hindi bhagavad gita (romanaagarii)

68
romanaagarii bhaagavad giitaa yogeshvar ne yuddha kshetra meñ arjun ko jo gyaana diyaa, giitaa ke usa param gyaan kaa hamane man meñ dhyaan kiyaa.

Upload: virendra-singh

Post on 17-Nov-2014

863 views

Category:

Documents


11 download

DESCRIPTION

Bhagavad Gita in Hindi poetic form in romanaagarii script. To know more about Saral scripts, please see "Rational Approach to Hindi Literacy" and "Mandala approach to rational alphabetic script (MATRAS)".

TRANSCRIPT

Page 1: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

romanaagarii

bhaagavad giitaa

yogeshvar ne yuddha kshetra meñ arjun ko jo gyaana diyaa,

giitaa ke usa param gyaan kaa hamane man meñ dhyaan kiyaa.

Page 2: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

2

prastaavanaa

sarvavidit hee ki bhaagavad giitaa par 3000 se adhik pustakeñ likhii jaa cukii heeñ jinameñ anek anuvaad, t’iikaa, vyaakhyaa aadi sammilit heeñ. bahut sii pustakeñ

hindii bhaas’aa meñ bhii likhii gaii heeñ, phir ek oor pustak hindii meñ likhane kaa kyaa uddeshya hee?

hindii bhaas’aa meñ likhii pustakoñ meñ aam toor se do kamiyaañ mahasuus kii jaatii heeñ, ek to unakii hindii bhaas’aa itanii kat’hin hotii hee ki sab logoñ kii

samajh meñ nahiiñ aatii. duusare, adhikatar ye pustakeñ gadya ke ruup meñ likhii gaii heeñ jinako par’haa jaa sakataa hee lekin gaayaa nahiiñ jaa sakataa. sañskrit

kii muul giitaa padya ruup meñ hee oor usakii lokapriyataa kaa yah ek mukhya kaaran’ maanaa jaataa hee.

in donoñ baatoñ ko dhyaan meñ rakhate hue yah sujhaav milaa ki yadi bhaagavad

giitaa ko saadhaaran’ logoñ kii samajh meñ aane vaalii hindii bhaas’aa meñ padya

ruup meñ prastut kiyaa jaaye to vah oor bhii rocak ho sakatii hee. is sujhaav se hindii giitaa likhane kii preran’aa milii.

aam logoñ ko hindii meñ likhii bhaagavad giitaa kii pustakoñ meñ bhaas’aa kii

kat’hinataa ke alaavaa bhaavoñ kii jat’ilataa se bhii pareshaanii hotii hee. shaabdik anuvaadoñ meñ bhaav-pravaah kii kamii honaa svaabhaavik hee. isako dhyaan

meñ rakhate hue hindii giitaa meñ shaabdik anuvaad kii apekshaa bhaav-pravaah par adhik mahatva diyaa gayaa hee. isii dris’t’ikon’a se shrii kris’n’a oor arjun ke

giitaa meñ jo anek naam prayukta hue heeñ, un sabakaa hindii giitaa meñ upayog nahiiñ kiyaa gayaa hee.

jahaañ tak bhaagavad giitaa ko giit ruup meñ prastut karane kaa prashna hee, hindii giitaa kii yah sabase pramukha vishes’ataa hee. isake chandoñ ko sañgiit-

baddha karake sugamataa se gaayaa jaa sakataa hee. isase giitaa ko yaad karane oor hindii samajhane vaaloñ meñ oor adhik lokapriy banaane meñ sahaayataa

milegii. saaptaahik paat’h karane vaaloñ kii suvidhaa ke liye bhaagavad giitaa ko 52 paat’hoñ meñ vibhaajit karane kaa ek nayaa d’hañg apanaayaa gayaa hee.

padya meñ likhii hindii giitaa kaa romanaagarii lipi meñ yah nayaa ruup paat’hakoñ ke saamane prastut hee. aashaa hee ise saphalataa milegii.

dhanyavaada

viirendra paal siñha

ris’ikesha

Page 3: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

3

suucii

adhyaaya-01

adhyaaya-02

adhyaaya-03

adhyaaya-04

adhyaaya-05

adhyaaya-06

adhyaaya-07

adhyaaya-08

adhyaaya-09

adhyaaya-10

adhyaaya-11

adhyaaya-12

adhyaaya-13

adhyaaya-14

adhyaaya-15

adhyaaya-16

adhyaaya-17

adhyaaya-18

bhaagvad giitaa kaa saaptaahik paat’ha

Page 4: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

4

bhaagavad giitaa

adhyaaya-01

arjun vis’aad yog

saaptaahik paat’ha-1/1.01 dhritaraas’t’ra ne kahaa:

kurukshetra kii dharma-bhuumi par, lar’ane ko ekatrit ho,

sañjaya, mere oor paañd’u ke putroñ ne kyaa kiyaa? kaho.

1.02 sañjaya ne kahaa:

sajii paañd’avoñ kii senaa thii, vyuuha racit us ko paakar, duryodhan ne kahaa dron’a guru se, un ke sammukha jaakar.

1.03 he aacaarya! paañd’u putroñ kii senaa sajii huii dekho.

shis’ya aap ke dhris’t’adyumna ne kiyaa ise vyuuhit, dekho.

1.04

bhiim oor arjun jeese heeñ shuuraviir yoddhaa, k’huuñk’hvaar, mahaarathii yuyudhaan, viraat’, drupad bhii lar’ane ko teeyaar.

1.05 dhris’t’aketu hee, cekitaan hee, oor viir hee kaashiiraaj,

kuntibhoj hee, purujit bhii hee, oor sheevya bhii hee nararaaj.

1.06

yudhaamanyu, abhimanyu, uttamoojaa, saare heeñ viir bar’e,

mahaarathii, droopadii, subhadraa, donoñ ke sab putra khar’e.

1.07

he aacaarya! aap suniye ab haal hamaarii senaa kaa, is meñ bhii heeñ viir bahut, meeñ naam bataataa huuñ un kaa.

1.08 aap, pitaamaha bhiis’ma, vijetaa krip, mahaan yoddhaa hee karn’a,

somadatta kaa putra oor ashvatthaamaa ke saatha vikarn’a.

1.09

anya bahut se shuuraviir, sab ne mujha par heeñ praan’a diye, lar’ane ko teeyaar khar’e heeñ, ran’ashastroñ ko saatha liye.

1.10 apanii jo apaar senaa hee, us ke rakshak bhiis’ma bane,

siimit paañd’av-senaa, us ke rakshak yoddhaa bhiim bane.

1.11

aap sabhii apanii-apanii jagahoñ par hii jam kar rahanaa,

dhyaan bhiis’ma kii rakshaa kaa, jeese bhii ho veese karanaa.

1.12

aanandit karane raajaa ko, bhiis’ma ne jaya-jayakaar kiyaa, shañkha bajaayaa oor garaj kar siñha kii taraha naad kiyaa.

Page 5: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

5

1.13 shañkha, nagaar’e, d’hol, bheriyaañ, bajane lage vahaañ sab or,

baje yuddha ke saare baaje, hone lagaa bhayañkar shor.

1.14

kris’n’a oor arjun, safed ghor’oñ ke ratha par vahaañ car’he, bajaa rahe ve divya shañkha, donoñ aage kii or bar’he.

1.15 paañcajanya thaa shañkha kris’n’a kaa, devadatta arjun kaa shañkha,

naad bhayañkar karane vaalaa, pooñd’ra mahaan bhiim kaa shañkha.

1.16

kuntiiputra yudhis’t’hir kaa thaa anañtavijaya naam kaa shañkha, man’ipus’pak sahadeva kaa tathaa bajaa nakul kaa sughos’ shañkha.

1.17 kaashiiraaj dhanurdhaarii kaa, bajaa shikhañd’ii kaa bhii shañkha,

mahaaarathii dhris’t’adyumna, viraat’, saatyakii ajeya ke bhii shañkha.

1.18 drupad, droopadii ke putroñ ke saatha viir abhimanyu khar’e,

caaroñ or bahaadur apane shañkha bajaakar garaj par’e.

1.19

shañkha naad se dharatii oor aakaasha vahaañ guuñjane lage, jis ko sun kar koorava dal ke hridaya bahut kaañpane lage.

saaptaahik paat’ha-2/1.20 ghor naad ke biic, viir arjun ne apanaa dhanus’ liyaa,

dekha kooravoñ kii suvyavasthit senaa, shrii kris’n’a se kahaa.

1.21 arjun ne kahaa:

he yogeshvar ! kripaa kiijiye, bar’haaiye mere ratha ko, turañta donoñ senaaoñ ke biic khar’aa kar do is ko.

1.22 mujhe le calo vahaañ, jahaañ par sab yoddhaa tatpar ran’a ko,

jin ke saatha mujhe lar’anaa hee, dekha sakuuñ meeñ un sab ko.

1.23 dekhuuñ meeñ un sab ko jo heeñ lar’ane ko teeyaar huye,

dus’t’a buddhi vaale duryodhan ke kahane par ar’e huye.

1.24 sañjaya ne kahaa:

he dhritaraas’t’ra! kris’n’a ne jab arjun ke eese shabda sune, ratha ko donoñ senaaoñ ke biic kar diyaa tab us ne.

1.25 kahaa kris’n’a ne, bhiis’ma, dron’a sab raajaa the moojuud jahaañ,

arjun, sab kuruoñ ko dekho, ekatrit ve huye yahaañ.

1.26

donoñ senaa khar’ii huii thiiñ, arjun ne un ko dekhaa, putra, guruu, maamaa, bhaaii, daadaa va pootra sab ko dekhaa.

Page 6: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

6

1.27 un donoñ senaaoñ meñ the, shvasur oor mitra bhii khar’e,

arjun ke saamane vahaañ the, yuddha-bhuumi ke drishya bar’e.

saaptaahik paat’ha-3/1.28

dayaa aa gaii arjun ko, vaha udaas, man us kaa d’olaa, yuddha bhuumi par, vikalit ho kar, yogeshvar se yuuñ bolaa.

1.29 arjun ne kahaa: mere añga ho rahe d’hiile, muñha bhii meraa suukha rahaa,

khar’e roñgat’e saare, meraa shariir thar-thar kaañp rahaa.

1.30

girataa hee gaan’d’iiva haatha se, tan saaraa jalataa jaataa, man meraa ho rahaa bhramit, ab khar’aa nahiiñ meeñ ho paataa.

1.31 yogeshvar, meeñ dekha rahaa apashakun oor lakshan’a vipariit,

nahiiñ diikhatii kalyaan’ii, sambandhii-badha karane kii riit.

1.32 nahiiñ raajya yaa sukha kii icchaa, mujhe vijaya kii caaha nahiiñ,

sirfa raajya, sukha, vijaya hii nahiiñ, jiivan kii paravaaha nahiiñ.

1.33

jin ke liye raajya, sukha bhog caahate the, ve khar’e yahiiñ, sab ne tyaagaa moha praan’a kaa, dhan kaa bhii kucha moha nahiiñ.

1.34 buur’he daadaa, pitaa, putra, maamaa ke sñg aacaarya bar’e,

priyagan’, saale, shvasur oor sambandhii saare yahaañ khar’e.

1.35

tiin lok kaa raajya mile, to bhii na kabhii in ko maaruuñ, phir kyaa baat is jagat kii, meeñ mar jaauuñ, na inheñ maaruuñ.

1.36 inheñ maar kar, he yogeshvar! paayeñge ham bas santaap,

in ko maar diyaa ham ne to nishcaya hameñ lagegaa paap.

1.37 ye koorava sambandhii, in kaa badha karanaa hee ucit nahiiñ,

maar inheñ, he kris’n’a! milegaa sukha ham ko kyaa kabhii kahiiñ?

1.38

ye añdhe, lobhii heeñ, inheñ nahiiñ dikhaaii detaa aap, kul-vinaasha yaa mitra-droha kaa, in ko nahiiñ diikhataa paap.

1.39 jab ham ko hee diikha rahaa, kul ke vinaasha kaa kyaa añjaam,

hameñ caahiye, duur paap se raheñ, naa kareñ eesaa kaam.

1.40

kula-vinaasha se sabhii puraane dharma nas’t’a ho jaate heeñ, jis se parivaaroñ meñ kitane hii adharma bar’ha jaate heeñ.

Page 7: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

7

1.41 adharma bar’hane se kul kii naariyaañ bhras’t’a ho jaatii heeñ,

bhras’t’a naariyoñ se varn’oñ meñ sañkarataayeñ aatii heeñ.

1.42

varn’oñ kii sañkarataa, parivaar ko narak meñ pahuñcaatii, anna oor jal se purakhoñ kii aatmaa vañcit raha jaatii.

1.43 hote heeñ parivaar nas’t’a, jab sañkarataa bar’ha jaatii hee.

jaati-dharma, kul-dharma bigar’ate, maryaadaa mit’ jaatii hee.

1.44

he yogeshvar! jis kul ke sab dharma nas’t’a ho jaate heeñ, kahate heeñ, us ke logoñ ko sirfa narak meñ paate heeñ.

1.45 dekho, ham teeyaar, bahut hii bar’aa paap yaha karane ko,

raajya-lobha ke kaaran’, apane logoñ kaa badha karane ko.

1.46 yadi koorava le shastra, maar deñ mujhe, sahuuñgaa meeñ us ko,

binaa lar’e maaraa jaauuñ, kucha haani nahiiñ hogii mujha ko.

1.47

chor’aa dhanus’, baan’a arjun ne, yuddha samaya eesaa kahakar, vyaakul bahut huaa dukha se, vaha beet’ha gayaa apane ratha par.

uupar

Page 8: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

8

adhyaaya-02

saañkhya yog

saaptaahik paat’ha-4/2.01 sañjaya ne kahaa: arjun kii dayaniiya dashaa, aañkhoñ meñ aañsuu diikha rahe,

dukhii bahut vaha, yogeshvar ne, tab us se ye shabda kahe.

2.02 yogeshvar ne kahaa: yuddha samaya keese, he arjun! yaha sammoha huaa tujha ko?

svarga nahiiñ paayegaa, apayasha bhii jag meñ hogaa tujha ko.

2.03

shobhaa detaa nahiiñ tujhe yaha, naamardii kii baat kare, durbalataa ko tyaag, ucit hee, dushman ke sñg yuddha kare.

2.04 arjun ne kahaa: he yogeshvar! bhiis’ma, dron’a par baan’a calaauuñ meeñ keese?

puujaniiya heeñ ve, un ke uupar meeñ vaar karuuñ keese?

2.05

guru-hatyaa se behatar hee, meeñ bhiikha maañg kar khaauuñgaa, hoñge sane k’huun se ve sukha, jinheñ jiit kar paauuñgaa.

2.06 gyaat nahiiñ kyaa ucit, vahii jiiteñ yaa ham jiiteñ un ko,

un ke marane par na rahegii, jiine kii icchaa ham ko.

2.07 apanii durbalataa ke kaaran’, samajha kho rahaa bebas huuñ,

kyaa hee ucit? bataao, ab meeñ shis’ya tumhiiñ par aashrit huuñ.

2.08

mile sampadaa sab jagatii kii, raaj mile yaa svargoñ kaa, nahiiñ karegaa duur shok, jo naashak merii indriyoñ kaa.

2.09 sañjaya ne kahaa: in shabdoñ ko kaha vikalit thaa, paraakramii arjun ratha par,

‘nahiiñ karuuñgaa yuddha' oor phir shaanta ho gayaa yaha kahakar.

saaptaahik paat’ha-5/2.10

haal buraa thaa arjun kaa, par yogeshvar muskaraa rahe, senaaoñ ke biic khar’e ho, arjun se ye vacan kahe.

2.11 yogeshvar ne kahaa: jisakaa shok viphal, us kaa tuu shok kare? hee agyaanii,

jiivan oor maran’a donoñ se, d’arate nahiiñ kabhii gyaanii.

2.12 meeñ, tuu oor anya ye raajaa, pahale the moojuud sabhii,

aage bhii sab yahiiñ raheñge, ho na sakeñge nas’t’a kabhii.

Page 9: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

9

2.13 bacapan, yoovan oor bur’haapaa, jeese jiivan meñ aate,

veese aatmaa deha badalatii, kyoñ is se phir ghabaraate?

2.14

shiita-garma, sukha-dukha ke anubhava, indri bhog se hote heeñ, aate heeñ, jaate heeñ, ye to pal, do pal hii rahate heeñ.

2.15 shres’t’ha vahii praan’ii, sukha, dukha se kincit vikal nahiiñ hotaa,

jis ko donoñ sam heeñ, usameñ moksha praapti kaa bal hotaa.

2.16

asatya kaa astitva nahiiñ hee, satya sadeeva yahaañ rahataa, gyaanii ke aage donoñ kaa asalii ruup banaa rahataa.

2.17 jis se pheelaa hee jag saaraa, avinaashii us ko jaano,

ho sakataa vinaasha avinaashii kaa, is ko mat sac maano.

2.18 kahate heeñ aatmaa ko akshaya, deha mare par yaha na mare,

he arjun! jab maratii hee bas deha, kyoñ na tuu yuddha kare?

2.19

jo soce, yaha aatmaa mar jaatii yaa kabhii maaratii hee, samajho hee anajaan, nahiiñ maratii aatmaa na maaratii hee.

2.20 janme nahiiñ, na mare kahiiñ, is kaa astitva sadaa rahataa,

aatmaa sadaa ajanmii, shaashvat, shariir hii keval marataa.

2.21

jo yaha jaane, aatmaa rahatii sadeeva, maratii nahiiñ kabhii, keese maar sake vaha ooroñ ko yaa mare kisii se bhii?

