala nay A’la Hazrat ko bay-andazah u’loom

jalila say nawaza tha. Ap nay kamo-baysh pachas

u’loom mayn qalam uthaya our qabil-e-qadar kutub tasneef

farmayen. Ap ko her fun may qafi dastaras hasil thi.

Elm-e-toqeet mayn is qadar kamal hasil tha kay din ko suraj

our raat ko sitaray dekh ker ghari mila letay. Waqt bulkul sahi

www.dawateislami.net

Page 11: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

7

hota our kabhi aik minute ka bhi farq na huwa. Elm-e-Riyazi

may Ap yagana-e-rozgar thay. Chuna-chay Ali-Garh University

kay Voice Chanceller Doctor Ziya-u-din jo kay riyazi may gair

mulki digriyan our tamgha-jaat hasil kiye huway thay. Ap

ki khidmaat may riyazi ka aik mas’ala puchnay Aey.

Irshad huwa : Farmaiey ! Unhon nay kaha: wo eysa mas’ala

nahi jesay itni asani say arz karon. A’la Hazrat nay

farmaya: Kuch to farmaeye. Voice Chanceller Sahib nay suwal

pesh kiya to A’la Hazrat nay usi waqt iska tashafi

bakhsh jawab day diya. Unhon nay intahae herat say kaha kay

mayn is mas’alay kay leye jana chahta tha ittifakan

hamaray Diniyat kay Professor Moula Sayed Sulayman Ashraf

Sahib nay meri Rayhnuma’e farmae our mayn yahan hazir ho

gaya. Youn Ma’loom hota hay kay Ap isi mas’alay ko kitab

dekh rahay thay. Doctor Sahib Ba-sad farhat-o-Musarrat

wapas tashreef lay gaey our Ap ki shakhsiyat say is

qadar Mutassir huway kay darhi rakh li our Soom-o-Salat kay

paband ho gaey. Allah ki un per rahmat ho

our un kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.

E’lawa Azen Meray Aaqa A’la Hazrat Elm-e-Takseer, Elm-e-

Hayet, Elm-e-Jafar waghera may bhi qafi maharat rakhtay thay.

www.dawateislami.net

Page 12: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

8

Hayrat Angez Quwwat-e-Hafiza

Hazrat Abu-Hamid Sayed Muhammad Muhaddis Kacho-chwi

farmatay hayn kay jab Dar-ul-Iftah may kam karnay

kay sil-silay may mera Berayli Shareef may qiyam tha to raat

din esay waki’at samnay aatay thay kay A’la Hazrat ki hazir

jawabi say log heran ho jatay. unki hazir jawabiyon may herat

may dal denay walay waqe’at wo e’lmi hazir jawabi thi jis ki

misal suni bhi nahin gae. Maslan Istifta (Suwal) Aaya, Dar-ul-

Ifta may kam karnay walon nay parha our esa ma’lom huwa

kay nae qisim ka hadisa daryaft kiya gaya (ya’ni nae qisim ka

mua’mila pesh aaya hay) our jab jawab juziyya ki shakal may

na mil sakay ga Fuqaha-e-Kiram kay usool-e-A’mma say

istinbat karna paray ga. (ya’ni fuqaha-e-kiram kay

bataey huway usolon say mas’ala nikalna paray ga). A’la Hazrat

ki khidmat may hazir huway, Arz kiya: A’jab naye naye qisim

kay suwalat aa rahay hayn! Ab hum log kiya tariqa ikhtiyar

Karayn? Farmaya: ye to bara purana sawal hay. Ibn-e-Humam

nay ‘Fatah-ul-Qadeer’ kay fulan safhay may, Ibn Abideen nay

‘Rad-ul-Muhtar’ ki fulan jild our fulan safha per (likha hay).

