Transcript
Page 1: Surakshit hatho mein delhi

Surakshit Hatho Mein Delhi

Delhi ke sultanpuri ilaake mein jab jurm apni had par kar raha tha, tab waha par ACP ke pad par Jasmeet Singh aaye aur unhone police force aur janta dono ko sambhala kyoki aam janta k dilo mein zurm ka kehar intna bhar gya tha ki ve apne gharo se bahar nikalne mein darne lage the. Lekin ACP Jasmeet Singh ek kabil police officer hain. Shuru mein aisa nahi lag raha tha ki ve Sultanpuri, Rohini Jaise kai ilako se jurm kam kar payenge kyoki unki chavi ek vinamra aur hasmukh vyakti ki hai. Lekin ve ek dran-nischayi aur jhujharo police officer hain jinhone apni drannischayi, shalleenta, dranta, lagan, deshbhakti aur apni himmat se dehli ke sultanpuri, Rohini jaise kai elako mein apni 28 saal ki umra mein hi sultanpuri jaise elako se 90% jurm ko kam kar diya hai isse janta mein faila asantosh khatm ho gya hai aur vo delhi police par phir se bharosa karne lage hain.

Jasmeet Singh Ji bachpan se hi kuch alag karna chahte the. Ve desh ke liye mar-mitna chahte the aur jurm ko kam karma chahte the isliye unhone IPS ki taiyaari ki aur pehli baar mein unka chayan ho gya.Wah delhi ke sultanpuri elake mein ACP ke pad par aa gye. Jab ki Jasmeet Singh Punjab ke rehne wale hai aur unke pita ek bank manager hain. Jasmeet Singh ne jalandhar se apni engineering puri karne ke bad IPS ki taiyaari ki kyoki unka man waha nahi lagta tha , wah desh ke liye kuch karna chahte the. ACP banne ke bad jab unhone delhi se kafi had tak jurm khatm kiya to unki apni hi ek alag pehchan ban gyi hai. Jasmeet Singh ne abhi hi ek case ko hal kiya hai jisme haryana, bhiwani ke rehne wale 4 logo – Sanjay (22), sonu (20), Suresh (23) aur sandeep (22) ko giraftar kiya gaya hai. ACP jasmeet sahit kai aur police walo ne milkar is giroh ka bhaanda phod kiya, jab ye giroh anter-rajya rajyamarg par ek truck chori karke le ja rahe the,jis truck mein 1.25 crore rupey aur ek car bharke dawaaiyan thi. Isi tarah ke bahut saare cases jaise chori, daketi, murder, rape jaise case ko hal kiya. Isse logo mein faila hua dehsat bahut kam kya khatm ho gya hai log apne gharo se bina dare bahar nikalte hai, kaam pe jaate, ghomte hai aur mouj-masti karte hai kyoki aam janta ko pata hai ki jab tak unke desh mein Jasmeet Singh Jaise police officer hain tab tak unhe kisi baat ka dar nahi hai kyoki unke aakramak, Tej-tarrar andaaz ne logo mein parivartan aur suraksha ki ummeed jaga di hai. Tabhi to log chahte hai ki hamare desh mein Jasmeet Singh jaise navyuvak ho jo apni kam umra (28) mein hi apne kartavyon ko pura kare aur desh mein apni alag pehchan bana sake. Aajkal ke navyuvak Jasmeet Singh ko apni prerna, apna adarsh mante hai aur hamare desh ko Jasmeet Singh jaise logon ki bahut jarurat hai.

Article by-Suman Verma

(Editor)


Top Related