म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

33
jai sadgurudev, sadhna karna aur anubhav prapt karna jivan ki swarnim uplabdhi hoti hai,aur ise apne snehi janon ke sath bantna ek sukhad anubhooti,vaise kaha jata hai sadhna ke anubhvon ko gupt rakha jata hai...... Kintu humare is chhote se prayas se yadi aneko ka marg prashast hota hai to hume ye awashya karna chahiye..... Meri kamakhya pravash ke dauran kuchh vishist anubhav........jo nishchay hi apko sadhna ke kathin marg ko sahaj karne me sahayak honge........kramashah...... :) jai sadgurudev, humare anu bhaiya ke vistar se samjhane ke baad bhi log sadhna ko khel ya matra ek kriya kyo samjhate hain...? Hume swadisht bhojan bhi chahiye aur paisa bhi kharch na ho aisa kaise sambhav hai.... Mahaviddha sadhna me ya prayog karne me laparwahi ki hi nahi ja sakti, fir chahe unke beej mantra ho, ya mala mantra ho ya poorn mantra ho maa bagla atyant teekchhan aur teevrata se sadhak ko uska abhisht pradan karti hai, aur koi bhi sadhna ho uske vidhan ke anusar hi karna chahiye, yadi aapka swasthya theek nahi hai to pahle use theek karen, kyoki sadhna ka pahla niyam hi hai ki man aur tan poorn swasth aur prasannachit ho...... Is tarah ki kya hum sadhna aise kar len ya vaise kar len...iska tataparya hai..sankalp shakti ka dran na hona atah pahle apni sankalp shakti ko majboot kijiye jisse sadhna me aane vale vighnon ka samna kar saken....sadgurudev ne kuchh baate awashya batyi hain ki yadi sadhak beemar hai hath panv dhokar aadi.... Kintu ye un sadhko ke liye hai jo pahle se hi sadhna me hain aur achanak unka swasthya bigad jata hai to kram na toote isliye ye vidhan hai.... Kintu meri vinti hai ki sadhna ko poore man se aur vidhan se hi sampann karen... Taki apka abhishat prapt ho sake.... Kyoki kai baar aisa bhi suna jata hai ki maine to ye sadhna ki thi kintu kuchh huaa hi nahi....to bhaiya isme mantra ki nahi humari apni kamiyan hai jinko door karna hi padega tab hi sadhk ban payenge......jai ho.....nikhil pranam.... :)

Upload: abhishek-benjamin

Post on 31-Dec-2015

4.072 views

Category:

Documents


5 download

DESCRIPTION

म__ क_ स_वर_ण_म ल_

TRANSCRIPT

Page 1: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai sadgurudev, sadhna karna aur anubhav prapt karna jivan ki swarnim uplabdhi hoti hai,aur ise apne snehi janon ke sath bantna ek sukhad anubhooti,vaise kaha jata hai sadhna ke anubhvon ko gupt rakha jata hai...... Kintu humare is chhote se prayas se yadi aneko ka marg prashast hota hai to hume ye awashya karna chahiye.....Meri kamakhya pravash ke dauran kuchh vishist anubhav........jo nishchay hi apko sadhna ke kathin marg ko sahaj karne me sahayak honge........kramashah...... :)

jai sadgurudev, humare anu bhaiya ke vistar se samjhane ke baad bhi log sadhna ko khel ya matra ek kriya kyo samjhate hain...? Hume swadisht bhojan bhi chahiye aur paisa bhi kharch na ho aisa kaise sambhav hai....Mahaviddha sadhna me ya prayog karne me laparwahi ki hi nahi ja sakti, fir chahe unke beej mantra ho, ya mala mantra ho ya poorn mantra ho maa bagla atyant teekchhan aur teevrata se sadhak ko uska abhisht pradan karti hai, aur koi bhi sadhna ho uske vidhan ke anusar hi karna chahiye, yadi aapka swasthya theek nahi hai to pahle use theek karen, kyoki sadhna ka pahla niyam hi hai ki man aur tan poorn swasth aur prasannachit ho......