‘Fatawa-e-Hindiya’ may ‘Khairiya’ may ye ye ibarat saf saf

mujod hay ab jo kitabon ko khola to safha, satr our bataye gaye

ibarat may aik nuqtay ka farq nahi. Is Khuda-dad Fazul-o-

Kamal nay U’lama ko hamesha herat may rakha.

Allah ki un per rahmat ho our un

kay sadqay hamari bay-hisab maghfirat ho.

www.dawateislami.net

Page 13: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

9

Sirf Aik Maah Mayn Hafiz-e-Quran

Janab Sayed Ayoub Ali Sahib ka bayan hay kay aik

roz A’la Hazrat nay irshad farmaya kay baaz na-

waqif hazrat meray naam kay aagay Hafiz likh diya kartay

hayn, halankay mayn is laqab ka ahal nahi hon. Sayed Ayoub

Ali Sahib farmatay hayn kay A’la Hazrat

nay isi roz say dour shuru ker diya jis ka waqt galiban E’sha ka

wuzu farmanay kay b’ad say jama’at qaim honay tak makhsos

tha. Rozana aik para yad farma liya kartay thay, yahan tak kay

teesven roz teesvan para yad farma liya.

Aik Mo’qay per farmaya kay mayn nay kalam-e-Pak bil-tarteeb

ba-koshish yaad kar liya our ye is liye kay in bandgan-e-Khuda

ka (jo meray naam kay aagay hafiz likh diya kartay hayn)

kehna ghalat sabit na ho. Allah ki un per

rahmat ho un kay sadqay hamhari bay-hisab maghfirat ho.

www.dawateislami.net

Page 14: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

10

Ishq-e-Rasool

Meray Aaqa A’la Hazrat Ishq-e-Mustafa

ka sarta-paa namuna thay, Ap ka

na’tiya dewan ‘Hadaiq-e-Bakhshish Shareef’ is amar ka shahid

hay. Aap ki Noq-e-Qalam balkay Gehra’e qalb say

nikala huwa her misr’a Mustafa Jan-e-Rahmat

say Ap ki bepayan A’qedat-o-Mahabat ki shahadat

deyta hay. Ap nay kabhi kisi dunyawi tajdar ki

khushamad kay leye qaseeda nahi likha, is liye kay Aap

nay Huzoor-e-Tajdar-e-Risalat ki

eta’at-o-ghulami ko dil-o-jan say qabool ker liya tha. Our us

may martaba-e-kamal ko puhnchay huway they, is ka izhar Ap

nay aik shay’r may is tarah farmaya:

Hukkam Ki Khushamad Say Ijtinab

Aik martaba riyasat nan-parah (zila bahraich yupi Hind) kay

nawab ki madah (ya’ni ta’reef) may shu’ra nay qasaid likhay.

Kuch logon nay Ap say bhi guzarish ki kay Hazrat

Ap bhi nawab sahib ki madah (ta’reef) may koi qaseeda likh

dayn. Ap nay us kay jawab may aik na’at shareef

likhi jis ka matla’e1 ye hay:

1 Ghazal ya qaseedah kay shuru ka shay’r jis kay dino misron may qafiye hon wo

matla’ kahlata hay.

www.dawateislami.net

Page 15: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

11

Mushkil alfaz ki ma’ani: Kamal=Pura hona Nuqs= Khami

Khaar= Kanta

Sharah-e-Kalam-e-Raza: Meray Aaqa Mehboob Rab-e-Zul-

jalal ka husun-o-jamal daraja-e-kamal tak

puhanchta hay ya’ni her tarah say kamil-o-mukamal hay is

may koi khami hona to door ki baat hay, Khami ka tasavur tak

nahi ho sakta, her phool ki shaakh may kantay hotay hayn magar

Gulshan-e-Amina ka aik ye he Mehekta phool

eysa hay jo kanton say pak hay, her sha’ma may ye a’aib hota

hay kay wo dhuwan chorti hay magar Ap bazm-e-risalat ki eysi

roshan sha’ma hayn kay dhuwan ya’ni her tarah kay a’aib say

pak hayn. Our makta’e1 may “nan para” ki bandish kitnay

lateef isharay may ada kartay hayn:

Karon Madah-e-Ahl-e-Duwal Raza Paray is Bala May mayri

bala

Main gada hon apnay kareem ka mayra deen “para-e-nan”

nahi

Mushkil Alfaz ki Ma’ani: Madah=tareef duwal=dolat ki jam’a

para nan= roti ka tukra

1 Kalam ka Akhari shay’r jis may shay’r ka takhallus ho maqt’a keyhlata hay.

www.dawateislami.net

Page 16: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

12

Sharah-e-Kalam-e-Raza: Mayn Ahl-e-Dolat Sarwat ki madah

sara’e ya’ni tareef-o-toseef kuyun karon! Main to apnay Aaqa-

e-Kareem, Rauf-ur-Raheem kay dar ka faqeer

hon. Meyra deen ‘Para-e-nan’ Nahi. ‘Nan’ ka ma’na roti our

‘para’ ya’ni tukra. Matlab ye kay meyra deen ‘roti ka tukra’

nahi hay kay jis kay leye maaldaron ki khusha-mdayn karta

phiron.

Baydari May Dedar-e-Mustafa

Meray Aaqa A’la Hazrat dosri bar hajj kay leye hazir

huway to Madina Munawwarah may Nabi-e-

Rahmat ki ziyarat ki A’rzo leye Roz-e-Athar

kay samnay dayr tak salat-o-salam parhtay rahay, magar peyhli

raat qismat may ye sa’adat na thi. is moqay per wo ma’roof

na’atiya gazal likhi jis kay matlay’ may daman-e-rahmat say

wabastagi ki umeed dikhae hay.

Sharh-e-Kalam-e-Raza: Aey Bahar jhoom ja! Kay tujh per

baharon ki bahar anay wali hay. Wo deykh! Madinay kay

Tajdar suey lala zar ya’ni janib-e-gulzar

tashreef la rahey hayn!

www.dawateislami.net

Page 17: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

13

Maktay may bargah-e-risalat may apni A’jizi our bay-maeegi

(ya’ni miskeeni) ka naqsha youn khencha hay:

(A’la Hazrat nay misra’-e-sani may ba-tor-e-A’jizi

apnay leye ‘Kutay’ ka lafz istemal farmaya hay magar adban

yahan ‘shayda’ likha hay).

Sharh-e-Kalam-e-Raza: Is Maktay’ may A’shiq-e-Mah-e-Risalat

Sarkar A’la Hazrat kamal-e-inkisari ka izhar kartay huway

apnay Ap say farmatay hayn: Aey Ahmed Raza! To kiya teri

haqiqat kiya! Tujh jesay hazron sagan-e-Madina galiyon may

youn phir rahey hayn!

Ye gazal arz ker kay dedar kay intizar may muadab bethay

huway thay kay qismat angra’e lay ker jag uthi our chashma-e-

sar (ya’ni sar ki khuli a’ankhon) say beydari may ziyarat-e-

Mehboob-e-Bari say musharaf huwey

Allah ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari

be-hisab maghfirat ho.

! Qurban jaeye un A’nkhon per kay jo A’lam

beydari may Janab-e-Risalat ma’ab kay dedar

say sharaf-yab huwen. kuyun na ho kay Aap kay

www.dawateislami.net

Page 18: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

14

andar Ishq-e-Rasool kot kot ker bhara huwa

tha our Aap “Fina Fir-Rasool” kay A’la mansab per

faiz thay. Aap ka na’tiya kalam is amar ka shahid

hay.

Seerat ki Ba’z Jhalkiyan

Meray Aaqa A’la Hazrat farmatay hayn: Agar koi

meray dil kay do turkay ker day to aik per our dosray

per likha huwa paye ga.

