shaytan kay ba'z hathyar, by ameer ahle sunnat allama muhmmad ilyas attar qadr. شیطان کے...

Upload: obaidraza

Post on 03-Apr-2018

397 views

Category:

Documents


5 download

TRANSCRIPT

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    1/50

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    2/50

    SHAYTANKAYBAZHATHYAR

    Yeh risala Shaykh-e-Tareeqat, Ameer-e-Ahl-e-Sunnat, Baani-e-

    Dawat-e-Islami, Hazrat Allama Maulana Abu Bilal Muhammad Ilyas

    Attar Qadiri Razavi nay Urdu zaban mein tehreer

    fermaya tha, Majlis-e-Tarajim nay is risalay ko Roman-Urdu mein

    compose kiya hay. Ager is risalay mein kisi bhi tarah ki kami-bayshi

    paen to neechay diye gae postal ya e-mail address per Majlis-e-Tarajim

    ko aagah ker kay Sawab kay haqdar banye.

    Majlis-e-Tarajim (Dawat-e-Islami)

    Alami Madani Markaz, Faizan-e-Madinah, Mahallah sodagran,

    Purani Sabzi Mandi, Bab-ul-Madinah, Karachi, Pakistan

    Contact: +92-21-34921389 to 91

    E-mail: [email protected]

    Roman-Urdu

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    3/50

    ii

    Kitab Perhnay ki Dua

    Deeni kitab ya Islami sabaq perhnay say pehlay zayl mein di huyi

    Dua perh li-jiye jo kuch perhen gey yaad rahay ga.Dua yeh hay:

    Tarjama:

    Aey Allah (

    )! Ham per ilm-o-hikmat kay derwaazay khol day

    aur ham per Apni rahmat naazil ferma! Aey azmat aur buzurgi

    waalay!

    (Al-Mustatraf, jild. 1, safha 40)

    Note: Awwal aakhir aik bar Durood Shareef perh layn.

    Qiyaamat kay roz hasrat

    Ferman-e-Mustafa : Sab say ziyada hasrat Qiyaamat

    kay din us ko ho gi jisay dunya mein ilm haasil kernay ka moqa mila

    mager us nay haasil na kiya aur us shakhs ko ho gi jis nay ilm haasil

    kiya aur doosron nay to us say sun ker nafa uthaya laykin us nay na

    uthaya (yani is ilm per amal na kiya).

    (Tarikh-e-Dimishq-li-Ibn-e-Asaakir, vol. 51, pp. 138; Dar-ul-Fikr,

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    4/50

    1

    Shaytan apnaykhilaf likha huwa

    ye risala parhnay

    say lakh rokay

    magar ap is ko

    mukammal parh

    ker is kay war ko

    nakam bana dijiye.

    SHAYTAN KAY BAZ HATHYAR

    (Aik Malumati Maktoob)

    100 Hajaten puri hon giSultan-e-Do jahan, Madinay kay Sultan, Rahmat-

    e-Aalamiyan, Sarwar-e-Zeeshan

    ka ferman-e-Jannat nishan hay: Jo mujh per

    jumua kay din aur raat 100 mertaba durood

    shareef perhay Allah Taala us ki 100 hajaten

    puri fermae ga, 70 aakhirat ki aur 30 dunya ki aur Allah Taala aik

    firishta muqarrar ferma day ga jo is Durood-e-pak ko meri qabarmein yun pohnchae ga jesay tumhen tahaef pesh kiye jatay hain,

    bila shuba mera ilm meray wisaal kay bad wesa hi hoga jesa meri

    hayyat mein hay. (Jame-ul-Jawame-lil-Suyuti, jild 7, safha 199, Hadees 22355)

    Meethay meethay Islami bhaiyon! Aik dukh-yaray Islami bhai ki

    mail, maqamat, Islami bhaiyon aur khud mail bhejnay walay Islami

    bhai ka hazaf ker kay chand achi achi niyyaton kay sath maa ba-

    tagayyur chand Madani Phool hazir hain. Pehlay Tasarruf shuda

    mail parh lijiye.

    Mujhay Dawat-e-Islami kay Madani Mahol mein taqreeban 21 saal ho

    gae hain, un 21 saalon mein Madani Markaz ki taraf say di gayimukhtalif zimaydariyon ko nibhanay ka moqa milta raha hay, is

    waqt berun-e-mulk aik kabina kay khadim ki hesiyyat say Madani

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    5/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    2

    kaam karnay ki saadat hasil hay. Un 21 saalon mein bohot nashayb

    aur faraz dekhay lekin Madani Mahol mein istiqamat rahi. Kisi dor

    mein ghareeb Islami bhai ka bohot khayal kiya jata tha, agar is kay

    sath koi masla ho jata to us ki dil joyi ki jati thi lekin ab Dawat-e-

    Islami kay zimaydaran ki shafqaten Sirf ameer logon kay liye hain!

    Is baat ka aehsaas us waqt huwa jab teen maah pehlay Pakistan jana

    huwa, aik ghareeb Islami bhai (Dawat-e-Islami kay zimaydar) ki

    walidah fout ho gayi thi lihaza us kay ghar fatiha khuwani kay liye

    haziri hui. Doran-e-guftugu us nay bataya kay aik Rukun-e-Shura

    hamaray shahar tashreef lae lekin meray ghar fatiha khuwani kay liyenahin aey, aik rukun-e-Shura nay ramzan ka pura maah yahan

    guzara lekin woh bhi fatiha khuwani kay liye na aey. Aik aur ghareeb

    Islami bhai ki walida ka intiqaal huwa, unhon nay bhi isi tarah kay

    khayalat ka izhaar kiya. Us waqt mein nay sun li aur samjha kay

    shayad ye Islami bhai durust nahin farma rahay lekin is baat ka

    aehsas mujhay us waqt huwa jab 9 Muharam 1434 hijri mutabiq

    yakum December 2012 baroz hafta meri walidah ka intiqaal huwa,emergency mein Pakistan jana parra. Aik hafta ruka us kay bad

    wapsi hui. 187 mulkon mein Madani kaam karnay wali Dawat-e-

    Islami mein say sirf panch (5) Islami bhaiyon nay phone ker kay

    taziyyat ki. AikRukun-e-Shura kay maktab ki taraf say 41 Quran Pak

    kay Esaal-e-Sawab ki tarkeeb ki gayi. Aik aur Rukun-e-Shura nay

    phone kiya magar sirf tasalli di, Esaal-e-Sawab kuch nahin. Fatiha

    khuwani kay liye aik zimaydar tashreef laey unhon nay Esaal-e-

    Sawab bhejnay ka kaha lekin mein un kayEsaal-e-Sawab ka intizar

    hi kerta raha, un ko aur nigran-e-shahar ko haftay kay din khatam-e-

    pak ki dawat bhi di lekin... kiun kay ghareeb aadmi hun.

    Dawat-e-Islami ki taraf say Esaal-e-Sawab . 46 Quran-e-Pak,

    infiradi koshish say 313 Quran-e-Pak taqreeban, us kay Ilawa

    Durood-e-Pak lakhon ki tadaad mein, kalma pak lakhon ki tadaadmein, Surah Yaseen shareef, Surah Mulk, Surah Rahman aur bohot

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    6/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    3

    kuch Bohot say Islami bhai jo darhi walay nahin unhon nay bhi

    lakhon ki tadaad mein Durood-e-pakEsaal-e-Sawab kiya.

    Us kay ber aks .. (Muqam k naam hazaf kiya hay) Aik ameeraadmi ki zoja bimar thi us ki timardari kay liye Ameer-e-Ahl-e-

    Sunnat say phone karwaya gaya aur us ko Madani

    khabron mein bhi dikhaya gaya, ye meri walidah (ki wafat) say

    shayad teen din bad ka waqia hay. Pichlay saal (Muqam k

    naam hazaf kiya hay) aik ameer Islami bhai ka beta fout ho gaya,

    Rukun-e-Shura nay apna jadwal mansukh kiya aur us kay janazay

    mein shirkat ki tarkeeb ki. Ameer-e-Ahl-e-Sunnat aur Nigran-e-Shurah say phone bhi karwaey gaey, un kay khatam shareef per

    Rukun-e-Shura nay bayan bhi kiya. Berun-e-Mulk mein aik ghair

    Muslim kay pas kaam kerta hun us nay teen dafa phone kiya aur

    taziyyat ki. Meray pas jo log taziyyat kay liye aey un mein

    CouncillorGeneral of Pakistan aur us ka amla aik siyasi jamaat ka

    maqami sadar, press aur wahan kay maqami Ulama aur bohot say

    chahnay walay. Kash! Is mushkil waqt mein meri tahreek kay Islamibhai mujhay hosila detay aur apnay rishtay daron aur Ahl-e-Maahalla

    kay samnay mera bhi barham reh jata, Bahar-hal ye aehsaas huwa

    kayAgar mein Ameer hota to aesa na hota.

    Dunya-tay jo kaam na aaway okhay sokhay wailay

    Is bay faiz sanghi kolon behtar yar akelay

    Sag-e-Madina ka aehsas Kahin mujh say koi

    Naraz na ho jaey

    Islami Bhaiyon ki khidmaton mein targheeban arz hay kay mail parh

    ker Sag-e-Madina ko mazi mein mukhtalif janazon mein neez

    taziyyaton aur Iyadaton kay liye jana yad aa raha hay. Shayad hi koi Dawat-e-Islami wala aesa ho ga jis nay mujh say

    ziyadah ayadaten ki, janazay parhay aur tadfeen mein hissa liya ho,

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    7/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    4

    mujhay dar lagta tha kay kahin mayyaton ki taziyyaton aur

    mareezon ki ayadaton kay liye gharon aur hospitals mein janay

    kay talluq say meri sustiyon aur kotahiyon kay sabab kahin koi

    mujh say naraz ho ker sunnaton bharay Madani Mahol say dur na ja

    paray! Meray Khayal mein agar kisi kay Sukh mein hissa na bhi

    liya jae to aadmi itna naraz nahin hota jitna Dukh yani bimari,

    pareshani aur wafat kay muamilat mein hamdardi na karnay walay

    say naraz hota hay! Is zimen mein Madani Mahol hi ki aik hikayat

    pesh kerta hun, chuna-chay

    .. Tou Mein Dawat-e-Islami walon say dur ho gaya

    Aik ghareeb Islami bhai ka qissa ziyadah purana nahin, unhon nay

    (Sag-e-Madina

    ) Jo kuch bataya woh apnay alfaz mein arz kerta

    hun: Main barson say Madani Mahol say wabasta tha, apni bisaat

    bhar Dawat-e-Islami ka kuch na kuch Madani kaam bhi ker liya

    kerta tha. mein bemaar huwa, marz nay tol pakra hatta kay sahib-e-

    firash ho gaya aur 6 maah tak bistar-e-alalat per para raha, Sadd

    Karror Afsos! Bemari kay us mukammal doraniye mein hamaray

    shaher kay kisi Meethay meethay Islami bhai ka mujh dukhyaray

    kay ghareeb khanay per tashreef la ker ayadat kerna to kuja, kisi nay

    phone bhi na kiya, balkay yaqeen maniye dil joi kay liye S.M.S karnay

    tak ki kisi nay zehmat gawara na farmayi. Bina baren Dawat-e-Islami

    walon say aik dam mera dil toot gaya aur mein us say dur ho gaya,

    han aik nayk dil banda jo amalanDawat-e-Islami mein nahin hay usnay mujh per kamaal daraja shafqat ka muzahira kiya, hatta-kay woh

    mujhay doctors kay pas bhi lay jata raha, meray dil mein us ki

    mahabbat rasikh ho gayi aur mein us kay qareeb ter ho gaya.

    Allah taala Jannat kay do (2) Jorray pehnaye ga

    Maloom huwa kisi dukh-yaray Islami bhai ki dil joi na karnay say uskay Madani Mahol say dur ja parnay ka andesha hota hay agar chay

    dur nahin hona chahiye kay ye apnay hi paon per kulhara marnay

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    8/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    5

    kay mutaradif hay magar shetaan wasvasay daal ker us ki aakhirat

    tabah karnay ki koshish tez-tar ker deta hay lihaza is tarah kayi dur ho

    jatay hain, phir aesay mein jo koi un per hath rakh day usi kay ho jatay

    hongay aur kiya baeed is tarah kayi bay amal to kuch bad aqeedah

    bhi ban jatay hon! Bahar hal musibat zadah ki taziyyat mein hikmat

    hi hikmat hay aur ye sawab-e-akhirat ka kaam hay. Farman-e-

    Mustafa jo kisi ghamzadah shakhs say taziyyat karay

    ga Allah usay taqwa ka libaas pehnae ga aur roohon kay darmiyan

    is ki rooh per rahmat farmae ga aur jo kisi musibat zadah say

    taziyyat karay ga Allah usay jannat kay joron mein say do aesayjoray pehnae ga jin ki qeemat (Sari) dunya bhi nahin ho sakti. (Al-

    Maujam-ul-Ausat, jild 6, safha 429, Hadees 9292)

    Taziyyat kisay kehtay hain?