2.22 tyaag puraane kapar’e, jeese tan pahane poshaak naii,

chor’ puraanii deha, jiiva bhii paa letaa hee deha naii.

2.23 aatmaa kat’atii nahiiñ shastra se, nahiiñ aag se vaha jalatii,

vaayu sukhaatii nahiiñ use, vaha jal se kabhii nahiiñ galatii.

2.24

aatmaa kat’atii nahiiñ, na jalatii, galatii yaa suukhatii nahiiñ, yaha anañt, yaha sarvavyaapta hee, nishcal rahatii sadaa yahiiñ.

2.25 ise avyakta, acintaniiya kahate, avikaarya ise kahate,

is ko sahii samajhane vaale, koii shok nahiiñ karate.

2.26

yadi samajhe, yaha aatmaa letii janma oor phir mar jaatii, to bhii, arjun, tujhe shok karane kii baat nahiiñ bhaatii.

Page 10: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

10

2.27 jo peedaa hotaa vaha marataa, mar kar letaa janma kahiiñ,

jis ko gyaat, baat yaha nishcaya, cintaa hotii use nahiiñ.

2.28

pragat’ nahiiñ hotaa koii bhii, jab tak letaa janma nahiiñ, hokar pragat’, añta aane par, ho jaataa hee lupta kahiiñ.

2.29 aatmaa se aashcarya sabhii ko, sab is se heeñ cakaraate,

kucha bhat’ake, kucha duur bahut, ve is ko samajha nahiiñ paate.

2.30

sabhii deha meñ vaas kare, yaha aatmaa avinaashii hotii, shok na kar, is kii rakshaa to apane aap yahaañ hotii.

saaptaahik paat’ha-6/2.31 apane kartavyoñ kaa dhyaan kare, to bhii ho vikal nahiiñ,

dharma-yuddha se bar’aa oor kshatriya kaa koii dharma nahiiñ.

2.32 teeyaarii yuddha ke liye, jeese ho khulaa svarga kaa dvaar,

kshatriya ko moksha kaa suavasar milataa hee bas isii prakaar.

2.33

dharma-yuddha ke samaya, agar ran’a se piiche hat’ jaayegaa,+ apayasha pheelegaa duniyaa meñ, tujhe paap lag jaayegaa.

2.34 badanaamii hogii, jis kii carcaa bhii sadaa yahaañ hogii,

badanaamii, ijjat vaale ko, burii moot se bhii hogii.

2.35

d’ar ke kaaran’a hat’aa yuddha se, sab yoddhaa yaha samajheñge, jin logoñ meñ maan bar’aa, ve hii tujha ko taanaa deñge.

2.36 shatru tere bal kii nindaa kar, boleñge anakahanii baat,

is se bar’ii oor kyaa ho sakatii hee tujha ko dukha kii baat?

2.37 jiitegaa to raajya milegaa, svarga milegaa marane par,

ut’hakar ho teeyaar, yuddha kar, arjun, tuu ab der na kar.

2.38

sukha-dukha, laabh-haani, jaya oor paraajaya heeñ sab ek samaan, ise samajha kar yuddha kare to paap na hogaa, yaha sac maan.

saaptaahik paat’ha-7/2.39 yaha to gyaan saañkhya kaa thaa, arjun, sun gyaan yog kaa ab,

ise jaan kar t’uut’ jaayeñ, tere karmoñ ke bandhan sab.

2.40

is maarga ke prayaas saphal, sab baadhaa duur raheñ is se, thor’aa saa paalan karane se, bhaarii bhaya mit’ate is se.

Page 11: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

11

2.41 he arjun! is meñ hotii hee, buddhi iraade vaalii ek,

jo na iraadaa ho to phat’ kar, ho jaatii hee buddhi anek.

2.42

agyaanii, vedoñ ko par’ha, kaamanaa svarga kii karate heeñ, is se aage nahiiñ oor kuch, yahii hameshaa kahate heeñ.

2.43 karma-kaañd’a ve karate rahate, sukha bhogeñge, isii liye,

miit’hii baateñ karate, ve laalasaa shakti kii sadaa kiye.

2.44

lage raheñ nit bhogoñ meñ, yaa paane ko eeshvarya kahiiñ, ve kamazor buddhi ke, un ko samaadhi kaa kucha gyaan nahiiñ.

2.45 ved tiin gun’a par aadhaarit, svatantra gun’a se ho jaa tuu,

tyaag kaamanaayeñ paane kii, brahma praapti meñ lag jaa tuu.

2.46 saagar paa lene par jeese, saravar kaa upayog nahiiñ,

brahmaliin gyaani ko veese, vedoñ kaa kucha lobha nahiiñ.

2.47

hee adhikaar karma karane kaa, phal kaa hee adhikaar nahiiñ, karma-phaloñ kii icchaa veese, jeese karma na karo kahiiñ.

2.48 siddhi, asiddhi; saphalataa yaa asaphalataa se mat rakho lagaav,

nitya santulit karma karo tum, yog ek samataa kaa bhaav.

2.49

buddhi yog hee shres’t’ha, jahaañ bina phala-icchaa ke karma kare, haalat usakii diina, agar vaha phal kii bhii kaamanaa kare.

2.50 buddhi lagaakar karma karo to paap-punya nahiiñ lagataa hee,

karma, buddhi se karo, yog kaa matalab karma-kushalataa hee.

2.51 gyaanii jan jo buddhi lagaakar, karma phaloñ kaa tyaag kare,

mukta janma bandhan se hokar, sukhii dashaa ko praapta kare.

2.52

jab yaha buddhi moha kaa gandaa taal paar kar jaayegii, abhii sunaa, jo sunanaa, sab se veeraagii ho jaayegii.

2.53 shruti se bhraanta buddhi terii, jab avical ho jaayegaa tuu,

yog-yukta hokar samaadhi meñ, nishcalataa paayegaa tuu.

saaptaahik paat’ha-8/2.54 arjun ne kahaa:

kis ko kahate at’al buddhi? kis ko heeñ samaadhistha kahate ? keese eese log beet’hate, calate, kahate yaa rahate ?

Page 12: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

12

2.55 yogeshvar ne kahaa: he arjun! jo apane man kii sab icchaa taj detaa hee,

hotaa hee santus’t’a aap meñ, at’al buddhi vaha hotaa hee.

2.56

sukha kii nahiiñ kaamanaa jis ko, dukha se bhii kucha khed na ho, raag, krodh, bhaya se vimukta jo, use gyaanarat munii kaho.

2.57 shubha ho yaa ho ashubh, mile kucha bhii, prasanna vaha ho jaaye,

buddhi sthir hone se hars’a, shok kaa añtar mit’ jaaye.

2.58

jeese kachuaa agoñ ko, samet’ataa hee apane andar, veese buddhimaan indriyoñ ko, kar letaa apane andar.

2.59 keval vis’aya duur hote, jab praan’ii anna tyaagataa hee,

paakar brahma, moha jo ras kaa, vaha bhii duur bhaagataa hee.

2.60 karate heeñ vidvaan yatna, indriyoñ ko vasha meñ karane ko,

lekin heeñ balavaan indriyaañ, karatii aakars’it man ko.

2.61

sañyam se roke in ko, mujha meñ rat ho, aasthaa jis kii, jis ne indriyoñ ko jiitaa, hotii hee buddhi sthir us kii.

2.62 vis’aya lagaava bar’he indriyoñ se, vis’ayoñ se kaamanaa bar’he,

jab kaamanaa bahut bar’ha jaaye, praan’ii ko tab krodha car’he.

2.63

peedaa ho sammoha krodha se, sammoha smriti bhras’t’a kare, bhras’t’a smriti se buddhi naasha hee, jo praan’ii ko nas’t’a kare.

2.64 indriyoñ ko vasha meñ kar koii, raag, dves’ se rahe pare,

vis’ayoñ meñ vicaran’a kar ke bhii, deevii prasaad praapta kare.

2.65 deevii prasaad paane se, dukha kii ber’ii kat’ jaatii hee,

prasanna-cit hone se jaldii, buddhi at’al ho jaatii hee.

2.66

vikal buddhi se gyaan na hotaa, binaa gyaan ke dhyaan nahiiñ, dhyaan na ho to shaanti nahiiñ hee, binaa shaanti aananda nahiiñ.

2.67 rahe indriyoñ meñ jis kaa man, cañcal banaa svabhaava rahe,

us kii buddhi bhat’akatii, jeese havaa se jal meñ naava bahe.

2.68

he arjun! jis ne indriyoñ ko vis’ayoñ se hee duur rakhaa, apane andar buddhi usii ne, sañyam kar ke at’al rakhaa.

Page 13: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

13

2.69 jab saaraa jag so jaataa hee, tab yogii jag jaataa hee,

saaraa jag jab jaag rahaa ho, yogii tab so jaataa hee.

2.70

jeese nadiyaañ mileñ, kintu saagar meñ baar’ha nahiiñ hotii, usii taraha, karmoñ se man kii shaanti nahiiñ vicalit hotii.

2.71 tyaag sabhii icchaaoñ ko, jo aham paar kar jaataa hee,

mukta kaamanaaoñ se hokar sadaa shaanti, sukha paataa hee.

2.72

praapta kare jo brahma cetanaa, sammoha meñ nahiiñ par’ataa, is ko paakar vyakti, añta meñ, paramaanañda praapta karataa.

uupar

Page 14: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

14

adhyaaya-03

karma yog

saaptaahik paat’ha-9/3.01 arjun ne kahaa:

yogeshvar, yadi tum karmoñ se uttam gyaan bataate ho, to mujha ko in bhiis’an’a karmoñ meñ kis liye lagaate ho?

3.02 baat dogalii sii kar tum ne, bar’haa diyaa mere bhram ko,

donoñ meñ kis ko apanaayeñ? saaf bataao tum mujha ko.

3.03 yogeshvar ne kahaa:

he arjun! jag meñ do raahoñ ko is liye banaayaa hee, gyaanii ko to gyaan-maarga, yogii ko karma bataayaa hee.

3.04

keval karma na karane se, kyaa karma-mukta hotaa koii? yaa lekar sanyaas karma se, siddhi praapta karataa koii?

3.05 binaa karma koii bhii praan’ii, rahataa nahiiñ ek pal bhii,

prakriti gun’oñ par ye aadhaarit, karma ruk sake nahiiñ kabhii.

3.06

roke karmendriyaañ, kintu jo rakhe vaasanaayeñ man meñ, muurkha vyakti vaha, bahut bar’aa paakhañd’a bharaa us durjan meñ.

3.07 jo indriyoñ ko vasha meñ kar, un se sab karma karaataa hee,

us ko samajho shres’t’ha, vahii saccaa yogii kahalaataa hee.

3.08

acchaa hee niyamit karmoñ ko karanaa, kucha nahiiñ karane se, tan kii bhii rakshaa na ho sake, koii karma na karane se.

3.09

yagyoñ ke atirikta, karma saare hote bandhanakaarii, niraasakta ho yagya ruup hii, karma karo tum hitakaarii.

3.10 aadi kaal meñ iishvar ne, jab sris’t’i racaaii yagyoñ se,

kahaa, bar’he santaan oor icchaa puurii ho yagyoñ se.

3.11

tum devoñ ko pos’o, ve bhii tum ko pos’eñ yagyoñ se, praapta karo kalyaan’a, pus’t’a hokar, tum donoñ yagyoñ se.

3.12 kar prasanna devoñ ko, praan’ii un se sab kucha paayegaa,

bhoge jo deva ko diye bin, vo to cor kahaayegaa.

Page 15: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

15

3.13 bacaa yagya kaa jo khaate, ve sañta log hote nis’paap,

dus’t’a pakaate heeñ jo apanii k’haatir, un ko lagataa paap.

3.14

annoñ se praan’ii hote, vars’aa se peedaa hotaa anna, yagyoñ se vars’aa hotii, karmoñ se hotaa yagya utpanna.

3.15 akshar se hee janma jagat kaa, jis meñ hote karma sabhii,

brahma sarvavyaapii hee, us ko darshaate heeñ yagya sabhii.

3.16

is sañsaarii cakkar ke anusaar nahiiñ jo calataa hee, dus’t’a-svabhaavii, indri sukhoñ meñ lipta, vyartha hii jiitaa hee.

saaptaahik paat’ha-10/3.17 jo hee aatma-sukhii, santos’ii, aatma-trapti jis ko hotii,

aavashyakataa kabhii karma karane kii use nahiiñ hotii.

3.18 eesii koii vastu na jag meñ, karmoñ se vo praapta kare,

nirbhar rahe oor par, eese jiivan se vaha rahe pare.

3.19

anaasakta ho, isii liye, jo karma yogya hee use karo, eese karmoñ dvaaraa hii tum sarvoccam pad praapta karo.

3.20 janak aadi logoñ ne bhii to siddhi-praapti ke karma kare,

dekha oor logoñ ko bhii yaha aavashyak hee, karma kare.

3.21

jin karmoñ ko gyaanii karate, unheñ oor bhii karate heeñ, mahaan purus’oñ kii dikhalaaii raahoñ par sab calate heeñ.

3.22 ho mujha ko aavashyak, eesaa karma na tiinoñ lokoñ meñ,

sab kucha praapta mujhe, phir bhii meeñ lagaa huaa huuñ karmoñ meñ.

3.23 yadi meeñ nahiiñ lagaauuñ k’hud ko, karmoñ meñ bin aalas ke,

sab apanaayeñ raaha merii, ve beet’he raheñ karma taj ke.

3.24

yadi meeñ karma chor’ duuñ, saare lok nas’t’a ho jaayeñge, bhañga karuuñgaa sabhii vyavasthaa, log bhras’t’a ho jaayeñge.

3.25 jeese agyaanii, hokar aasakta, yahaañ par karma kare,

usii taraha gyaanii, ooroñ ke bhale ke liye karma kare.

3.26

agyaanii ke man ko gyaanii vicalit kabhii nahiiñ karataa, karmaliin ho svayañ, unheñ bhii karane ko prerit karataa.

Page 16: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

16

3.27 saare karma jagat meñ, prakriti gun’oñ par aadhaarit hote,

‘meeñ huuñ karane vaalaa', eesaa keval muurkha log kahate.

3.28

gun’, karmoñ kaa bhed prakriti meñ, jis ne bhii hee jaan liyaa, vis’aya, indri donoñ meñ gun’, yaha niraasakta ho maan liyaa.

3.29 jo aasakta karma meñ, jis ko prakriti gun’oñ kaa gyaan nahiiñ,

us agyaanii ko vicalit karanaa, gyaanii kaa kaam nahiiñ.

3.30

arpit kar karmoñ ko mujha par, apane man ko shuddha karo, icchaaoñ ko, ahañkaar ko, bhaya ko tyaago, yuddha karo.

3.31 hokar duur dves’ se, jo shraddhaa se mujha meñ yukta rahe,

paalan kar meraa upadesh, karma bandhan se mukta rahe.

3.32 jo heeñ bhare dves’ se, meraa gyaan nahiiñ apanaayeñge,

andhakaar meñ phñse muurkha, ve shiighra nas’t’a ho jaayeñge.

3.33

gyaanii, nij svabhaava ke hii anusaar aacaran’a heeñ karate, daman viphal hee, sabhii prakriti ke hii anukuul karma karate.

3.34 sabhii indriyoñ ko vis’ayoñ se raag, dves’ donoñ hote,

ye heeñ shatru, jaan kar bhii phir kyoñ in ke vasha meñ hote?

3.35

apnaa dharma apuurn’a, kintu vaha oor dharma se uttam hee, oor dharma se d’aro, moot paanaa svadharma meñ uttam hee.

saaptaahik paat’ha-11/3.36 arjun ne kahaa: he yogeshvar! kyoñ karataa hee? nahiiñ caahataa jab nar aap,

koon use k’aabuu meñ karataa? koon karaataa us se paap?

3.37 yogeshvar ne kahaa: kaam, krodh, jo peedaa karataa, use rajogun’a hii maano,

kabhii na ho santus’t’a, isii ko paapii oor shatru jaano.

3.38

jeese agni d’hakii dhuuñe se, jhillii se hee garbha d’hakaa, darpan’a d’hakaa meel se, veese gyaan kaam se rahe d’hakaa.

3.39 yaha to shatru gyaaniyoñ kaa, yaha agni samaan atripta rahe,

arjun, ise samajha le, is se vivek sab kaa d’hakaa rahe.

3.40

kaam vaas karataa indriyoñ meñ, cit meñ oor buddhi meñ bhii, yaha d’hak detaa gyaan, vimohit hotaa isa se aatman bhii.

Page 17: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

17

3.41 rok indriyoñ ko pahale, yaha ucit, kaam kaa daman karo,

gyaan oor vigyaan nas’t’a karane vaale ko k’hatma karo.

3.42

tan se uuñcii banii indriyaañ, un se uuñcaa mana hotaa, mana se uuñcii buddhi, buddhi se bhii uuñcaa aatman hotaa.

3.43 pare buddhi ke aatman, is ko jaana, jiita tuu apane ko,

kaam jiitanaa durlabh, shatru bar’aa, kar le vasha meñ is ko. uupar

Page 18: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

18

adhyaaya-04

gyaan yog

saaptaahik paat’ha-12/4.01 yogeshvar ne kahaa:

yog anashvar, yaha meeñne thaa, vivasvaan ko sikhalaayaa, vivasvaan ne manu ko, manu ne ikshavaaku ko batalaayaa.