Tajdar-e-Ahl-e-Sunnat Shehzada-e-A’la Hazrat Huzoor Mufti-

e-A’zam Hind Moulana Mustafa Raza Khan

‘Saman-e-Bukhshish’ may farmatay hayn:

Mashaikh-e-zamana ki nazron may Ap wake’e Fana

Fir-Rasool thay. Aksar Firaq-e-Mustafa may

ghamgen rehtay our sard Aaheyn bhara kartay. Peyshawer

gustakhon ki gushtakhana e’barat ko dekhtay to a’nkhon say

a’ansoon ki jhari lag jati our Piyaray Mustafa

ki himayat may gustakhon ka sakhti say rad kartay ta-kay wo

www.dawateislami.net

Page 19: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

15

jhunjhala ker A’la hazrat ko bura kahna our likhna

shuru kardayn. Aap aksar is per fakhar kiya kartay

kay Bari Ta’ala nay is dor may mujhay Namos-e-Risalat Ma’ab

kay leye dhal banaya hay. Tareeq-e-Iste’mal ye

hay kay bad-goyun ka sakhti our teez kalami say rad karta hon

kay is tarah wo mujhay bura bhala kahnay may masroof ho

jaeyn. Us waqt tak kay leye Aaqa-e-Do Jahan

ki shan may gustakhi karnay say bachay rahayn gay. Hadaiq-e-

Bakhshish shareef may farmatay hayn:

Ghuraba ko kabhi khali hath nahi lotatay thay, hamesha

ghareebon ki imdad kartay rahtay, balkay A’khiri waqt bhi

A’zeez-o-Aqarib ko wasiyat ki kay ghuraba ka khas khayal

rakhna. Un ko khatir-dari say achay achay our lazeez khanay

apnay ghar say khilaya karna our kisi ghareeb ko mutlaq na

jherakna.

Ap aksar tasneef-o-taleef may lagay rehtay. Panchon

namazon kay waqt masjid may hazir hotay our hamesha namaz

ba-jama’at ada farmaya kartay, Ap ki khorak bohat

kam thi.

Doran-e-Milad Bethnay ka Andaz

Meray A’la Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

www.dawateislami.net

Page 20: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

16

Mehfil-e-Milad Shareef may zikr-e-wiladat shareef kay waqt

salat-o-salam parhnay kay leye kharay huway baqi shuru say

a’khir tak adben do-zano bethay rahtay. Youn hi Wa’z

farmatay, chaar (4) panch (5) ghantay kamil do-zano hi

member shareef per rehtay.

Kash! hum ghulaman-e-A’la Hazrat ko bhi Tilawat-e-Quran

kartay ya sunntay waqt nez Ijtama-e-zikr-o-Naat sunnaton

bharay ijtama’at, madani muzakirat, dars-o-madni halqon

wagherah may adben do-zano bethnay ki sa’adat mil jay.

Sonay Ka Munfarid Andaz

Sotay waqt hath kay angothay ko shahadat ki ungli per rakh

letay takay ungilyon say lafz ‘Allah’ ban jaey. Ap

peyr phela ker kabhi na sotay balkay dahini (ya’ni sidhi)

karwat layt ker dono hathon ko mila ker sar kay nichay rakh

letay our Paaon Mubarak samayt letay, Is tarah jisim say lafz

‘Muhammad’ ban jata.

ye Allah kay chahinay walon our Rasool-e-Pak

kay sachay A’shiqon ki adayn.