    Taziyyat ki mana hain: Musibat zadah aadmi ko saber ki talqeen

    kerna. Taziyyat masnoon (yani sunnat) hay. (Bahar-e-Shariat, jild 1,

    safha 852)

    Rutha huwa maan gaya

    Basa auqaat gham khuwari aur taziyyat kay dunya mein bhi

    samaraat dekhay jatay hain. Chuna-chay ye un dinon ki baat hay jin

    dinon Noor Masjid kaghazi bazaar Bab-ul-Madina Karachi mein

    meri imamat thi, aik Islami bhai pehlay meray qareeb thay phir kuch

    dur dur rehnay lagay thay, magar mujhay andazah na tha. Aik din

    fajar kay bad mujhay un kay walid sahib ki wafat ki khabar mili,

    mein foran un kay ghar pohncha, abhi gusul-e-mayyit bhi na huwa

    tha, dua fatiha ki aur lot aaya, namaz-e-janaza mein shareek ho ker

    qabrastan sath gaya aur tadfeen mein bhi pesh pesh raha. Us kay

    fawaed tasawwur say bhi barh ker huway, chuna-chay us Islami bhai

    nay khud hi inkishaf kiya kay mujhay Aap kay baray mein kisi naywarghalaya tha, us ki baaton mein aa ker mein Aap say dur ho gaya

    aur itna dur kay aap ko aata dekh ker chup jata tha lekin meray

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    9/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    6

    piyaray walid sahib ki wafat per Aap kay hamdardana andaz nay

    mera dil badal diya, jis aadmi nay mujhay Aap say bad-dil kiya tha

    woh meray walid marhoom kay janazay tak mein nahin aaya. Is

    waqiay ko tadam-e-tahreer koi 35 saal ka arsa guzar chuka hoga, woh

    Islami bhai aaj bhi bohot mahabbot kartay hain, nihayat ba asar hain,

    tanzimi tor per kaam bhi aatay hain, dhari sajaee hui hay, khud

    meray peer bhai hain magar un kay baal bachay neez degar bhai aur

    khandan kay mazeed afraad attari hain, chotay bhai ka Madani

    huliya hay aur Dawat-e-Islami kay zimaydar hain barray bhai bhi ba-

    imama hain.

    Dawat-e-Islami mein bhaari aksariyyat Ghareebon ki hay

    Agar chay kisi Sahib-e-Sarwat ya Hamil-e-Mansab aur manzilat

    shakhsiyat ki ayadat ya us kay sath taziyyat kerna koi khilaf-e-

    shariat amal nahin, achi achi niyyaton kay sath sunnat kay mutabiqun ki ayadat aur taziyyat bhi yaqeenan baesay sawab-e-aakhirat hay.

    Magar ye na ho kay sirf maldaaron, afsiron aur dunyavi shakhsiyaton

    ki gham-khuwariyan hoti rahin aur be-charay ghareeb intizar hi

    kartay rahen. Sach pucho to Dawat-e-Islami pehlay ghareebon aur

    nadaron ki hay bad mein maldaaron ki, Dawat-e-Islami kay

    Madani kaam dunya bhar mein phelanay walon mein ghuraba hi

    saf-e-awal mein hain, Waqf-e-Madina ho ker Dawat-e-Islami kay liye

    apni jawaniyan lutanay walay kon hain? Musalsal 12 maah aur 25

    maah sunnaton ki tarbiyyat kayMadani Qafilaykay musafir bannay

    walay kon hain? Dawat-e-Islami kay zayr-e-intizam chalnay wali

    sadha masajid kay imam aur muazzin kon hain? Jamiat-ul-Madina

    aur Madrasa-tul-Madinah kay hazaron Mudarriseen aur mukhtalif

    aham zimay dariyon per faez nigran kon hain? Yaqeen maniye! Ghalibnahin balkay aghlab tadaad un mein maldaaron ki nahin, ghareebon

    ya mutawasit-ul-haal Islami bhaiyon ki hay. Ye Ashiqan-

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    10/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    7

    e-Rasool sunnaton ki pabandiyon kay sath sath Madani kaamon ki

    bhi khub khub dhoomayn machatay hain, PurayRamzan-ul-Mubarak

    ka aetikaaf ho ya haftawar ijtimaat ya Madani Qafilon ka safar un

    mein bhaari aksariyat un hi Fuqara-e-Madina ki hoti hay.

    Be-shak Maldaaron ka bhi Deen mein hissa hay

    Main ye nahin kehta kay maaldar aur barri shakhsiyaat ka deen kay

    kaamon mein koi hissa hi nahin, be-shak in ka bhi zarur hissa hay

    in mein say bhi hamaray pas mubaligheen aur zimaydaran hainmagar nisbatan ki tadaad nihayat kam hay. Sarmaya daron aur

    dunyavi shakhsiyyat mein waqt ki qurbani denay walay aqqal-e-

    qaleel hotay hain, in hazraat ki aksariyyat sirf zakat aur attiyat denay

    per iktifa karti hay. Be-shak ahl-e-sarwat mein bhi nayki ki dawat ki

    dhoomen machayi jaen, ye hazraat masjiden aur madarasaybanwatay hain aur un manon mein in say bhi deen-e-Islam ki

    ronaqayn hain, in per bhi infiradi koshish jari rakhi jaen ta kay inmein namaziyon ki tadaad mein izafa ho aur ye bhi sunnat ki tarbiyat

    kayMadani Qafilon kay musafir banen. Magar us ka matlab her giz ye

    nahin kay ghareeb Islami bhai bhula diye jaen aur bay charay ap ki

    janib say honay wali infiradi koshish aur us kay zariye milnay wali

    Neki ki Dawat, ayadat aur taziyyat aur Esaal-e-Sawab ki majlis mein

    aap ki shirkat kay liye tarastay rahen aur aap un Ahl-e-sarwat kay

    yahan mayyit ho janay ki surat mein un kay gharon per ur ur ker

    pohnchtay hon, un say intihayi kha-shiana balkay khusha-madana

    lehjay mein baat cheet kartay hon inki khusnudi panay kay liye un kay

    fout shudgaan kay bliye Esaal-e-Sawab ka ambaar lagatay hon, Dawat-

    e-Islami kay aham zimaydaran say un ki taziyyat kay liye phone kar

    watay hon, phir kar-kardigi bhi wusool kartay hon kay aaya fulan

    Party ya shakhsiyat ko aap nay phone kiya ya nahin? Umeed kerta

    hon meri ye baaten Ahl-e-sarwat ki bhi samajh mein aati hon gi! Ye

    hazraat bhi ghor farmaen kay agar in ki kothi kay chokidar kay walid

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    11/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    8

    sahib fout ho jaeyn to in ka tarz-e-amal kiya hota hay aur waqif

    kaaron mein say kisi siyasi ya samaaji leader ya sarmayadar kay walid

    ka intiqal ho jae to phir kiya andaz hota hay! Dunyavi shakhsiyat kay

    janazay mein aur ghareeb aadmi agar chay nayk namazi ho us kay

    janazay mein awami haziri ka farq kon nahin janta! Bahar hal! Aesa

    nahin hona chahiye, maldaaron ko bhi chahiye kay apnay mulazimon

    aur chokidaron waghera kay sath sath khub khub gham-khuwari

    bhara bartao farmaen.

    Ghurbat kay fazael

    Ghareeb aur ameer donun hi teen Farameen-e-Mustafa

    mulahiza farmaen: (i) mein nay jannat mein mulahiza farmaya to

    Ahl-e-jannat mein fuqara ko ziyadah dekha. (Musnad Imam Ahmed Bin

    Hanbal, jild 2, safha 582, Hadees 6622) (ii) Fuqara, maldaaron say 500

    baras pehlay jannat mein jaen gay. (Tirmizi, jild 4, safha 157, Hadees 2358)

    (iii) Jo shakhs achi tarah namaz parhta ho, us kay ayyaal (yani gharwalay) ziyadah aur maal kam ho aur woh shakhs musalmaanon ki

    gheebat na kerta ho mein aur woh jannat mein in do (ungliyon) ki

    tarah hon gay. (Yani Aap nay angisht-e-shahadat aur beech ki ungli

    mila ker dikhaya). (Jama-ul-Jawamie-lil-suyuti, jild 7, safha 149,

    Hadees 21835)

    Ijtima-e-Zikr-o-Naat barae Esaal-e-Sawab

    Dawat-e-Islami kay tamam zimaydaron ki khidmaton mein Madani

    iltija hay kay aap kay yahan kisi Islami bhai ko maraz ya musibat

    (maslan bacha bimar hona, nokri chottna, chori ya dakayti hona,

    scooter ya mobile phone chin jana, haadisa pesh aana, karobar mein

    nuqsan ho jana, Imaarat gir jana, Aag lag jana, kisi ki wafat ho jana

    waghera koi sa bhi sadma) pohnchay, Sawab ki niyyat say us dukh-yaray ki dil joi ker kay Sawab-e-Azeem kay haqdar baniye kay Farman-

    e-Mustafa hay: Be-shak Allah Taala ki bargah mein

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    12/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    9

    faraez kay bad sab say ziyadah pasandidah amal ye hay kay musalman

    ko khush karay. (Al-Mujam-ul-Kabeer, jild 11, safha 59, Hadees 11079)

    Intiqal ho janay per ho sakay to foran mayyit kay ghar waghera per

    haziri dijiye, mumkina surat mein Ghusul-e-Mayyit, Namaz-e-Janaza

    balkay tadfeen mein bhi hissa lijiye. Maldaaron aur dunyavi namdaron

    ki dil joi karnay walon ki umuman achi khasi tadaad hoti hay, magar

    be-charay ghareebon ka Pursan-e-Haal kon? Be-shak achi achi

    niyyaton kay sath aap ahl-e-sarwat ki taziyyat farmaiye magar

    ghareebon ko bhi nazar andaz mat kijiye, in Shakhsiyyat kay sath

    sath bilkhusoos aap kay jis ma-tahat ghareeb Islami bhai kay yahanmayyit ho jae, usay rishtay daron waghera ko jama karnay ki targeeb

    dila ker us kay makaan per ziyadah say ziyadah 92 minutes ka

    ijitma zikr-o-naat rakhiye, agar sab tak awaz pohnchti ho to phir

    bila haajat Sound System laganay kay muamilay mein khuda say

    dariye, hasb-e-hesiyyat langer-e-rasael ka zarur zehen dijiye, magar

    taam ka aehtimaam her giz na honay dijiye, (mas-ala: teejay ka khana

    aghniyan kay liye jaez nahin sirf ghuraba-o-masakeen khaen, teendin kay bad mayyit kay khanay say aghniyan (yani jo faqeer na hon

    un) ko bachna chahiye) jo waqt teh ho jaey us ki pabandi kijiye,

    Bad namaz-e-Isha hoga kehnay kay bajae gharri kay mutabiq waqt

    teh kijiye maslan raat 9 bajay ka teh huwa hay to logon ka intizar

    kiye baghair theek waqt per tilawat say aagaz ker dijiye , phir naat

    shareef (dorania 25 minute), sunnaton bhara bayan (dorania 40

    minute) aur akhir mein zikrullah (dorania 5 minute), rikkat angezdua (dorania 12 minute) aur Sallat-o-Salaam (teen ashaar) maa

    ikhtitami dua (dorania 3 minute). Ilaeqay kay tamam zimaydaran,

    mubaligheen, mumkina Surat mein markazi Majlis-e-Shura kay

    arakeen aur digar Islami bhaiyon ki shirkat yaqeeni banaiye aur

    koshish ker kayEsaal-e-Sawab kay liye wahan hathon hath Madani

    Qafilay safar karwaiye.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    13/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    10

    Sag-e-Madina ki janib say ki gayi jawabi mail

    Sag-e-Madina Muhammad Ilyaas Attar Qadiri

    Razavi ki janib say muballighay Dawat-e-Islami meraymeethay meethay Madani betay .. Attari ki khidmatmein,

    Ankhen ro ro kay sujanay walay

    Janay walay nahin aanay walay

    (Hadaeq-e-Bakhshish Shareef)

    Nigran-e-Shura Abu Hamid Imran Attari nay mujhay aap kimail forward ki, Jis mein Aap ki Ammi jaan ki wafat-e-hasrat ayaat

    ka tazkirah tha, sabar-o-himmat aur hosilay say kaam lijiye aur sabghar walon ko bhi yahi talqeen farmaiye. Allah Tabarak-wa-Taala

    marhuma ko ghareeq-e-rahmat karay, be-hisaab bakhshay, Ap ko

    aur tamam lawahiqeen ko sabar-e-jameel per ajr-e-jazeel marhamat

    farmaey.