Is tarah ki kya hum sadhna aise kar len ya vaise kar len...iska tataparya hai..sankalp shakti ka dran na hona atah pahle apni sankalp shakti ko majboot kijiye jisse sadhna me aane vale vighnon ka samna kar saken....sadgurudev ne kuchh baate awashya batyi hain ki yadi sadhak beemar hai hath panv dhokar aadi....Kintu ye un sadhko ke liye hai jo pahle se hi sadhna me hain aur achanak unka swasthya bigad jata hai to kram na toote isliye ye vidhan hai....Kintu meri vinti hai ki sadhna ko poore man se aur vidhan se hi sampann karen... Taki apka abhishat prapt ho sake.... Kyoki kai baar aisa bhi suna jata hai ki maine to ye sadhna ki thi kintu kuchh huaa hi nahi....to bhaiya isme mantra ki nahi humari apni kamiyan hai jinko door karna hi padega tab hi sadhk ban payenge......jai ho.....nikhil pranam.... :)

http://www.facebook.com/groups/194963320549920/permalink/435791299800453/

Page 2: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai sadgurudev, jab bhi koi hume kuchh kahta hai hum uska uttar awsya dete is baat ka arth ye nahi ki maiene tantra prayog kiya iske prabhav se hi koi uttejit hokkar baaten ya kriya kar raha hai....hum baar-2 ek hi baat kahte hain ki tantra koi khel nahi hai, kinti ye moorkh is baat ko bahut hi halke se le raha to ...ok...Ab ek baat sabhi bhaiyon se ki ye tath kathit no ab to hum jaan chuke hain ki vo kaun hai is vyakti ke kisi bhi baat ka koi javab nahi dega... Ye yahan yani is group me ghuskar sirf rajniti khelne ki koshish kar raha hai....iska karya hume apne marg se bhatkane ka hai.....to bhaiya kachche khiladi huma bhi nahi hain......iski pratyek baat ka javab iske 55- 60 din poore ho jane ke bad denge..... Aur vo javab sirf meri mahila teem degi..... :)ab kuchh baate humari bahnon se kya ab tak hum jo bhi sadhnaye likhte aaye hain vo sirf padhkar likha hai kya uska koi kriyanvan nahi kiya gaya hai ? Hum yadi tantra ki baaten katre hain

to tantra me kya belan, chappal dande ki awshyakta hoti hai....?Rozi aur suvarnaji sadhna ke ek achhe star par hone baad bhi hume in cheejon ka istmal karna chahiye ? Nahi hum jante hain ki wo kaun hai... Aur uski is ghatiya karya ki saja hume dena hai sanjay aur is vyakti jaise log jinki mansikta striyon ke liye humesha se hi gandi aur ochhi rahi hai to iska javab bhi striyan hi de na....Koi kitna sahan kar sakta hai ye vo jane.... Lekin jo kuchh mujhe milta hai mai usko sood sahit vapis karti hoon.... :) aur vo bhi bade prem se to mir.kake ke bad kuchh or bhi khane ko taiyar raho.....aur meri bahne to taiyar hai hi.....hai na.... :)

ek baat aur nikhilji, anu bhaiji, aur raghu aap log nishchint hokar apne kary par dhyan den.....kyoki gurukary hi sarvopari hai... Sab apke sath hain..... Aur ab humara kam hi inke aur inke akao ko karara javab hoga.... Jai ho....suprabhat....

http://www.facebook.com/groups/194963320549920/permalink/434880109891572/

jai sadgurudev,prapanchiyo ke fer me padkar kuchha der ko hum bhi prapanchi ki tarah kriya karne lagte hain.....kaha jata hai, ki jasa hum sunte dekhte hain ya ye mahaul ka asar bhi , humari gyanendriyon par padta hai.....arthat abhi in dinon kuchh aisha vatavarn nirmit hua ki hum apni sadhnatmak charcha se thoda hat se gaye....kintu ab prapanch se panchjanya shankh ki or......Ekagrata sadhnatmak jivan ka sabse mahatwapoorn ang hai..... Jaisa ki sabhi jante..... Kintu kaise ekagra ho ? Prashn bhi kathin aur kriya bhi..... Lekin yadi hum thoda sa samay bhi apne wyastatam samay se nikale to sab kuchh ho sakta hai.....choonki hum shishya hain atah pratyek ko guru poojan pratidin awashya karna chahiye.....Guruchitra pooja sthan ke ishan kon par rakhen...panchopchar poojan kar, guru mantra k