www.dawateislami.net

Page 21: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

17

Train Ruki Rahi

Janab Sayed Ayub Ali Shah Sahib farmatay hayn

kay meray Aaqa A’la Hazrat aik bar Peli Bhayt say

Bareli Shareef Ba-zarya-e-Rail ja rahay thay. Rastay may

nawab-gunj kay station per jahan gari sirf do minutes kay leye

thayherti hay, Magrib ka waqt ho chukka tha, Ap

nay gari thay-hertay hi Takbeer Aqamat farma ker gari kay

andar hi niyyat bandh li, galiban paanch shakson nay iqtada ki

un may mayn bhi tha lekin abhi shareek jama’at nahi ho nahi

paya tha kay meri nazar ghayr-muslim guard per pari jo plate

form per khara sabz jhandi hila raha tha, Main nay khirki say

jhank ker dekha kay line clear thi our gari choot rahi thi,

magar gari na chali our Huzoor Hazrat nay ba-itminan tamam

bila kisi iztirab kay teenon farz rak’atayn ada ki our jis waqt

dayen janib salam phera tha gari chal di muqtadiyon ki zaban

sey be-sakhta Subhan-Allah, Subhan-Allah, Subhan-Allah nikal

gaya.

Is karamat may qabil-e-ghor ye baat thi kay agar jama’at plate

form per khari hoti to ye kaha ja sakta tha kay guard nay aik

buzrugh hasti ko deykh ker gari rok li ho gi eysa na tha balkay

namaz gari kay andar parhi thi. is Thoray waqt may guard ko

kiya khabar ho sakti thi kay aik Allah ka mehboob banda

fariza-e-Namaz gari may ada karta hay.

www.dawateislami.net

Page 22: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

18

Allah ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bay-

hisab maghfirat ho.

Sharh-e-Kalam-e-Raza: Jo koi Sarkar-e-Namdar, Madinay kay

Tajdar ka muti’e-o-farman bardar huwa

makhloq-e-parwerdegar us ki eta’at-guzar ho gai our jo koi

darbar-e-Huzoor-e-Pur-Noor say dor huwa

wo Bargah-e-Rab-e-Gaffor say bhi dor ho gaya.

Tasaneef

Mayray Aaqa A’la Hazrat nay mukhtalif u’nowanat

per kam-o-beysh aik hazar kitabeyn likhi hayn.Youn to Ap

nay 1286 hijri say 1340 hijri tak lakhon fatway diye

ho gay, Lekin Afsos! Kay sab naqal na kiye ja sakay, jo naqal

ker leye gaye thay un ka nam ‘ ’ rakha

gaya. Fatawa-e-Razaviyah (Mukharajah) ki 30 jaldayn hayn jin

kay kul 21656, kul sawalat-o-jawabat: 6847 our kul rasail: 206

www.dawateislami.net

Page 23: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

19

hayn.

Quran-o-Hadith, Fiqa, mantiq our kalam wagherah may Ap

ki wus’at-e-nazri ka andaza Ap kay fatawa

kay mutal’ay say he ho sakta hay. kuyun kay Ap kay

her fatway may dala’il ka samunder moj zan hay. Ap

kay saat rasail kay nam mulahiza hon:

(1) Sachay Khuda per jhoot ka

bohtaan baandh-nay walon kay Red may ye risala tehreer

farmaya hay jis nay mukhalfeen kay dam tor diye our qalam

nichor diye (2) (3) (4) (5)

(6) (7)

Tarjama-e-Quranay Kareem

Meray Aaqa A’la Hazrat nay quran kareem ka

tarjama kiya jo urdu kay mojudah tarajim may sab per faiq

(ya’ni foqiyat) hey. Tarjama ka nam “Kan-ul-Emaan” hay jis

per Ap kay khalifa Hazrat Sadr-ul-Afazil Maulana

Sayed Muhammad Naeem-u-Din Muradabadi nay

ba-naam ‘Khazain-ul-Irfan’ our Mufassir-e-Shaheer Hakeem-

www.dawateislami.net

Page 24: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

20

ul-Umat Hazrat Mufti Ahmad Yar Khan nay

‘Noor-ul-Irfan’ kay naam say hashiya likha hay.

