gamraj (trendy baba series)

15

Upload: mohit-sharma

Post on 05-Aug-2015

110 views

Category:

Documents


15 download

DESCRIPTION

Stories on super-emotional, superhero cum social worker, Gamraj by Mohit Sharma (Trendy Baba/Trendster).

TRANSCRIPT

Page 1: Gamraj (Trendy Baba Series)
Page 2: Gamraj (Trendy Baba Series)

Character – Gamraj (Raj Comics)

Genre – Comedy, Action, Adventure, Social.

Stories (5) – Agent Basanti, Har Har

Yamuney, Common Sense, Divya Donation,

Aamchi Mumbai.

Author – Mohit Sharma (Trendy Baba /

Trendster)

Page 3: Gamraj (Trendy Baba Series)

1. Agent Basanti

Mumbai ka kukhyat mafia sargana Buffal Bhainsal, Yamraj kay divya vahan Vrashabhraj ka bahut bada bhakt tha kyoki uski parvarish bhainso

kay tabeley mey hui thi aur ab apne gair kanooni dhandhe bhi wo apne

bahut se tabelo ki aad mey karta tha. Uske purkhe Bhainsal parivaar kay log bhi bhainso kay tabeley chalate aaye thay. Apne bade se ghar ko bhi

usne tabela bana rakha tha jisme bahut si bhains rehti thi.

Buffal kay gair kanooni kaamo ki bhanak Gamraj ko lagti hai aur wo

Buffal kay peeche padd jaata hai. Buffal kay gang kay kai aadmi

Gamraj, Yamunda aur Shankalu ki wajah se Police dwara pakad liye jaate hai. Buffal bhi Gamraj aur Yamunda se kai baar pit chuka tha.

Page 4: Gamraj (Trendy Baba Series)

Tang aakar Buffal Vrashabhraj ko prakat karne kay liye aaradhna karta

hai. Iss aaradhna mey wo kai ton chaara aur bhusa arpit karta hai Vrashabhraj jald hi dravit hokar uske saamne prakat ho jaate hai. Buffal

unse vinti karta hai ki Vrashabhraj har waqt uske saath rehkar uski

Gamraj, Yamunda aur Shankalu se raksha karein. Vrashabhraj usse samjhate hai ki wo Yamraj kay vahan honay kay kaaran prithvi par sthai

roop se nahi reh sakte. Ye sunkar Buffal unse apne ghar mey

Vrashabhraj ki ek divya murti sthapit karvane ki prathna karta hai jo uske ghar mey Gamraj, Yamunda aur Shankalu kay pravesh par rook

laga de. Uske ghar mey apni divya murti lagakar aur usse apradh ka

raasta chhodne ki salah dekar Vrashabhraj antardhyaan ho jaate hai. Uska ghar Gamraj, Yamunda aur Shankalu proof ban jaata hai. Ab wo

apradh ko apne ghar se hi sanchalit karne lagta hai. Police sabooto kay

abhaav mey aur Buffal ki rishvat se uske yaha doodh kay utpaad khaane peene kay alawa kuch nahi kar paati thi.

Gamraj, Yamunda aur Shankalu ab Buffal ki harkato kay mook darshak banker reh gaye thay kyoki wo chahkar bhi Buffal ko rookne kay liye

uske ghar mey pravesh nahi kar paa rahe thay. Buffal kay ghar mey

ghuskar waha se Vrashabhraj ki divya murti laane kay liye Gamraj apne cheley Shankalu ki bhains Basanti ko chunta hai. Yamunda ki madad se

Gamraj Basanti ko train karta hai. Basanti ko seekhane kay dauraan

Yamunda uske kareeb aata hai aur uss se flirt karta hai, jiss wajah se Basanti Yamunda se rooth jaati hai. Training poori honay par Agent

Basanti ko murti laane kay mission par bheja jaata hai aur mission ka

naam rakha jaata hai "Mission Gobar Ganesh."