Page 3: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

a jap karte huye gurdev ke tilak par tratak dyan karen....1. Aankhon ko adesh den ki sansar ko bahut dekha ab sirf guru ko dekho....2. Tratak kare pale ek minit fir do...ase hi dhre2 samay badhyen....aanshu ayenge.. Koi baat nahi aane de...isse dheere kai chijen hongi jaise aankhe badi hongi, chehra me oj ayega, budhhi ka vikash hoga, ikchha shakti dran hogi.....3. apne kanon ko adesh den ki bahar ki sunna band kar apne andar ke omkar dhwani ko sunne ka prayash kare...4. Naak ko ki gahra swash le, aur pratyek swash nabhi se neeche utare....5. Jeebh ko adesh den ki apse poochakar hi vani ka prayog kare evam khadya padarth sweekar kare....6. Haantho ki anguyan gyan mudra me evam ridh sidhi arthat seedha tan kar bhaithna hai...tan kar baithna arthat aise ki aramdayak ho, kintu seedha....Inhi pancho indriyon ke sammalit prayash ka naam hai pancha janya shankh....fir aapki sadhna urdhwagati aur agragati karegi hi...aur sadgurudev ki anukampa aap par barsegi . nishchit hi..... :) nikhil pranam.... Jai ho....

http://www.facebook.com/groups/194963320549920/permalink/433846446661605/

tan rata man jaat hai, man rata tan jaye,tan man ekai hoy rahe, tab hansh kabir kahay.Param purush ko prapt hua ja sakta hai. Jab tan man ek ho jaye tab hansha ki gati prapt hoti hai, lakchhyansar shivatva ki prapti hogi....Parantu uske liye bhoolna hoga swayam ko.... Jigyashu hona hoga, baichen hona hoga..... Gurudev ke liye un param shiva ke liye.....jai sadgurudev..... :)

http://www.facebook.com/groups/194963320549920/permalink/433090253403891/

jai sadgurdev,huttham bina rajyogo, rajygam bina hutthah;tsma pravartate yogi, hutthe sadguru margatah.Huttha ke bina rajyog aur rajyog ke bina hutthyog siddha nahi hota, atah yogi ke liye uchit hai ki yogvetta sadguru dwara hutthyog me pravratta ho....

Page 4: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

Hutthyog arthat balpoorvak jodna, 'ha' yani Ingla nadi, yani surya swar, evam 'ttha' yani pingla nadi yani chandra swar.....

Is praka logon ne inke nam to jan liya padhkar ya kahi sunkar kintu inki mool prakriya ko na samjha na jana.....is vishesh kriya ke liye isme nshnat guru ke madhyam se hi ise karna chhiye..... Anyatha labh ki jagah hani bhi ho sakti hai.....Isme darne jaisa bhi kuchh nahi hai yogya guru ke nirdeshan me ise sampnna kiya ja sakta hai.....aur humare sadgurudev ne to kundlini jagran ke liye anek saral aur shj prakriya bhi batai hain......Kintu is prakriya ko bhi samjhna aawashyak hai....Surya tatha chndra swar ke dwara poorak kumbhaktatha rechak karke beech ki nadi ka shodhan karen, jise bramha nadi ya sushmna kaha jata hai, jisme se ho kar anantkal se soi hui kundlini jagrit hokar urdhwagati se chakron ka bhedan karti hui sahstratr tak jati hai....Is prakriya ko hutth yog kahte hain....isi se kaha gaya hai ki htthyogi ke liye trilok me sab kuchh sambhav hai......yatha....'Na tasya durlabham kinchiteshu lokeshu viddhate.Iske pahle kuchh taiyari jaise.....kam se kam teen ghante aashan par nishchal baithne ka abhyash.....pranayam, aur kucch mudrayen sikh leni chahiye....Pranayam-bhstrika, kapalbahti, suryabhedi, chturth pranayam..Mudra--- khechri, vipritkarni, mahabandh, mahamudra, ashwani,aur yoni mudra shakti chalini ye kundlini ko jagrit karne me sahayak siddha hote hain.... :)....Nikhil pranam....jai ho...