Wafat-e-Hasrat A’yaat

A’la Hazrat nay apni wafat say 4 mah 22 din pehlay

khud apni wisal ki khabar day ker para 29 surat-ul-dahar ki

aayat 15 say saal-e-Intiqal ka istikhraj farma diya tha. Is aayat

shareefa kay Elm-e-Abjad kay hisab say 1340 adad bantay hayn

our yahi hijri saal kay aytibar say sann-e-wafat hay. Wo A’yat

Mubarika ye hay:

Tarjama-e-Kan-ul-Emaan: Our un per chandi kay bartanon

our kuzon ka dor hoga.

25 Safar-ul-Muzaffar 1340 hijri mutabik 28 Octomber 1921 ko

Jummat-ul-Mubarak kay din Hindustan kay waqt kay mutabiq

2 baj ker 38 minute (our Pakistani waqt kay mutabik 2 baj ker

8 minutes) per ‘ayn A’zan-e-jummah kay waqt A’la Hazrat,

Imam-e-Ahl-Sunnat, Wali-e-Ney’mat, Azeem-ul-Barakat,

Azeem-ul-Martabat, Perwana-e-Shama’aye-Risalat, Mujaddid-

e-Din-o-Millat, Hami-e-Sunnat, Mahi-e-Bid’at, A’lim-e-Shari’at,

Peer-e-Tariqat, Bais-e-Khair-o-Barakat, Hazrat A’llama Maulana

Al-Hajj, Al-Hafiz Al-Qari Shah Ahmed Raza Khan

nay Da’eye Ajal ko labbaik kaha . Ap

www.dawateislami.net

Page 25: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

21

ka Mazar pur Anwar Madina-tul-Murshid Bareli shareef may

aaj bhi ziyarat-gah khas-o-A’am hay. Allah ki un per

rahmat ho our un kay sadqay hamari bey-hisab maghfirat ho.

Darbar-e-Risalat May Intizar

25 Safar-ul-Muzafar 1340 hijri ko Bayt-ul-Muqaddas may aik

Shami Buzrug nay khuwab may apnay aap ko

Darbar-e-Risalat may paya. Sahaba-e-Kiram

Darbar may hazir thay, lekin majlis may sukoot tari

tha our eysa ma’loom hota tha kay kisi aanay walay ka intizar

hay, Shami Buzrug nay Bargah-e-Risalat

may arz ki: Huzoor! meray maa baap Ap per

qurban hon kis ka intizar hay? Sayed-e-A’lam

nay irshad farmaya: Hameyn Ahmed Raza ka intizar hay.

Shami Buzrug nay Arz ki: Huzoor! Ahmed Raza kon hayn?

Irshad huwa: Hindustan may bereli kay bashanday hayn.

Bedari kay b’ad wo Shami Buzurg Maulana Ahmed

Raza ki talash may Hindustan ki taraf chal paray

www.dawateislami.net

Page 26: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar

Tazkirah-e-Imam Ahmad Raza Khan

22

our jab wo bareli Shareef Aaey to unhen ma’olom huwa kay us

A’shiq-e-Rasool ka usi roz (ya’ni 25 safar-ul-Muzafar 1340

hijri) ko wisal ho chukka hay. Jis roz unhon nay khuwab may

Sarkar-e-A’li Waqar ko ye kahtay sunna tha

kay ‘Hameyn Ahmad Raza ka intizar hay’.

Allah ki un per rahmat ho our un kay sadqay hamari bey-

hisab maghfirat ho.

Sag-e-Ghaus-o-Raza:

Muhammad Ilyas Qadiri Razavi

25th of affar-ul-Mu affar, 1393 Hijri

31-03-1973

www.dawateislami.net

Page 27: نﺎﺧ ﺎﺿر ﺪﻤﺣا مﺎﻣا ہﺮﮐﺬﺗalsunnahsufi.in/wp-content/uploads/2017/06/Roman-Hindi.pdf · Tarjuma Ay Allah ÄÇ ... ka ye a’alam tha kay sarhay chaar