    Aah! Mujh gunahgaron kay sardar kay pas naykiyan kahan! Gunahon

    kay ambar hay, Kash! Gunahon ka bakhshnay wala Rab-e-Gaffar

    mujh papi aur badkar ko muafi ki bheek say nawaz ker mahaz apni

    rahmat say meri khataon kay pulanday per attaon ki barishen farma

    day aur meray gunah naykiyon say badal day. Zahay naseeb! Aesa

    hi ho, Allah ki rahmat kay bharosay mein apnay pas mujood

    tamam naykiyon ka rahmat Ilahi kay mutabiq milnay wala sawabbargah-e-Risalat Maab mein nazar ker kay Aap kiWalidah marhuma ko Esaal-e-Sawab kerta hon.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    14/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    11

    Tahreer baz auqaat apnay muharrir kay mizaj ki akkas

    hoti hay

    Umuman aadmi ko apni tareef achi hi lagti hay aur ghalati batanaywala aik aankh nahin bhata aison hi ki tarjumani kartay huway kisi

    nay kaha hay:

    Nasiha! Mat ker nasihat dil mera ghabrae hay

    Us ko dushman janta hun jo mujhay samjhae hay

    Dua go hun kay Allah Rab-ul-Izzat ba tufayl-e-tajdar risalat

    hamari be-hisaab maghfirat karay aur nasihat qaboolkarnay wala qalb Inayat farmae.

    Meethay Meethay Madani Betay: Aap ki mail mein mujh per Shaytan

    kay Baz Hathyaron ka Inkishaf huwa hay. Khuda-e-Gaffar

    hamen shetan kay her war say mahfooz farmae. . Baraeymeharbani Sayyiduna Farooq Aazam ka ye irhsad-e-

    girami hay: Mujhay woh shakhs mahboob (yani piyara) hay jo meray

    uyyub say mujhay agaah karay (Al-tabaqat-ul-Kubra-la-bin-saad, jild 3,

    safha 222) Pesh-e-nazar rakhtay huway meray Madani Phoolon per

    thanday dil say ghor fermatay chalay jaiye. Dekhiye! Mujh say naraz na

    ho jana, Meray Aaqa Aala Hazrat Imam Ahmed Raza Khan

    kay is anmol qoul ka wasita jis mein irshad farmaya gaya hay: Insaaf

    pasand tou us kay mamnoon (yani shukur guzar) hotay hain jo

    unhen sawab (yani durusti) ki rah batae (Malfuzat-e-Ala Hazrat (4

    Hissa) safha 220 Maktaba-tul-Bab-ul-Madina Karachi) hazaar bar

    paon pakar ker aur lakhon maziraton kay sath arz hay: Tahreer basa

    auqaat apnay muharrir (yani likhnay walay) li qalbi kayfiyaat ki akkaas

    hoti hay nmail parrh ker islah ki zarurat mahsoos hui lihaza kuchMadani Phool hazir-e-khidmat kerta hun agar meray ye mahsusaat

    ghalat hon to dast-e-basta muafi ki khairat ka khuwastgaar hun.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    15/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    12

    Khud ko Aham Shakhsiyat samajhna bhool hay

    Jab insan apnay aap ko Aham na samjhay to usay kisi kay Na

    Puchnay ka gham nahin pohnchta. Meray bholay bhaalay Madanibetay: Jin ko pucha nahin jata basa auqaat un ki bhi apni shaanayn

    huwa kerti hain. Kash kay hum bhi aesay hotay jesa kay Hazrat

    Sayyiduna Hasan say marvi hay kay Ameer-ul-Mumineen

    Hazrat Sayyiduna Ali-ul-Murtaza Shayr-e-Khuda nay

    irshad farmaya: Allah kay gumnaam bandon kay liye khush

    khabri hay! Woh banday jo khud to logon ko jantay hain lekin log

    unhen nahin pehchantay Allah nay (Jannat per muqarrarfirishtay Hazrat Sayyiduna) Rizwan ko un ki pehchan kara di hay yehi

    log hidayat kay roshan chiragh hain aur Allah nay tamam tareek

    fitnay un per zahir ferma diye hain. Allah unhen apni rahmat

    (say jannat) mein dakhil fermae ga. Ye shohrat chahtay hain na zulm

    kartay hain aur na hi riyakari mein parrtay hain. (Allah Walon ki

    Baaten jild 1, safha 162, Hiyat-ul-Auliya, jild 1, safha 118)

    Deen ki khidmat kay sabab Izzat ki talab

    Meray meethay meethay Madani betay: Kisi shakhs ka apnay liye ye

    zehin bana lena kay mein nay chunkay deen ki khidmat ki (Ya

    Ahkaam-e-Shariat kay aen mutabiq Dawat-e-Islami ka Madani

    kaam kiya hay) is liye mujhay fulan fulan muraat milni hi chahiye,

    meri hesiyyat tasleem ki jae, meri hosila afzaee honi chahiye (halan-kay ye aik tarah say apni tareef ka mutaliba hay kay hosila afzayi

    umuman tareef ker kay hoti hay) meri dil joi bhi hoti rahay, mujh

    per musibat aaey to mujhay bashamool shakhsiyaat kaseer afraad

    dilasa den (kay mein nay deen kay barray barray kaam jo kiye

    hain!) Yad Rahiye! Deen ki khidmat aala darajay ki Ibadat hay aur

    Ibadat per dunya walon say aewaz aur badla talab karnay ki ijazat

    nahin, jesay apni deeni khidmat ka aehsas huwa aur is bina per uska nafs wah wah aur Izzat waghera ki talab mahsoos karay usay

    Riyakari ki Tareef per nazar ker leni chahiye. Chuna-chay Dawat-e-

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    16/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    13

    Islami kay ishaati idaray Makataba-tul-Madina ki matbua 616 safhaat

    per mushtamil kitaab, Neki ki Dawat safha 66 per hay: Riya ki

    tareef ye hay: Allah

    ki riza kay Ilawa kisi aur iraday say

    Ibadat kerna goya Ibadat say ye gharz ho kay log us ki Ibadat per

    aagah hon takay woh un logon say maal batoray ya log us ki tareef

    karen ya usay nayk aadmi samjhen ya usay Izzat waghera dayn. (Al-

    Zawajir Ainiqtiraaf-ul-Kabair, jild 1, safha 86)

    Riyakari ka Dard nak azaab

    Farman-e-Mustafa hay: Be-shak jahanum mein aikwaadi hay jis say jahanum rozana 400 martaba panah mangta hay,

    Allah nay ye waadi Ummat-e-Muhammadiya

    kay un riyakaron kay liye tayar ki hay jo Quran Pak kay hafiz,

    Ghairullah kay liye sadqa karnay walay, Allah kay ghar kay

    Haji aur Rah-e-Khuda mein nikalnay walay hon gay. (Al-

    Muajam-ul-Kabeer, jild 12, safha 136, Hadees 12803)

    Bacha lay riya say bacha Ya Ilahi

    Tu ikhlaas ker day atta Ya Ilahi

    (Tafseeli malumat kay liye Maktaba-tul-Madina ki matbua 166 safhaat

    per mushtamil kitaab Riyakari ka mutalia farmaiye)

    Khud-Pasandi ki Tabah Kaariyan

    Khud Pasandi ki tareef

    Meethay meethay Madani betay: Basa auqaat aadmi nayk kaam tokerta hay magar us per shetan ka hathiyar kargir ho chukka hota

    hay aur woh isay apna zaati karnama samajh bethta hay usay ye

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    17/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    14

    aehsas nahin rehta kay Allah ki di hui tofeeq hi say mein ye ker

    raha hun. Sabhi kay liye zaruri hay kay woh shetan kay is hathyar

    ujub yani Khud Pasandi ki tareef aur is ki tabah kaariyon per

    nazar rakhen. Khud pasandi ki tareef ye hay: Apnay kamal (maslan

    ilm ya amal ya maal) ko apni taraf nisbat kerna aur is baat ka khof na

    hona kay ye chhin jae ga. Goya khud pasand shakhs namat ko munim

    haqeeqi (yani Allah ) ki taraf mansoob kerna hi bhool jata hay.

    (Yani mili hui namat maslan sehat ya hussun-o-Jamaal ya dolat ya

    zehniyat ya khushi-ul-hani ya mansab waghera ko apna karnama

    samajh bethna aur ye bhool jana kay sab Rab-ul-Izzat hi ki Inayathay). (Ihya-ul-Uloom, jild 3, safha 454)

    Khud Pasandi ki aham wazahat

    Hujjat-ul-Islami Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad

    Bin Muhammad Bin Muhammad Ghazali likhtay hain: Jo

    shakhs ilm aur amal aur maal kay zariay apnay nafs mein kamal

    janta ho us ki 2 haalaten hain: un mein say aik ye hay kay usay us

    kamal kay zawal ka khof ho yani is baat ka darr ho kay us mein koi

    tabdeeli aa jae gi ya bilkul hi salb aur khatam ho jae ga to aesa aadmi

    Khud Pasand nahin hota. Dosri halat ye hay kay woh us kay zawal

    (yani kam ya khatam honay) ka khof nahin rakhta ho balkay woh is

    baat per khush aur mutmaeen hota hay kay Allah Taala nay mujhay

    ye nemat atta farmayi hay is mein mera apna kamal nahin, ye bhiKhud Pasandi nahin hay aur is kay liye aik teesri haalat bhi hay aur

    woh ye hay kay is kamal kay zawaal (yani kam ya khatam) ka khof

    nahin hota bal-kay woh is per masroor o mutmaeen hota hay aur is ki

    mussarat ka baes ye hota hay kay ye kamal, nemat aur bhalayi aur sar

    bulandi hay, woh is liye khush nahin hota hay ye Allah Taala ki

    Inayat aur nemat hay balkay us (Yani khud pasand banday) ki khushi

    ki wajah ye hoti hay kay woh isay apna wasf (yani khubi) aur khudapna hi kamal samajhta hay woh isay Allah Taala ki atta aur Inayat

    tasawwur nahin kerta. (Ihya-ul-Uloom, jild 3, safha 454)

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    18/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    15

    Main to khoob deen ki khidmat kerta hun!

    Baz auqaat insan bazahir achay aamaal kerta hay lekin woh is kay

    apnay haq mein achay nahin hotay kiun kay shetan ka hathiyar usper chal janay kay sabab woh us per itrata hay kay mein bohot nayk

    kaam kerta hun, khub deen ki khidmat kerta hun, mein nay ye bhi

    kiya aur woh bhi kiya, woh ye bhool jata hay kay mujhay is ki tofeeq

    meray perwardigar nay atta farmayi hay, aesay itranay walon ko

    dar jana chahiye kay Parah 16 Surah Kahafaayat number 104 mein

    Rab-ul-Ibaad ka irshad-e-Ibrat bunyad hay:

    Aur woh is khayal mein hain kay ham acha kaam ker rahay hain.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 16, Surah Kahf, Ayat 104)

    Is aayat karima kay tahat Mufassir-e-Shaheer, hakeem-ul-Ummat,Hazrat Ahmed Yar Khan fermatay hain: Is say maloom

    huwa kay badkaar say ziyadah bad naseeb woh nayk kaar hay jo

    mehnat utha ker naykiyan karay magar us ki koi nayki us kay kaam

    na aaway, woh dhokay mein rahay kay mein nayk kaar hun. Khuda

    ki panah. (Noor-ul-Irfan, safha 485)

    Main nay ye kiya! mein nay woh kiya!