4.02 yog, raaj-ris’iyoñ ne, paramparaagat aapas meñ siikhaa,

bahut kaal tak lupta ho gayaa, tab yaha yog nahiiñ diikhaa.

4.03

yog puraanaa, jis ke andar param rahasya samaayaa hee, tuu hee meraa bhakta, sakhaa bhii, tujha ko vaha sikhalaayaa hee.

4.04 arjun ne kahaa:

vivasvaan janmaa pahale, vaha tum se pahale aayaa thaa, keese samajhuuñ tumane hii yaha yog use sikhalaayaa thaa?

4.05 yogeshvar ne kahaa: he arjun! ham donoñ peedaa huye anekoñ baar yahiiñ,

meeñ to sabhii jaanataa, lekin tujha ko kucha bhii gyaat nahiiñ.

4.06

meeñ huuñ amar, ajanmaa, sabhii praan’iyoñ kaa meeñ svaamii huuñ, phir bhii hotaa pragat’, prakriti ke niyamoñ kaa anugaamii huuñ.

4.07 he arjun! jab dharma patan se vyaakul yaha sañsaar huaa,

puna: dharma ko sthaapit karane, tab meraa avataar huaa.

4.08

rakshaa karane hetu sajjanoñ kii, meeñ tatpar rahataa huuñ, karuuñ nas’t’a dus’t’oñ ko, is ke liye pragat’ meeñ hotaa huuñ.

4.09

mere divya janma, karmoñ ko, jo bhii vyakti jaan jaaye, janma na le phir is jag meñ, vo mere paas calaa aaye.

4.10 raag, krodh, bhaya se vimukta, jo merii sharan’a pahuñcataa hee,

gyaan, tapasyaa dvaaraa, ho pavitra, mujha meñ aa milataa hee.

4.11

jeese bhii koii aaye, meeñ usii taraha apanaataa huuñ, he arjun! meeñ sab raahoñ se, apane paas bulaataa huuñ.

4.12 prithvii par jo apane karmoñ se phal kii icchaa rakhate,

bali dekar ve, deva gan’oñ se, phal ko shiighra praapta karate.

Page 19: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

19

saaptaahik paat’ha-13/4.13 gun’, karmoñ se niyamit, caar varn’a kii racanaa kii meeñne,

kintu nahiiñ meeñ bañdhaa karma se, caaha na phal kii kii meeñne.

4.14

karma mujhe duus’it na kareñ, phal kii mujha ko kaamanaa nahiiñ, jo yaha jaane, us ko koii karma kabhii baañdhataa nahiiñ.

4.15 aadi kaal meñ moksha praapti ke liye sabhii ne karma kiye,

un kii taraha karma kar tuu bhii, moksha mile, bas isii liye.

4.16

dekha akarma, karma kaa añtar, gyaanii bhii heeñ cakaraaye, meeñ batalaauuñgaa vaha jis se, dos’-mukta tuu ho jaaye.

4.17 karma, akarma, vikarma sabhii kaa, mujha se tuu paayegaa gyaan,

ise samajha arjun, karmoñ meñ añtar hotaa bar’aa mahaan.

4.18 karmoñ meñ jo akarma dekhe, akarma meñ dekhe jo karma,

yog-yukta gyaanii hee, yadyapi karataa hee vaha saare karma.

4.19

jisake saare karma, phaloñ kii icchaa se svatantra rahate, agni pariikshaa kare karma kii, use log pañd’it kahate.

4.20 karma-phaloñ ko tyaage, trapta rahe, na kisii par aashrit ho,

us kaa aatman mukta, bhale hii sadaa karma meñ vaha rat ho.

4.21

aham oor cit jis ke vasha meñ, icchaa koii rahe nahiiñ, tyaag sampadaaoñ ko, tan se karma kare to dos’ nahiiñ.

4.22 santos’ii, dvandva se pare, iirs’yaa na rahe jis ke man meñ,

jiit, haar meñ samaan rahataa, nahiiñ karma ke bandhan meñ.

4.23 jo ho anaasakta, gyaan meñ yukta, sthir man ho jaaye,

karma kare yagya kii taraha, vaha karmoñ se uupar jaaye.

4.24

karma use hee brahma, vastu jo arpit ho vo bhii hee brahma, anubhava kare brahma ko vaha karmoñ meñ, paa letaa hee brahma.

saaptaahik paat’ha-14/4.25 kucha yogii apane devoñ ke liye yagya ko karate heeñ,

anya, yagya ko brahma agni meñ hii arpit kar dete heeñ.

4.26

kucha sañyam se shravan’a aadi sab indri bhasma kar dete heeñ, anya indriyoñ meñ un ke vis’ayoñ kii aahuti dete heeñ.

Page 20: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

20

4.27 kucha karate arpit indriyoñ meñ, praan’-shakti ke karmoñ ko,

aatma-niyantran’a kii jvaalaa meñ, gyaan jalaataa hee jin ko.

4.28

kucha sampati, kucha tap, kucha yogaabhyaas samarpit karate heeñ, kucha man vasha meñ kar, vidyaa yaa gyaan samarpit karate heeñ.

4.29 kucha shvaasoñ ke dvaaraa apane praan’a niyantrit karate heeñ,

paan, apaan vaayu ko ucit maarga meñ arpit karate heeñ.

4.30

kucha niyamit bhojan kii, apane praan’oñ meñ aahuti dete, ve heeñ gyaanii yagyoñ ke, un ke sab paap nas’t’a hote.

4.31 praapta kareñ vo brahma sanaatan, bacaa yagya kaa jo khaayeñ,

yagya binaa to lok oor paralok nahiiñ kucha bhii paayeñ.

4.32 jag meñ yagya bahut se, jin kii raaha brahma ke mukha tak jaan,

ve sab peedaa huye karma se, mukti dilaayegaa yaha gyaan.

saaptaahik paat’ha-15/4.33

gyaanamayii yagyoñ ko bhootik yagyoñ se uttam paate, sabhii karma, añta meñ, gyaan meñ mil kar viliin ho jaate.

4.34 aadar, vinaya, prashna, sevaa ke dvaaraa praapta karo vaha gyaan,

gyaanii, bar’aa daarshanik hii batalaayegaa yaha uuñcaa gyaan.

4.35

kabhii bhraanti meñ nahiiñ par’e, yaha gyaan agar tuu paa jaaye, sab sattaa paaye aatman meñ, taba mere andar paaye.

4.36 paapii keesaa bhii tuu hove, anya paapiyoñ se bar’hakar,

pahuñcegaa us paar, gyaan kii neeyaa ke uupar car’hakar.

4.37 jeese agni jalaakar sab iiñdhan ko raakha banaatii hee,

agni gyaan kii, veese hii, karmoñ ko k’haak’a banaatii hee.

4.38

prithvii par gyaan ke baraabar koii oor na pavitrataa, paaye jo puurn’ataa yog se, us ko gyaan aap milataa.

4.39 shraddhaavaan, jiit indriyoñ ko, gyaan praapta kar letaa hee,

gyaan praapta kar shiighra, shaanti sarvocca praapta kar letaa hee.

4.40

jo agyaanii, shraddhaahiin, shakii, vaha ho jaataa hee nas’t’a, lok oor parlok sab jagaha, vaha keval paataa hee kas’t’a,

Page 21: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

21

4.41 sañshaya ko gyaan se mit’aa, jis ne karmoñ kaa tyaag kiyaa,

yog-liin ho, aatma-niyantran’a kar, apane ko mukta kiyaa.

4.42

apane man ke sañdehoñ par, calaa gyaan ruupii talavaar, gyaan-yog se, he arjun! ho jaayegaa un kaa sañhaar.

uupar

Page 22: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

22

adhyaaya-05

karma sanyaas yog

saaptaahik paat’ha-16/5.01 arjun ne kahaa:

kabhii prashañsaa karma tyaag kii, karma yog kii kabhii karo, yogeshvar, batalaao, in meñ koon ucit hee? kise karo?

5.02 yogeshvar ne kahaa: karma tyaag yaa karma yog, donoñ hii mukti dilaate heeñ,

karma yog lekin uttam, eesaa gyaanii batalaate heeñ.

5.03

sanyaasii hee vahii, kaamanaa oor dves’ se mukta rahe, hokar mukta sabhii dvandvoñ se, bandhan se bhii mukta rahe.

5.04

añtar saañkhya va karma yog meñ, agyaanii batalaate heeñ, kisii ek par calane vaale, donoñ kaa phal paate heeñ.

5.05 saañkhya yog se jo phal paate, karma yog se bhii paate,

sahii gyaan un ko, jo ek maarga donoñ ko batalaate.

5.06

he arjun! yaha bahut kat’hin hee, binaa yog sanyaas mile, jo nis’t’haa se lage yog meñ, brahma usii ko yahaañ mile.

5.07 yog yukta, man nirmal, aatma niyantrit, jiite indriyoñ ko,

sab meñ apanii aatmaa dekhe, paar kare vaha karmoñ ko.

5.08

hokar liin brahma meñ jo jaanataa, tatva heeñ kyaa gahare, sab indriyoñ se karma kare, par jaane us ne kucha na kare.

5.09

chuute, khaate, aañkha kholate, saañs chor’ate yaa lete, samajhe keval indriyoñ se hii, saare vis’aya lage hote.

5.10 niraasakta ho, arpit kare brahma ko apane karma sabhii,

jeese jal na lage pañkaj ko, paap use naa lage kabhii.

5.11

yogii karma kare bin caahat, karane pavitra aatman ko, tan, cit, buddhi, indriyoñ dvaaraa, sadaa karaaye karmoñ ko.

5.12 karma-phaloñ ko tyaag, yog meñ liin, shaanti ko paataa hee,

rakhe kaamanaa karma-phaloñ kii, bandhan meñ par’ jaataa hee.

Page 23: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

23

5.13 tyaag karma-phal, man ko jiite, aatman kucha na karaataa hee,

noo dvaaroñ ke shres’t’ha dhaam meñ, aaraam sukhad paataa hee.

5.14

paramaatmaa na karaaye karma, karma-phal se vaha alag rahe, praan’ii svabhaava ke kaaran’a hii, karma-phaloñ meñ lagaa rahe.

5.15 iishvar anaasakta donoñ se, paap na le vo punya na le,

d’hak de jab agyaan gyaan ko, sammohit ho man d’ole.

saaptaahik paat’ha-17/5.16

gyaan praapta kar koii jab agyaan nas’t’a kar detaa hee, us ke man ko gyaan, suurya kii taraha prakaashit karataa hee.

5.17 bhakti, vicaar, cetanaa dvaaraa, jo parmaatmaa paa jaate,

vaapis nahiiñ loot’ate, un ke paap gyaan se dhul jaate.

5.18 vinayashiil vidyaa se jab pak jaataa hee pañd’it kaa gyaan,

braahman’, gau, haathii, kuttaa, caañd’aal diikhate ek samaan.

5.19

saamya avasthaa paakar jab prithvii par sab ko jiit liyaa, paramaatmaa nirdos’, saamya hee, us kaa hii anukaran’a kiyaa.

5.20 sukhii na ho acchii ciizoñ se, burii ciiz se dukhii na ho,

at’ala-buddhi, moha-rahit, gyaanii, use brahma meñ liin kaho.

5.21

paataa aatmaanand vahii, jo baahya vis’aya se rahe pare, jo hee liin brahma meñ, vaha anupam sukha kaa upabhog kare.

5.22 indri-bhog se milate jo sukha, janma dukhoñ ko heeñ dete,

un kaa hee aarambha, añta bhii, gyaanii unheñ nahiiñ lete.

5.23 kaam, krodha donoñ ko roke, jo karane se pahale hii,

vaha nar hee saccaa yogii, sukha se rahataa hee yahaañ vahii.

5.24

jo apane andar hii sukha, aananda, jyoti ko paataa hee, milataa hee nirvaan’a use, vaha brahma ruup ho jaataa hee.

5.25 jo pavitra, nis’paap, dveet ke sañshaya jin ke duur huye,

anushaasit, paropakaarii, ve param brahma meñ liin huye.

5.26

kaam, krodha se mukta hue jo, man apane vasha meñ jin kaa, param gyaan jin ko hee, hotaa hee nirvaan’a yahaañ un kaa.

Page 24: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

24

5.27 lagaa dris’t’i ko biic bhrikut’i ke, sabhii vis’aya kaa tyaag kare,

paan, apaan vaayu kaa saañsoñ se niyamit sañcaar kare.

5.28

vasha meñ kar indriyaañ, buddhi, cit, moksha-praapti ko tatpar ho, kaam, krodh, bhaya, se uupar, us ko sadeeva hii mukta kaho.

5.29 meeñ sab yagya, tapoñ kaa bhogii, lokoñ par shaasan karataa,

sab kaa mitra, ise jo jaane, nishcaya shaanti praapta karataa. uupar

Page 25: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

25

adhyaaya-06

dhyaan yog

saaptaahik paat’ha-18/6.01 yogeshvar ne kahaa:

karma kare phal kii icchaa taj, yogii ho yaa sanyaasii, yagya kuñd’a bas nahiiñ jalaaye, nahiiñ bane vo sanyaasii.

6.02 jis ko sanyaasii kahate heeñ, us ko hii kahate yogii,

sañkalpoñ ke tyaag binaa, koii bhii nahiiñ bane yogii.

6.03

jo caahe yog tak pahuñcanaa, karma use saadhan banataa, yog praapta ho jaane par hii, sham us kaa saadhan banataa.

6.04

jab vis’ayoñ yaa karmoñ meñ, aasakti nahiiñ raha jaatii hee, tyaag kare sañkalpoñ kaa, tab yog praapti ho jaatii hee.

6.05 apane aap ut’haaye apane ko, na kabhii deve girane,

aatman apanaa mitra bane, aatman hii apanaa shatru bane.

6.06

jis ne ahañkaar ko jiitaa, aatman us kaa mitra bane, jo na jiit paaye apane ko, us kaa aatman shatru bane.

6.07 ahañkaar jo jiita, shaanti ko paaye, aatma-gyaan paaye,

sukha-dukha, sardii-garmii, maan-apamaan, inheñ samaan paaye.

6.08

indriyaañ jiite, sudrir’ha rahe, jis meñ heeñ gyaan oor vigyaan, yog-yukta vaha, jis ko mit’t’ii, patthar, sonaa ek samaan.

6.09

mitra, shatru, nis’pakshii, tat’astha, udaar-hridayii, abhimaanii, paapii, bandhu, sañta, sab se, samataa kaa bhaava rakhe gyaanii.

6.10 aatma-niyantran’a kare, rahe ekaakii, ho icchaa se mukta,

parigraha kii kaamanaa na ho, man bhii paramaatmaa meñ ho yukta.

6.11

svaccha bhuumi jo uuñcii-niicii na ho, vahaañ aasan rakhakar, kushaa ghaas, mrigachaal oor ho vastra saaf us ke uupar.

6.12 citta, indriyaañ vasha meñ kar, beet’he, man ko ekaagra kare,

aatma-shuddhi ke liye vahaañ, yogii apanaa abhyaas kare.

Page 26: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

26

6.13 shariir, sir, gardan ko sthir kar ke vaha beet’he siidhaa ho,

oor kahiiñ bhii dekhe nahiiñ, dris’t’i naasaagra par lagii ho.

6.14

prashaanta man vaalaa, nirbhaya, brahmacarya kaa paalan karataa, man ko merii or mor’akar beet’h, dhyaan mujha par karataa.

6.15 vaha yogii, jis kaa man vasha meñ, sadaa yog meñ hii lag kar,

praapta kare nirvaan’, shaanti, jo vidyamaan mere andar.

6.16

us ko yog nahiiñ, jo khaataa zyaadaa yaa kam khaataa hee, nahiiñ use bhii, jo sotaa hee bahut, yaa na so paataa hee.

6.17 yogii niyamit karma kare, aahaar, vihaar kare parimit,

us meñ anushaasan dukha-naashii, niiñd, jaaganaa heeñ niyamit.

6.18 citta, laalasaa se hat’akar, aatman meñ sthit ho jaataa hee,

sam-svarataa ko praapta huaa, vaha yogaliin kahalaataa hee.

saaptaahik paat’ha-19/6.19

yogii kaa cit jeese diipak jalataa vaayuhiin sthal par, aatman se vaha mel karaaye, pahale mati ko vasha meñ kar.

6.20 mati vasha meñ hone se, cañcal citta shaanta ho jaataa hee,

cetanataa aatman meñ paakar, aananda param paataa hee.

6.21

sukha jo pare indri-sukha ke, vaha buddhi lagaakar hee paataa, usako paa, bhootik tatvoñ se vicalit kabhii nahiiñ hotaa.

6.22 jise praapta kar samajhe, is se bar’ii praapti hee kahiiñ nahiiñ,

eesii sthit meñ, bahut bar’e dukha se bhii vicalita ho na kahiiñ.

6.23 vahii yog kii punya sthiti, jis kaa na kabhii dukha se sañyog,

at’al buddhi, drir’ha nishcaya, abhyaasoñ dvaaraa paate vaha yog.

6.24

sañkalpoñ se upajii, sabhii kaamanaaoñ ko jo chor’e, sabhii or se, indriyoñ ko, mati dvaaraa vasha meñ kar, mor’e.

6.25 buddhi lagaakar drir’hataa se, man ko aatman meñ liin kare,

dhiire-dhiire shaanti praapta kar, oor na koii dhyaan kare.

6.26

hokar cañcal oor vikal, jab yaha man duur bhaag jaaye, use niyañtrit kar, aatman ke andar, phir vaapis laaye.

Page 27: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

27

6.27 sarvottam sukha praapta kare, vo yogii jis kaa man ho shaanta,

vo nis’paap, brahma tak pahuñcaa, huaa rajogun’a jis kaa shaanta.

