sanskruti

10
के शवं पिततं ǺçÒवा पाÖडवाः हष[िनभ[राः। ǽǽदःु कौरवाः सवȶ हा हा के शव के शव॥ Bhaioo Sanskrit bhasha ek vaigyanik bhasha he, is mahan vigyan ko jan ne k liye uska abhyaas avashyak he, upper diya hua shlok ka sabdharth (so called) “kehsav k gira hua dekh pandav harshit ho uthe aur rote hue kauravo ne kaha keshav keshav”… Lekin agar gehrai se dekhe to is shlok ka saccha sabdharth kuch aur hi he…. = water ; के = water k andar ; f.eg Ēुह = home ; Ēुहे = ghar k andar शवं = मांस का टकडा ; panduv = bagla (crane in english) ; पाÖडवाः = bahuvachan/plural of crane ; कौ = kau-kau avaj ; रवाः = karnewale; के शव = मांस का टकडा in the water Ab iska meaning socho….. Humare ved upnishad k aise kai vakya honge (upper ka shlok vedo ka nahi he) jise dr.zakir naik jaise vidvan log murti pooja k virodh me istemal karte he, tab humare paas uska koi javab nahi hota, kyunki vedo k prati humara agyaan aur sanskrut se anjaan pan hi unki sab se badi takat ban jati he…. Ved aur sankskrit ka abhyaas hum nahi karenge to kis se apeksha ki jaa sakti he? Me ye nahi kehta ki murti bhanjako ko uttar dene ke liye humara abhyaas hona chahiye lekin jab prashna uthe (apne ya kisi aur k man me) to uttar humare paas hona chahiye…murti pooja k liye hum kitne nishank he ye prashna ka uttar to hume vyaktigat dena he, lekin adhyatmik unnati k liye aur is perfect science ko tikaye rakhne k liye iski perfect understanding jaruri he…. Iske sath ek conversation bhi bhej raha hu jo Dr.zakir naik k ek fan k sath kiya tha, MR A : sirf veda likhne walo ka birthday banana hi kafi nahi hai vedas do padho bhi aur samjho woh kya kahta hai. eg.Brahmasutra bhagwan ek hai murti pooja nahi karna chahiyae etc ----------------------------------------------------------------------------------------------- MR B : kitne sutra he brahma sutra me? sab k alag alag interpritations hote he bhai...ved k interpritations

Upload: gaurang

Post on 30-Dec-2015

319 views

Category:

Documents


1 download

DESCRIPTION

sanskruti

TRANSCRIPT

Page 1: sanskruti

केशव ंपिततं वा पा डवाः हषिनभराः। दःु कौरवाः सव हा हा केशव केशव॥

Bhaioo Sanskrit bhasha ek vaigyanik bhasha he, is mahan vigyan ko jan ne k liye uska abhyaas avashyak he, upper diya hua shlok ka sabdharth (so called) “kehsav k gira hua dekh pandav harshit ho uthe aur rote hue kauravo ne kaha keshav keshav”… Lekin agar gehrai se dekhe to is shlok ka saccha sabdharth kuch aur hi he…. क = water ; के = water k andar ; f.eg ुह = home ; ुहे = ghar k andar शव ं= मांस का टकडाु ; panduv = bagla (crane in english) ;

पा डवाः = bahuvachan/plural of crane ; कौ = kau-kau avaj ; रवाः = karnewale;

केशव = मांस का टकडाु in the water Ab iska meaning socho….. Humare ved upnishad k aise kai vakya honge (upper ka shlok vedo ka nahi he) jise dr.zakir naik jaise vidvan log murti pooja k virodh me istemal karte he, tab humare paas uska koi javab nahi hota, kyunki vedo k prati humara agyaan aur sanskrut se anjaan pan hi unki sab se badi takat ban jati he…. Ved aur sankskrit ka abhyaas hum nahi karenge to kis se apeksha ki jaa sakti he? Me ye nahi kehta ki murti bhanjako ko uttar dene ke liye humara abhyaas hona chahiye lekin jab prashna uthe (apne ya kisi aur k man me) to uttar humare paas hona chahiye…murti pooja k liye hum kitne nishank he ye prashna ka uttar to hume vyaktigat dena he, lekin adhyatmik unnati k liye aur is perfect science ko tikaye rakhne k liye iski perfect understanding jaruri he…. Iske sath ek conversation bhi bhej raha hu jo Dr.zakir naik k ek fan k sath kiya tha, MR A : sirf veda likhne walo ka birthday banana hi kafi nahi hai vedas do padho bhi aur samjho woh kya kahta hai. eg.Brahmasutra bhagwan ek hai murti pooja nahi karna chahiyae etc ----------------------------------------------------------------------------------------------- MR B : kitne sutra he brahma sutra me? sab k alag alag interpritations hote he bhai...ved k interpritations