    Apnay aamaal ko kuch samajhna aur us per itrana aur apnay

    munh miyan mithu banna kay mein nay ye kiya! woh kiya! ye

    buri sifat hain Allah Taala Para 27 Surah Najam aayat number 32

    mein irshad farmata hay:

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    19/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    16

    -

    Woh tumhen khub janta hay tumhen matti say payda kiya aur jab tum

    apni maaon kay pait mein hamal thay tou aap apni janon ko suthra na

    batao, woh khub janta hay jo parhezgar hain.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 27, Surah Najm, Ayat 32)

    Is Aayat-e-Kareema kay tahat Mufassir-e-Shaheer, hakeem-ul-ummat,Hazrat Mufti Ahmed Yar Khan fermatay hain: Ye Aayat

    un logon kay mutaliq nazil hui jo apni naykiyon per fakher kartay

    thay aur fakhiriya kehtay thay kay hamari namazen aesi hain! Hamaray

    rozay aesay hain! Hum aesay! Us (yani Allah Taala) hi ka

    jaanna kafi hay tum apnay taqwa taharat ka logon mein kiun aelaan

    kartay ho! Lutf to jab hay kay banda kahay: Main gunahgar hun Rab

    ( ) kahay: Ye parhezgar hay! Jesay Abu Bakr Siddique ( ).(Noor-ul-Irfan, safha 841-842)

    Is Aayat-e-Kareema kay tahat Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna

    Imam Abu Hamid Muhammad Bin Muhammad Bin Muhammad

    Ghazali fermatay hain: Hazrat Sayyiduna Ibn Jurayj

    fermatay hain: is ka manaa ye hay kay jab tum acha amal

    karo to ye na kaho: Main nay Amal kiya. (Ihya-ul-Uloom, jild 3, safha 452)

    Khud Pasandi ki mazammat per Buzrugan-e-Deen kay

    5 Farameen

    1. Umm-ul-Mumineen Hazrat Sayyidatuna Ayesha Siddiqa

    say pucha gaya kay aadmi gunahgar kab hota hay?

    Farmaya: Jab usay ye guman ho kay mein nayk-o-kaar yani nayk

    aadmi hun. (Ihya-ul-Uloom, jild 3, safha 452)

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    20/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    17

    2. Mashhoor Tabiee Hazrat Sayyiduna Zaid Bin Aslam fermatay hain: Apnay aap ko nayk-o-kaar mat qarar do kiun kay

    ye khud pasandi hay. (ibid)

    3. Hazrat Sayyiduna Mutarrif fermatay hain: mein raatbhar Ibadat karun aur subah khud pasandi mein parroon yani

    ye samjhun kay mein to bara nayk aadmi hun is say behtar yehi

    hay kay raat soya rahun aur subuh raat ki Ibadat say mahrumi

    per afsoos karun. (ibid)

    4. Hazrat Sayyiduna Bishar Bin Mansoor un logon meinsay thay jin ko dekh ker Allah Taala aur aakhirat ka ghar yad

    aata hay, kiun kay woh Ibadat ki pabandi kartay thay. Aap

    nay aik din namaz parhi, aik shakhs kay peechay

    kharra dekh raha tha. Aap nay salam phayra to (Khof-e-

    Khuda say maghloob ho ker khud pasandi kay bachnay kay liye

    bator aajizi) fermaya: Jo kuch mujh say dekha hay us say tumhen

    tajub nahin hona chahiye kiun kay shetan laeen nay firishton kay

    hamrah aik taveel arsa Allah Rab-ul-Izzat ki Ibadat ki phir us

    ka jo anjaam huwa woh wazeh aur zaahir hay. (ibid. safha 453)

    5. Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid MuhammadBin Muhamad Bin Muhammad Ghazali fermatay hain:

    Nayk kaamon ki tofeeq Allah Taala ki nematon mein say aik

    nemat aur us kay attiyyaat mein say aik attiyah (yani bakhshish)

    hay lekin khud pasandi hi ki wajah say nadan insan apni zaat ki

    tareef kerta aur pakeezgi zahir kerta hay aur jab woh apni raey,

    amal aur aqal per itrata hay to faeda hasil karnay, mashvirah lenay

    aur puchnay say baz rahta hay aur yun apnay aap ko aur apni raey

    per aetimad kerta hay.(Kay mein bhi to samajh bujh rakhta hun,

    kiya zarurat hay kay dusron say mashwara lun!) (ibid, safha 822)Aagay chal kay mazeed fermatay hain: Abid ko apni Ibadat per,

    Alim ko apnay ilm per, khubsurat ko apni khubsurati aur hussun-

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    21/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    18

    o-jamaal per aur maaldar ko apni maaldari per itranay ka koi haq

    nahin pohnchta kiun kay sab kuch Allah Taala kay fazal-o-karam

    say hay. (ibid, safha 836) Yani zihaanat, ilaaj karnay ki salahiyyat,

    khush-ilhani-o-khush bayani waghera ki nemat waghera jis ko jo

    kuch mila us mein banday ka apna koi kamal hi nahin jo diya jitna

    diya sab Allah Taala nay hi diya hay.

    Khud Pasandi ka Ilaaj

    Hujjat-ul-Islam Harzat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad

    Bin Muhamad Bin Muhammad Ghazali fermatay hain:Sahaba-e-Karaam (Muttaqi aur parhezgar aur Siddq-o-

    Ikhlaas kay paykar honay kay bawajood khuda kay darr kay sabab)

    tammana kiya kartay thay kay kash! Woh matti, tinkay aur parinday

    hotay (ta kay buray khatimay aur azaab-e-qabar aur aakhirat say be-

    khof hotay) to jab sahaba ki ye kayfiyat thi to koi sahib-e-baseerat

    (yani samajhdaar shakhs) kis tarah apnay amal per itra sakta ya

    naz ker sakta hay aur kis tarah apnay nafs kay muamilay mein be-

    khof reh sakta hay! To ye (yani sahaba-e-Karaam ka khof

    aur un ki ajizi zehin mein rakhna) khud pasandi ka elaaj hay aur is

    say is ka maadah bilkul jarr say ukharr jata hay aur jab ye (yani

    Sahaba-e-Karaam kay darnay ka andaz) dil per ghalib aata

    hay to salb-e-nemat (yani nemat chin janay) ka khof isay itranay (aur

    khud ko kuch samajhnay say) bachata hay balkay jab woh kafironaur fasiqon ko dekhta hay kay kisi ghalati kay baghair hi jab un

    (yani kafiron) ko emaan say mahroom rehna parra aur un (yani

    fasiqon) ko ittaat aur farman bardari say hath dhona parra to woh

    (Yani Sahaba-e-Karaam ka khof yad rakhnay wala shakhs) apnay

    haq mein dartay huway ye baat samajh leta hay kay Rab-e-Kaenaat

    ki zaat be-niyaz hay woh chahay to kisi ko kisi jurum kay baghair hi

    mahroom ker day aur jisay chahay kisi kay waseelay kay baghair hiatta ker day. Khuda-e-be-niyaz apni di hui nemat bhi wapas

    lay sakta hay. Kitnay hi momin ( ) murtad ho gae jab kay bay

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    22/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    19

    shumar parhezgar aur Ittaat guzar fasiq ho gae aur un ka khatima

    acha na huwa. Is tarah ki soch say khud pasandi khatam ho jati hay.

    (ibid, safha 458)

    Hub-e-Ja aur Khud pasandi mitta day adaten

    Ya Ilahi! Bagh-e-jannat ki ata ker rahaten

    Ikhlaas

    Piyaray Madani betay! Yad Rakhiye! Ye bhi shetan ka aik bohot

    bara aur bura hathiyar hay kay aadmi ko is khush fehmi mein

    mubtila ker day kay mein bohot acha insan hun aur mein nay Islamki bohot khidmat ki hay. Shaytan kay is war ko nakaam banatay

    huway bus ye hi zehin bana lijiye kay apnay tor per mein nay ab tak

    koi deen ka kaam kiya hay na hi achay aamaal, mein kuch bhi

    nahin, mein sab say bura hon. Neez Allah ki di hui tofeeq say

    agar koi nayki ka moqa naseeb ho bhi jae to usay zewar-e-ikhlaas

    say muzayyan kijiye. Allah Taala Bawaseela Mustafa Aap ko aur Aap kay sadqay mujh gunahgaron kay sardar ko apnamukhlis bandah banae. Ameen Ferman-e-Mustafa : Jo

    bandah 40 din khalis Allah Taala kay liye amal karay Allah Taala

    hikmat kay chashmay us kay dil ki zaban per zaahir ker deta hay. (Al-

    Targheeb-Watahreeb, jild 1, safha 24, Hadees 13)

    Ikhlaas ki 5 tarifaat

    1. Sirf Allah ki riza kay liye amal kerna aur makhlooq ki khushnudiya apni kisi nafsaani khuwahish ko is mein shamil na honay dena.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    23/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    20

    2. Hazrat Allama Abdul Ghani Nabulusi Hanfi likhtayhain: Ikhlas is cheez ka naam hay kay banda amal say sirf Allah

    ka qurb hasil karnay ka iradah karay, kisi qisim ka dunyavi

    nafa maqsood na ho. (Al-Hadiqat-u-Nadiyyat jild 2 safha 642)

    3. Hazrat Sayyiduna Huzaifa Marashi fermatay hain:Ikhlaas is chez ka naam hay kay zahir-o-batin (akelay aur dusron

    ki mojudgi may) banday ka amal baraber hon. (Al-Majmue-li-Navavi,

    jild 1, safha 17)

    4. Hazrat Sayyiduna Muhasibi fermatay hain: Ikhlas yehay kay jo Rab ka muamila ho us mein say makhlooq ko nikal day.(Ihya-ul-Uloom, jild 5, safha 110)

    5. Hazrat Sayyiduna Sahal Bin Abdullah Tustari fermatayhain: Ikhlas ye hay kay khalwat-o-jalwat (yani tanhayi aur dusron

    ki mojudgi) mein banday ki harkaat-o-saknaat sirf Allah kay

    liye hon, Is mein nafs, khuwahish ya dunya ka koi dakhal na ho.

    (Al-Majmoe-ul-li-Navavi, jild 1, safha 17)

    Ikhlas kay mana Riza-e-Ilahi kay liye amal kerna

    Ikhlas Ibadat ki rooh hay, Sadr-us-Sharia, Badr-u-Tareeqa Hazrat

    Allama Maulana Mufti Amjad Ali Azami fermatay hain:

    Ibadat koi bhi ho us mein ikhlas nihayat zaruri cheez hay yani

    mahaz rizae Ilahi kay liye amal kerna zaruri hay. Dikhaway kay torper amal kerna bil-ijma Haraam hay, balkay Hadees mein riya ko

    Shirk-e-Asghar farmaya. Ikhlas hi woh cheez hay kay is per sawab

    murattab hota hay, ho sakta hay kay amal saheeh na ho magar jab

    ikhlas kay sath kiya gaya ho to us per sawab murattab ho maslan la-

    ilmi mein kisi nay najjas (yani na-pak) pani say wuzu kiya aur namaz

    parh li agar chay ye namaz saheeh na hui kay sehat (yani durust

    honay) ki shart taharat (paki) thi woh nahin payi gayi magar us nay

    sidq-e-niyyat (yani sachi niyyat) aur ikhlas kay sath parhi hay to

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    24/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    21

    sawab ka tarattub hay yani is namaz per Sawab pae ga magar jab kay

    bad mein maloom ho gaya kay na-pak pani say wuzu kiya tha to

    (namaz na hui aur) woh mutaliba jo is kay zimay hay saqit na hoga,

    woh ba-dastoor qaem rahay ga is ko ada kerna hoga. (Bahar-e-Sahriat,

    jild 3, safha 636)

    Ikhlas ye hay kay Apnay Amal ki Tareef na-pasand ho

    Jin ka zehen ye hota hay kay hum nay bohot sara ilm-e-deen hasil

    kiya, taleem ilm-e-deen kay imtihan mein dusron say mumtaz aaey,

    itna itna Islam ka kaam kiya, kitaben tasneef keen, fulan fulan achayamaal kiye, Dawat-e-Islami kay sunnaton ki tarbiyat kayMadani

    Qafilon mein itna itna arsa safar kiya, hamari tareef-o-hosila

    afzayi honi chahiye, hamhen tohfa-o-inaam diya jana chahiye, woh

    shetan ka hathiyar nakaam banatay huway is hikayat say dars-e-Ibrat

    hasil karen chuna-chay Hazrat Sayyiduna Isa Roohullah

    say hawariyon nay arz ki: Kis ka amal khalis hay? Fermaya:

    Us ka jo Allah ki riza kay liye amal kerta hay aur usay ye baat

    pasand nahin hoti kay is (amal) per us ki koi tareef karay! (Ihya-ul-

    Uloom, jild 5, safha 110)

    Ikhaas kay mutaliq Buzurgan-e-Deen kay 5 ferameen

    1. Hazrat Sayyiduna Yaqoob Makfoof fermatay hain:Mukhlis woh hay jo apni nekiyan is tarah chupae jis tarah apnaygunah chupata hay. (Ihya-ul-Uloom, jild 5, safha 105)

    2. Hazrat Sayyiduna Saree Saqati fermatay hain: Agartum ikhlas kay sath alehdigi mein do raqaten parho to ye baat

    tumharay liye 70 ya 700 Ahadees umdah asnaad kay sath likhnay

    say behtar hay. (ibid, safha 106)