6.28

ho paapoñ se mukta, yog meñ aatman sadaa lagaataa hee, aasaanii se brahma sparsha kar, shiighra param sukha paataa hee.

6.29 aatman meñ dekhe sab praan’ii, sabhii praan’iyoñ meñ aatman,

samadarshii vaha yogii, nishpakshii hotaa hee us kaa man.

6.30

jo mere andar sab dekhe, sab meñ dekhe bas mujha ko, duur nahiiñ rahataa vaha mujha se, nahiiñ bhuulataa meeñ us ko.

6.31 meeñ huuñ sabhii praan’iyoñ meñ, jab yogii mujha ko bhajataa hee,

keesii bhii haalat meñ ho, vaha mujha meñ nivaas karataa hee.

6.32 he arjun! jo samadarshii, sab ko apane samaan paataa,

khud caahe sukha meñ yaa dukha meñ ho, vaha yogii kahalaataa.

6.33 arjun ne kahaa:

he yogeshvar! tum ne jo samataa kaa yog bataayaa hee, man kii cañcalataa se us kaa aadhaar nahiiñ paayaa hee.

6.34 cañcal, pracañd’a, balashaalii man, sadaa caahataa hat’ha karanaa,

us par k’aabuu kat’hin, jis taraha kat’hin havaa vasha meñ karanaa.

6.35 yogeshvar ne kahaa:

ni:sandeha kat’hin hee, cañcal man ko k’aabuu meñ karanaa, par, veeraagya oor abhyaasoñ se sambhava vasha meñ karanaa.

6.36 yog-praapti hee kat’hin use, jo man par k’aabuu nahiiñ kare,

jo sañyamii, aatma-bal rakkhe, vahii yog ko praapta kare.

saaptaahik paat’ha-20/6.37 arjun ne kahaa: shraddhaa hote bhii man ko yadi apane vasha meñ nahiiñ kare,

kyaa hotaa us kaa jo praan’ii siddhi ko nahiiñ praapta kare?

6.38

brahma praapti se pahale hii jo, d’agamag hokar bhras’t’a huaa, kyaa vaha phat’e baadaloñ jeesaa, kucha na praapta kar, nas’t’a huaa?

6.39 puurii taraha mit’aa de ab, he yogeshvar! meraa sañshaya,

tere sivaa nahiiñ koii jo duur kar sake yaha sañshaya.

6.40 yogeshvar ne kahaa:

arjun, is jag meñ yaa oor lok meñ us kaa naasha na ho, bhalaa kaam jo karataa praan’ii, us kii durgati kabhii na ho.

Page 28: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

28

6.41 yog maarg meñ asaphal ho, vaha punya-lok ko jaataa hee,

puna: pavitra, samriddha vyakti ke ghar meñ janmaa jaataa hee.

6.42

yaa vaha buddhimaan yogii ke kul meñ le sakataa hee janma, kintu is jagat meñ, ati durlabha hotaa is prakaar kaa janma.

6.43 vahaañ praata karataa un sañskaaroñ ko, jo pahale vikase,

yatna kare un ke bar’hane kaa, hoñ sampuurn’a yahaañ phir se.

6.44

huaa vivasha saa pichale abhyaasoñ se, unnati praapta kare, jigyaasu, yoga dvaaraa, shaastra bandhnoñ ko bhii paar kare.

6.45 paapoñ se ho mukta, kaii janmoñ meñ nij ko puurn’a kare,

praapta kare sarvocca lakshya, yadi lagan lagaakar yatna kare.

6.46 tapasviyoñ se bar’hakar yogii, gyaanii se bar’hakar yogii,

karma-kaañd’iyoñ se bar’hakar vaha, arjun, tuu ban jaa yogii.

6.47

sabhii yogiyoñ meñ us yogii ko hii shres’t’ha meeñ samajhataa, jo shraddhaa se apane man ko mujha meñ lagaa, mujhe bhajataa.

uupar

Page 29: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

29

adhyaaya-07

gyaan vigyaan yog

saaptaahik paat’ha-21/7.01 yogeshvar ne kahaa:

man ko mujha meñ lagaa, yoga meñ liin, mujhe hii aashraya maan, keese puurii taraha mujhe jaanegaa, arjun, ab yaha jaan.

7.02 puurii taraha bataauuñgaa meeñ tujha ko, gyaan oor vigyaan,

kucha bhii shes’ nahiiñ raha jaayegaa, jab legaa is ko jaan.

7.03

ek, hazaaroñ meñ, mujha ko paane kaa yahaañ yatna karataa, un meñ se viralaa hii meraa saccaa ruup praapta karataa.

7.04

prithvii, jal, agni, vaayu, aakaash, buddhi, cit oor ahañkaar, aat’ha tatva ye prakriti meñ nihit, jin se nirmit hee sañsaar.

7.05 yaha merii hee nimna prakriti, batalaauuñ ucca prakriti ko bhii,

cetan jiiva ruup, jis par aadhaarit hee yaha vishva sabhii.

7.06

yaha bhii samajh, sabhii praan’ii donoñ se peedaa hote heeñ, meeñ hii un ko detaa janma, mere kaaran’a hii marate heeñ.

7.07 mujha se alag vastueñ, arjun, yahaañ nahiiñ koii hotiiñ,

sab mujha meñ, jeese man’iyaañ dhaage meñ guñthii huii hotiiñ.

7.08

arjun, meeñ huuñ jal meñ svaad, caañd, suuraj meñ prakaasha huuñ, meeñ vedoñ meñ om, shabda nabha meñ, purus’oñ meñ poorus’ huuñ.

7.09

camak agni kii huuñ meeñ, vishuddha sugandha huuñ meeñ prithvii meñ, sabhii praan’iyoñ meñ jiivan huuñ, tap huuñ bar’e tapasvii meñ.

7.10 saarii vidyamaan ciizoñ kaa, biij sanaatan mujha ko maan,

buddhimaan kii buddhi, tej tejasvii kaa, mujha ko hii jaan.

7.11

icchaa oor kaam ke tyaagii, balavaanoñ kaa bal huuñ meeñ, sabhii praan’iyoñ ke andar, dharmaanukuul caahat huuñ meeñ.

saaptaahik paat’ha-22/7.12 gun’a saatvik, raajasik, taamasik, tiinoñ janme heeñ mujha se,

ve mujha se, meeñ un se nahiiñ, bhalii prakaar jaan le ise.

Page 30: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

30

7.13 prakriti gun’oñ se bhram meñ par’, jag mujhe nahiiñ pahacaan sake,

meeñ sab se uupar avinaashii huuñ, is ko naa jaan sake.

7.14

tiin gun’oñ kii maayaa ko jiitanaa, bahut mushkil hotaa, jo mujha ko bhajate, maayaa se bacanaa unheñ saral hotaa.

7.15 bure kaam karane vaale jo muurkha, adham, bharamaate heeñ,

ve svabhaava se raakshas, merii sharan’a meñ nahiiñ aate heeñ.

7.16

he arjun! merii puujaa karate heeñ caar taraha ke log, dukha meñ phñse, satya ke premii, dhan ke icchuk, gyaanii log.

7.17 in meñ gyaanii shres’t’ha, brahma meñ liin, dhyaan meñ vjo hotaa,

meeñ us kaa priya huuñ, vaha bhii mujha ko ati priya sadeeva hotaa.

7.18 yuuñ to sab acche, par gyaanii sarvashres’t’ha, meeñ bhii vo huuñ,

puurii taraha yog meñ lag, us kaa jo lakshya, vahii meeñ huuñ.

7.19

baad bahut se janmoñ ke, gyaanii samajhe, sab iishvar hee, meeñ hotaa huuñ praapta use, par eesaa gyaanii durlabha hee.

saaptaahik paat’ha-23/7.20 jin kii mati ho gaii vikrit, man kii icchaaoñ par cal kar,

jaate anya devataaoñ ko, apane svabhaava ke bal par.

7.21

kisii ruup meñ puuje koii bhakta mujhe, kar ke shraddhaa. usii ruup meñ sudrir’ha banaa detaa huuñ meeñ us kii shraddhaa.

7.22 puujaa kare kisii kii bhii, par ho puurii shraddhaa usameñ,

vaañchit phal mil jaataa hee, vaha phal us ko detaa huuñ meeñ.

7.23 alpa buddhi ke log, yahaañ keval asthaaii phal paate,

milate deva, deva puujaa se, mere bhakta mujhe paate.

7.24

agyaanii, jo mere asalii svabhaava ko jaanate nahiiñ, vyakta maanate, meeñ avyakta huuñ, ucca gyaan jaanate nahiiñ.

7.25 d’hakaa yog maayaa se, sammukha aataa huuñ meeñ kabhii nahiiñ,

muurkha na jaane, janma oor parivartan se meeñ bañdhaa nahiiñ.

7.26

jo atiit meñ huye, is samaya heeñ, bhavis’ya meñ jo hoñge, arjun, meeñ un sab ko jaanuuñ, mujhe nahiiñ ve jaaneñge.

Page 31: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

31

7.27 sab praan’ii icchaa se oor dves’ se peedaa hote heeñ,

kintu dvandva ke cakkar meñ par’, bhram meñ khoye hote heeñ.

7.28

par ve punyaatmaa praan’ii, sab nas’t’a ho gaye jin ke paap, mukta dveet se, hokar sthir, merii puujaa karate heeñ aap.

7.29 jaraa, maran’a se mukti praapta karane jo sharan’a merii aaye,

aatman, brahma, karma, in sab kii puurii baat jaan jaaye.

7.30

meeñ huuñ ananya, meeñ hii shaasak, prithvii, deva, yagya kaa huuñ, jo yaha jaane use maran’a par divya cetanaa detaa huuñ.

uupar

Page 32: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

32

adhyaaya-08

akshar brahma yog

saaptaahik paat’ha-24/8.01 arjun ne kahaa:

he yogeshvar! aatman kyaa hee? kyaa hee brahma? karma hee kyaa? kyaa tatvoñ kaa kshetra jagat meñ? kshetra devataaoñ kaa kyaa?

8.02 yahaañ koon saa yagya shres’t’ha hee, us ko keese pahacaaneñ?

vasha meñ kar apane ko, marate samaya tujhe keese jaaneñ?

8.03 yogeshvar ne kahaa:

brahma anashvar sarvopari hee, svabhaava aatman ko maano, kaaran’a sab kaa jo srajanaatmak shakti, karma us ko jaano.

8.04

kshar kaa hee aadhaar prakriti, hee purus’ amarataa kaa aadhaar, he arjun! meeñ hii shariir meñ sab yagyoñ kaa huuñ aadhaar.

8.05 mrityu samaya koii, mujha meñ hii dhyaan lagaa, tan tyaag kare,

kucha bhii sañshaya nahiiñ ki vo merii hii sthiti ko praapta kare.

8.06

karataa huaa dhyaan jis kaa, apane shariir kaa tyaag kare, lagaa rahe vaha usii dhyaan meñ, usii dashaa ko praapta kare.

8.07 isii liye, tuu mujhe yaad kar sadaa, oor kar yuddha yahaañ,

mujha meñ lagaa buddhi, cit apane, praapta karegaa mujhe yahaañ.

8.08

lagaa yog meñ buddhi, koii bhii, param purus’ kaa dhyaan kare, bhat’ake nahiiñ citta us kaa, vaha divya purus’ ko praapta kare.

8.09

jo shaasak, pos’ak, sab kaa gyaataa, anaadi, an’uoñ meñ hee, us kaa ruup acintaniiya, tam naashak, vaha kiran’oñ meñ hee.

8.10 bhakti yog se praan’a shakti ko, kendrit bhooñ ke biic kare,

eesaa kar, vaha mrityu samaya, us divya purus’ ko praapta kare.

saaptaahik paat’ha-25/8.11

ab sun varn’an akshar kaa, sañyamii jahaañ pravesha karate, kar jis kii kaamanaa, brahmacaarii aacaran’a shuddha karate.

8.12 man apanaa drir’ha kar, sañyamit kare jo tan ke dvaaroñ ko;

ho kar liin yog meñ, praan’-maarga meñ roke saañsoñ ko;

Page 33: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

33

8.13 muñha se nikale shabda ‘om’, yadi karataa yaad rahe mujha ko,

tyaage tan, chor’e jag ko, vaha paaye divya cetanaa ko.

8.14

anya kisii kaa dhyaan na kar, meraa sadeeva hii dhyaan kare, vaha anushaasit yogii, mujha ko aasaanii se praapta kare.

8.15 mujha tak pahuñc, mahaan aatmaayeñ, siddhi praapta heeñ kar letiiñ,

jag, dukha kaa ghar hee asthaaii, is meñ janma nahiiñ letiiñ.

8.16

brahmalok se niice sab lokoñ se punarjanma hotaa, kar le praapta mujhe koii, tab us kaa janma nahiiñ hotaa.

8.17 brahmmaa kaa din hazaar yug kaa, hazaar yug kii hotii raat,

jis ne jaan liyaa yaha, us ko raatri, divas heeñ puure gyaat.

8.18 din aane par, avyakta sab vastueñ pragat’ ho jaatii heeñ,

hotii raat, kahiiñ avyaktataa meñ viliin ho jaatii heeñ.

8.19

haal buraa astitvamaan ciizoñ kaa bebas hii hotaa, hotaa ruup viliin raatri meñ, din meñ puna: pragat’ hotaa.

8.20 eesii sthiti se pare, anya avyakta sanaatan hee astitva,

mit’atii astitvamaan ciizeñ, par rahataa us kaa astitva.

8.21

vahii avyakta anashvar bhii, sarvocca sthiti us ko kahate, jahaañ pahuñcakar nahiiñ loot’ate, meraa param dhaam kahate.

8.22 jis se yaha sañsaar racit, jis meñ sab bhuut nivaas kareñ,

he arjun! us param purus’ ko, at’al bhakti se praapta kareñ.

8.23 ab vaha samaya bataataa huuñ, sañsaar chor’ jab jaate heeñ,

yaa to jag meñ nahiiñ loot’ate, yaa phir vaapis aate heeñ.

8.24

shukla paksha, ujiyaalaa, divas, agni, cha: maas uttaraayan’a ke, in meñ jag tyaage koii to pahuñce nikat’ param brahma ke.

8.25 kris’n’a paksha, añdhakaar, raatri, dhuaañ, cha: maas dakshin’aayan ke,

aa jaate heeñ loot’ yahiiñ par, in meñ candra jyoti paa ke.

8.26

jyoti oor andhakaar ke, do shaashvat maarga kahe jaate, pahuñc jyoti tak, nahiiñ loot’ate, loot’ ñdhere se aate.

Page 34: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

34

8.27 us ne duur kiyaa apanaa bhram, jis ne sahii maarg jaanaa,

arjun, tere liye ucit hee, yog maarga meñ jut’ jaanaa.

8.28

vedoñ ke adhyayan, daan, tap, punya, yagya ke saare phal, lagate heeñ chot’e us yogii ko, jo pahuñce brahma sthal.

uupar

Page 35: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

35

adhyaaya-09

raaj vidyaa raaj guhya yog

saaptaahik paat’ha-26/9.01 yogeshvar ne kahaa:

arjun, tuu iirs’yaa se rahit, samajha le gopaniiya yaha gyaan, mukta buraaii se hogaa, jab legaa is vidyaa ko jaan.

9.02 yaha vidyaa sab se pavitra, yaha param gyaan anubhava se ho,

yaha dharmaanukuul, is kaa abhyaas saral, yaha nas’t’a na ho.

9.03

arjun, jo dharmaanusaar shraddhaa na kabhii kar paate heeñ, mujhe na kar ke praapta, loot’akar mratyu-lok meñ aate heeñ.

9.04

meeñ huuñ nirgun’, lekin, meeñ huuñ vyaapta yahaañ saare jag meñ, sab mujha par aadhaarit, lekin meeñ na dikhaaii duuñ un meñ.

9.05 yaha rahasya tuu samajha, kahiiñ jiivoñ meñ meraa vaas nahiiñ,

sab ko sañbhaalatii hee merii aatmaa, rahatii vahaañ nahiiñ.

9.06

jeese nabha meñ sadeeva calatii, vaayu pracañd’a oor gatimaan, usii taraha sab vastu kareñ mujha meñ vicaran’, tuu is ko jaan.

9.07 huaa kalpa kaa añta, prakriti meñ sab vastueñ samaatii heeñ,

vo merii hii prakriti, kalpa meñ phir vaapis aa jaatii heeñ.

9.08

vastu nirañtar peedaa karataa, sadaa prakriti ko kar vasha meñ, bebas heeñ sab peedaa hokar, sabhii prakriti ke bañdhan meñ.

9.09

kabhii na baañdhe mujhako, koii karma kisii bhii bañdhan meñ, anaasakta oor udaasiin, karmoñ ke andar rahataa meeñ.

9.10 he arjun! merii hii dekha-rekha meñ jaan is prakriti ko,

jis se sañsaara-cakra ghuume, milataa janma caraacar ko.

9.11

muurkha log, maanava shariir dhar, avahelanaa kareñ merii, jaaneñ nahiiñ ruup svaamii kaa, ucca prakriti jo hee merii.

9.12 ve asuroñ kaa oor raakshasoñ kaa svabhaava le yahaañ raheñ,

aashaa, karma, gyaan heeñ viphal, binaa vivek ve sadaa raheñ.

Page 36: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

36

9.13 arjun, mahaan aatmaa vaale, divya prakriti meñ jo rahate,

mujhe anashvar, sab kaa muul maan, merii puujaa karate.