Page 2: sanskruti

wrongly hote he isliye to brahma sutra likha gaya... murti pooja nahi karna chahiye aisa sutra batao...clearly jiska perfect word to word translation ho... hum sab apni apni rit se interprit karte he, aur usme kuch wrong bhi nahi he..live what u believe...vaidik philosophy ne dono bhi accept kiya he sagun sakar aur nirgun nirakar... MR. A : jan kar kuushi hui k aap ko thoda veda ka gyan hai. aap ne likha hai k interpretation log apne hisab se karte hai lekin sahi interpretation wahi hai jo authentic ho. kuch veda ke slok bhej raha hoob related to god 1) na tasya pratima asti-- there is no likeness of him ref: svetasvatara upanishad adhyaya4, shloka 19 2) na samdrse tishati rupam asya na caksusa pasyati kas canainam- his form cannot be seen no one sees him with eye ref: svetasvatara upanishad adhyaya4, shloka 20 3) andhatma pravishanti ye asambhuti mupaste__ they enter darkness those who worship natural thing for eg. air water, fire etc it further continue and says they sink deeper in darkness those who worship Sambhuti ie created things for eg, table, chair idol etc Ref. yajurved chapter 40 verse 9 mai aur bhi bhej sakta hoon lekin abhi ami jaldi me hoon fursat me aur ref god k kbare me bhejunga. mera maksad sirf yahi hai k aap god ka sahi arth samjhe. allah aap ko hidayat de. be in touch MR B : authentic aap kise kahenge? kyunki aap jise authentic kahenge wo bhi kisi na kisi ka interpritation ho sakta he, hoga hi... dr.zakir ji ka ye lecture jisme se aapne ref. diya he maine padha bhi he aur dekha bhi he uska video... agar hum ved/upnishad k interpritation ki baat karte he, sabhi upnishad ne do baato ko bahut hi clearly bataya he... 1. brahma sabhi jagah par he iske kai refrence me de sakta hu lekin inme main upnishad jo he wo he ishawasya upnishad "ishawasyamidam sarvam" 2 . wo brahma jo sabhi jagah he, jo sabhi jagah se bhara hua he, vyapt he wo hi tu he...."tattvan asi" in do satya ko dhyan me rakhe to murti hi nahi balki is duniya ki har cheez us tattva se vyapt he...

Page 3: sanskruti

ye murti me bhi bhagwan he, aap me muj me, kutte me, ped me, sabhi me.... vedo k jin sentence ka aapne refrence diya he unka ye kehna he ki "sirf murti me bhagwaan he ye mat mano" kyunki sirf murti me hi bhagwan manna ye ek nerrow minded mentality he... so vedo ka kehna he murti me hi bhagwan he aisa man ne wale ka spiritual development khatre me he... murti puja ye bhagwaan tak pahuchne ka ek instrument he, jo common man k liye bahut hi importanat he, iske siva bhi path ho sakte he... hum aksar "map" (naksha in hindi) ka istemal karte he apni manjil findout karne me, wo nakhsa/map humari majil nahi lekin uske through hum pahuch sakte he... humara geometry jiske basic concept me hi contradictions he lekin usi k zariye hum badi badi buildings bandhte he f.eg "point" has no lenghth and breath" and line is made up of many points still it has lenghth..etc. hum jis alphabates me baat kar rahe he wo bhi sirf lines and curves ka mila jhula he lekin usi k jhariye hum ye discussion bhi kar sakte he in short murti me hi bhagwaan he ye man ne wala galat ho sakte he lekin murti me bhi bhagwaan he ye man ne wala nahi... agar mere samjane ka tarika ya language aap ko thik nahi lagui ho to maafi chahta hu mera english thoda weak he...aap se baat kar k accha laga...jo sacchai ka aagrah rakhta he waise logo se baat karne ka mauka mila ye meri khus nasibi he... MR. A : aap ka email maine padha accha laga k aap ne zakir naik ko suna hai lekin samjha nahi afsos, aap ne kaha k authentic kise kahenge to mai kahunga k maine jo sanskrit k slok bheje hai woh authentic hai ya nahi yeh hanne k liye aap ko sanskrit ke scholar se milna honga ya snakrit ki dictionary dekhni hongi jo froud baba aap ko interpret karte hai woh aap ko galat translation batate hai, jaisa k hum english word k meaning oxford dictionary me dekhte hai usi tarah aap chahe to maine jo slokh veda ka bheje hai woh bhi aap snskrit ki std dictionary me dekhe.