    Ferman-e-Mustafa : Aadmi ka aesi jaga nafal

    namaz parhna jahan log usay na dekhtay hon, logon kay samnay

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    25/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    22

    ada ki janay wali 25 namazon kay baraber hay. (Jama-ul-Jawamie,

    jild 5, safha 83, Hadees 13620)

    3. Aik buzrug ka qoul hay: Aik saat ka ikhlas hamesha ki nijat kabaes hay lekin ikhlas bohot kam paya jata hay. (Ihya-ul-Uloom, jild 5,

    safha 106)

    4. Hazrat Sayyiduna Khawaas fermatay hain: Jo shakhsriyasat (yani iqtidar aur dusron per bartari) ka piyala peeta hay

    woh bandagi kay ikhlas say nikal jata hay. (ibid, safha 110)

    5. Hazrat Sayyiduna Fuzail nay feramaya: Logon ki wajahsay amal chorna riya hay aur makhloq ko dikhanay kay liye amal

    kerna shirk-(Asghar) hay. (ibid, safha. 110)

    Teen attaen teen mahrumiyan

    Baz Buzrugon nay farmaya: Allah Taala jab kisi banday ko na-

    pasand kerta hay to usay teen baaten atta kerta hay aur teen batonsay rok deta hay. (i) Usay Saliheen (yani nayk bandon) ki sohbat to

    atta kerta hay magar woh banda un ki koi baat qabool nahin kerta

    (ii) Usay achay aamaal ki tofeeq to deta hay lekin usay ikhlaas say

    nahin nawazta (iii) Usay hikmat to Inayat fermata hay lekin usay us

    mein sadaqat say mahroom rakhta hay. (ibid, safha 106)

    30 Baras ki namazen qaza keen

    Aik Buzurg fermatay hain: mein nay 30 baras ki namazen

    qaza keen, wajah is ki ye hui kay mein hamesha her namaz pehli saff

    mein ba-jamaat ada kerta raha. 30 baras kay bad kisi majburi kay

    sabab ta-kheer ho gayi aur mujhay dusri saf mein jaga mili, is say

    mujhay sharmandigi mahsoos hui kay aaj log kiya kahen gay! Ye

    khayal aanay kay sabab mein jaan gaya kay jab log mujhay pehli saffmein dekhtay thay to is say mujhay khushi hoti thi aur ye baat meray

    dil ki rahat ka baes thi.(warna mujhay sharmandigi hoti hi kiun, kay

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    26/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    23

    aaj log kiya kahen gay! To goya 30 baras say mein logon ko dikhanay

    kay liye pehli saf mein namaz parhta raha hon!) (Ihya-ul-Uloom, jild 5,

    safha 108, bitasarruf)

    Hikayat: Na sawab mila na azaab

    Aik taveel riwayat mein hay kay aik buzrug nay wafat kay bad kisi

    kay khuwab mein fermaya: mein nay aik sadaqa logon kay samnay

    diya to un ka meri taraf dekhna mujhay pasand aaya to mein nay

    intiqal kay bad dekha kay na to mujhay sawab mila aur na hi is per

    azaab huwa. Hazrat Sayyiduna Sufyan Sauri ko jab yewaqia bataya gaya to fermaya: Ye un ka acha maal hay kay azaab

    na huwa ye to aen aehsaan hay.(Ihya-ul-Uloom, jild 5, safha 105)

    Mubaligh per shetan ka war

    Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad

    Bin Muhammad Bin Muhammad Ghazali fermatay hain:

    (baz waizeen-o-mubaligheen) is baat per khush hotay hain kay log

    un ki baat tawajjah say suntay aur qabool kartay hain aur aesa waiz

    (ya mubaligh) dawa kerta hay kay meri khushi kay baes ye hay kay

    Allah Taala nay deen ki himayat meray liye aasan ker di. Agar is

    (Waez ya mubaligh) ka koi ham-asar us say acha waiz (-o-bayan)

    kerta ho aur log is say hat ker us ki taraf mutawajjah hojaen to

    baat usay buri lagti hay aur woh ghamgeen ho jata hay, agar (us

    kay andar ikhlas hota aur) is kay waiz (-o-bayan) ka baes deen hota

    (aur us kay pesh-e-nazar sirf Allah ki riza hoti tab) to woh Allah

    Taala ka shuker ada kerta hay kay Allah Taala nay ye kaam dusray

    kay supard ker diya aesay moqay per shetan is say kahta hay: Tu is liye

    ghamgeen nahin kay log tujhay chor ker dusron ki taraf chalay gae

    balkay teray gham ka sabab ye hay kay tujh say sawab chala gaya kiun

    kay agar woh log teri baat say nasihat hasil kartay to tujhay sawabmilta aur tera sawab kay chalay janay per ghamgeen hona acha hay

    aur is becharay (muqarrar ya mubaligh) ko maloom nahin kay

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    27/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    24

    tableegh ka kaam apnay say afzal ko sonpna ziyadah sawab ka baes

    hay aur khud tanha tableegh karnay kay muqabilay mein is surat

    mein sawab ziyadah hoga. (Ihya-ul-Uloom, jild 5, safha 109, Mukhalasan)

    Alim ki do Rakaten jahil ki saal bhar ki Ibadat say afzal

    Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad

    Bin Muhammad Bin Muhammad Ghazali fermatay hain:

    Dil ki khot, shetan ka maker-o-firayb aur nafs ki khabasat nihayat

    poshidah hoti hay, Isi liye kaha gaya hay: Aalim ki do Rakaten

    jahil ki aik saal ki Ibadat say afzal hain aur is say woh Alimmuraad hay jo aamaal ki bareek-o-daqeeq afaat ki basirat (pehchan)

    rakhta ho ta-kay in aafaat say apnay aamaal ko saaf ker sakay kiun

    kay jahil ki nazar zahiri Ibadat per hoti hay aur isi say woh dhoka

    kha jata hay. (ibid, safha112)

    Hikayat: 60 saal kabay ka khadimHazrat Sayyiduna Abdul Aziz Bin Abi Rawwad nay

    fermaya: mein is gher (Kabbatullah shareef) ka 60 saal mujavir

    (yani khadim) raha aur mein nay 60 haj kiye (phir inkisaran

    fermanay lagay) lekin mein nay Allah Taala kay liye job hi amal

    kiya us mein jab apnay nafs ka muhasiba kiya (yani jab in amaal ki

    janch partal ki, ikhlaas tatola to is qadar kam nikla kay) Shaytan ka

    hissa Allah Taala kay hissay say ziyadah paya! Kash! Mera hisaabbaraber ho agar (akhirat may) nafa na ho to nuqsan bhi na ho. (ibid,

    safha 115). Ikhlas ki kami, khud-pasandi, riya waghera shetan ka

    hissa hain jab kay amal mein mukamil ikhlaas hona Allah Taala ka

    hissa hay.

    Bad-gumani bhari ibarat ki nishandahiPiyare Madani Betay! Shaytan ka hathiyar pehchan-nay ki koshish

    kartay huway aap apni mail kay in jumlon per ghor farmaiye: Ab

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    28/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    25

    Dawat-e-Islami kay zimay daran ki safqaten sirf ameer logon kay

    liye hain Agar mein ameer hota to aesa na hota neez maktoob

    kay aakhir mein diya huwa sheyr bhi be-mahal honay ki wajah say

    apnay Islami bhaiyon per bhi nazar bharpoor tanz aur un ki toheen-

    o-tohqeer per mushtamil hay. Aap ki mail mein baz zimay daraan

    kay talluq say ye bhi gilay shikvay kiye gae hain kay Taziyyat nahin

    ki, ya fulan nay taziyyat ka phone kiya to esaal sawab nahin kiya,

    fulan fulan ko majlis Esaal-e-Sawab ki dawat di magar nahin aaey

    kiun kay ghareeb hun waghera. Is tarah ki shikayat un musalmanon

    ki Izzat uchalnay wali aur unhen degrade karnay wali hain. Sath meinmazeed ye alfaz Kiun kay mein ghareeb aadmi hun mein bad-

    gumani ka wazeh ishara mojud hay kiun kay is ka saaf matlab yehi

    nikalta hay kay mein maaldar hota to meray yahan zarur aatay. Neez

    mail mein yahan baz kay naam nahin magar isharon ki tarkeeb hay

    jis say kayi zimay daran ko un Islami bhaiyon ki pehchan ho sakti hay.

    Bad-Gumani ki tabah kaariyan

    Mail mein ye izhar nahin kiya gaya kay ye shikayat is liye ki gayi

    hain kay fulan fulan ki islah ki jae balkay sirfBharraas nikali gayi

    hay jin ka bad-gumaniyon per mabni hona zahir hay. Shaytan ka

    bohot bara aur bura hathiyar hay, ye bad-gumani khandanon ko

    ujaar deti hay aur basa aukaat deeni khidmaat mein rakhna andaz ho

    ker aik dusray kay khilaf lobing per ubharti, gheebaton, chughliyonaur tohmaton, dil aazariyon waghera gunahon ka saylab lati, dunya ka

    sukoon barbad karnay kay sath sath aakhirat ki barbadi kay asbaab

    banati aur yun shetan ki murad lati hay. Shaytan kay is khofnak

    hathiyar Badgumani ki tabahkariyon kay mutaliq kuch maruzaat

    pesh-e-khidmat hain: Para 26 Surah Hujurat Aayat number 12

    mein Rab-e-Kaenat ka Irshad-e-pak hay:

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    29/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    26

    Aey Emaan walon!

    Bohot gumanon say bacho be-shak koi guman gunah ho jata hay.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 26, Surah Hujrat, Ayat 12)

    Hazrat Allama Abdullah Bin Umer Sherazi Bayizavi

    kasrat-e-guman say muma-niat ki hikmat bayan kartay huway

    Tafseer Bayizavi mein likhtay hain: Ta-kay musalman her guman

    kay baray mein Mohtaat ho jae aur ghor-o-fikr karay kay ye guman

    kis qabeel (yani qisim) say hay (aaya acha ya bura?) (Tafseer bayizavi,

    jild 5, safha 218)

    Is Aayat-e-kareema mein baz gumanon ko gunah qarar denay ki

    wajah bayan kartay huway Imam Fakhruddeen Raazi

    likhtay hain: Kiun kay kisi shakhs ka kaam (baz auqaat) dekhnay

    mein bura lagta hay magar haqiqat mein aesa nahin hota, mumkin

    hay kay karnay wala isay bhool ker ker raha ho ya dekhnay wala hikhud ghalati per ho. (Tafseer-e-Kabeer, jild 10, safha 110)

    Bad-gumani haraam hay

    Do Farameen-e-Mustafa : (i) Bad-gumani say bacho,

    be-shak badgumani bad tareen jhoot hay(Bukhari, jild 3, safha 446,

    Hadees 5143) (ii) Muslaman ka khoon, maal aur is say bad-gumani

    (dusray musalman per) Haraam hay. (Shuab-ul-Emaan, jild 5, safha 297,

    Hadees 6706)

    Bad-gumani ki tareef

    Bad-gumani say murad ye hay kay bila daleel dusray ko buray

    honay ka dil say aetiqad-e-jazim (yani yaqeen) kerna (Makhuz-az-Fazi-

    ul-Qadeer, jild 3, safha 122, Tahat-ul-Hadees 2901, waghera)

    Bad-gumani say bugz aur hasad jesay baatni amraaz bhi peda hotay

    hain. Allah kay mahboob, Dana-e-Ghuyoob ka

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    30/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    27

    ferman-e-aaleeshan hay: Yani acha gumanachi Ibadat say hay (Abu Dawood, jild 4, safha 387, Hadees 4993)

    Khudaya Atta ker day rahmat ka pani

    Rahay qalb ujla dhulay bad-gumani

    Bad-gumani kiun Haraam hay

    Hujjat-ul-Islam Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad

    Bin Muhammad Bin Muhhamd Ghazali fermatay hain:

    Bad-gumani kay haraam honay ki wajah ye hay kay dil kay bhedon

    ko sirf Allah Taala janta hay, Lihaza tumharay liye kisi kay baray

    mein bura guman rakhna us waqt tak jaez nahin jab tak tum us ki

    burayi is tarah zahir na dekho kay is mein taveel (yani bacho ki

    daleel) ki gunjaesh na rahay, pas us waqt tumhen la muhaala (yani na

    chaar) us cheez ka yaqeen rakhna paray ga jisay tum nay jana aur

    dekha aur agar tum nay us ki burayi ko na apni aankhon say dekha

    aur na hi kaanon say suna magar phir bhi tumharay dil mein is kaybaray mein bura guman peda ho to samajh jao kay ye baat tumharay

    dil mein shetan nay dali hay, is waqt tumhen chahiye kay dil mein

    aanay walay is guman ko jhutlado kiun kay ye (bad-gumani) sab say

    bara fisq hay.