9.14

nat hokar mere aage, meraa gun’agaan sadaa karate, hokar sthir ve bhakti bhaava se, merii hii puujaa karate.

9.15 anya log gyaan-yagya dvaaraa merii upaasanaa karate,

ek ruupa yaa anek ruupoñ vaalaa jaan mujhe bhajate.

saaptaahik paat’ha-27/9.16

karma-kaañd’a huuñ meeñ, pitaroñ kaa piñd’a daan huuñ, yagya huuñ meeñ, oos’adhi, mantra oor ghii huuñ meeñ, agni tathaa aahuti huuñ meeñ.

9.17 maataa, pitaa, pitaamaha, dhaataa, punya, gyaan kaa lakshya huuñ meeñ,

saamaved, rigved, yajurved oor ‘om’ kii dhvani huuñ meeñ.

9.18 pos’ak, mitra, nivaas, sharan’, svaamii, saakshii, uddeshya huuñ meeñ,

sarvanaash, bhañd’aar, sthal, utpatti, anashvar biij huuñ meeñ.

9.19

meeñ tapataa, meeñ vars’aa karataa, mrityu, amarataa detaa meeñ, arjun, meeñ huuñ satya oor us ke hii saatha asatya huuñ meeñ.

9.20 paap-mukta, vedoñ ke gyaanii, som paan kar yagya kareñ,

svarga lok meñ pahuñc, vahaañ devoñ ke sab sukha praapta kareñ.

9.21

svarga lok se vaapis, phir ve mrityulok meñ aa jaate, ved-dharma kaa paalan kar, sukha-icchaa se aate, jaate.

9.22 jo adhyavasaayii hokar, cintan karate heeñ meraa hii,

un ke yog oor hit donoñ ko, sñbhaalataa huuñ, meeñ hii.

9.23 shraddhaa se jo anya devataaoñ kii puujaa karate heeñ,

yadyapi puurn’a nahiiñ, phir bhii ve merii puujaa karate heeñ.

9.24

meeñ sab yagyoñ kaa upabhogii, meeñ sab kaa paalan karataa, meraa asalii ruup na jaane, vaha sadeeva niice girataa.

9.25 puujeñ deva, deva paayeñ, pitaroñ ko puuj, pitar paayeñ,

bhuut puuj kar bhuut mileñ, mujha ko puujeñ, mujha ko paayeñ.

9.26

pattii, paanii, pus’pa oor phal, mujha ko de shraddhaa ke saath, nirmal man se dii bheñt’eñ, meeñ letaa sabhii prem ke saath.

Page 37: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

37

9.27 arjun, tuu jo karataa, khaataa, oor yagya jo tuu karataa,

samajha mujhe upahaar sabhii kuch, daan oor tap jo karataa.

9.28

shubha yaa ashubha karma ke sabhii phaloñ se ho jaayegaa mukta, mujhe praapta kar, tyaag maarga dvaaraa, hogaa bañdhan se mukta.

9.29 mujha ko sabhii samaan, kisii se beer, lagaava nahiiñ mujha meñ,

bhakti bhaava se puujaa karate, meeñ un meñ huuñ, ve mujha meñ.

9.30

bar’aa duraacaarii, yadi tyaage paap oor mujha ko bhaj le, samajho us ko dharmaatmaa, jo yaha acchaa nishcaya kar le.

9.31 shaanti cirasthaaii milatii hee, punyaatmaa ban jaataa hee,

he arjun! yaha satya, bhakta meraa na nas’t’a ho paataa hee.

9.32 oorat, veeshya, shuudra ho, caahe niice kul meñ janma liyaa,

aakar merii sharan’a sabhii ne, lakshya uccatam praapta kiyaa.

9.33

phir pavitra braahman’oñ, raaj-ris’iyoñ kaa to hee kyaa kahanaa, asthaaii, dukha bhare jagat meñ, dharma, merii puujaa karanaa.

9.34 yagya karo mere hii liye, bhajo apane man meñ mujha ko,

aao merii sharan’, yukta ho mujha meñ, praapta karo mujha ko. uupar

Page 38: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

38

adhyaaya-10

vibhuuti yog

saaptaahik paat’ha-28/10.01 yogeshvar ne kahaa:

he arjun! ab mere sab se uuñce vacanoñ ko sun tuu, tujhe bataataa huuñ meeñ vaha, jis se aanand param le tuu.

10.02 meraa muul jaanane meñ ris’i oor deva bhii karate bhuul,

sab prakaar se meeñ hii saare ris’iyoñ, devoñ kaa huuñ muul.

10.03

mujhe ajanmaa, anaadi, sab kaa svaamii, jis ne jaan liyaa, mrityu lok meñ bhram se, paapoñ se, apane ko mukta kiyaa.

10.04

buddhi, kshamaa, sañmoha-tyaag, indri-niyañtran’, gyaan, satyataa, sukha-dukha, anastitva, astitva, aatma-sañyam, bhya, nirbhayataa;

10.05 yash, apayash, sañtus’t’i, ahiñsaa, tap, samataa, daanaviirataa,

ye sab dashaa praan’iyoñ kii heeñ, jin ko meeñ peedaa karataa.

10.06

saatoñ ris’i, caaroñ manu, sab mujha se hii hote heeñ peedaa, ve sab merii prakriti se bane, un se sab praan’ii peedaa.

10.07 tatva ruup meñ merii shakti oor yasha ko jo jaan gayaa,

is meñ sañshaya nahiiñ, yog se us ne mujha ko praapta kiyaa.

10.08

meeñ sab kaa utpatti sthal huuñ, mujha se sris’t’i cale saarii, gyaanii is ko jaan, rakheñ vishvaas, kareñ puujaa merii.

10.09

jiivan mujha par arpit kar, jo buddhi lagaate heeñ mujha meñ, merii carcaa kar aapas meñ, aanañda praapta kareñ mujha meñ.

10.10 kareñ nirañtar bhakti merii, prem se kareñ puujaa merii,

unheñ buddhi ekaagra mile, un ko ho sharan’a praapta merii.

10.11

dayaa dikhaataa sab par, apane asal ruup meñ rahataa huuñ, gyaan diip se un ke man ke añdhakaar ko harataa huuñ.

saaptaahik paat’ha-29/10.12 arjun ne kahaa: param brahma tuu, param dhaam tuu, paavan tuu, parameshvar tuu,

tuu hee pratham devataa, tuu hee ajanma, sarvavyaapta hee tuu.

Page 39: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

39

10.13 naarad, asit, vyaas, deval ne eesaa hii batalaayaa hee,

sab ris’iyoñ ne yahii kahaa, ab tuu ne yahii bataayaa hee.

10.14

yogeshvar, meeñ satya maanataa, jo kucha bhii tuu kahataa hee, teraa ruup, devataa, raakshas, koii nahiiñ jaanataa hee.

10.15 puruus’ottam, sab kaa svaamii, devataa sabhii devoñ kaa tuu,

jagat pitaa, muul tuu sabhii kaa, sab kucha aap jaanataa tuu.

10.16

apane sabhii divya ruupoñ ko ab tuu batalaa de mujha ko, jin ke dvaaraa sab lokoñ meñ vyaapta huaa samajhuuñ tujha ko.

10.17 keese, nit cintan kar ke, paauuñ meeñ teraa puuraa gyaan,

kin vibhinna ruupoñ meñ, he yogeshvar! ho terii pahacaan.

10.18 kris’n’a, bataa tuu apanii shakti, vibhuuti, sabhii varn’an kar ke,

nahii aghaataa huuñ meeñ amrit jeese vacanoñ ko sun ke.

saaptaahik paat’ha-30/10.19 yogeshvar ne kahaa:

he arjun! meeñ tujha ko apanii divya vibhuuti bataauuñgaa, añta nahiiñ us kaa, meeñ keval añsha maatra batalaauuñgaa.

10.20 sabhii praan’iyoñ ke hridayoñ meñ basii huii aatmaa huuñ meeñ,

sabhii vastuoñ kaa praarambha, madhya bhii oor añta bhii meeñ.

10.21

aadityoñ meñ vis’n’u, prakaashoñ meñ jyotirmaya suurya huuñ meeñ, marutoñ meñ mariici huuñ meeñ, nakshatroñ meñ candaa huuñ meeñ.

10.22 vedoñ meñ huuñ saamaved, meeñ indra devataaoñ meñ huuñ,

sabhii praan’iyoñ meñ cetanataa, indriyoñ se uupara man huuñ.

10.23 kuber yakshoñ oor raakshasoñ meñ, shañkar huuñ rudroñ meñ,

parvat ke shikharoñ meñ meru, agni huuñ saare vasuoñ meñ.

10.24

he arjun! meeñ purohitoñ meñ mukhya purohit brihaspati huuñ, skanda huuñ senaapatiyoñ meñ, jalaashayoñ meñ saagar huuñ.

10.25 mahaan ris’iyoñ meñ bhrigu huuñ, vaan’ii meñ akshaya om huuñ meeñ,

yagyoñ meñ jap yagya, himaalaya acal vastuoñ meñ huuñ meeñ.

10.26

vrikshoñ meñ piipal huuñ oor divya ris’iyoñ meñ naarad huuñ, siddhoñ meñ huuñ kapil, citraratha mahaan gandharvoñ meñ huuñ.

Page 40: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

40

10.27 amrit se utpanna huaa ucceeshravaa huuñ meeñ ashvoñ meñ,

shres’t’ha haathiyoñ meñ eeraavat, raajaa huuñ meeñ manujoñ meñ.

10.28

shastroñ meñ huuñ vajra oor gauoñ meñ kaamadhenu huuñ meeñ, kaamadeva santaanotpatti meñ, sarpoñ meñ vaasuki huuñ meñ.

10.29 meeñ naagoñ meñ anañtanaag huuñ, varun’a sabhii jaladevoñ meñ,

putaroñ meñ aryamaa oor yam huuñ meeñ sañyamashiiloñ meñ.

10.30

deetyoñ meñ huuñ meeñ prahlaad, ginatii ke liye kaal huuñ meeñ, garur’a pakshiyoñ meñ huuñ, pashuoñ meñ pashuraaj siñha huuñ meeñ.

10.31 pavitra karane vaaloñ meñ huuñ pavan, raam huuñ viiroñ meñ,

macchoñ meñ huuñ magaramaccha, gañgaa huuñ bahatii nadiyoñ meñ.

10.32 srijit vastuoñ kaa praarambha, madhya bhii oor añta bhii meeñ,

gyaanoñ meñ aadhyaatma gyaan, meeñ tarka huuñ vaad-vivaadoñ meñ.

saaptaahik paat’ha-31/10.33

meeñ huuñ kaal anashvar, akshar meñ ‘a', dvandva samaasoñ meñ meeñ huuñ vahii vidhaataa jis ke mukha heeñ sabhii dishaaoñ meñ.

10.34 sab ko nigale vahii mrityu huuñ, bhavis’ya kaa udgam huuñ meeñ,

naarii meñ shrii, kiirti, smriti, dhriti, vaan’ii, buddhi, kshamaa huuñ meeñ.

10.35

giitoñ meñ huuñ bar’aa saam, gaayatrii huuñ meeñ chandoñ meñ, maagha mahiinoñ meñ huuñ, pus’pit vasañta huuñ meeñ rituoñ meñ.

10.36 chalane vaaloñ kaa juuaa huuñ, tejasvii kaa tej huuñ meeñ,

meeñ huuñ vijayii kaa prayatna, acchoñ meñ acchaaii huuñ meeñ.

10.37 paañd’ava putroñ meñ arjun huuñ, vaasudeva huuñ vris’n’iyoñ meñ,

muniyoñ meñ huuñ vyaas oor ushanaa kavi huuñ meeñ kaviyoñ meñ.

10.38

niiti vijaya paane vaaloñ kii, dañd’a shaasakoñ kaa huuñ meeñ, moon rahasyapuurn’a ciizoñ kaa, gyaan gyaaniyoñ kaa huuñ meñ.

10.39 he arjun! saarii ciizoñ kaa biij mere añdar hotaa,

nahiiñ caraacar koii, jo moojuud binaa mere rahataa.

10.40

itanii vibhuutiyaañ heeñ merii, añta nahiiñ hogaa un kaa, arjun, batalaayaa hee meeñne, añshamaatra us mahimaa kaa.

Page 41: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

41

10.41 jo koii bhii goorava, shobhaa, uurjaa se utpanna huaa,

us kaa janma, samajh, mere hii tejasvii añsha se huaa.

10.42

arjun, kyaa aavashyakataa, tuu siikhe itanaa gaharaa gyaan, mere suukshma añsha ke uupar, t’ikaa huaa yaha vishva mahaan.

uupar

Page 42: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

42

adhyaaya-11

vishva ruup darshan yog

saaptaahik paat’ha-32/11.01 arjun ne kahaa:

aatmaa kaa tuune, yogeshvar, param rahasya bataayaa hee, us ne mere man ke saare bhram ko duur karaayaa hee.

11.02 sabhii vastuoñ kii utpatti oor unnati kaa gyaan sunaa,

tere akshaya, anañta goorava ko meeñne sampuurn’a sunaa.

11.03

yogeshvar, yadi eesaa hii hee, jeesaa batalaayaa mujha ko, to apane iishvarii ruup ko bhii ab dikhalaa de mujha ko.

11.04

yadi samajhe, teraa vaha ruup dikhaaii de sakataa mujha ko, he yogeshvar! apanaa ruup anashvar dikhalaa de mujha ko.

11.05 yogeshvar ne kahaa: he arjun! mere seekar’oñ, hazaaroñ ruupoñ ko tuu dekha,

vividha rñgoñ, aakritiyoñ vaale, anagin divya ruup tuu dekh.

11.06

aadityoñ, vasuoñ, rudroñ, ashvinoñ oor marutoñ ko dekha, kabhii nahiiñ dekhe pahale, un anek aashcaryoñ ko dekh.

11.07 he arjun! tuu jam kar aaj yahaañ sab caraacaroñ ko dekha,

jo caahe dekhanaa use ekatrit mere tan meñ dekh.

11.08

kintu maanavii aañkhoñ se tuu, mujhe nahiiñ paayegaa dekha, divya dris’t’i detaa huuñ, jis se merii divya shakti ko dekh.

11.09 sañjaya ne kahaa:

is prakaar kahakar, yogeshvar ne arjun ko samajhaayaa, apanaa iishvariiya, sarvocca ruup us ko tab dikhalaayaa.

11.10 anek mukha, aañkhoñ vaale adbhut shariir sammukha aaye,

divya bhuus’an’oñ se shobhit, anaginatii divya shastra paaye.

11.11

lep, vastra, maalaayeñ oor itra heeñ lage huye tan par, vismayakaarii, divya, bar’e mukha diikha rahe heeñ idhar-udhar.

11.12 jyoti hazaaroñ suuryoñ kii yadi ek saatha nabha meñ camake,

us mahaan chavi kaa tejasvii ruup us taraha se damake.

Page 43: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

43

11.13 devoñ ke shariir ko bhii tab anek ruupoñ meñ dekhaa,

bñt’e huye saare lokoñ ko ek jagaha kendrit dekhaa.

11.14

huye roñgat’e khar’e, viir arjun ne aashcarya bhii kiyaa, shiisha jhukaakar, haatha jor’akar, shrii kris’n’a ko pran’aam kiyaa.

saaptaahik paat’ha-33/11.15 arjun ne kahaa: sabhii devataa, anek praan’ii-samuuh, meeñ huuñ dekha rahaa,

kamalaasan par brahmmaa, ris’iyoñ, naagoñ ko bhii dekha rahaa.

11.16

baañha, pet’, mukha, oor netra, sab anañta ruupoñ meñ aaye, kintu kahiiñ bhii aadi, madhya yaa añta nahiiñ un ke paaye.

11.17 mukut’, gadaa, cakraadi sabhii ke tej ruup meeñ dekha rahaa,

jyotirmaya suurya kii taraha vo aag dhadhakatii dekha rahaa.

11.18 tuu hee vishraam sthal jagat kaa, tuu hee gyaan oor bhagavaan,

tuu hee amar dharma kaa rakshak oor sanaatan tuu insaan.

11.19

shakti anañta, asañkhya bhujaayeñ, suuraj, caañd netra tere, aadi, añta, madhya se rahit, hee agni bharii muñha meñ tere.

11.20 nabh, prithvii par, sabhii dishaa meñ, vyaapta akelaa teraa ruup,

tiinoñ lok kaañp ut’hate heeñ, dekha bhayañkar teraa ruup.

11.21

devoñ ke samuuha tujha meñ kar pravesh, terii stuti karate, ris’i, muni bhii mañtroñ dvaaraa kaha ‘svasti' tujhe shobhit karate.

11.22 rudra, aditya, saadhya, vasu, ashvini, gandharva, marut oor pitar,

yakshoñ, asuroñ, siddhoñ ke samuuha dekheñ vismit hokar.

11.23 anek mukha, aañkhoñ, baañhoñ, jaañghoñ, peeroñ, pet’oñ vaalaa,

kaañp rahaa huuñ, dekha teraa yaha ruup bar’e daañtoñ vaalaa.

11.24

coor’aa muñha, vishaal aañkheñ, nabha tak rañgiinii damak rahii, dheerya, shaanti heeñ bhañga, añtaraatmaa bhii d’ar se kaañp rahii.

11.25 muñha meñ dekha bar’e daañtoñ ko, lapat’oñ ko, lagataa hee d’ar,

yogeshvar! svaamii jag ke! aashraya do! dayaa karo mujha par!