Buffal kay ghar mey reh rahi kai bhainso mey Agent Basanti aasani se mil jaati hai. Par Vrashabhraj ki murti ek alag kamre mey rakhi gayi thi

jahan Buffal kay alawa kisi ko ghusne ki ijazat nahi thi. Par samay kay

saath Basanti ko itni saari bhainso ka vishvaas jeetne mey dikkat honay lagi. Sabhi bhains usse ghuspaithiya, gaddaar, etc kehne lagi aur usse

waha se bhagane ka prayaas karne lagi, tab Basanti unhe deshprem se

paripoorna ek bhaashan deti hai jiss se sabhi bhainso mey deshprem jaag jaata hai aur wo uske saath ho jaati hai. Basanti badi mushkil se uss

Page 5: Gamraj (Trendy Baba Series)

kamre mey pahunchti hai jaha Vrasabhraj ki murti rakhi hoti hai aur usse

apne mooh se utthane ka prayaas karne lagti hai. Par tabhi waha Vrasabhraj pahunch jaata hai. Uss kamre mey Basanti ko dekh Buffal

uske mansube bhaamp leta hai aur usse peetna shuru ka deta hai jiss

kaaran darr kay maare Basanti uss kamre mey gobar kar deti hai. Gobar uss divya murti par bhi padd jaata hai. Murti Gobar se apavitra ho jaati

hai aur uska divya asar bhi khatm ho jaata hai. Yamunda apni mansik

shakti se murti kay asar par nazar jamaye issi pal ka intezaar kar raha tha. Wo Buffal kay ghar mey tabela todd entry karta hai aur Basanti ko

bachakar Buffal ki pitai shuru kar deta hai. Gamraj bhi aakar uske ghar

se tabeley mey chupi bahut se avaidh aur gair kanooni cheeze baramad kar police ko bulata hai. Buffal Yamunda aur Gamraj ki pitai kay darr se

iss baar Police ko bina sabooto kay apne sabhi jurmo ka iqbaliya bayaan

de deta hai. Basanti bhi Yamunda ko maaf kar deti hai.

The End!

Page 6: Gamraj (Trendy Baba Series)

2. Har Har Yamuney

Mumbai mey drugs aur nashile padartho ka chalan tez ho gaya tha. Gamraj zehar kay iss karobaar ka jab bhi Mumbai se safaya karta ye

kuch samay baad phir se panapne lagta. Gamraj samajh chuka tha ki jab

tak iss zehar kay samrajya ki jadd ko nasht nahi kiya jaayega tab tak ye aise hi baar baar panapta rahega.

Wo inn nashile padartho kay mool ka pata lagate huey pahunchta hai Delhi kay paas Yamuna kay kinare ek sunsaan elake mey. Waha usse

nashile padarth bana rahe ek sangathit giroh ka pata chalta hai jo waha jarjar awastha mey bane khandaro ka isteymaal nashile padarth banane

mey kar raha tha. Gamraj Police kay saath waha par chhapa maarta hai

par giroh kay sadasyo ki sankhya bahut zyada hoti hai isliye Gamraj ko Yamunda ka sahara lena padta hai. Yamunda aakar sabhi hathiyarbandh

apradhiyo ko sabak seekhata hai. Iss beech bahut saa nashila padarth

paas hi beh rahi Yamuna nadi mey beh jaata hai.

Page 7: Gamraj (Trendy Baba Series)

Yamuna ji apni divya drishti se unke andar itna saara nashila padarth bahane waale ko dekhti hai to unhe Yamunda dikhai deta hai. Wo

Yamunda ko dandit karne ki thaan leti hai. Wo sakshaat prakat hokar

Yamunda ki jamkar pitai karti hai aur usse waapas yamlok bhej deti hai aur uske prithvi par aane par pabandi laga deti hai. Issi beech jab Gamraj

aur Yamunda Yamuna ji se unke iss gusse ka kaaran poochte hai.To wo

batati hai ki "Kaliyug kay manavo ko to paap karne ki aadat hai aur unke dwara gandagi failaye jaane ki ab mai aadi ho chuki hun, par Yamunda

to mera apna hai kyoki mai Yamraj ki behan hun aur Yamunda unke

vahan Vrashabhraj ka putra hai, iss kaaran uska apradh shhama karne yogya nahi hai."