    Mazeed likhtay hain: Yahan tak kay agar kisi shakhs kay munh say

    sharaab ki bu aa rahi ho to us ko sharaee had lagana jaez nahin

    kiun kay ho sakta hay kay us nay sharaab ka ghount bhartay hi kulli

    ker di ho ya kisi nay usay zabardasti sharaab pila di ho, jab ye sab

    aehtimalaat (yani shubuhaat) mojood hain to (saboot-e-sharaee

    kay baghair) mahaz qalbi khayalat ki bina per tasdeeq ker dena aur

    is musalman kay baaray mein (sharabi honay ki) bad-gumani kerna

    jaez nahin hay. (Ihya-ul-Uloom, jild 3, safha 186)

    Bad-gumani bohot barri aur buri aafat hay, ye insan ko jahannummein pohncha sakti hay, is kay baaray mein zaruri ahkaam aur is ka

    elaaj janna Farz hay.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    31/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    28

    Husn-o-Zan

    ki Nisbat say Badgumani kay mukhtasaran 7 Elaaj

    1. Musalman ki khubiyon per nazar rakhay

    Musalmanon ki khamiyon ki tattol kay bajae un ki khubiyon per

    nazar rakhiye, jo un kay mutaliq husn-e-zan rakhta hay us kay dil mein

    rahaton ka basayra aur jis per shetan ka hathiyar kaam ker jae aur

    woh bad-gumani ki buri aadat mein mubtila ho jae, us kay dil mein

    wah-shaton ka dayra hota hay.

    2. Bad-gumani ho to Tawajjoh hata dijiye

    Jab bhi kisi musalman kay baaray mein dil mein bura guman aaey to

    isay jhattak dijiye aur is kay amal per acha guman qaem karnay ki

    koshish fermaiye. Maslan kisi Islami bhai ko naat ya bayan suntay

    huway rota dekh ker aap kay dil mein is kay mutaliq riya-kaari ki

    bad-gumani peda ho to foran is kay ikhlaas say ronay kay baaraymein husn-e-zan qaem ker lijiye. Hazrat Sayyiduna Mak-hool

    Dimashqi fermatay hain: Jab tum kisi ko rota dekho to khud bhi ro

    aur usay riyakar na samjho, mein nay aik dafa kisi shakhs kay baaray

    mein ye khayal kiya to mein aik saal tak ronay say mahroom raha.

    (Tanbeeh-ul-Mughtareen, safha 107)

    Khuda! Bad-gumani ki aadat mitta day

    Mujhay Husn-e-Zan ka to aadhi bana day

    3. Khud nayk baniye takay dusray bhi nayk nazar aaen

    Apni islah ki koshish jari rakhiye kiun kay jo khud nayk ho woh

    dusron kay baaray mein bhi nayk guman (yani achay khayalat)

    rakhta hay. Jab kay jo khud bura ho usay dusray bhi buray hi dikhayi

    detay hain. Arabi maqoola hay: yani jab

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    32/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    29

    kisi kay kaam buray ho jaen to us kay guman (yani khayalat) bhi

    buray ho jatay hain. (Faiz-ul-Qadeer, jild 3, safha 157)

    Imam Ahl-e-Sunnat Mujaddid-e-Deen-o-Millat Maulana ShahImam Ahmed Raza Khan fermatay hain: Khabees guman

    khabees dil hi say nikalta hay. (Fatawa-e-Razaviya, jild 22, safha 400)

    Mera tan saffa ho mera man saffa ho

    Khuda! Husn-e-zan ka khazana atta ho

    4. Buri sohbat buray gumaan peda kerti hayBuri sohbat say bachtay huway nayk sohbat ikhtiyar kijiye, jahan

    dusri barkaten milengi to wahin Bad-gumani say bachnay mein bhi

    madad hasil hogi. Hazrat Sayyiduna Bishar Bin Haris

    fermatay hain Yani buron ki sohbatachon say badgumani peda karti hay. (Risala Kusheriya, safha 327)

    Buri sohbaton say bacha Ya Ilahi

    Tu naykon ka sangi bana Ya Ilahi

    5. Kisi say bad-gumani ho to Azaab-e-Ilahi say khud ko

    daraiye

    Jab bhi dil mein musalman kay baaray mein bad-gumani peda ho to

    bad-gumani kay anjaam aur azaab-e-ilahi say daraiye. Parah 15Surah Bani Israeel ki Aayat number 36 mein Allah Taala ka

    ferman-e-Ibrat nishan hay:

    Aur is baat kay pechay na per jis ka tujhay

    ilm nahin be-shak kaan aur aankh aur dil in sab say suwal hona hay.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 15, Surah Bani Israeel, Ayat 36)

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    33/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    30

    Meethay meethay Madani betay! Kisi kay baaray mein bad-gumani

    peda ho to apnay aap ko is tarah daraiye kay bara azaab to dur raha

    meri haalat to ye hay kay jahannum ka sab say halka azaab bhi

    bardasht nahin ker sakunga. Aah! halka azaab bhi is qadar holnak

    hay! Bukhari shareef mein Hazrat Sayyiduna Ibn-e-Abbas

    say riwayat hay, Rasool-e-Akram, Noor-e-Mujassam

    ka ferman-e-ibrat nishan hay: Dozakhiyon mein sab say halka

    azaab jis ko hoga usay aag kay jootay pehnae jaen gey jin say us ka

    dimagh kholnay lagay ga. (Bukhari, jild 4, safha 262, Hadees 6561)

    Jahannam say mujh ko bacha ya Ilahi

    Mujhay nayk banda bana ya Ilahi

    6. Kisi kay baaray mein bad-gumani peda ho to apnay liye

    dua kijiye

    Jab bhi kisi kay baaray mein Bad-Gumani honay lagay to apnay

    piyaray Allah ki bargah mein yun dua mangiye: Ya Rab-e-Mustafa ! Tera ye kamzoor banda dunya aur aakhirat ki tabahi

    say bachnay kay liye is bad-gumani say apnay dil ko bachana chahta

    hay. Ya Allah ! Mujhay shetan kay khatarnak hathiyar Bad-

    Gumani say bacha lay. Meray Piyare Piyare Allah ! Mujhay

    apnay khof say mamoor dil, ronay wali aankh aur larzanay wala

    badan atta farma.

    7. Jis kay liye bad-gumani ho us kay liye dua-e-khair

    kijiye

    Jab bhi kisi Islami bhai kay liye bad-gumani aaey to is kay liye dua-

    e-khair kijiye aur us ki Izzat-o-ikraam mein izafa ker dijiye, Hujjat-

    ul-Islam, Hazrat Sayyiduna Imam Abu Hamid Muhammad Bin

    Muhammad Bin Muhammad Ghazali fermatay hain:

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    34/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    31

    Jab tumharay dil mein kisi musalman kay baaray mein bad-gumani

    aaey to tumhen chahiye kay is ki ri-ayat (yani izzat-o-aao baghat

    waghera) mein izafa ker do aur is kay liye dua-e-khair ker do, kiun

    kay ye cheez shetan ko gussa dilati hay aur usay (yani shetan) ko tum

    say dur bhagati hay, yun shetan dubara tumharay dil mein bura

    guman daltay huway daray ga kay kahin tum phir apnay bhai ki ri-

    ayat aur is kay liye dua-e-khair mein mashgool na ho jao. (Ihya-ul-

    Uloom, jild 3, safha 178) (Bad-gumani say mutaliq ziyadah tar mawad

    Maktaba-tul-Maidna kay matbua rislay, Bad-gumani (56 safhaat)

    say liya gaya hay, ye risala mukamal parhna nihayat mufeed.)Mujhay gheebat, chughli, bad-gumani

    Ki aafaat say tu Bacha Ya Ilahi

    (Wasael Bakhshish, safha 80)

    Jo likhnay mein khatta kha jata hay woh bolnay mein na-

    janay kiya kiya keh jata hoga!Umuman aadmi bohot soch soch ker chithi waghera likhta, likh

    ker is ki nok palak sanwarta aur kaat chhant kerta hay takay apni

    koi ghalat tahreer kisi kay hath mein na chali jae to ab itni

    aehtiyaton kay bawajood bhi jis per shetan ka hathiyar chal jata ho

    aur woh ghayr mohtaat ya gunahon bharay alfaaz likh dalta ho

    khuda janay jab woh bolnay per aata hoga tou us ki zaban say kiya

    kiya nikal jata hoga!

    Bad-gumani kay baray may Ala Hazrat ka Fatwa

    Bad-gumani kay mutaliq Fatawa-e-Razaviya say mukhtasir kardah

    sawal-o-jawab mulahiza farmaiye:

    Suwal: Zaid kehta hay aaj kal umuman fakhr-o-taffakhur aur apni

    wah wah karwanay kay liye dawaten di jati hay lihaza woh yani

    (zaid) kisi dawat mein nahin jata.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    35/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    32

    Jawab: Qabool-e-dawat sunnat hay. Aur ab kay aik musalman per

    bila daleel ye guman kiya kay is ki niyyat riya-o-taffakhur-o-namoori

    hay to ye haraam-e-qataee huwa. Ghair muayyan per hukum kisi

    muayyan musalman kay liye samajh lena bad-gumani hay jab tak is

    kay qaraen-e-wazeh na ho aur bad-gumani haraam hay. (Mulakhas az

    Fatawa-e-Razaviya, jild 21, safha 672-673)

    Namaz-e-Janaza aur Esal-e-Sawab kay baaray mein

    Narazgi say bachanay walay Madani Phool

    Ye masael zehen nasheen farma lijiye: (i) Musalman ki namaz-e-janaza farz-e-kifaya hay. Jin jin ko Ittla mili un mein say bazon nay ada

    ker li tab bhi farz ada ho chukka to ab jo nahin aaey woh gunahgar

    nahin hain, un na anay walon kay baray mein bad-gumaniyan zarur

    gunah hay, un ki mukhalifat ki her giz ijazat nahin. (ii) Taziyyat

    masnoon hay, Esaal-e-Sawab ya is ki majlis mein shirkat mustahab

    hay. Ittila honay kay bawajood agar kisi nay taziyyat ya majlis mein

    shirkat na ki to sharan gunahgar na huwa, is per tohmat rakh li,

    gheebat-o-bad-gumani karnay aur usay bura bhala kehnay wala zarur

    gunahgar aur azaab-e-naar ka haqdar hay. Haq to ye hay kay bilfarz

    majlis mein shirkat na kerna gunah hay tab bhi musalman ka pardah

    rakhnay ka hukum hay, ab jab kay gunah hi nahin to phir us per

    zaban-e-tan kholna kahan ki nayki hay! Yad Rakhiye! Farman-e-

    Mustafa

    hay: Her Musalman ki Izzat, maal aur jaandusray (musalman) per haraam hay. (Tirmizi jild 3 safha 372 Hadees 1934)

    Dil Joi na karnay kay do Nuqsanat

    Han murawwat ka takaza ye hi hay kay agar jannay walon mein say

    kisi ko koi musibat aaey to ikhlaqi tor per us kay yahan jana chahiye.

    Dukhyaron ki dil joi say khud mahroom mein do nuqsanat numayan

    hain: (i) Khud apnay sawab say mahroomi (ii) Us dukhi Islami bhaikay dil mein waswasay aanay aur us kay Madani Mahol say dur ho

    janay ka andesha hay.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    36/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    33

    Shaksiyaat say taluqat kay mutaliq Aham wazahatayn

    Masajid ya madaris ya Madani Markaz Faizan-e-Madina ki tamiraat

    neez degar Madani kaamon kay liye attiyaat kay husool ki hirs meinkisi sarmaya-dar say chotay zimaydar ka baray zimaydar ki phone

    per baat ya mulaqat karwana yaqeenan kar-e-sawabay aakhirat hay

    aur husn-e-niyyat kay bina per is mein zarur istahqaaq-e-jannat hay,

    is tarah ki nayki kay azeem Madani kaam per tanqeed ya gila shikwa

    her giz saheeh nahin. Aesa karnay walay zimay daron per maldaaron

    ki chaaplusi aur khushamad ki bad-gumani haraam aur jahannam

    mein lay janay wala kaam hay, balkay koi be-sabab bhi maldaaronsay taluqat rakhay to haraj nahin jab kay koi mana sharee na ho.