11.26

dhritaraas’t’ra ke sabhii bet’e, bhiis’ma, karn’a oor dron’a ke saath, raajaaoñ ke samuuha saare, pradhaan yoddhaaoñ ke saath;

Page 44: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

44

11.27 ghuse jaa rahe lambe daañtoñ ke muñha meñ bebas hokar,

ve daañtoñ meñ phañse par’e yaa cuur ho rahe heeñ pis kar.

11.28

jeese vegavatii nadiyaañ saagar meñ milane ko jaatiiñ, veese viiroñ kii t’olii, lapat’oñ vaale muñha meñ aatiiñ.

11.29 jeese jalatii huii aag meñ, patañg tezii se jaate,

usii taraha yoddhaa vinaasha ke liye tere muñha meñ aate.

11.30

apane lapat’oñ ke mukha meñ, tuu sab lokoñ ko nigal rahaa, terii teja bharii kiran’oñ se, saaraa jag hee jhulas rahaa.

11.31 tuu hee koon bhayaanak? shres’t’ha deva! karataa pran’aam tujha ko,

kar de kripaa, bataa apane ko, teraa kucha na pataa mujha ko.

saaptaahik paat’ha-34/11.32 yogeshvar ne kahaa: meeñ huuñ kaal vinaashak, sab lokoñ ko meeñ karataa huuñ nas’t’a,

donoñ senaaoñ ke yoddhaa, bin tere bhii hoñge nas’t’a.

11.33

ut’hakar jiit shatruoñ ko, yasha mile, raajya par shaasan kar, ye mujha se mar cuke kintu, arjun, ban is kaa kaaran’a bhar.

11.34 bhiis’ma, jayadrath, dron’, karn’a, in saare yoddhaaoñ ko maar,

ye to heeñ vinas’t’a, mat d’ar, yuddha meñ na hogii terii haar.

11.35 sañjaya ne kahaa:

sun kar in vacanoñ ko arjun, haatha jor’ kucha vismaya se, d’ar se kaañp, ruñdhii vaan’ii meñ, yuuñ bolaa yogeshvar se.

11.36 arjun ne kahaa: jo teraa yashagaan kar rahe, aanañda kaa anubhava karate.

raakshas d’ar kar bhaag rahe heeñ, siddha teraa aadar karate.

11.37 tuu anañt devoñ kaa svaamii, bar’aa brahma se bhii hee tuu,

tuu hee anastitva, astitva, pare us se jo bhii, hee tuu.

11.38

tuu hii aadi purus’, tuu gyaataa, tuu hii gyeya, lakshya bhii tuu, he anañt ruupoñ vaale! jo jag meñ vyaapta, vahii hee tuu.

11.39 vaayu, vinaashak, agni, varun’, candramaa tujhe namataa huuñ meeñ,

tuu hii pitaa oor pati sab kaa, namaskaar karataa huuñ meeñ.

11.40

namaskaar aage, piiche se, sabhii or tuu hii to hee, terii shakti asiim, ramaa sab meñ, sab kucha tuu hii to hee.

Page 45: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

45

11.41 bin pahacaane terii mahimaa, maan liyaa saathii tujha ko,

agyaanataa, prem, laaparavaahii se kahaa sakhaa tujha ko.

11.42

khaate, sote, oor khelate, tujhe nahiiñ sammaan diye, he yogeshvar! kshamaa yaacanaa karataa huuñ meeñ, isii liye.

11.43 tuu hee jagat pitaa, guru aadaran’iiya, sabhii ko puujya hee tuu,

koii nahiiñ tiin lokoñ meñ tujha saa, ati anupam hee tuu.

11.44

jhukataa huuñ pran’aam karane, he dev! kshamaa kar de mujha ko, jeese pitaa, mitra, premii karate nij putra, mitra, priya ko.

11.45 aanañdit huuñ dekha ruup jo pahale kabhii na dekhaa thaa,

kaañp rahaa bhaya se, ab dikhalaa ruup vahii jo pahalaa thaa.

11.46 dekhuuñ tujha ko kiriit’adhaarii, gadaa, cakra ko liye huye,

sahasra baañhoñ ke sthaan par, caar bhujaayeñ liye huye.

saaptaahik paat’ha-35/11.47 yogeshvar ne kahaa:

divya shakti se meeñne tujha ko, sarvapratham dikhalaayaa hee, darshan param brahma kaa pahale nahiiñ kisii ne paayaa hee.

11.48 manuj lok meñ tere sivaa na koii dekha sakaa is ko,

ved, yagya, tap, kriyaa, daan, vidyaa se paa na sakaa is ko.

11.49

ghabaraa nahiiñ, na ho vimuur’ha tuu, meraa ruup bhayaanak dekha, bhaya ko tyaag, mudit hokar, ab mere anya ruup ko dekh.

11.50 sañjaya ne kahaa: yaha kahakar yogeshvar ne apanaa pahalaa hii ruup liyaa,

soomya ruup dhaaran’a kar, d’are huye arjun ko shaanta kiyaa.

11.51 arjun ne kahaa: kris’n’a, tujhe insaan dekha, meeñ abhii hosha meñ aayaa huuñ,

apanii saadhaaran’a haalat ko phir se vaapis laayaa huuñ.

11.52 yogeshvar ne kahaa:

tuune dekhaa ruup, kat’hinataa se hii jise dekha sakate, eesaa ruup dekhane ko to deva sadeeva heeñ tarasate.

11.53 jeesaa ruup abhii dekhaa, usako na koii pahacaana sake,

ved, tapasyaa, daan, yagya dvaaraa se na jaana sake.

11.54

yadi koii ban jaaye meraa bhakta, dekha vaha sakataa hee, oor bataauuñ, arjun, mujha meñ pravesha bhii kar sakataa hee.

Page 46: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

46

11.55 karma mujhe arpit kar, jo merii hii puujaa karataa hee,

ho aasakti-rahit, shatru-rahit, mujha tak vahii pahuñcataa hee. uupar

Page 47: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

47

adhyaaya-12

bhakti yog

saaptaahik paat’ha-36/12.01 arjun ne kahaa:

koii puujaa kare tumhaarii, koii avyakta ko maane, yogeshvar, batalaao, in donoñ meñ koon adhik jaane?

12.02 yogeshvar ne kahaa: man ko mujha meñ lagaa tathaa nis’t’haa, shraddhaa se ho sampuurn’a,

puujaa karate merii, vahii yog meñ sab se zyaadaa puurn’a.

12.03

jo karate puujaa us kii jo avinaashii, kuut’astha, acal, niraakaar, sarvavyaapta, pare dhyaan ke, avyakta, oor at’al;

12.04

indriyoñ ko apane vasha meñ kar, samataa se dekheñ sab ko, sab ke hit meñ aanandit, ve bhii to praapta kareñ mujha ko.

12.05 jin ke vicaar avyakta par, un ko upaasnaa bahut kat’hin,

nirgun’a lakshya, deha vaaloñ ko, paanaa hotaa bahut kat’hin.

12.06

par jo log sabhii karmoñ ko mujha par heeñ arpit karate, bhakti bhaava se meraa dhyaan kareñ, merii puujaa karate.

12.07 apanaa man mujha par kendrit kar, rakhate heeñ jo shuddha vicaar,

mrityu lok ke paapoñ se, meeñ shiighra karuuñ un kaa uddhaar.

12.08

tan ko vasha meñ kar pahale, phir apanaa citta lagaa mujha meñ, yaha abhyaas kare to nishcaya hii tuu vaas kare mujha meñ.

12.09

arjun, tan ko vasha meñ kar yadi tuu mujha meñ nahiiñ aa sakataa, gyaan praapti kaa prayatna kar, jis se tuu mujha ko paa sakataa.

12.10 yadi ho gyaan kat’hin, to mere cintan kaa hii lakshya kare,

mujha par apanaa dhyaan lagaataa rahe, siddhi ko praapta kare.

12.11

yadi asamartha ise bhii karanaa, yog sharan’a jaanaa acchaa, apane ko vasha meñ kar ke, tuu tyaag karma-phal kii icchaa.

12.12 abhyaas se gyaan uttam hee, dhyaan, gyaan se hee uttam,

jis se shaanti mile, vaha phal kaa tyaag, dhyaan se bhii uttam.

Page 48: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

48

12.13 yogii sab kaa mitra, karun’, dheeryavaan, beer nahiiñ rakhataa,

ahañkaar, mamataa se uupar, samaan sukha, dukha meñ rahtaa.

12.14

drir’ha nishcaya vaalaa, santus’t’a, rakhe jo vasha meñ apane ko, kare samarpit citta, buddhi mujha par, vo priya hotaa mujha ko.

12.15 jis se jag ghabaraataa nahiiñ, na jag se jo ghabaraataa hee,

hars’a, iirs’yaa, bhaya, cintaa se mukta, mujhe priya hotaa hee.

12.16

udaasiin, anapeksha, vyathaa se duur, daksha, jo nirmal hee, tyaag diye jis ne sab karmaarambha, vahii mujha ko priya hee.

12.17 prasannataa, icchaa, dukha, dves’ sabhii se virakta jo hotaa,

bhale-bure kaa tyaagii, bhakti kare merii, vo priya hotaa.

12.18 shatru, mitra jis ko samaan heeñ, maan oor apamaan samaan,

nahiiñ lagaava kisii se, sukha-dukh, sardii-garmii ek samaan.

12.19

jise prashañsaa, nindaa sam, jo moon oor santos’ii hee, nishcaya nahiiñ nivaas sthal, mati at’al, bhakta mujha ko priya hee.

12.20 shraddhaa se jo mujha ko apanaa uuñcaa lakshya samajhate heeñ,

vahii bhakta mujha ko ati priya, jo amar gyaan par calate heeñ. uupar

Page 49: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

49

adhyaaya-13

kshetra kshetragya vibhaag yog

saaptaahik paat’ha-37/13.01 arjun ne kahaa:

he yogeshvar! yaha batalaao, kyaa hee prakriti? purus’ hee kyaa? kyaa heeñ kshetra oor kshetragya? lakshya hee gyaan, gyeya kaa kyaa?

13.02 yogeshvar ne kahaa: arjun, bhootik shariir sab kaa, kshetra yahii kahalaataa hee,

jo is ko jaane vaha gyaanii, kshetragya kahaa jaataa hee.

13.03

saare kshetroñ kaa kshetragya yahaañ keval mujha ko hii jaan, kshetra oor us ke gyaanii kaa gyaan, samajha le saccaa gyaan.

13.04

ab sun kyaa hee kshetra, kis taraha kaa, parivartan kyaa us meñ, keese aayaa hee, kitanaa hee, oor shaktiyaañ kyaa usa meñ.

13.05 ris’iyoñ ke mantroñ meñ is kaa gaan bahut hee kiyaa gayaa,

is kaa varn’an tarka-shaastra ke suutroñ meñ bhii bahut huaa.

13.06

paañc tatva, mati, ahañkaar, avyakta saatha jo hee un ke, das indriyaañ, sañga un ke cit, paañc vis’aya jo indriyoñ ke.

13.07 sukha, dukha, icchaa, dves’, cetanaa, dhriti va shariir jahaañ rahate,

un ke saatha vikaar unhiiñ ke, samajho ‘kshetra' use kahate.

13.08

sarvashres’t’ha kahanaa na svayam ko, kshamaa, ahiñsaa, vinamrataa, guru-sevaa, shuddhataa, saralataa, aatma-sañyam evam drir’hataa;

13.09

vis’ayoñ se veeraagya, aham kaa tyaag, sabhii dos’oñ kaa gyaan, janma, mrityu, vriddhaavasthaa, biimaarii, dukha, sab kii pahacaan;

13.10 anaasakti; santaan, vadhuu, ghar, sab se moha nahiiñ karanaa;

acchii burii sabhii ghat’anaaoñ ke prati bhaava ek rakhanaa;

13.11

sadaa ananya yog se prerit, mujha meñ at’al bhakti rakhnaa, rahanaa ekaanta meñ, tathaa jan-samudaaoñ se bhii bacanaa;

13.12 liin hameshaa aatma-gyaan meñ, param satya kaa karanaa dhyaan,

saccaa gyaan yahii, is se jo bhinna use kahate agyaan.

Page 50: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

50

13.13 kare amarataa praapta, gyaan jo le mujha se us kaa shaashvat,

vaha anaadi hee, sat bhii vahii, use kaha sakate nahiiñ asat.

13.14

haatha peer sab jagaha, aañkha, sir, mukha vaha sabhii jagaha rakhataa, caaroñ or kaan us ke, sab jag us meñ nivaas karataa.

13.15 us meñ sabhii indriyoñ ke gun’, binaa indriyoñ ke hee vo,

anaasakta, sab ko sñbhaalataa, gun’a bin bhog kare hee vo.

13.16

vaha sab ke baahar, añdar bhii, acal oor calataa bhii hee, itanaa chot’aa, dekha na paayeñ, bahut duur, vo paas bhii hee.

13.17 vaha avibhakta, lage vibhakta, sab kaa paalan pos’an’a karataa,

sab ko vinas’t’a kar ke vaha phir se un ko peedaa karataa.

13.18 jyoti, ñdheraa donoñ us meñ, har dil meñ jaano us ko,

gyaan, gyaan kaa vis’aya, gyaan kaa lakshya, sabhii maano us ko.

13.19

kshetra, gyaan, gyaan ke vis’aya kaa varn’an hee sañkshipta kiyaa, bhakta meraa jo is ko samajhe, us ne mujha ko praapta kiyaa.

saaptaahik paat’ha-38/13.20 prakriti, purus’ donoñ anaadi heeñ, arjun, tuu is ko le jaan,

ruup oor gun’a peedaa huye prakriti se, is ko bhii pahacaan.

13.21

kaarya, oor us ke saadhan kaa kaaran’a prakriti bataate heeñ, aatman ko sukha-dukha ke anubhava kaa kaaran’a batalaate heeñ.

13.22 peedaa huye prakriti dvaaraa gun’a, bhog purus’ kaa banate heeñ,

gun’a hii jag meñ acche, bure janma kaa kaaran’a banate heeñ.

13.23 tan meñ sthit parameshvar saakshii, anumati dene vaalaa hee,

upabhogii, mahaan prabhu, vaha sab ko sñbhaalane vaalaa hee.

13.24

jo bhii gun’a ke saatha prakriti, aatmaa kaa bhed jaan letaa, koii bhii vaha karma kare, dobaaraa janma nahiiñ letaa.

13.25 kucha paramaatmaa ko nij man se aatman meñ dekheñ, kar dhyaan,

anya, divya-darshan paane ko kareñ karma yaa paayeñ gyaan.

13.26

bahut log is ko na samajhate, sunane meñ aasthaa rakhate, ve bhii to tar jaate heeñ, jo sun kar upaasanaa karate.

Page 51: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

51

13.27 he arjun! tuu samajh, caraacar jiiva yahaañ par jo hote,

kshetra oor kshetragya milan dvaaraa hii ve peedaa hote.

13.28

jo paramaatmaa ko sab ciizoñ meñ nivaas karataa dekhe, keval ciiz nas’t’a hotiiñ, paramaatmaa nahiiñ, ise dekhe.

13.29 sabhii ruup meñ vidyamaan, iishvar sab jagaha nivaas kare,

man se aatman ko na kas’t’a de, tabhii lakshya ko praapta kare.

13.30

saare karma prakriti se hote, jo praan’ii is ko dekhe, vaha jaane aatmaa na kare kuch, keval karmoñ ko dekhe.

13.31 jo dekhataa ise ki vividhataa sab prabhu meñ kendrit hotii,

us se hii jag vistrit hotaa, brahma praapti us ko hotii.

13.32 aatmaa nirgun’a, amar, anashvar, yadyapi shariir meñ hotii,

phir bhii koii karma na karatii, lipta nahiiñ tan meñ hotii.

13.33

jeese aakaasha sarvavyaapii, lipta kisii vastu meñ nahiiñ, usii taraha aatmaa shariir meñ sthit hee, lekin lipta nahiiñ.

13.34 arjun, jeese suurya prakaashit karataa hee saare jag ko,

usii taraha svaamii kshetroñ kaa, kare prakaashit kshetroñ ko.

13.35

fark’a kshetra, kshetragya biic, tor’anaa prakriti ke bañdhan ko, dekhe jo gyaan cakshu dvaaraa, paaye vahii param brahma ko.

uupar

Page 52: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

52

adhyaaya-14

gun’atraya vibhaag yog

saaptaahik paat’ha-39/14.01 yogeshvar ne kahaa:

arjun, sun le ab vaha gyaan, jise sarvottam batalaate, jise jaan kar munijan uupar ut’hate, param siddhi paate.

14.02 is gyaan ke sahaare mujha ko paate, janma nahiiñ lete,

oor pralaya ke aane par ve bebas dukhii nahiiñ hote.

14.03

brahma vishaal garbha sab kaa, meeñ biij d’aalataa huuñ us meñ, praan’ii oor vastuyeñ saarii, peedaa hotii heeñ jis meñ.

14.04

arjun, jahaañ kahiiñ bhii ruup yoni se hee peedaa hotaa, brahma samaan yoni sab kii, meeñ pitaa samaan biij botaa.

14.05 satva, rajas, tam ye gun’a tiin, prakriti se peedaa hote heeñ,

arjun, ye hii aatmaa ko shariir se baañdhe rakhate heeñ.

14.06

in meñ satva vishuddha, prakaash, svaasthya hote is ke kaaran’, gyaan oor aananda se manuja bñdhataa hee is ke kaaran’.

14.07 rajas hee anuraagaatmak, jis se aasakti, caaha peedaa hee,

yaha aatman ko aasakti se karma meñ jakar’e rahataa hee.