http://www.facebook.com/groups/194963320549920/permalink/432526993460217/

jai sadgurudev, eng tripura daivye vidmahe kleem kameshwari dheemahi saustannah klinne prachodyat.....Om namah tripurayai .....Bhaggvati addhashakti ka sabse sundar, manohari evam dharm, arth, kam aur mokchh pradan karne wala swaroop hai....Tripura ki sadhna ke anek vidhan hain,

tantra me vamachar, kaulachar paddhati se maa ki siddhi ki jati, to gurudev dwara mantra ke madhyam se evam tantra ki ek vishisht padhhti ke dwara bhi...... Shri chkrarchan ek mool vidhan hai..... Jo yogya guru ke nirdeshan me kiya jata hai.....

Page 5: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

kamakhya se lagbhag 35-40 km. Ki doori par atyant ghane aur beehad sthan me bhagvati tripur sundari ka ati prachin mandir hai....jahan par kamakhya ke bad-pujari kul yani kamakhya-kul ke peeth pujariyon ke kul guru rahte hain jo ye vidhan sirf apne shishyon ko hi pradan karte hain.... Yah bhi ek jatil prakriya hai..... Jo lagatar teen dino tak chalti hai.... Anekanek prakriyaon se un shishyon ko gujarna hota hai, tab unki dikchha aur poojan, aur sadhna di jati jise unhe har halat me 21 days me poori karni hoti hai....sadgurudev ki kripa apne shishyon par anekanek roop se barshti hai....Shayad mera bhi shaubhagya kuchha aisha hai......jo me is prakriya ki sakchhi hoon....Jai sadgurudev... :) :)

jai sadgurudev,gurudev humesha sadhna ke liye prerit kiya karte the, ve kahte the ki sadhna ka arth sirf siddhi pana nahi......apitu sharir, man aadi ka sadhana....Kyoki yadi hume kaha jaye ki ek ghanta bina dule baith kar mantra jap kar lo to......Sambhav hi nahi.......kyoki humara man hi itna chanchal kabhi vah apko bhatkayega aur kabhi aapke dosh....yani agle pichhle.....Sadhna nirantar karne wali prakriya hai....isse dhire-dhire na keval hum dosh mukt hote hain apitu humare ekagrata dhyan aur aashan bhi siddha hote hain......

Jo ki kisi bhi uchh koti ki sadhna ke liye aawashyak tathya hain.....Fir chahe mahaviddha sadhna hi kyo na ho....:)sadgurudev pahle dikchha ke madhyam se aur anya sadhnaon ke madhyam se shishya ko taiyar karte the tab mahavidhhya sadhna me agrasar karte the.....Aaj is ati vyastatam jivan me kisi ke paas samay hi nahi ki vo nirantar sadhana kar sake ya 31 ya 41 din tak bina vyagrata ke mantra jap kar sake......aaj to log chahte hain ki koi jadu ka pitara khol de aur bas ek do mala kare aur apsra ya koi deviya shakti upsthit ho jaye......kintu sach to ye hai ki jo sadgurudev aksar hansi me kaha karte the...Pair kabra me latke huye hain aur chahta hai ki apsara siddh ho.....arthat kahne ka matalab ye ki....vyakti ko sadhna ke madhyam se pahle hume nirbhay sashakt aue ekagra chitta sadhak banna chahiye....... Kyonki........Mahaviddhya sadhna hetu mukhya tathya hain....1-jo mahaviddha siddh karna chahte hain usse sambandhit dikchha vo bhi samarth guru se....