Page 4: sanskruti

aur dusri baat yeh k sirf murti me hi nahi balke natural things like tree river etc ko bhi god kahna ved k khilaf hai tisri baat yeh k aap ne kaha k bhagwan ko pane k liye murti ko use karna hai jaise k aap ne map ka eg diya, agar aap zakir naik ka lecture sahi sunte to us me aap ko iska ans mil jata matlab aap ka yeh kahna k miaine jo slok veda k bheje hai galat interpretaion hai to aap hi sahi interpretation bheje na k kisi baba ka jo aap ko yeda banate hai aur aap ne swami vevekanand ji ka lekh bheja hai mai aap ko bata du k woh bhi idolworshi ko nahi mante the agar aap zakir sahab ko sahi sunte to shayad aap ko yeh maloom hota magar afsos, aap ne shayad zakir sahab k ek hi lecture suna hai mai aap ko unke aur bhi lectures bhejunga, unka debate bhi jo shri shri ravi shankar k saath hua tha concept of god par, allah aap ko hidayat de aamin aap ne aur yeh bhi kaha k bhagwan sab jagah hia yeh to quran bhi bolta hai lekin iska matlab yeh nahi k unsabko pujo, aap ne jo bhi baat kahi us sabka jawab zakir naik ne with ref diya hai lekin afsos aap ne sahi suna hi nahi unko, irf.net ki site par jakar aap ko zakir sahab k aur lecture word formate me pa sakte ho, unhe padhiye aur samjhe aap ka veda k bare me gyan badhenga q k maine mere bahot se frnd se veda k bare me pucha lekin afsos woh hindu hone k baad bhi veda ko nahi jante to usme kya hai unko kya maloom, mujhe umid hai k aap samjhenge mai hinduism k khilaf nahi bolta mai to sirf hindu ko batata hu k woh aasaram bapu aur un jaise dhongi baba k kahne par mat jao hinduism ki book padho khud hinduism ko samjho, aap ne kaha k murti bahgwan tak pahiochne ka instrument hai, aap k scholar kahte hai k murti ka use concentration karne k liye use karte hai take bhagwan tak pahoch jaye iske hisab se to muslim sab se zyada conctration rakhne wale log hai q k unko bhagwan tak pahochne k liye murti nahi lagti, is ka jawab zakir saheb ne bahot accha diya hai lekin afsos aap ne lecture sahi suna nahi, ok deep in touch dear majid, aap ka mail padha aur thodi hasi bhi ayi aur thoda dukh bhi hua, lekin accha laga, dr. zakir k jariye hi sahi lekin aap hindusim k najdik to aaye.. waise bhi ved, brahma sutra, upnishad, geeta ye sabhi humanity k development k liye he, ye kisi ek religion k liye nahi he… ab point par aate he..aap ko lagta he ki maine dr.zakir ko suna he lekin samja nahi he, to yehi baat me aap k liye bhi keh sakta hu ki aap ne bhi ved, upnishad, brahma sutra k sentence ko padha he lekin samja nahi… dear majid, me fir se kehta hu ki interpretation aur translation don me farak he…translation sabhi sutra ka same he lekin farak interpretation me hi pad jata he… f.eg : brahma sutra k 3 re paad k 2re adhyay k 11 se 26 sutra ka abhyas karenge to aap ko pata chalega ki brhma k dono bhi rup ko manyata di hui he.. sagun sakar aur nirgun nirakar aur in sutra ka translation k liye dictionary me dekhne ki jarurat nahi he bhai, kyunki in ka naam hi “sutra” he which means formula’s jinko samajne k liye translation ki nahi proper interpretation ki jarurat he…