    Han dunyadar aur be-maqsad dosti mein bhalayi ki umeed kam aur

    nuqsan ka pehlu ghalib hay, Khususan ullama, sulaha aur mubaligheen

    waghera ko aehtiyat ansab takay log bad-gumaniyon kay gunahon

    mein na parrayn.

    Kia shaksiyaat ka taziyyat kerna aakhirat kay liye baes-e-

    Saadat hay?

    Khub mazirat kay sath arz hay, aap ki mail kay mutabiq aap janab

    ki ammi jaan ki taziyyat kay liye bhi to Barri Barri Shakhsiyaat

    ka wurood huwa tha! Zahir hay aesa baghair taluqaat kay nahin

    huwa kerta basa aukaat barri shakhsiyaat kay zariay taziyyat ki

    saadat panay kay liye bhi sifarishon aur tarkibon ki zarurat parrti

    hay! Han Madani shakhsiyat yani ullama-o-sulaha ki tashreef

    aawari be-shak saadat-e-daren ka sabab hay. Aesi dunyavi afsar ki

    afsari say fout shudgan kay pas-mandigaan ki wah wah to ho sakti

    hay magar jo dunya say ja chukkay un ko aakhirat ka kiya faeda

    pohnch sakta hay! Basab-e-mansab aeson ki aamad ki khuwaish aur

    aaen to khushi phir phool phool ker dusron say tazkirah kerna kayapnay yahan to fulan fulan afsaron leader bhi taziyyat kay liye aaya!

    Yaqeen maaniay is andaz mein hub-e-jah (yani izzat aur shohrat say

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    37/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    34

    mahabbat) ka andesha ba shiddat-e-mojood! Bahar hal! Dunyavi

    shakhsiyat say murassim rakhnay walay un per phone say baat

    karnay karwanay walay ki un ki apni niyyat un kay sath hum dilon

    per hukum laganay walay kon hotay hain! Hamen un kay baray mein

    acha sochna chahiye, Musalman kay afaal kay baray mein husn-e-

    zan rakhna zaruri hay, Aala Hazrat Imam-e-Ahl-e-Sunnat Mujaddid-

    e-Deen-o-Millat Shah Imam Ahmed Raza Khan fermatay

    hain: Musalman ka feyl hatt-al-imkaan mahmal-e-hassan per

    mahmool (yani acha guman) kerna wajib hay aur Bad-Gumani

    riya say kuch kam haraam nahin. (Fatava-e-Razaviya, jild 5, safha 324)

    Aala Harzat aik muqaam per fermatay hain: Muslaman

    ka hal hatt-ul-imkaan salah (yani bhalayi) per hamal kerna (yani

    acha guman) kerna wajib hay. (ibid, jild 19, safha 691)

    Wada ker kay na-aanay walon kay baray mein Husn-e-Zan

    Agar wada ker kay bhi koi majlis-e-Esaal-e-Sawab mein na aaey to is

    per husn-e-zan hi rakha jae kay bhool gaya hoga koi majburi aa pari

    hogi waghera agar wada karnay aur yad honay kay bawajood bhi na

    aaya tab bhi bad-gumani ko rah nahin, kiun kay wada khilafi ki

    tareef ye hay kay wada kertay waqt ki niyyat ye ho kay jo keh raha

    hun woh nahin karun ga, lihaza agar bad mein irada badal gaya tab

    bhi wada khilafi nahin maloom huwa kay wada kay bawajood

    majlis mein shirkat na karnay kay taluq husn-e-zan ka pehlo

    mojoob hay.

    Apna Qoul nibhana chahiye

    Albata Han karnay walay ko her mumkin surat mein apna qoul

    nibhana chahiye takay log bad-zan na hon aur bad-gumaniyon,

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    38/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    35

    tohmaton, aeb-dariyon aur ghebaton kay darwazay na kholen.

    Khususan mout mayyit kay muamilay mein sabhi Islami bhaiyon

    ko janazon mein shirkat aur taziyyat ker kay neez Esaal-e-Sawab ki

    majlison mein haaziri day ker apna sawab khara ker lena chahiye, isi

    tarah gunahon kay darwazay band hotay aur mohabbaton kay

    rishtay mazboot hotay hain. Aala Hazrat Imam Ahl-e-Sunnat

    Mujaddid-e-deen-o-millat Maulana Shah Imam Ahmed Raza Khan

    Fatawa-e-Razaviya shareef jild 8 safha 98 ta 99 per naqal

    kartay hain: Hadees shareef mein hay: Emaan billah kay bad sab

    say barri aqalmandi logon kay sath mahabbat kerna. (Shuab-ul-Emaan, jild 6, safha 255, Hadees Shareef 8061) Dusri Hadees-e-saheeh

    mein hay: Rasoolullah fermatay hain: yani mahabbat phelao nafrat na phelao. (Bukhari, jild 1, safha 32,

    Hadees 69)

    Khabardar! Be-ja wazahat kahin Gunahon mein na dal

    day

    Meethay meethay Madani betay! Shaytan kay hathiyar say

    khabardar! Aesay moqay per ye mardood aadmi ko khoob uksata,

    naseeh (yani naseehat karnay walay) ki mukhalifat per ubharta aur dil

    kay andar waswasay dalta hay kay jhoot moot yun aur yun bolday kay

    maslan meri niyyat ye nahin thi, mera maqsad woh nahin tha meri

    muraad to ye thi waghera, mazeed ye bhi waswasa dalta hay kay agaraesa nahin karay ga to dekh teri be-Izzati ho jaey gi! Afsoos! Shaytan

    ki chaal kay sabab baz auqaat apni ghalati honay kay bawajood

    ghalat salat wazahaten shuru ho jati hain. Han zameer ki awaaz per

    durust wazahat ki ja sakti hay balkay kabhi to aesa kerna sakht zaruri

    hota hay.

    Kar lay Touba Rab ki Rahmat hay barriPiyaray Madani betay! Mujh say hergiz khafa na hona dekhiye na!

    elaaj kay liye mareez ko talakh dawaon aur injections k Ilawa

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    39/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    36

    zaruratan amal-e-jarahat (operation) say bhi guzarna parta hay,

    chunkay is mein mareez ka apna bhala hota hay lihaza woh naraz

    honay kay bajaey doctor ko khatir raqam ada karnay kay sath sath us

    ka shukur guzar bhi hota hay. mein nay jur-at ker kay shetan kay baz

    hathiyar aap per aashkar ker kay baz Amraaz ki nishandahi ker

    kay elaaj kay chand Madani Phool pesh kiye hain, umeed hay aap kay

    sath sath jin degar Islami bhaiyon tak bhi ye Madani Phool

    pohnchayn gey. Un kay liye dunya-o-aakhirat kay liyemufeed balkay mufeed tareen sabit hon gay. Bahar hal mein nay aap

    ki mail kay taluq apni motti samajh kay mutabiq jo kuch arz kiyaagar aap ka zameer qabool kerta hay aur apnay andar nidamat patay

    hain to apni mail ki jin jin ibaraat mein gunah paen un say touba

    kijiye aur jin jin Islami bhaiyon ki dil aazari ka khatka paen is zimen

    mein touba kay sath sath un say muafi ki tarkeeb bhi farmaen kay isi

    mein dunya-o-aakhirat ki bhalayi hay.

    Hay falah-o-kamrani narmi-o-asaani meinHer bana kaam bighar jata hay nadani mein

    Doob sakti hi nahin mojon ki taghyani mein

    Jis ki kashti ho Muhammad ki nigehbani mein

    Her Dawat-e-Islami wala mera piyara hay

    Allah

    ki rahmat aur Mustafa

    ki nigah-e-Inayatsay Dawat-e-Islami ka bagh khoob phal phool raha hay, jis tarah

    baap ko apna her bacha aur maali ko apnay bagh ka her phal azeez

    hota hay isi tarah her Dawat-e-Islami wala mujhay piyara hay

    khuwah woh Madani kaam ziyadah kerta ho ya kam, albatta kamau

    puttar sabhi ko ziyadah meetha lagta hay magar nikammi aulaad ko

    bhi baap zaya nahin kiya kerta. Mein her Dawat-e-Islami walay aur

    wali kay haq mein duaen mangta hun, ye sabhi meray Madani baghkay phal phool aur kalliyan hay, inheen say Bagh-e-Attar mein

    Madani bahaar hay. Allah Taala madinay kay sada bahaar

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    40/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    37

    phoolon kay sadqay meray phoolon ko sada muskurata rakhay. Ya

    Allah! In kay sath sath in ki naslayn bhi Dawat-e-Islami kay

    Madani Mahol say wabasta reh ker dunya aur aakhirat ki bhalaiyan

    samayt-ti rahen. Aur ye sab kay sab be-sabab bakhshay jaen, ye

    Duaen mujh gunahgar kay haq mein bhi qabool hon.

    Madani kaam karnay walay mujhay ziyadah azeez hain

    Dawat-e-Islami kay sargarm-e-amal (active) zimaydaran aurmubaligheen meray Kamau Puttar hain, ye mujhay ziyada azeez

    hain in ki mukhalifat say meray dil o azziyat pohnchti hain. mein jab

    bhi kisi halqay, Ilaqay, shaher ya mulk kay Islami bhaiyon ki ap say

    shukar ranjiyon ka suntan hun tou dukhi ho jata hon kay ye acha

    khasa Madani kaam kartay kartay nadani per kahan utar aaey! Kahin

    aesa na ho in ki ghayr mohtat harkaton say shetan faeda utha lay aur

    unhen nekiyon aur sunnaton bharay Madani Mahol say dur ker day

    aur deen kay Madani kaamon ko bhi nuqsan pohnch jaey! Lihaza

    meray tamam Madani beton aur Madani betiyon say dast-basta

    Madani Iltija hay kay dil bara rakha karen aur aapas mein iftiraq-o-

    intishar ki faza qaem na honay diya karen, agar tanzeeman koi na

    khushgawar muamila der pesh ho to tanzimi tarkeeb (jo kay Madani

    kaam karnay walon ko maloom hoti hay) kay mutabiq is ka hal talashkijiye. Hergiz ye na ho kay aarzi hamdardiyan hasil karnay kay liye

    chand Islami bhaiyon ko bata ker aap lobing ki surat khari ker den

    aur phir aap ki hi bay aehtiyati kay baes ghebaton chughliyon bad-

    gumaniyon aur fitnon ka silsila chal niklay aur khuda na-khawasta

    aap ki aur dusron ki aakhirat dao per lag jaey.

    Fitnay phelanay ki WaeedaynDawat-e-Islami kay ishaati idaray Maktaba-tul-Madina ki matbua

    504 safhaat per mushtamil kitaab, Gheebat ki Tabah-Kariyan

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    41/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    38

    safha 455 ta 456 per hay: Jo bad naseeb log musalmanon mein buray

    charchay jagatay aur fitnay uthatay hain un ko dar jana chahiye kay

    parah 18 Surah Noor aayat number 19 mein Allah

    ka farman-e-

    ibrat nishan hay:

    Woh log jo chahtay hain kay musalmanon may bura charcha phelay un

    kay liye dard nak azaab hay dunya aur aakhirat mein.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 18, Surah Noor, Ayat 19)

    Baz log bohot hi jhagralu tabiyat kay maalik hotay hain, khuwama-

    kha ghebatayn kartay, chughliyan khatay, tanqeedayn kartay, baal ki

    khaal utartay, baat baat per fasadaat barpa kartay aur musalmanon

    kay liye aizae ka bais bantay rahtay hain, aesay logon ko dar jana

    chahiye kay para 30 Surah Buruj ki 10 aayat-e-mubarika mein Rab-ul-Ibaad ka irshad-e-ibrat bunyad hay:

    Be-shak jinhon nay eiza di musalman mard aur musalman aurton ko phirtouba na ki un kay liye jahannam ka azaab hay aur un kay liye aag ka

    azaab.

    [Terjama-e-Kanz-ul-Iman] (Parah 30, Surah Buruj, Ayat 10)

    Fitnay jaganay walon per Lanat

    Hadees-e-Pak mein hay: Fitna soya huwa hota hay us per Allah kilanat jo us ko baydar karay (Al-Jame-ul-Sagheer-lil-Suyuti, safha 370,

    Hadees 5975)

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    42/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    39

    Agar mezan pay peshi ho gayi to haey! Barbadi!!

    Gunahon kay siwa kiya meray naamay mein bhala niklay

    Karam say us gharri Sarkar pardah Aap rakh leyna

    Sar-e-Hashar meray aebon ka jis dam tazkirah niklay

    (Wasael Bakhshish, safha 261)

    Apnay tanzimi zimay daraan ki Itaat jari rakhtay huway Madani

    Inaamat per amal aur Madani Qafilon mein pabandi say safar kartay

    rehnay kay sath sath hasb-e-haal Madani kaamon ki khoob dhoomayn

    machatay rahiye, Allah Taala hum sab ka hami-o-nasir ho.