Page 6: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

2-aapki ekagrata aur aashan siddi aur poorn dhairya....3- kundlini ka jagrat hona.......Sambandhit amhaviddhya ka mantra gurumukh se prapt ho ya utkilit ho.....4- aur ukta mahaviddha se sambandhit sampoorn jankari....yani sahi-2 nyash, viniyog dhyan aur mudrayen....Ab baat mantra ke utkilan ki hai to.... Vah aapke guru par nirbhar karta hai.......humare gurudev na keval matra gyata, mantra drashta hi apitu mantra shrashta the.....Atah unke dwara diya gaya mantra na keval poorn pramanik hain apitu poorn faldai bhi........Rahi sadhna ki baat to vyakti ya shishya yadi sadhna marg par agrasar hona chahta hai ya ek bhi kadam badhata hai to sadgurudev swayamuska hath pakad kar aage le jate hain......:) isliye jo bhi is path par chalna chahta hai to ati uttam aur suswagatam.....Nikhil pranam.....jai ho :) :)

sureswari ghor roop chand-mund vinashini, mundmalvratangeech sarvashah patu maa sada...Maa kali dasho mahaviddhyaon me pratham sthan par hain.... Sadhak ko bhog aur mokchha dono pradan karne wali hain.....maa ka swaroop jitna vibhatsh hain sadhna utni hi saral aur sahaj.....Sadhak ke jivan ke pratyek dukh aur daridrata ko poorn roop se samapt kar abhay, sukh aur shanti pradan karne wali hain......mahakali....Mahakali ke anekon swaroop me trinayna kali ki sadhna to atyant mahatwapoorn aur faldai hai.....

Sath hi sadhak ke aantarik aur bahya dosho ka vinash kar gunon ka vikash karti hai.....maasach hai tu atyant hi karunamai hai...Sadaiv hum par apni kripa banaye rakhna......nikhil pranam..... :)

jai sadgurudev,Maa aadi shakti yani se hi samst brahmand ki utaptti hui hai..Grah nakchhatra din rat...sabhi kuchha...Aur inhi maa aadi shakti ki anya shaktiyon ke roop hain das-mahaviddh.....Maine pahle bhi bataya hai ki pratyek mahaviddhya apne aap me poorn hain....

Page 7: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

Mahaviddha sadhna ka mahatwapoorn pakchh ye hai ki ki aap kis uddeshya se sahdna kar rahe hain.....Chahe balga ho, bhuvneshwari, kali, kamla ya dhoomavti ya anya....Apke uddeshya, aur sankalp ke sath hi bhagvati ka din, samay, dhyan, viniyog, aur mantra bhi badal jata hai.....mahaviddhyaon ko kisi din nakchhatra ya grahon me nahi bandha ja sakta......Sadgurudev ne jab bhi mahaviddha sadhna ke vishya me bataya hai to bahgvti ke pratyek pakchh ki poorn roop se vyakhya ki hai...Maa paramba... Yani aadi shakti, arthat maa kamakhya ki shakti hain...unki karyvahak ke roop me karya karti hain ye mahavidhhyen..atah hum jis bhi mahaviddha ki sadhna prarmbh karen...unke pratyek pakchh ko samajh kar hi prarmbh karen.....nikhil pranam....jai ho :)

jai sadgurudev,sadhna ke kuchh mahatvapoorn pakchh hote hain...Isliye pratyek sadhna ki niyamavali pahle padhni chahiye fir aage badhna chahiye...Pahli baat ye ki humare bhaiyon ke paas samyabhav hai.....kintu... Sadhna me utavlapan thik nahi....Kyonki jab hume bhojan ki aawshyakta hoti aur yadi hume use bana kar khana hai to usme bhi samay lagta hai.....jaise yadi chaval pakane hain to pahle use safkar kankar ptthar niikalkar fir dhona padega aur use gais me pakane me kam se kam bees minit ti lagenge...

Fir hum kaise soch lete hain ki sadhna me ek do mala feri aur sab kuchh hath me......mery sabhi se prarthna hai ki is sadhna ko atyant dhairya ke sath karen...Ab doosri baat... Is sadhna me kahin bhi mala ka prayog nahi hai.. Kintu bagla sadhna me pili haldi ki mala ka pryog hota ok...Ise pili dhoti, pila ashan aur deepak me rui bhi pili honi chahiye.....Is sadhna ko poorn ekagrata aur dhairya ke sath matra adha ghante tak bina mala ke mantra jap karna hai....Isme samay bhi nischit nahi hai...Apki kchhamta ke anusar yani jitni ekagrata se karoge safalta utne shighra milegi.....Mahaviddha sadhna hai atah sadguru ke shri charno ka dhyan karte huye niyam aur sainyam ke sath sadhna kariye...Iti shubham.....Nikhil pranam....jai ho.... :)