Yamunda apne swami Gamraj kay bina Yamlok ko apne sar par uttha leta hai aur waha bandi bani aatmao, Yamduto aur yaha tak ki Yamraj

ko apni zidd se pareshan kar deta hai. Gamraj ab bhi prithvi par logo kay

dukho ko Yamunda kay bina kum karne ki kosish karne laga. Halaki, anginat rupayo kay karobaar ko khatm karne kay liye Bharat sarkar nay

Gamraj ko kai crore rupaye aur unn khandaro ki zameen inaam mey di

thi par Gamraj ko ye sab bekar lag raha tha.

Nashe ka karobaar phir se Mumbai aur poore desh mey parvaan chaddne

laga. Nashe kay saudagaro nay apne liye upyukt bahut se naye sthaan chun liye thay aur waha par bade paimane par nashile padarth ban rahe

thay. Yamunda kay bina Gamraj unn apradhiyo ka theek se saamna nahi

kar pa raha tha. Gamraj apni banayi yojna kay tehat Shankalu ko unn apradhiyo mey mila deta hai. Shankalu ki madad se Gamraj kai nashile

padartho kay utpadan mey lagi ikaiyo ki khabar police tak pahunchakar bandh karvata hai aur unse judde apradhiyo ko giraftaar karvata hai.

Idhar Shankalu nashe kay karobaar kay beech rehne kay karan nashili

cheezon kay seevan ki lath lag jati hai aur Gamraj ek baar phir nashe kay khilaaf apni desh vyapi ladai mey akela pad jaata hai. Shankalu ki haalat

kay liye Gamraj swayam ko hi zimmedar maanta hai kyoki ussi nay

Shankalu ko unn apradhiyo kay beech bheja tha.

Page 8: Gamraj (Trendy Baba Series)

Yamunda ko paane ki kosish kay tehat Shankalu kay bachcho ki

parvarish kay saath saath, Gamraj sarkar dwara di gayi zameen par inaam mey mili dhan rashi se unn khandaro mey bade starr par 'River

Water Recycling Plant' ka nirmaan karvata hai. Lekin uske iss prayaas

mey nashe kay sargana adchane daalte hai, yaha tak ki Shankalu bhi nashe ka ghulam hokar apne guru Gamraj ka dushman ban jaata hai.

Aakhirkaar Gamraj apne prayaaso se safal ho jaata hai. Yamuna ji

Yamunda kay swami yaani Gamraj kay iss swarthheen prayaas se khush hokar Yamunda ko wapas prithvi par aane ki anumati de deti hai.

Yamunda kay saath milkar Gamraj jald hi nashile padartho ko banane

aur inki taskari mey lage kai mukhya apradhiyo ko sazaa dilvata hai. Ab bhi Gamraj ki ek bahut badi niji samasya bachi thi.

Shankalu ab tak poori tarah se nashe ki giraft mey aa chuka tha. Uski adat se pareshaan hokar Gamraj apne muh bole pita Yamraj ki madad se

natak rachta hai ki Shankalu atyadhik nashe kay seevan se marr gaya hai

aur Yamdoot usse yamlok lekar aa gaye hai. Jaha Yamraj usse dikhate hai ki uski iss buri aadat se uski jaan chali gayi aur iss kaaran uska

parivaar musibato se ghir gaya hai. Gamraj, Yamunda aur poori Kurla

basti bhi shok mey doobi hai. Ye sab dekhkar Shankalu Yamraj kay samne gidgidata hai, vinti karta hai ki usse sudharne ka ek mauka aur

milna chahiye. Wo kasam khaata hai ki wo ab se kisi bhi nashile padarth

ka seevan nahi karega. Yamraj apni maya se usse waapas prithvi par bhejne ka natak karte hai. Shankalu iss maya ko samajh nahi paata aur

isse sach maan kar bhavishya mey kisi bhi prakar ka nasha karne se

tauba kar leta hai. Iss tarah Gamraj nay nashe kay virrudh apni iss jung mey jeet haasil kar li.

The End!