Page 5: sanskruti

I think problem wohi to he ki aap har cheez ka sirf translation kar rahe ho, aur ye baat to saaf he ki kisi bhi cheez ko samaj ne k liye keval translation nahi usko samajna jaruri he… Me fir aap ko reference dekar bata raha hu ki geeta me, aap 10va adhyay padhe, jisme bhagwaan ne apni vibhuti k bare me bataya he, Upnishad me “Ishawasya Upnishad ka pehla mantra padhe usme har jagah bhagwaan se bhari hui he is baat ko manyata di hui he” Aur ye sab refernce me khud study kar k aap ko bata raha hu, kisi k lectures ya videos sunkar nahi… Aur rahi baat kisi baba ki to maine to abhi tak sabhi kuch apne dimag se nischit kiya he, apni rit se “shankaracharyaji k pustako ko padhkar apna interpretation nikakala he, baba ki yeda bana ne ki baat to aap par lagu ho sakti he, kyunki abhi tak aapne bar bar dr.zakir k refrence diye he…maaf kijiyega lekin bolne wale ye bol sakte he ki dr.zakir aap ko yeda banata he… Jaane do hum satya ki khoj karne k liye discussion kar rahe he, ilsliye in sab baato ka jikar karna time wasting he… Swami vivekanand k guru ram Krishna param hans ji k bare me thodi jaankari nikaliye aap ko swami ji k bare me idea aa jayega… Aap baar baar veda k sahi interpretation k liye dr. zakir ka refrence dete he, spoon feeding se jyada khud study karni chahiye aisa mera suggestion he… aise kai musalman bhaio ko maine bhi pucha he jinhe quran k bare me nahi maloom…lekin ye koi argument nahi ho sakti ved k satya ko jan ne k liye… Rahi baat muslim bhaio k bina murti k concentrate karne ki..to muje to bahut khusi hogi agar aisa hota he..kyunki maine bahut pehle hi aap ko kaha he ki bina murti k bhi realization ho sakta he lekin murty k sath wo aasan ho jata he..musalman bhaioo ko wo hota he ye jaan kar anand hua lekin kya ye baat sabhi musalmano k liye sach he?aap k liye sach he? kya aap Samadhi awastha me pahuch jaate he? Keep in touch… Vaidik sanskruti ki sabse badi takat yahi he ki wo bhagwaan tak pahuchne k alag alag raste ko swikar karta he… majid bhai ye baat to nischit he ki bhagwaan do nahi he, ek hi he isliye to “adwait” shabd vedant darshan k sath juda hua he, lekin afsos aap ko sanskrut ka gyan nahi aur dr.zakir ne bhi copy paste kar k bataya he Bhagvad geeta 7th adhyay 20th shlok Iske meaning me kahi bhi dummy god word aata hi nahi, I don’t know from where mr

Page 6: sanskruti

zakir took such type of translation of GEETA… bhagvad geeta me 700 slok he, koi ek slok batayie muje jiska translation “murti pooja nahi karni chahiye” aisa ho… Lekin aap 12th adhyyay ka abhyaas kijiye jiske kai sloko ka meaning bhagvaan k sagun saakar swarup ko manyata dete he… Ab dekhte he upnishad k refrence To dr. zakir ne upnishad k beech me se chote chote shabdo ko uthaya aur bataya he Chandogya upnishad jiska refrence diya he 6/2/1 uska pura meaning ye he ‘In the beginning, dear boy, this was Being alone, one only, without a second. Some say that, in the beginning, this was Non-being alone, one only, without a second. From that Non-being arose Being.’ Is me se unhone “one only, without a second” itna part utha kar refer kar diya he… Is pure meaning ka bhi translation nahi interpretation hi important he… Bhagwaan ek hi he, do nahi, lekin uske form, name alag alag ho sakte he… The true translation of “na Tasya pratima asti” is “…There is none equal to Him whose name is great glory.” MURTI POOJA IS A PERFECT SCIENCE, jiske bare me aap ka reply milega uske baad baat karenge Eagrly wainting for reply Hello kaise ho aap ka mail padha, aap kahte hai k interpretation dikho mai aap ko yeh kahunga k aap ne barabar kaha k interpretation sab alag alg karte hai lekin translation to ek hi hota hai aur mai aap ko yeh bhi yaad diladu k jab zakir sahib ne concept of god ka lecture diya tha to aap k scholar swami shankar acharya bhi the aur unhone is lecture k bare me objection bhi nahi liya q k who bhi mante hai k yeh sab sahi hai lagta hai aap unse bhi zyada knowledge rakhte hai. Ap ne apne hisab se interpretation kiya honga jo shayad scholar swami se alag honga, is liye sahi interpreatation karke mujhe mail kijiye aap ka interpretation nahi. Aur aap zakir sahib ko baba se compare kar rahe ho lekin mai aap ko batadu k baab me aur unme diff kya hai baba log bina hawale k baat karte hai lekin yeh hawale k aur wih