Page 8: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai sadgurudev,aaj aap sabne ye sabit kar diya hai ki humara nikhil pariwar srf aur sirf prem aur sneh ke phoolon se guntha hua hai...Aap sabko bahut-bahut dhanywad....Aaj nikhilji ke janm din ke shubh avsar par aap sab bhi upahar ke adhikari hain...To mai aap sabko maa pitambara ke aur roop se prichit karwati hoon...

Kya aap jante hain.. Bhagwan shri ki shakti maa baglamukhi hain....Aur shri krishn ne apne poore jivan kal me hajaron bar balga ke pratyek shakti ka pradarshan kiya hai..... Yatha sammohan itna ki ped-paudhe bhi unke sammohan me bandhe hote the....Vashikaran aisha ki pashu-pkchhi sabhi unke vash me hote the....aur paurushta aishi ki akhil brahmand ke nar-nari unke aage natmastak the....ityadi....Sadgurudev ne bataya hai ki radha abhut sundar nahi thi.. Aur shri krishan ne ani bagla shakti ke pryog dwara hi radha ko adwiteey saundarya pradan kiya tha....Kahne ka tatparya hai ki ma balgamukhi purusochi aur striyochit saundary pradata bhi hai..... :)nikhil pranam....

jai sadgurudev,om hleem brahmstraye vidmahe, stambhan banaye dhimhi, tanno bagla prachodyat.....Sadgurudev ne maa baglamukhi ki sadhna aur dikchha ke aneko prakar bataye hain....Maa baglamukhi ki sadhna ke ane prakar hain,

jahan mahakalyukta hokar maa bagla sadhk ko nirbhayta deti hai to doosri or tara ke sath samputit hokar prachur dhan pradan karti hai......Ek taraf bhuvneshwri ke beej mantra se samputit hokar maa kundlini shakti ka praroop banti hai, to doosri taraf dhoomavati ke sath teevra shatru sangharak.....Arthat jis roop me maa bagla ki sadhna karte hain maa bagla usi roop me sadhk ko poornta pradan karti atyant sundar swaroop wali maa pitambara...Sadhk ki pratyek kamna ko na keval poornta pradan karti hai, apitu sadhk ki guru roop me jivan bhar margdarshan karti hai ....

Page 9: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

Ye mera anubhoot prayog hai.....Shri gurudevay namah...... :)

jai sadgurudev,prachin kal me logon ne somras tatha parad ki muktkanth se prasansa ki hai...Tatha prachin granthon me inke nirman tatha prayog ki saikdon vidhiyan batai hain.....Prachinkal me rasayan-vettaon ko ye pata tha ki in aushdhiyon ka kab aur kaise kiya jata hai...Homyopaithi me marnasanna vyakti ke rognidan heti Arsenic 10 m. Ki matra ka vidhan bataya hai...isi tarah prachin mishra, tatha greek me marnasanna vyakti ke dukhanubhuti ko door karne hetu hainlak namak vish ka prayog kiya jata tha...

Bharatvarsh me prachinkal me somras ka prayog man ko antermukhi karne ke liye kiya jata tha...Dhire-dhire ye viddha nasht ho gai ya arth hi badal gaya...Patanjali ke yogsutra ke chturthapad me bataya gaya hai ki aushdhi nirmit rasaynon ke prayog se yogi siddhiyon ko prapt kar sakta hai..Aushdhiyon kasamuchit prayog karke yogi apne swasth sharirik aur mansik ke sath yog sadhna ke dwara prakrati ke un sookchhma rahasyon ka udghatan kar sakta hai jo samany roop se manav man se pare hai.....Prachinkal me somras ka upyog un nirmal viddhyarthiyon ki sahayta karne ke liye kiya jata tha jinhe dhyan ke aasansiddhi tatha man ki ekagrata prapt nahi thi....Vaidhha bhairav dutta ke anusar mantra sadhna me in aushdhiyon ka prayog sadharan roop se hua karta tha. Is prakar ki mantra sadhna gurunirdeshan me hua karti thi us samay log ekant me rahte huye vrat, upvas aadi tapsya ki sadhna karte huye mantrajap me tatpar rahte the... Sadhuon ka ek vishisht samuday is vigyan me marmagya tha..Aurved ke granthon me anek prakar ki vanspatyon ka varnan ata jo unmadak bhi hote hain tath ayshdhiparak bhi...Kahne ka tatparya ye ki iske prayog ke mool me hi antar aa gaya hai....ab ye sirf gyan ke liye thik hai...kintu bina tapshcharya tatha anushasan ke in aushdhiyon ka prayog haniprad ho sakta hai......matlab ki gurunirdeshan ati awasyak....