    Sunnaten aam karen deen ka ham kaam karen

    Nayk ho jaen musalman Madinay walay

    Teh daar mehndi laganay say Wuzu-o-Ghusul nahin hota

    (Dar-ul-Ifta Ahl-e-Sunnat kay ghair matbua fatway ki talkhees)

    Jirm daar yani teh wali mehndi, nail polish aur Stickers walay make

    up kay lagay honay ki haalat mein wuzu aur ghusul nahin hota, is liye

    kay mazkurah teenon cheezen pani kay jild tak pohnchnay say maney

    (yani rukawat) hain, aur un cheezon ka lagana kisi sharaee zarurat ya

    haajat kay liye bhi nahin. Qaedah ye hay kay jo cheezen pani ko jisim

    tak pohnchnay say maney (yani rukawat) hon un kay jisim perchipkay honay ki haalat mein wuzu aur ghusul nahin hota, kiun kay

    wuzu mein sir kay Ilawa baqi teenon azaa-e-wuzu per aur ghusul

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    43/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    40

    mein puray jism kay her her baal aur her herrongtay per pani behjana farz hay.

    Hazrat Allama Ibn Humaam fermatay hain: Agar is(yani wuzu karnay walay) kay nakhun kay upper khushk matti ya

    us kay misl koi aur cheez chipak gayi ya dhonay wali jaga per sui ki

    nok kay baraber reh gayi to jaez nahin hay yani wuzu nahin hoga.

    (Fath-ul-Qadeer, jild 1, safha 13, Quetta) Muheet mein zikr kiya gaya hay

    kay agar kisi aadmi kay jism per machli ki jild ya chabayi hui rotti

    lagi hay aur khushk ho chukka hay is haalat mein us nay gusul ya

    wuzu kiya aur pani us kay nechay jisim tak nahin pohncha to gusulaur wuzu nahin hoga, aur isi tarah naak ki khushk reenth ka hukum

    hay, is liye kay gusul mein puray badan ko dhona wajib hay aur ye

    ashya apni sakhti ki wajah say pani kay jism tak pohnchnay say

    maney (yani rukawat) hain. (Fatawa-e-Alamgeer, jild 1, safha 5; Ghaniya,

    safha 49, Sohail Academy Markaz-ul-Auliya, Lahore)

    Fatawa Aalamgeeri mein hay: Agar wuzu wali kisi jaga per sui kinok kay baraber koi cheez baqi ho ya nakhun kay upper khushk ya

    tar mitti chipak jaey to jaez nahin yani wuzu aur gusul nahin hoga.

    Isi mein hay: Khizaab jab jirm daar ho aur khushk ho jaey to wuzu

    aur ghusul ki tamamiyyat say maney (yani mukammal honay mein

    rukawat) hay. Yani us ki wajah say wuzu aur ghusul taam (yani

    mukammal) nahin hoga. (Alamgeeri, jild 1, safha 4, Dar-ul-Fikr-e-Beriut) Isi

    mein aik aur maqam per hay: Agar Aurat nay apnay sar per koikhushbu is tarah lagayi kay is ki wajah say baalon ki jaron tak pani

    nahin pohncha to is per us khushbu ko zaail kerna wajib hay ta-kay

    pani baalon ki jarron tak pohnch jaey. (ibid safha 13) Sadr-u-Sharia,

    Badr-ut-Tareeqa Hazrat Alama Maulana Mufti Amjad Ali Aazmi

    fermatay hain: Machli ka sinna azaey wuzu per chipka

    reh gaya wuzu na hoga kay pani us kay nichay na bahay ga (Bahar-e-

    Shariat, jild 1, hissa 2, safha 292, Maktaba-tul-Madina, Karachi) Aur jahan

    tak is baat ka taluq hay kay Fuqaha-e-Karaam nay mehndi

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    44/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    41

    kay jirm (yani teh) kay ba-wajud wuzu ho janay ki tasreeh ki hay to

    us ka jawab ye hay kay un Hazraat ka ye hukum us mamuli say jirm

    (yani teh) kay baray mein hay jo mehndi laganay kay bad achi tarah

    dhonay kay bad bhi laga reh jata hay jis ki dekh bhaal haraj hay jesay

    aatta gundhnay kay bad mamuli sa aatta nakhun waghera per laga

    reh jata hay, ye nahin kay puray hath paon per plastic ki tarah mehndi

    ka jirm (yani teh) charrha layn, baazuon per bhi aesi hi mehndi ka

    acha khasa hissa jamalen, pura chehra stickers walay make up say

    chupalen aur phir bhi wuzu-o-gusul hota rahay! aesi ijazat hergiz

    hergiz kisi faqeeh nay nahin di. Bahar haal mazkurah surat meinwuzu nahin hota aur jab wuzu na huwa to namaz bhi na hui, lihaza

    mazi mein agar kisi nay is tarah panj-gana namazen parhi ho to us

    kay liye zaruri hay kay yad ker kay aur agar yad na ho to zan-ne-

    ghalib kay mutabiq hisaab laga ker farzon aur vitr ki qaza parhay.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    45/50

    42

    Fehrist

    Kitab Perhnay ki Dua .............................................................................. ii

    Shaytan kay Baz Hathiyar ............................ 1100 Hajaten puri ho gi .................................................................................. 1

    Sag-e-Madina ka aehsas Kahin mujh say koi Naraz na ho jaey .... 3

    .. Tou mein Dawat-e-Islami walon say dur ho gaya ........................ 4

    Allah taala Jannat kay do (2) Jorray pehnaye ga ...................................... 4

    Taziyyat kisay kahtay hain? ........................................................................ 5Rutha huwa maan gaya ................................................................................ 5

    Dawat-e-Islami mein bhaari aksariyyat Ghareebon ki hay ..................... 6

    Be-shak Maldaaron ka bhi Deen mein hissa hay ...................................... 7

    Ghurbat kay fazael ........................................................................................ 8

    Ijtima-e-Zikr-o-Naat barae Esaal-e-Sawab .......................................... 8

    Sag-e-Madina

    ki janib say ki gayi jawabi mail .............................. 10

    Tahreer baz auqaat apnay muharrir kay mizaj ki akkas hoti hay ............... 11

    Khud ko Aham Shakhsiyat samajhna bhool hay ................................. 12

    Deen ki khidmat kay sabab Izzat ki talab ................................................ 12

    Riyakari ka Dard nak azaab ...................................................................... 13

    Khud-Pasandi ki Tabah Kaariyan............................................. 13

    Khud Pasandi ki tareef .......................................................................... 13

    Khud Pasandi ki aham wazahat ............................................................ 14

    Mein to khoob deen ki khidmat kerta hun! ........................................ 15

    Mein nay ye kiya! mein nay woh kiya! ................................................ 15

    Khud Pasandi ki mazammat per Buzurgan-e-Deen kay

    5 Farameen .............................................................................................. 16

    Khud Pasandi ka Ilaaj ........................................................................... 18

    Ikhlaas ...................................................................................... 19

    Ikhlaas ki 5 tarifaat ................................................................................ 19

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    46/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    43

    Ikhlas kay mana Riza-e-Ilahi kay liye amal kerna ........................ 20

    Ikhlas ye hay kay Apnay Amal ki Tareef na-pasand ho ............... 21

    Ikhaas kay mutaliq Buzurgan-e-Deen kay5 ferameen ............................................................................... 21

    Teen attaen teen mahrumiyan ............................................................. 22

    30 Baras ki namazen qaza keen ............................................................ 22

    Hikayat: Na sawab mila na azaab ........................................................ 23

    Mubaligh per shetan ka war .................................................................. 23

    Alim ki do Rakaten jahil ki saal bhar ki Ibadat say afzal ................ 24Hikayat: 60 saal kabay ka khadim ....................................................... 24

    Bad-gumani bhari ibarat ki nishandahi............................................... 24

    Bad-Gumani ki tabah kaariyan ............................................................. 25

    Bad-gumani haraam hay ....................................................................... 26

    Bad-gumani ki tareef ............................................................................. 26

    Bad-gumani kiun Haraam hay ............................................................. 27

    Husn-o-Zan ki Nisbat say Badgumani kay

    mukhtasaran 7 Elaaj ........................................................................ 28

    1. Musalman ki khubiyon per nazar rakhay ...................................... 28

    2. Bad-gumani ho to Tawajjoh hata dijiye ......................................... 28

    3. Khud nayk baniye takay dusray bhi nayk nazar aaen ................... 28

    4. Buri sohbat buray gumaan peda kerti hay ..................................... 295. Kisi say bad-gumani ho to Azaab-e-Ilahi say khud ko daraiye .. 29

    6. Kisi kay baaray mein bad-gumani peda ho to apnay liye dua

    kijiye ......................................................................................................... 30

    7. Jis kay liye bad-gumani ho us kay liye dua-e-khair kijiye ........... 30

    Jo likhnay mein khatta kha jata hay woh bolnay mein na-janay kiya

    kiya keh jata hoga!....................................................................................... 31Bad-gumani kay baray may Ala Hazrat ka Fatwa .................................. 31

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    47/50

    Fehrist

    44

    Namaz-e-Janaza aur Esal-e-Sawab kay baaray mein Narazgi say

    bachanay walay Madani Phool .................................................................. 32

    Dil Joi na karnay kay do Nuqsanat ........................................................... 32

    Shaksiyaat say taluqat kay mutaliq Aham wazahatayn ........................ 33

    Kia shaksiyaat ka taziyyat kerna aakhirat kay liye

    baes-e-saadat hay? ...................................................................................... 33

    Wada ker kay na-aanay walon kay baray mein Husn-e-Zan ............... 34

    Apna Qoul nibhana chahiye ...................................................................... 34

    Khabardar! Be-ja wazahat kahin Gunahon mein na dal day ................ 35

    Kar lay Touba Rab ki Rahmat hay barri ................................................... 35

    Her Dawat-e-Islami wala mera piyara hay .............................................. 36

    Madani kaam karnay walay mujhay ziyadah azeez hain ....................... 37

    Fitnay phelanay ki Waeedayn .................................................................. 37

    Fitnay jaganay walon per Lanat ............................................................... 38

    Teh daar mehndi laganay say Wuzu-o-Ghusul nahin hota .................. 39

    Bibliograph.........................................................................................45

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    48/50

    45

    Bibliography

    Quran-e-Majeed, Maktaba-tul-Madinah, Bab-ul-Madinah, Karachi.

    Tafseer-e-Kabeer, Dar Ihya-ut-Taras-ul-Arabi, Beirut.

    Tafseer-e-Baydavi, Dar-ul-Fikr, Beirut.

    Noor-ul-Irfan, Peer Bhai Company, Markaz-ul-Auliya, Lahore.

    Bukhari, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Abu Dawood, Dar Ihya-ut-Taras-ul-Arabi, Beirut.

    Tirmizi, Dar-ul-Fikr, Beirut.

    Masnad Imam Ahmed, Dar-ul-Fiker, Beirut.

    Mujam-ul-Kabeer, Dar Ihya-ut-Taras-ul-Arabi, Beirut.

    Mujam-ul-Awsat, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Hulya-tul-Auliya, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Shuab-ul-Iman, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    At-Targheeb-Wattarheb, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Al-Jami-us-Sagheer, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Jam-ul-Jawami, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Al-Tabaqat-ul-Kubra, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Fat-hul-Baari, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Al-Majmu, Dar-ul-Fikr, Beirut.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    49/50

    Shaytan kay Baz Hathyar

    46

    Fayz-ul-Qadeer, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Risalah-e-Qasheeriyah, Dar-ul-Kutub-ul-Ilmiya, Beirut.

    Hadeeqah Nadyah, Pishawar.

    Ihya-ul-Uloom, Dar-e-Sadir, Beirut.

    Tanbih-ul-Mughtareen, Dar-ul-Marifah, Beirut.

    Al-Zawajir, Dar-ul-Marifah, Beirut.

    Fatwa Razaviyyah, Raza Foundation, Markaz-ul-Auliya, Lahore.

    Malfuzat-e-Ala Hazrat, Maktaba-tul-Madinah, Karachi.

    Bahar-e-Shariat, Maktaba-tul-Madinah, Karachi.

    Allah Walon ki Baaten, Maktaba-tul-Madinah, Karachi.

  • 7/29/2019 Shaytan kay Ba'z Hathyar, by Ameer Ahle Sunnat Allama Muhmmad Ilyas Attar Qadr.

    50/50