Page 9: Gamraj (Trendy Baba Series)

3. Divya Donation

Kisi bhi vaahan mey badal jaane ki Yamunda ki khoobi ek Veterinary

Doctor yaani jaanvaro kay Doctor ko pata chalti hai. Wo kutil buddhi doctor Gamraj kay saamne galat khabar ka rona rota hai ki ek dairy

waali bhainso ko le jaa rahe truck ka accident ho gaya hai jisme kai

bhains gambheer roop se ghayal ho gayi hai. Gamraj ka dil uski kahani

Page 10: Gamraj (Trendy Baba Series)

se paseej jaata hai. Wo Doctor Gamraj se kehta hai ki wo Yamunda ka

khoon usse de de kyoki Yamunda to divya prani hai jispar aise bade rakt daan ka koi asar nahi padega. Gamraj uski baat maan leta hai aur usse

Yamunda ka khoon de deta hai.

Wo Yamunda kay khoon ki kuch maatra apni Car mey daalta hai aur

uski Car uss doctor ki marzi par kisi bhi vaahan mey badal sakne waali

'Wonder Vehicle' ban jaati hai. Yamunda kay khoon ka wo vyavsayik faayda utthakar 'Crime Under World' kay logo se bahut paisa kamata

hai. Idhar shehar bhar mey aise ajube vaahano se apradh karte

apradhiyon se Gamraj joojhte huey pareshaan tha.

Gamraj samajh jaata hai ki ye uss doctor ki wajah se hua hai jisne

Yamunda kay divya khoon ka galat isteymaal kiya hai. Par Khoon kay khatm ho jaane kay baad wo sabhi Wonder Vehicles apni kisi bhi

vaahan mey badal jaane waali khaasiyat khoo dete hai. Doctor jaanta tha

ki ab Gamraj usse Yamunda ka aur khoon nahi dene waala. Balki ab to Gamraj usse pakad kar Police kay hawale karne kay liye dhoond raha

tha.

Wo Doctor apne paltu Kuttey mey Yamunda ka bacha hua khoon inject

kar deta hai.

Jiss se uss kuttey mey Yamunda jaise gunn aa jaate hai. Wo kutta apne

swami ki har baat maankar apradho mey uski madad karne lagta hai.

Saath hi wo Gamraj ya Police dwara Doctor ko koi haani nahi pahunchne deta hai. Uss 'Super Kuttey' dwara Doctor kay apradh badhte

jaa rahe thay.

Yamunda uss kuttey se bhayankar yuddh ladta hai jiska koi natija nahi

nikalta. Aakhirkar, Gamraj ko hall soojhta hai. Wo Yamunda ki madad se uss kuttey ko dhokhe se ghayal karva deta hai aur phir dialysis ki

madad se kuch samay kay liye behosh huey kuttey ka saara khoon

badalva deta hai. Aur uss Doctor ki achchhi pitaai kay baad usse Police kay hawale kar deta hai.

Page 11: Gamraj (Trendy Baba Series)

The End.

4. Aamchi Mumbai

Page 12: Gamraj (Trendy Baba Series)

United Nations (U.N.) duniya kay pramukh sheharo kay safety, crime,

tourism, trade, transport, ko aadhar bana kar unn sheharo ki rating kar

rahi thi. Ye international rating baad mey poori duniya ko tourism aur trade kay liye sabse favorable cities ki list dene waali thi jiske anusaar

bahut se desh apne nagriko aur vyapario ko bhavishya kay liye disha

nirdesh dene waale thay. Sabhi cities kay crime records, trade, transport aur tourism ki volume ka U.N. kay adhikariyon dwara hisaab rakha jaa

raa tha. Mumbai bhi unn cities mey chuna gaya tha.

Issi beech Mumbai mey apradh badhne lage thay. Saath hi Mumbai kay

mukhya Bandargaaho, Airports, Railway Stations, etc, par aaye din koi

naa koi gadbadi ho rahi thi.

Jaise kabhi achanak bhaari sankhya mey kisi videshi prajati kay

endangered pakshiyon ka airport par aa jaana. Ya phir samudri ships ka apne aap coast ki taraf badh jaana aur paas ki bastiyon mey ghus jaana.

Ya phir official crime record badhane kay liye tourist ban kar aaye

videshi khufia agents ki jhooti shikayatein. Gamraj inn apradho ko rookne ki jee todd kosish karta hai. Uski pakad mey kai videshi agents

aate hai jo chahte thay ki Mumbai mey kum trade aur tourism ho taaki

U.N. ki best city ki daud se naa sirf Mumbai bahar ho jaaye balki sabhi cities kay muqable sabse last aakar ek international joke ban ka reh

jaaye. Iss baat ka Gamraj ko kaafi baad (mahiney kay aakhir) mey pata chalta hai.

