hindi debate:hindi bhasha ka vartamaan samay mein auchitya

2
Adarniya nirnayak samiti, samast sanyojak evom mere yogya pratidvandion ko mera sadar naman. Main Anushka Sahu, Global Public School ki chatra, is hindi divas ke mauke par ayojit vad-vivad prtiyogita ke vishay ”hindi bhasha ka vartman samay main auchitya” par purna nishtha se apne vichaar vipaksh mein rakhna chahungi. Mere liye aaj ke samay main hindi ka koi auchitya nahi hai. Hum har saal hindi divas ko 14 sitambar ke din, hindi ko humari rajbhasha ke roop me apnae jaane ke samman main manate hain. Mere kabil doston ne hindi ko rajbhasha batate hue satvein aasman par bitha diya hai, par vo yeh n bhulein ki jitni uchai par hote hain utni hi zor se girte hain. Are bhai hum sab garv se khete phirte hai ki haan hume hindi nahi aati! Aur humare mata pita shbashi de kar khete hai ki beta hume tumse yahi chahiye tha! to jab miyan biwi razi to kya karega kazi! Is desh main jahan 28 rajya, 8 se zyada dharm aur 22 bhshayein nivaas karti hain vahan ek bhasha ka sarvochh hona kaise sambhav hai! Chaliye main aapko prachin samay ki sair karti hun: Jhannsi ki Rani Laxmi Bai ki viceroy Dalhousie ko likhi chithi persian mein thi, hindi main nahi. Lagbhag ek shatak pashchat apni suputri indu ko likhe Jawaharlal Nehru ke patra bhi angrezi jaisi videshi bhasah mein hi the. Kya is ke liye mere dost koi tark pesh kar sakte hian? Raj bhasha, vahi hoti hai na doston jo pure desh ko jode rekhe, parantu hamre mulk main to keval 40% log hi hindi ka prayog karte hain. Aur sahi mayno main angrzi hi pure sansar ko jode hai. Evam hindi to ab tak rashtrabhasha bhi nahi ban payi. Shetriya log ataynt samasya mahsus karte hain iska upyog karne main. Aur maharashatra jaise rajyon main maujood thackrey parivaar to kabhi hindi ko apne rajya main kadam bhi nahi rakhne denge. Aaj sansar ek global village ban chuka hai jahan kab aapko kis bhashit vyakti se milna pad jay koi nahi janta. Hume keval apne parivaar se hi vartalaap nahi karna hai. Aaj rajsthan main hi dekh lijiye apko kerilayi bhi milenge to angrez bhi ab aap sab se to hindi bolkar apna kaam nahi chala sakte! shiksha aur naukri ko hi le lijiye! Apko kisi vishay par agar sampurna adhyayan karna ho to behtrar hoga ki usi bhasah mein pada jay tabhi kuch laabh hoga, ab har cheez ko anuvaadit karna bhi sambhav nahi hai. Hindi bolkar Aap kisi bhi naukri ke liye upyukt ummidvaar nahi mane jate. Aap ko koi gambhirtha se nahi leta. Phir kyun karein hum hindi ka prayog??

Upload: anushkasahu

Post on 21-Dec-2014

85.015 views

Category:

Education


11 download

DESCRIPTION

 

TRANSCRIPT

Page 1: Hindi debate:Hindi Bhasha ka vartamaan samay mein Auchitya

Adarniya nirnayak samiti, samast sanyojak evom mere yogya pratidvandion ko mera sadar naman. Main Anushka Sahu, Global Public School ki chatra, is hindi divas ke mauke par ayojit vad-vivad prtiyogita ke vishay ”hindi bhasha ka vartman samay main auchitya” par purna nishtha se apne vichaar vipaksh mein rakhna chahungi. Mere liye aaj ke samay main hindi ka koi auchitya nahi hai.

Hum har saal hindi divas ko 14 sitambar ke din, hindi ko humari rajbhasha ke roop me apnae jaane ke samman main manate hain. Mere kabil doston ne hindi ko rajbhasha batate hue satvein aasman par bitha diya hai, par vo yeh n bhulein ki jitni uchai par hote hain utni hi zor se girte hain. Are bhai hum sab garv se khete phirte hai ki haan hume hindi nahi aati! Aur humare mata pita shbashi de kar khete hai ki beta hume tumse yahi chahiye tha! to jab miyan biwi razi to kya karega kazi! Is desh main jahan 28 rajya, 8 se zyada dharm aur 22 bhshayein nivaas karti hain vahan ek bhasha ka sarvochh hona kaise sambhav hai!

Chaliye main aapko prachin samay ki sair karti hun: Jhannsi ki Rani Laxmi Bai ki viceroy Dalhousie ko likhi chithi persian mein thi, hindi main nahi. Lagbhag ek shatak pashchat apni suputri indu ko likhe Jawaharlal Nehru ke patra bhi angrezi jaisi videshi bhasah mein hi the. Kya is ke liye mere dost koi tark pesh kar sakte hian?

Raj bhasha, vahi hoti hai na doston jo pure desh ko jode rekhe, parantu hamre mulk main to keval 40% log hi hindi ka prayog karte hain. Aur sahi mayno main angrzi hi pure sansar ko jode hai. Evam hindi to ab tak rashtrabhasha bhi nahi ban payi. Shetriya log ataynt samasya mahsus karte hain iska upyog karne main. Aur maharashatra jaise rajyon main maujood thackrey parivaar to kabhi hindi ko apne rajya main kadam bhi nahi rakhne denge.

Aaj sansar ek global village ban chuka hai jahan kab aapko kis bhashit vyakti se milna pad jay koi nahi janta. Hume keval apne parivaar se hi vartalaap nahi karna hai. Aaj rajsthan main hi dekh lijiye apko kerilayi bhi milenge to angrez bhi ab aap sab se to hindi bolkar apna kaam nahi chala sakte!

shiksha aur naukri ko hi le lijiye! Apko kisi vishay par agar sampurna adhyayan karna ho to behtrar hoga ki usi bhasah mein pada jay tabhi kuch laabh hoga, ab har cheez ko anuvaadit karna bhi sambhav nahi hai. Hindi bolkar Aap kisi bhi naukri ke liye upyukt ummidvaar nahi mane jate. Aap ko koi gambhirtha se nahi leta. Phir kyun karein hum hindi ka prayog??

Mere prativadi aap se kahenge ki bhasha to keval bhvnaon ki mokhik abhivyakti hai parnantu aaj 21vi sadi ke is daur main aapka vyaktitva, apka charitra, apki yogyta v pka surakshit bhavishya apki bhasha aur bol chal se hai. hum sab jaante hai ki yah ‘bhudi’ hindi hume nahi de sakti!

Supreme or high courts mein sunvayi bhi angrezi mein hoti hai. kaanun swamya hindi se ktrata hai! to hum kyun nahi?

Kyun hindi ko hum par thopa ja raha hai? kya is swatantra desh mein hum swatantrta se kisi aur bhasha ka pryaog bhi nahi kar sakte? Ma hume hindi sikhati hai Par skul main use bolne par 5r zurmana dena padta haiInterview main bolne par naukri deni padti haiOffice main bolne par hazaron ka nuksaan To hum is bolen kyun?

Page 2: Hindi debate:Hindi Bhasha ka vartamaan samay mein Auchitya

Ya I know: bollywood movies dekhne ke liye1 kyunki hindi mein to ab sirf vahi milti hai! Humare neta bhiu angrezi main hi bhashan dete hain.

Dhanyavad.