14.08

tamagun’a meñ hotaa agyaan, sabhii praan’ii bhram meñ is se, laaparvaahii, aalas, nidraa meñ phñs jaate heeñ jis se.

14.09

satagun’a se aanand, rajogun’a se karmoñ ko paa lete, kintu tamogun’a se mati d’hakakar, paagalpan meñ hii rahate.

saaptaahik paat’ha-40/14.10 kabhii satogun’a vijayii hotaa, rajagun’, tamagun’a ke uupar,

kabhii rajas vijayii sat, tam par, yaa tam vijayii sat, raj par.

14.11

shariir ke sab dvaaroñ se jab gyaan prakaasha nikalataa hee, tab yaha samajhaa jaa sakataa hee, vahaañ satogun’a bar’hataa hee.

14.12 lobh, laalasaa, ashaanti, gatividhi, anucit kaaryoñ kaa praarambha,

jab bar’hataa hee rajogun’a tabhii ye sab hote heeñ aarambha.

Page 53: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

53

14.13 prakaasha kaa abhaava, nis’kriyataa, laaparavaahii va muur’hataa,

jab car’hataa hee tamagun’a, tab in kaa bhii hee prakop bar’hataa.

14.14

jab satagun’a pradhaan, aatmaa yadi deha tyaag kar jaatii hee, tab vaha gyaan se bhare shuddha lok ko siidhii jaatii hee.

14.15 janma karmashiiloñ meñ le, yadi vaha rajagun’a meñ tan tyaage,

janme keval muur’ha yoniyoñ meñ, yadi tamgun’a meñ tyaage.

14.16

satagun’a meñ karmoñ kaa phal sukhakar, jis se milataa hee gyaan, rajagun’a meñ phal hotaa dukha, tamagun’a meñ phal hotaaa agyaan.

14.17 gyaan satogun’a se hotaa hee, lobha rajogun’a se hotaa,

paagalapan, piir’aadaayak agyaan, tamogun’a se hotaa.

14.18 rajagun’a meñ biic meñ raheñ, satagun’a meñ jaayeñ uupar ko,

tamagun’a meñ jaghanya karmoñ meñ lagakar, jaayeñ niice ko.

saaptaahik paat’ha-41/14.19

jab dris’t’aa, karmoñ kaa kartaa, tiin gun’oñ ko hii maane, gun’a se pare koon? yaha jaane, meraa svaruup pahacaane.

14.20 gun’a se uupar ut’ha kar jab, vaha deha tyaag kar jaataa hee,

janma, maran’, vriddhaavasthaa, dukha se vimukta ho jaataa hee.

14.21 arjun ne kahaa:

tiin gun’oñ se uupar jo hotaa, ham pahacaaneñ keese? rahan-sahan keesaa us kaa? gun’a se uupar ut’hataa keese?

14.22 yogeshvar ne kahaa: jab prakaash, gatividhi yaa moha raheñ, vaha maane buraa nahiiñ,

jab ve nahiiñ raheñ tab un ke liye kaamanaa kare nahiiñ.

14.23 udaasiin kii bhaañti gun’oñ se hile nahiiñ, nishcal rahataa,

gun’a hii saare karma kareñ, is ko vaha jaan sudrir’ha rahataa.

14.24

sukha, dukha heeñ samaan; mit’t’ii, sonaa, patthar heeñ ek samaan; man hee sthir; priya-apriya ek heeñ; nindaa-stuti heeñ ek samaan,

14.25 maan oor apamaan ek se, mitra, shatru heeñ ek samaan,

karma phaloñ kaa tyaag kare jo, us ko gun’aatiit hii jaan.

14.26

ananya bhakti yog se jo bhii merii sevaa karataa hee, tiin gun’oñ se uupar ut’hakar, brahma yogya vaha banataa hee.

Page 54: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

54

14.27 ajar, anashvar, param brahma ko paane kaa saadhan huuñ meeñ,

shaashvat dharma va paramaananda, sabhii kaa punya dhaam huuñ meeñ. uupar

Page 55: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

55

adhyaaya-15

purus’ottam yog

saaptaahik paat’ha-42/15.01 yogeshvar ne kahaa:

jar’ uupar, shaakhaayeñ niice, ashvattha per’ kahalaataa, patte us ke ved, ise jo samajhe, vedoñ kaa gyaataa.

15.02 shaakhaayeñ sab or gun’oñ kii, kaliyaañ vis’ayoñ ko kahate,

jar’ pheelii heeñ manuj lok tak, jisameñ sabhii karma hote.

15.03

isakaa asalii ruup na diikhe, yaha bin aadi, añta, aadhaar, drir’ha jar’ kaa ashvattha per’ kaat’o, kar anaasakti kaa vaar.

15.04

praapta karo tab us kii sharan’, racaa jis ne saaraa sañsaar, khojo tum vaha dhaam jahaañ se, nahiiñ loot’ate heeñ is paar.

15.05 jo abhimaan, moha se chuut’e, icchaaoñ ko shaanta kare,

lage mukti meñ, sukha-dukha tyaage, param dhaama ko praapta kare.

15.06

use na suurya prakaashit karataa, candra oor agni bhii nahiiñ, param dhaam hee meraa, vahaañ pahuñc kar, loot’e kabhii nahiiñ.

15.07 meraa añsha sanaatan jiivaatmaa ban kar jag meñ rahataa,

prakriti meñ nihit indriyoñ tathaa man ko aakars’it karataa.

15.08

jab iishvar tan banataa, use chor’ataa, aatmaa sñg jaatii, jeese vaayu sugandhoñ ko un ke sthaan se le jaatii.

15.09

kaan, aañkha, naasikaa, tvacaa, jivhaa, man kaa upayog kare, in se sukha paane ke liye, indri vis’ayoñ kaa bhog kare.

15.10 mile gun’oñ se, bhog kare, tan meñ aaye, tyaage tan ko,

muurkha na dekhe lekin gyaan cakshu vaalaa dekhe us ko.

15.11

yatnashiil yogii apane meñ use saadhanaa se dekhe, mañda-buddhi, aniyantrit, yatna kare, par use nahiiñ dekhe.

15.12 jo saaraa sañsaar prakaashit karataa, vaha suuraj kaa tej,

tej agni kaa oor candramaa kaa, saare mere hii tej.

Page 56: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

56

15.13 prithvii par praan’a shakti dvaaraa, janma nirañtar letaa huuñ,

ras se bharaa candramaa banakar, sab ko pos’it karataa huuñ.

15.14

ban kar paacak-agni yahaañ praan’ii ke tan meñ aataa huuñ, paan, apaan vaayu meñ milakar, caaroñ anna pacaataa huuñ.

15.15 detaa gyaan, smriti, vismriti, meeñ sab ke dil meñ rahataa huuñ,

meeñ hii gyaan ved kaa, meeñ vedaanta, ved kaa gyaataa huuñ.

15.16

nashvar oor anashvar donoñ ruup vyaapta hote jag meñ, nashvar se astitva, anashvar añtaryaamii hee sab meñ.

15.17 in se bhinna oor sarvottam, jisako paramaatmaa kahate,

jo tiinoñ lokoñ kaa svaamii, jis se sab pos’it hote.

15.18 meeñ kshar se huuñ pare, oor meeñ akshar se bhii uupar huuñ,

isii liye jag meñ, vedoñ ke andar, meeñ purus’ottam huuñ.

15.19

bhraanti-rahit ho, purus’ottam ko jaanaa, sab kucha jaan liyaa, puurii taraha samajha lo, merii puujaa karanaa maan liyaa.

15.20 he arjun! is taraha bataayaa meeñne rahasyapuurn’a yaha gyaan,

hote sab is se kritaartha, is se ban jaate heeñ vidvaan. uupar

Page 57: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

57

adhyaaya-16

devaasur sampadaa yog

saaptaahik paat’ha-43/16.01 yogeshvar ne kahaa:

nirbhayataa, man kii nirmalataa, vidyaa-praapti, yog-ruci, daan, aatma-niyantran’, siidhaapan, tap, yagya, shaastra kaa saccaa gyaan;

16.02 satya, ahiñsaa, krodh-niyantran’, shaanti, dos’ se viraktataa,

dayaa, lobha se mukti, mridulataa, lajjaa, tyaag, acañcalataa;

16.03

dves’a-hiinataa, tej, kshamaa, dhriti, pavitrataa oor namrataa; ye gun’a us ke jo deevii svabhaava lekar peedaa hotaa.

16.04

kat’horataa, paakhañd’a, akar’apan, krodh, ghamañd’a oor agyaan, in ko le jo peedaa huaa, use aasurii prakriti kaa maan.

16.05 bandhan mile aasurii gun’a se, deevii gun’a se moksha mile,

arjun, dukhii na ho, tuu peedaa huaa sampadaa deevii le.

saaptaahik paat’ha-44/16.06

deevii oor aasurii, do prakaar ke praan’ii hote heeñ, deevii to sun liye, suno ab koon aasurii hote heeñ.

16.07 nahiiñ tyaag kaa gyaan unheñ, karmoñ kaa gyaan nahiiñ hotaa,

pavitrataa yaa sadaacaar yaa satya, nahiiñ un meñ hotaa.

16.08

ve kahate jag asatya, bin svaamii, buniyaad nahiiñ koii, jag kaa niyamit kaaran’a yaa neetik aadhaar nahiiñ koii.

16.09

alpa buddhi, bhras’t’aatmaa, kat’t’ar dris’t’ikon’a yaha apanaate, banakar shatru jagat ke, is kaa vinaasha karane ko aate.

16.10 ahañkaar, abhimaan se bhare, paakhañd’ii, icchaa rakhate,

muurkha, g’alat dris’t’ikon’a vaale, nishcaya binaa karma karate.

16.11

dabe huye cintaaoñ se ve, un kaa añta moot meñ hee, icchaa-tripti lakshya keval, ve samajheñ, sab kucha is meñ hee.

16.12 phñse laalasaa ke phandoñ meñ, dabe vaasanaa meñ rahate,

bhog ke liye hii ve d’heroñ sampati ekatrit karate.

Page 58: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

58

16.13 meeñne sabhii paa liyaa, meeñ sab icchaa puurii kar luuñgaa,

yaha meraa hee, vaha bhii meraa hogaa, meeñ sab kucha luuñgaa;

16.14

is ko maar diyaa hee meeñne, usako bhii maaruuñgaa meeñ, meeñ iishvar, upabhoktaa, saphal, sukhii, balavaan sabhii kucha meeñ;

16.15 meeñ dhanavaan, ucca kul kaa, meeñ yagya karuuñgaa, duuñgaa daan,

meeñ aananda manaauuñgaa - yaha kahate muurkha oor agyaan.

16.16

eese bhraanta vicaaroñ se, ve moha jaal meñ phñsate heeñ, karate rahate trapta kaamanaa, bure narka meñ girate heeñ.

16.17 abhimaanii, akar’uu, dhan ke, maan ke, nashe meñ rahate heeñ,

paakhañd’ii, bas dikhlaane ko, yagya, riiti bin karate heeñ.

16.18 dves’a, aham, bal, ghamañd’a, kaam, krodha ke vasha meñ ve rahate,

meeñ jo sab ke andar basataa, nafarat ve mujha se karate.

16.19

niic, kruur, veer se bhare ve, kaam bure karate jaate, baar-baar, aasurii yoni meñ, isii liye pheñke jaate.

16.20 muurkha, pahuñc aasurii yoni meñ, janma kaii lekar bhii ve,

praapta nahiiñ kar paate mujha ko, gire hameshaa rahate ve.

16.21

tiin taraha ke dvaar narka ke, kareñ naasha vo aatman kaa, kaam, krodh, lobha se bane heeñ, tyaag karo in tiinoñ kaa.

16.22 tiin dvaar se andhakaar meñ jaane se jo hee bacataa,

kalyaan’ii karmoñ ko karataa, uuñcaa lakshya praapta karataa.

16.23 chor’ shaastra niyamoñ ko, jo apanii icchaa se karma kare,

use na hote praapta siddhi, sukha, na vo punya-phal praapta kare.

16.24

kyaa karanaa hee, kyaa nahiiñ karanaa, shaastroñ se nirdhaarit kar, shaastra niyam ko jaan, unhiiñ kaa nitya jagat meñ paalan kar.

uupar

Page 59: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

59

adhyaaya-17

shraddhaatrya vibhaag yog

saaptaahik paat’ha-45/17.01 arjun ne kahaa:

yagya kareñ shraddhaa se, binaa shaastra, un kii kyaa gati hotii? satva, rajas, tam gun’a meñ karate, keesii vaha shraddhaa hotii?

17.02 yogeshvar ne kahaa: dehadhaariyoñ kii shraddhaa, jeesaa svabhaava veesii hotii,

vaha saatvik, raajasik, taamasik, gun’a jeesaa, veesii hotii.

17.03

har praan’ii kii shraddhaa us ke svabhaava jeesii hii hotii, svabhaava ke anukuul, gun’oñ par aadhaarit shraddhaa hotii.

17.04

saatvik puujeñ deva, raajasik puujeñ yaksha, raakshasoñ ko, jo hote taamasik, puujate bhuut, pret, aatmaaoñ ko.

17.05 yadi karate ve ugra tapoñ ko, shaastroñ dvaaraa jo varjit,

ahañkaar se puurn’a, ghamañd’ii, kaam, raag se heeñ prerit;

17.06

muurkha, aasurii, ve tan ke tatvoñ ko bahut sataate heeñ, meeñ jo un ke andar huuñ, mujha ko bhii dukha pahuñcaate heeñ.

17.07 bhojan sab ko priya hotaa hee, tiin taraha kaa us ko jaan,

yagya, daan, tap tiin taraha ke, sun le un kii bhii pahacaan.

17.08

aayu, praan’a, bal, sehat, sukha, umañga jo bhoj bar’haate heeñ, miit’he, cikane, rucikar, pos’ak, ve saatvik kahalaate heeñ.

17.09

jo tiikhe, khat’t’e, namakiin, garam, mirciile, ruukhe heeñ, peedaa kareñ shok, dukha, rog, jalan, vo bhoj raajasik heeñ.

17.10 jo bhojan bigar’aa ho, jis meñ svaad na ho, jo baasaa ho,

sar’aa huaa, juut’haa, gañdaa ho, use taamasik bhoj kaho.

17.11

phal-icchaa bin karo, kintu vishvaas yahii, kartavya hee yagya, shaasatra niyam anukuul karo jo, kahalaataa hee saatvik yagya.

17.12 he arjun! jo yagya kisii phal kii aashaa se heeñ karate,

vaha raajasik yagya hee, us ko bas dikhalaave ko karate.

Page 60: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

60

17.13 anna na baañt’e, na de dakshin’aa, niyam binaa, bin mantra kare,

eesaa yagya taamasik hotaa, bin shraddhaa ke jise kare.

saaptaahik paat’ha-46/17.14

deva, braahman’oñ, guruoñ, vidvaanoñ kaa aadar, pavitrataa, satya, ahiñsaa, brahmacarya, yaha to shariir kaa tap hotaa.

17.15 shabda kahe jo buraa na ho, saccaa ho, priya, hitakaarii ho,

paat’ha kare vedoñ kaa niyamit, yaha to vaan’ii kaa tap ho.

17.16

jis se moon, prasanna, tripta ho, puurn’a aatma-sañyam hotaa, bhaavoñ kii pavitrataa jis se, vahii maanasik tap hotaa.

17.17 tiin taraha kaa tap karane meñ, agar sañtulit man hotaa,

phal-icchaa ke binaa kare shraddhaa se, saatvik tap hotaa.

17.18 jo aadar karane, puujaa ke samaya, dikhaave ko hotaa,

use raajasik tap kahate, vaha kaccaa, pal bhar ko hotaa.

17.19

jis tap dvaaraa hat’hii, muurkhataa bhare log dukha ko sahate, yaa ooroñ kii haani ke liye kareñ, taamasik tap kahate.

17.20 jise yogya vyakti ko, binaa phal-icchaa, karma samajha karate,

ucit jagaha par, ucit samaya par diyaa daan, saatvik kahate.

17.21

daan, jise phal kii icchaa yaa laabha praapti ko karate heeñ, jis meñ hotaa klesh, usii ko daan raajasik kahate heeñ.

17.22 g’alat jagaha yaa g’alat samaya par daan ayogya vyakti ko do,

samaaroha bin, tiraskaar se diyaa daan, taamasik kaho.

17.23 om, tat, sat ye tiin shabda, sañket brahma kaa karate heeñ,

in se puujaa, ved-paat’h, yagyoñ ke vidhaan hote heeñ.

17.24

yagya, daan, tap meñ sab karma, shaastra anukuul jinheñ karate, shubhaarambha un kaa brahmavaadii, ‘om’ shabda se hii karate.

17.25 yagya, daan, tap ke un saare karmoñ ko ‘tat’ kahate heeñ,

jin ko, moksha caahane vaale, phal-icchaa bin karate heeñ.

17.26

‘sat’ kaa upayog acchaaii, yathaartha darshaane ko hotaa, prashañsaniiya kaarya karane ko bhii is kaa prayog hotaa.

Page 61: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

61

17.27 yagya, daan, tap meñ drir’ha ho, nishcaya karanaa, sat kahalaataa,

isii taraha kaa nishcaya, anya karma meñ bhii sat kahalaataa.