Page 7: sanskruti

bhi aap logo k scholar ka samne jaise k ravi ravi shankar aor shankar acharya k , hai app k kisi baba me dum jo unse debate kare, unhone to sab ko challenge kiya hai k aao mujh se baat karo who kabhi kisi dharm ke bare me bura nahi bolte who to sirf similarity batate hai Aap ne dusri baat yeh kahi k aap ne muslamano se quran k bare me poocha nahi bata paye to mai yehi kahunga k quran kahta hai k mujhe padho aur us par amal karo agar nahi karonge to narkh me jaonge to agar koi musalman ko quran nahi pata to who zaroor narkh me jayenga, usi tarah hindu agar veda ko nahi janta aur us par amal nahi karta to who bhi narkh me jayenga, aur mai janta hoon k kuch % muslim who act karte hai jo quran me nahi hai, to mai yah kahunga k agar islam ko janna hai to musalmano ko mat dekho uski books dekho, lekin Hinduism me is type k logo ka % bahot zyada hai jo veda ko nahi jante who sirf ramayan geeta ko jante hain jo Hinduism k secondary book hai, is liye mai ulogo ko nahi dekhta jo veda ko nahi jante balke Hinduism ke scripture ko dekhata hoon Aur aap ne dargah aur Samadhi ki baat kahi to aap ko yeh glat fahemi hai k hum Samadhi ki pooja karte hai yeh aap ki baat nahi balke 99% hindu ko galat fahemi hai, bahi mere allah ko chod kar kisi aur ko pujna yeh islam me sabse bada paap hai, ha ho sakta hai k aap ne kisi musalman ko dekhan honga jo quran ko nahi janta, quran me likha hai k allh sab kuch maaf kar sakta hai lekin aise logo kao kabhi maaf nahi karta jo us ko chod kar kisi sur ki pooja karte hai, yeh Samadhi wale allah ke achche bande hite hai jinhe hum awliya kahte hai aur hum unko poojte nahi balke unke threogh dua mangte hai aur ha aap is ko murti pooja jo app karte ho us se compare mat karma it is different. to sahib aap interpretation par mat jaiye q k jaise aap ne kaha sab alag alag karte hai lekin translation me to sab same hai, agar interpretation hi ki baat hoti to shankar acharya wahi par na tok dete jab zakir sahib ne unke samne yeh kaha, lekin swami ji ne accept kiya k yeh sahi hai, aur zakir sahabv ne yeh bhi kaha k hindu word british ne diya hai jo galalt hai hindu ko vaidantis ya sanathan kahte hai aur yah bhi baat swami ji ne accept ki. Aap debate dekhiye zakir sahib ka ravi ravi shankar ji k saath unh one to sare aam mafi mangi thi ek book k liye jo unhone likhi thi without any reference. Aur mai aap ko yeh bhi batadu k bahot se hindu veda ko authentic nahi mante who kahte hai k is me kat chat ki gayi hai Aur ha samdhi par to aap k log bhi nariyal lekar pahoch jate hai aur pata nahi kya kya karte hai shayad unko 33 crore par bharosa nahi, q k mai janta hoon k who bhi log veda ko nahi jante, hamare har ghar me quran hota hai jise hum padhte hai aur ha app ko yeh bhi batadu k quran hi duniya me sab se zyad padhne wali book hai, lekin veda to shayad hi kisi hindu k ghar me milengi who to geeta se hi khush hai. Aur aap ne kaha k mai isi bhane Hinduism ko samajh raha hoon to aap ne sahi kaha, q k mai jab kisi hindu ko ped ya murti pooja karte dekhta tha to mai samajhta tha k inke books kahte honge shayad inhe yah sab karne ka lekin baad me jab maine jana k nahi veda to wahi kahta hai god k bare me jo quran kahta hai to mujhe laga k lg galat karte hai na ke unki books, isliye mai unko samjhata hon veda k ref. dekar. Agar aap ko bhi koi