Mahiney kay aakhri din tak Gamraj videsho dwara karvaye jaa rahe apradho ki rook thaam mey laga raha. Gamraj ko pata chalta hai ki ye

videshi chaal kaamyab honay waali hai aur Mumbai baaki sabhi shehro

se kaafi peeche chhut gaya hai.

Page 13: Gamraj (Trendy Baba Series)

Gamraj bhi "cheating ka badla cheating se dene ki sochta hai". Wo uss

mahiney kay aakhri aadhe ghantey mey Bandargaaho, Airports, etc, mey 'Superduper Sonic' multipurpose Yamunda ki madad se naa sirf mahiney

ka saara ruka hua trade aur transport poora karva deta hai saath hi agle

mahiney ki bhi kaafi advance trading kar deta hai.

Phir Gamraj peechle dino shehar mey huey apradho kay liye U.N. kay

adhikariyon kay saamne pakde gaye videshi nagriko ko sabooto kay saath pesh karta hai. U.N. kay saamne 1 mahiney se Mumbai mey ho

rahi gadbadiyon ka sach khul jaata hai.

Gamraj kay 'eleventh hour' (aakhri samay) par kiye gaye efforts ki wajah

se Mumbai ka revenue sabse zyada hota hai aur Mumbai ko best city ka

khitaab milta hai.

Aur U.N. ki report mey likha jaata hai ki "Gamraj aur Yamunda kay

rehte Mumbai hi best rahega."

The End!

5. Casting of Gamraj (Promotional Post for "Bacha Lo!") -

"Bacha Lo!" naamak film kay liye Raj Comics kay kirdaaro ki casting jaari thi. Gamraj nay film mey kaam karne kay liye bahut badi dhan rashi maangi aur majboori vash RC Management ko uski sharte maanni padi. Baad mey pata chala ki Gamraj unn Paiso ko Kurla ki basti kay gareebo ko baant kar faraar ho gaya hai. Ab samasya ye thi ki Gamraj ki jagah kise cast kiya jaaye. Kai screen tests huey talaash jaari rahi. Raj Comics kay sabhi creatives pareshaan ho chuke thay. Kai creatives nay to Gamraj jaisi physique banane kay liye kai dino se khaana hi chhod diya tha. Koi solution naa honay par

Page 14: Gamraj (Trendy Baba Series)

aakhri option naye artist Sushant Panda ko rakha gaya tha jo permanent malnutrition kay shikaar lagte hai. RC se judde sabhi creatives ki meeting hoti hai ki Gamraj kay role kay liye kya kiya jaaye. Gamraj kay baare mey Sanjay Gupta ji sabhi kay saamne apne disha nirdesh phir se dohrate hai. Sanjay Gupta - Gamraj koi aisa insaan ban sakta hai jiska chusa hua sa chehra ho......jisse dekh kar aisa lage ki uske pehle se hi 56 ready made thappad baj chuke hai. Sabhi ki nazar bheed mey baithey ek shakhs par ruk gayi thi. Sabhi eksaath bole. "Aage bataiye, Sanjay ji." Sanjay Gupta - Jiske skeleton ki kabiliyat doubtful ho. Jiski hassi dekh kar doosro ko dard ho ki bechara taqleef mey hai. Jiske dil mey dard disco karta ho. Jisse dekh kar Dracula bhi apna raasta badal le aur kahe ki "Lagta hai iss gali mey mai apna kaam kar chuka hun." Jiske D.N.A. pattren mey bhi tragedy likha nazar aaye. Sanjay Gupta ji dwara itni details dene kay baad sab bol pade. "Bas, Sanjay ji.....bagal mey chhora aur shehar mey dhindora....mil gaya humey apni film kay liye Gamraj." Sanjay Gupta - Kaun ?

Page 15: Gamraj (Trendy Baba Series)

"Wishumady." Sanjay Gupta - Arre Haan, shabash.......done. Wishumady - Mujhe to Nagraj banna tha.

The End!