17.28

yagya, daan, tap, karma, binaa shraddhaa ke kiyaa, asat hotaa, lok oor paralok kahiiñ bhii, isa se laabha nahiiñ hotaa.

uupar

Page 62: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

62

adhyaaya-18

moksha sanyaas yog

saaptaahik paat’ha-47/18.01 arjun ne kahaa:

he yogeshvar! tyaag oor sanyaas gyaan kii caaha mujhe; donoñ alag-alag batalaao; kyaa saccaa? do gyaan mujhe.

18.02 yogeshvar ne kahaa: kahate heeñ, sanyaas, kaamanaa se prerit karmoñ kaa tyaag,

sab karmoñ ke phal ko taj denaa bhii, kahate, saccaa tyaag.

18.03

kucha kahate heeñ, dos’ maan karmoñ ko, un kaa tyaag karo, anya kaheñ, tap, daan, yagya ke karmoñ kaa mat tyaag karo.

18.04

he arjun! ab tuu mujha se sun, satya ruup meñ kyaa hee tyaag, buddhimaan, vidvaan bataate, tiin taraha kaa hotaa tyaag.

18.05 yagya, daan, tap ke karmoñ ko karo, na un kaa tyaag karo,

buddhimaan ban kar apane jiivan ko un se shuddha karo.

18.06

niraasakta ho karma karo, karmoñ ke phal kaa tyaag karo, he arjun! yaha meraa nishcit mat hee, is par dhyaan karo.

18.07 nit karane ke yogya karma kaa tyaag, ucit na kahaa jaataa,

is prakaar kaa agyaanii kaa tyaag, taamasik kahalaataa.

18.08

kas’t’a oor deehik dukha ke bhaya se jo karma tyaag karataa, vaha raajasik tyaag hee, us se nahiiñ tyaag kaa phal milataa.

18.09

niyamit karmoñ ko jab koii, ucit samajh, karataa jaataa, anaasakta ho tyaage phal, vaha saatvik tyaag kahaa jaataa.

18.10 gyaanii hotaa saatvik tyaagii, phal se use lagaava nahiiñ,

ghrin’aa nahiiñ hee apriya karma se, priya se kucha anuraag nahiiñ.

18.11

sambhava nahiiñ, dehadhaarii kar de karmoñ kaa puuraa tyaag, kintu karma ke phal ko tyaage, vaha bhii to hotaa hee tyaag.

18.12 karmoñ kaa priya, apriya oor mishrit phal mrityu baad milataa,

jis ne tyaagaa karmoñ ko, us ko na kahiiñ bhii phal milataa.

Page 63: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

63

saaptaahik paat’ha-48/18.13 he arjun! ab tuu mujha se karmoñ ke upakaran’oñ ko jaan,

ye aavashyak, paañc taraha ke, saañkhya yog meñ inakaa gyaan.

18.14

karma-bhuumi, kartaa, us ke sñg saadhan sabhii indriyoñ ke, vividha karma, deevii icchaa, ye paañc upakaran’a karmoñ ke.

18.15 jab manus’ya apane shariir, vaan’ii, man se kucha bhii karate,

karma ucit ho yaa anucit, paañcoñ upakaran’a sadaa rahate.

18.16

muurkha vyakti keval apane ko karmoñ kaa kartaa maane, us kii buddhi ashikshit hotii, saccii baat nahiiñ jaane.

18.17 jo ho ahañkaar se mukta, buddhi jis kii ho malin nahiiñ,

vaha manus’ya sab ko maare, phir bhii bañdhan meñ par’e nahiiñ.

18.18 gyaan, gyeya, gyaataa ye tiinoñ, karmoñ ko prerit karate,

karn’a, karma, kartaa ye tiinoñ, karmoñ kaa sañgraha karate.

18.19

gyaan, karma, kartaa ke artha, bataataa hee gun’a kaa vigyaan, tiin taraha ke hote heeñ, in ko bhii t’hiik taraha se jaan.

18.20 jisase sabhii praan’iyoñ meñ dekhe yathaarthataa ek mahaan,

vibhaktataa meñ dekhe sattaa ek, vahii hee saatvik gyaan.

18.21

jis ke kaaran’a jag ke praan’ii, nahiiñ diikhate ek samaan, diikhe astitva kii vividhataa, kahate use raajasik gyaan.

18.22 jis se ek kaarya hii jaane, kaaran’a kaa kucha dhyaan na ho,

tatva artha kyaa? ise na samajhe, use taamasik gyaan kaho.

18.23 tyaag phaloñ kii icchaa, niyamit karma jinheñ gyaanii karate,

raag, dves’ se pare karma jo, saatvik karma unheñ kahate.

18.24

phal kii aashaa liye, aham ke bhaavoñ se jo prerit ho, jin meñ kat’hin parishram hotaa, unheñ raajasik karma kaho.

18.25 gyaat na ho parin’aam oor poorus’ kaa jis meñ dhyaan na ho,

hiñsaa, haani ho sake jis se, use taamasik karma kaho.

18.26

siddhi, asiddhi se sadaa avikal, mukta aham se jo hotaa, dheerya oor utsaaha se bharaa, vaha saatvik kartaa hotaa.

Page 64: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

64

18.27 lobhii, hiñsak, raagii, karma-phaloñ ko utsuk jo hotaa,

hars’a, shok se vikal, ashuddha, raajasik kartaa vaha hotaa.

18.28

dhokhebaaz, hat’hii, asabhya, dves’ii jo kaam t’aalataa ho, dukhii, aalasii, asantulit, us kartaa ko taamasik kaho.

saaptaahik paat’ha-49/18.29 he arjun! gun’a par aadhaarit bhed buddhi, dhriti ke hote,

puurii taraha bataataa huuñ, ye tiinoñ alag-alag hote.

18.30

karma, akarma; abhaya,bhayabhiit; kareñ kyaa, kyaa na kareñ, heeñ kyaa? saatvik buddhi samajhatii sab ko, bañdhan oor mukti heeñ kyaa?

18.31 jis se kyaa karanaa hee, kyaa nahiiñ karanaa, is kaa gyaan na ho,

dharma, adharma sahii nahiiñ jaane, use raajasik buddhi kaho.

18.32 jis ke kaaran’a añdhakaar pheele, adharma ko dharma kaho,

jisase sab kucha ulat’aa diikhe, use taamasik buddhi kaho.

18.33

vaha avical dhriti jis se man ko, praan’oñ oor indriyoñ ko, ho ekaagra karaa le vasha meñ, saatvik kahate us dhriti ko.

18.34 jis ke dvaaraa dhan, kartavya, sukhoñ ke sñg cipake rahate,

phal kii icchaa karate rahate, use raajasik dhriti kahate.

18.35

jis se vis’aad, nidraa, bhaya, abhimaan, shok nahiiñ taj sakate, sadeeva muurkha bane rahate heeñ, use taamasik dhriti kahate.

18.36 gun’a par hii aadhaarit jaano, tiin taraha ke sukha hote,

abhyaas se inheñ jaane jo, duur usii ke dukha hote.

18.37 jo kar’avaa hotaa pahale, par miit’haa hotaa hee parin’aam,

aatma-gyaan se jo peedaa ho, saatvik hee us sukha kaa naam.

18.38

jo miit’haa pahale, par hotaa kar’avaa añta, jise sahate, indri sukhoñ par jo aadhaarit, use raajasik sukha kahate.

18.39 jisase pahale oor añta meñ, sirfa moha peedaa hotaa,

aalas, niiñd, pramaad bar’haaye, vahii taamasik sukha hotaa.

saaptaahik paat’ha-50/18.40

is prithvii par oor svarga meñ, koii nar yaa deva nahiiñ, prakriti se bane tiin gun’oñ se, jis kaa jiivan bñdhaa nahiiñ.

Page 65: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

65

18.41 braahman’, kshatriya, veeshya, shuudra, in sab kii gatividhiyaañ hotiiñ,

gun’a se niyamit svabhaava ke kaaran’a hii alag-alag hotiiñ.

18.42

sham, dam, tap, pavitrataa, kshamaa, sacaaii, tarkapuurn’ataa, gyaan, aastikataa, dhaarmikataa, in karmoñ se braahman’a kii pahacaan.

18.43 tej, dhiirataa, suujh-buujh, viirataa, yuddha meñ d’at’ jaanaa,

ye kshatriya ke karma, kare netritva, daan kaa bhii karnaa.

18.44

kris’i, pashupaalan oor tijaarat, ye kartavya veeshya ke heeñ, sevaa karanaa sab kii, svaabhaavik kartavya shuudra ke heeñ.

18.45 apane karmoñ meñ lag kar hii, vyakti praapta karataa hee siddhi,

arjun, ab samajhaataa huuñ, kis taraha praapta hotii hee siddhi.

18.46 vyaapta huaa hee jo sab meñ, jo sab praan’ii peedaa karataa

us kii puujaa kartavyoñ dvaaraa kar, siddhi praapta karataa.

18.47

apanaa dharma apuurn’a, anya ke puurn’a dharma se acchaa hee, nij svabhaava ke karmoñ ko karane se paap na lagataa hee.

18.48 nij svabhaava ke karma na tyaago, caahe un meñ dos’ rahe,

jeese aag d’hakii dhuuñe se, dos’ karma ko d’hake rahe.

18.49

jo hee anaasakta, apane vasha meñ, icchaa bhii bacii nahiiñ, vaha sanyaasii vahaañ pahuñcataa, jahaañ karma hee shes’ nahiiñ.

saaptaahik paat’ha-51/18.50 he arjun! ab tuu sun, siddhi praapta kar lene par keese,

gyaan uccatam eesaa milataa, brahma-gyaan hotaa jeese.

18.51 buddhi shuddha kar le pahale vaha, apane ko sañyam meñ kar,

shabda, anya vis’ayoñ kaa tyaag kare, vaha raag, dves’ taj kar.

18.52

rahe akelaa, alpaahaarii, tan, man, vacan sañyamit ho, sadaa dhyaan meñ liin, use veeraagii jiivan meñ ruci ho.

18.53 ahañkaar, bal, kaam, krodh, abhimaan oor sampati tyaage,

shaanta citta ho, brahma praapti ke yogya bane, mamataa tyaage.

18.54

hokar ekaakaar brahma meñ, samaan sab ko apanaataa, koii shok na koii icchaa, ucca bhakti merii paataa.

Page 66: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

66

18.55 meeñ huuñ koon oor keesaa huuñ, is kaa gyaan bhakta karataa,

tatva ruup meñ mujhe jaan kar, vo pravesha mujha meñ karataa.

18.56

aakar merii sharan’a bhakti se, jo sab karma yahaañ karataa, us par merii kripaa nirantar, vaha aananda praapta karataa.

18.57 man se apane tan ke sab karmoñ ko mujha par arpit kar,

kar abhyaas, buddhi ko sthir kar, lagaa vicaaroñ ko mujha par.

18.58

buddhi sthir hogii mujha meñ to sab dukha se tar jaayegaa, nahiiñ sunii yadi ahañkaar meñ, tuu vinas’t’a ho jaayegaa.

18.59 ahañkaar ke vasha meñ ‘nahiiñ karuuñgaa yuddha' kahe is ko,

eesaa kahanaa vyartha, karegii vivasha prakriti yaha karane ko.

18.60 he arjun! bhram ke kaaran’a yadi nahiiñ caahataa karanaa tuu,

caaha na hote bhii svabhaava se hokar vivasha, karegaa tuu.

18.61

iishvar sabhii praan’iyoñ ke hridayoñ meñ aa bas jaataa hee, un ke saare añgoñ ko, yantroñ kii bhaañti calaataa hee.

18.62 kar us ko arpit apnaa astitva, sharan’a meñ jaayegaa,

us kii kripaa rahegii, jis se sadaa shaanti, sukha paayegaa.

18.63

bhed bhare ye guur’ha gyaan, meeñne tujha ko heeñ batalaaye, kar vicaar in par, phir kar tuu jo tere man ko bhaaye.

saaptaahik paat’ha-52/18.64 ab un vacanoñ ko sun, jin meñ param rahasya guur’hatar hee,

tuu mujha ko priya hee, tujha ko batalaataa huuñ, kyaa hitakar hee.

18.65 man ko mujha meñ lagaa, bhakta ban, mere liye yagya kar tuu,

nishcaya hii mujha tak pahuñcegaa, sab se adhik mujhe priya tuu.

18.66

sab dharmoñ ko tyaag, agar tuu merii sharan’a calaa aaye, duur karuuñ tere sab paapoñ ko, sab dukha se bac jaaye.

18.67 eesaa gyaan use mat denaa, jo na sune, jo bhakta na ho,

merii nindaa karataa ho, tap kii, sevaa kii shakti na ho.

18.68

jo mere is guur’ha gyaan ko, bhaktoñ ko sikhalaataa hee, mujha tak pahuñcegaa avashya, vaha bhii to bhakti dikhaataa hee.

Page 67: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

67

18.69 us se bar’hakar bhakta koii bhii, mere liye nahiiñ hogaa,

duniyaa meñ us se zyaadaa, koii na mujhe pyaaraa hogaa.

18.70

yaha pavitra sañvaad, dhyaan dekar jab koii bhii sunataa, meeñ samajhuuñ, vaha gyaan yagya se, merii hii puujaa karataa.

18.71 jo koii shraddhaa se, yaha sañvaad, dves’ bin, sunaa kare,

mukti praapta kar, param punya ke divya lok ko praapta kare.

18.72

he arjun! jo kahaa, use hee sunaa dhyaan se, kyaa tuune? apanaa bhram, agyaan se bharaa, mit’aa diyaa hee, kyaa tuune?

18.73 arjun ne kahaa: he yogeshvar! nas’t’a huaa bhram, yaad loot’ aaii merii,

duur huaa sañdeha, sthir huuñ, aagyaa maanuuñgaa terii.

18.74 sañjaya ne kahaa: meeñne sunaa kris’n’a, arjun kaa yaha sañvaad dhyaan dekar,

mere sabhii roñgat’e khar’e ho gaye heeñ, is ko sun kar.

18.75

yaha to kripaa vyaas kii, jis se itanaa gaharaa gyaan sunaa, yogeshvar ke dvaaraa hii yaha diyaa gayaa upadesha sunaa.

18.76 yaha sañvaad kris’n’a, arjun kaa, yaad mujhe jab aayaa hee,

pulakit hokar tab meeñne aananda bahut hii paayaa hee.

18.77

yogeshvar kaa adbhut ruup, yaad jab bhii mujha ko aataa, hotaa hee aashcarya mujhe, man meraa hars’it ho jaataa.

18.78 jahaañ kris’n’a yogeshvar oor dhanurdhaarii arjun hoñge,

vahaañ niiti, kalyaan’, vijaya, shrii, avashya hii rahate hoñge.

uupar

Page 68: Hindi Bhagavad Gita (romanaagarii)

68

bhaagvad giitaa kaa saaptaahik paat’ha saptaaha 1 - 1-01 se 1-19 tak

saptaaha 2 - 1-20 se 1-27 tak

saptaaha 3 - 1-28 se 1-47 tak

saptaaha 4 - 2-01 se 2-09 tak

saptaaha 5 - 2-10 se 2-30 tak

saptaaha 6 - 2-31 se 2-38 tak

saptaaha 7 - 2-39 se 2-53 tak

saptaaha 8 - 2-54 se 2-72 tak

saptaaha 9 - 3-01 se 3-16 tak

saptaaha 10 - 3-17 se 3-35 tak

saptaaha 11 - 3-36 se 3-43 tak

saptaaha 12 - 4-01 se 4-12 tak

saptaaha 13 - 4-13 se 4-24 tak

saptaaha 14 - 4-25 se 4-32 tak

saptaaha 15 - 4-33 se 4-42 tak

saptaaha 16 - 5-01 se 5-15 tak

saptaaha 17 - 5-16 se 5-29 tak

saptaaha 18 - 6-01 se 6-18 tak

saptaaha 19 - 6-19 se 6-36 tak

saptaaha 20 - 6-37 se 6-47 tak

saptaaha 21 - 7-01 se 7-11 tak

saptaaha 22 - 7-12 se 7-19 tak

saptaaha 23 - 7-20 se 7-30 tak

saptaaha 24 - 8-01 se 8-10 tak

saptaaha 25 - 8-11 se 8-28 tak

saptaaha 26 - 9-01 se 9-15 tak

saptaaha 27 - 9-16 se 9-34 tak

saptaaha 28 - 10-01 se 10-11 tak

saptaaha 29 - 10-12 se 10-18 tak

saptaaha 30 - 10-19 se 10-32 tak

saptaaha 31 - 10-33 se 10-42 tak

saptaaha 32 - 11-01 se 11-14 tak

saptaaha 33 - 11-15 se 11-31 tak

saptaaha 34 - 11-32 se 11-46 tak

saptaaha 35 - 11-47 se 11-55 tak

saptaaha 36 - 12-01 se 12-20 tak

saptaaha 37 - 13-01 se 13-19 tak

saptaaha 38 - 13-20 se 13-35 tak

saptaaha 39 - 14-01 se 14-09 tak

saptaaha 40 - 14-10 se 14-18 tak

saptaaha 41 - 14-19 se 14-27 tak

saptaaha 42 - 15-01 se 15-20 tak

saptaaha 43 - 16-01 se 16-05 tak

saptaaha 44 - 16-06 se 16-24 tak

saptaaha 45 - 17-01 se 17-13 tak

saptaaha 46 - 17-14 se 17-28 tak

saptaaha 47 - 18-01 se 18-12 tak

saptaaha 48 - 18-13 se 18-28 tak

saptaaha 49 - 18-29 se 18-39 tak

saptaaha 50 - 18-40 se 18-49 tak

saptaaha 51 - 18-50 se 18-63 tak

saptaaha 52 - 18-64 se 18-78 tak

uupar