Page 8: sanskruti

musalman galat karta hua dikhe jo quran me nahi hai to app bhi unhe quran ka ref dekar samjhye hamara aim yahi hai k log god k sahi mano ko samje. Agar hindu aur muslim ko karib aana hia to hame common bato par aana honga jo veda aur quran me hai. Aur god ka concept doan me same hai. Islam aaj duniya me sabse zyada spread hone wala dharma hai, lekin yeh bhi bata du ka duniya me sab se zyada galat fahemi agar koi dharm k bare me logo ko hai to wih islam hai. Aur mujhe yeh baat ki khushi hai k aap baba ko nahi mante ya unko zyada credit nahi dete. Lekin afsos bhi hua k aap ne zakir shab ko baba se compare kiya. Ok thik hai mera kaam aap ko samjhana tha baki allah ki marzi, allah kahta hai quran me k aap log sirf batao logo ko islam k bare me aur baki mujh par chod do hidayat mai doonga. Mai dua karta hoon k allh aap ko hidayat de. Zakir sahib hi hai jo khule aam logo ko sahi batate hai, hai koi kisi dharm me jo unse baat kare unhone abhi baba ramdev ko debate k liye kaha lekin who bhi dar gaya q k who bhi janta hai k who bhi logo ko yeda banata hai, mera baba ko bura kahna ho sakta hai logo ko bura lage lekin sahi q k yeh log sahi nahi batate balke apposite batate hai veda k. Aap ne kaha ke zakir sahabgalat hai to phir aap ke swami bhi galat hai aur aap ke veda bhi, agar kabhi future me zakir sahib ka programe honga to mai aap ko invite karunga aap bhi un logo me ho jo sacchai ko mane se darte hai are bhai kitne log unke lecture sumklar islam late hai yane aap swami se bhi bade scholar lagte ho Ok bye keep in touch

The true translation of “na Tasya pratima asti ” is

“…There is none equal to Him whose name is great glory.”

Aap ne phir galat translation kiya yeh to mai bhi janta hoon pratima means image lekin aap k isme to yeh sahabd nahi hai khair aap ne yeh acchi kahi k sanskrit seekhna chaiye lekin afsos yeh to dead language ho gaye hai aur is ke zimmedar aap hi k scholar hai q k wo bhi nahi chahte ke log sahi Hinduism ko samjhe. Isliye zakir sahib logo se appeal karte hai k Sanskrit seekho jis tarah hum Arabic seekhte hai -------------------------------------------------------------------- Dear majid

Page 9: sanskruti

Aap ka mail padha, ye mehsus hua ki hum kis bare me discussion kar rahe he wo yaad dilane ki jarurat he… Humara discussion is baat par ho raha he ki vaidik sanskruti murti puja ko manyata deti he ki nahi? Aap ne muje refrence diye the… maine aap ko refrence bheje uska to aap ne javab hi nahi diya brahma sutra ka jo dr.zakir refrence de rahe he wo to kahin milta hi nahi… Sab ka translation same he ye baat to obvious he…lekin kis bhi cheez ka satya jaan ne k liye keval translation kaam ka nahi hota… Dusri baat jo me barbar dohrate aa raha hu ki geeta, upnishad, brahma sutra kahin bhi clearly translation dikhao….wo bhi aap dikha nahi rahe… Shankaracharya ne apna point bahut hi sundarta se rakha he..unhone to vaidik sanskruti ki taqat batayi he…jaise maine pehle bhi kaha tha ki “bhagwaan tak pahuchne k alag alag raste ho sakte he, aur uska pyaar se swikar karne wali vaidik sanskruti he, yehi uski greatness he…”shankaracharya vaidik sanskruti k student he, scholar he, vo kyu virodh karenge?lekin unhone kahi bhi murti pooja k khilaf kuch nahi kaha, islam ko sath dene ved aur vaidik dono bhi tayyar he ye baat unhone kahi, jo bahut hi badhiya he…shankaracharya kuch nahi bole is baat ki taraf, kuch is tarah se dekhye aap ko sikke ki dusri baju nazar aayegi… Aage aap ne kaha mera knowledge swami ji se bhi bada he…dhanyavad lekin Knowledge kam zyada rakhne ka prashna hi nahi uthta, har insaan apne jivan me apne gyan ko mahatva deta he, dusre ka sunkar bhi apni buddhi lagata he, aise hi spoon feed karte rehna kya kaam ka? So maine kabhi aisa nahi kaha ki mera knowledge baba se jyada he lekin me job hi kehta hu apni samaj se kehta hu…khud chek kar k kehta hu… majid sahib me aap se puchta hu, jab dr.zakir k notes ya books aapne padhe tab usne diye hue refrence ko kabhi chek karne ki koshish ki? Me ye nahi kehta ki wo galat honge lekin, wo kya he? Kaha he? Kisne likhe he?ye apni buddhi se jaan ne ka prayatna kaabhi kariye bahut fayde mand rahega… samadhi shabd ka translation aap ne kar diya lekin interpretation nahi kar paaye…majid, mera wo sentence wapas padhiye aur samajne ki koshish kariye.. Samadhi ka keval ek hi arth nahi hota, maine jo word istemaal kiya he wo he “Samadhi awastha”(pls chek again) jiska darga se koi lena dena nahi he..samadhi awastha patanjali yog darshan k yog sutra me se li gayi he, jiska matlab hota he “a state of self realisation” hum self realization ki baat kar rahe the aur aapne use dargah ka translation kar k dargah k sath jod kar k lambaaa sa likh diya, (isiliye me kehta hu ki only translation may lead u in the wrong direction) kher koi baat nahi..aap satya sodhak he isliye aap ka respect karta hu…try to search on google about “patanjali – yog darshan”

Page 10: sanskruti

Usme bhi aapne kafi kuch likha he ki “33 karod par bharosa nahi..etc majid, me fir se kehta hu is k dusre pehlu ko dekho…vaidik sanskruti bahut hi braod minded he, wo har jagah bhagwaan dekhte he…jaha jaha shradha he waha waha bhagwaan he…isme 33 crore par k vishwas ka sawal nahi he dear, wo sabhi me ek bhagwaan ko dekhte he… Dr.zakir ne kin logo ko haraya, ya aap ko aisa laga ki wo samne wale haar gaye ye sab charcha karne se wo hi baat ho jayegi jo aam hindu musalman kiya karte he…blam game… Fir se yad diladu ki hum yaha is baat par vichar kar rahe he ki ved, brahma sutra ya upnishad murti puja ka virodh karte he ya nahi? Isme me khud abhyaas kar k refrence de raha hu aur aap dr. Zakir ka sahara lekar de rahe he…isliye dr.zakir ko bich me lana pad raha he…isme koi burai bhi nahi he, lekin ye vastu sthiti he. asal me humare discusiion me dr.zakir ne kya challenge diya, kisko haraya etc aana hi nahi chahiye..ved, upnishad sacred scriptures, aur murti puja itno ko chod kar jo bhi baate hogi mere khayal se out of topic ho jayegi…. Languages kabhi dead nahi ho sakti, sanskrut to shastra shuddha language he…uske baare me aisa bolna theek nahi…lekin is baat ka anubhav aap ko tabhi hoga jab aap use sikhne ka prayatna karoge..pandit satawlekar ji k 18 volumes he “sanskrut swayam sikshak” naam ki book k…iska abhyaas aap ko khud karna hoga kyunki dr.zakir ne abhi tak sanskrut k lectures shuru nahi kiye dr. Zakir theek kehte he sanskrut sikhna chahiye me to sikh raha hu aap bhi sikhe.. “sanskrut bharti” naam ki institution free me seminars leti he 10 days ka. Free of charge…aap kahe to contact bheju? Keep in touch Maine jo refrence wala mail bheja tha pls uska reply dijiye..brahma sutra ka...