jai sadgurudev,surya vighyan ek uchchakoti ki viddha hai.

Page 10: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

Jis prakar se bahya jagat me suryadev is sauryamandal ke kendra bindu hain, aur jis prakar surya se hi jivni shakti ka sanchar, prasar huaa karta hai....Usi prakar is manav sharir me manipur chakra hai....Manipur chakra nabhi mandal me viddhman hai...

Ye manipur chakra saurya shakti ka kendra bindu hai isliye ise agnidev ya suryadev ka sthan kaha jata hai....Humare manipur chakra me bhagvan suryadev ki shakti samahit hai...Uchchkoti ki yaugik kriyaon ka abhyas karake vyakti is chakra me samahit shaktiyon ko jagrit kar sakte hain.....Om ghrani suryadevay namah.....Om nim nikhileswaray namah.....

jai gurudev,Swayam ko janna, samjhna hi aadgyatm ka param lakchhya hai, isi ko aatm gyan kahte hain.Kintu sadhak ke liye shuddhata ekagrta aur anushasan bahut aawashyak hai..Ashuddh man, chanchal man apne hi kalpnaon evam pravanchnaon ke endra jaal me swayam ko fnasakar ulajha jata hai....Aur fir yah nahi samajh pata ki bahri jagat se apne aap ko kaise nivratta karen, aevam kaise antarmukhi hon.....

Yahi samsya hai nayi pidhi ki.....Vo jana kahin aur chahte hain kintu man kahin aur le jata hai....Sadgurudevji ne bar-bar man ko sadhne ka na keval vidhan bataya apitu siviron aur kitabon ke madhyam se prashikchht bhi kiya...Aur yahi prayas kar rahe hain....Nikhil-alchemy ke ganmany sadasya.......Gurudev dwara pradutta gyan ko aap tak pahunchana hi uddesya hain....Jisse ki aap sab us gyan ka un sadhanon ka labh le sakne...Aur jivan ko urdhvamukhi kar saken....Aur yahi swapna hai mere gurudev ka..... Dhanyawad nikhil-alchemy..Jai ho, jai hojai sadgurudev..

jai sadgurudev,kisi maha viddha sadhna ke pahle yadi mahaviddha kavach ka matra ek

Page 11: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

baar path kar liya to aur bhi atishubham.....Amaha viddha kavach----shranu devi pravkchhayami kavacham sarv-siddhidam,aaddhaya mahaviddhayah sarvabhishta falpradam....

Viniyog-----kavachshya rishirdevi sadashivah itiritah,chando-anushtupah devta cha mahaviddha prakirtita,dharmarth kam mokchhanam viniyogashya sadhne.....Enkarah patu shirshe maa kambijam tatha hradi,ramabijam sada patu nabhau guhye cha padyoah,

lalaate sundri patu agra maa kantha deshetah, bhagmala sartvagatre linge chaitanyaroopni

poorve maa patu varahi brahmni dakchhine tatha,uttare vaishnavi patu chandrani pashchime-avtu

maheshvari cha agneyam nairityam kamla tatha,vayavyam patu kaumare chamunda ishaketu,

idam kavacham gyatwa mahaviddhanch yo japet,cha falam jayte tashy kalakotishaterapi........Aage shri gurudevay namah....

jai sadgurudev,Yatrasti bhogo na hi tatra mokchho,yatrasti mokchho na hi tatra bhogah,shri sundari sadhan tatvaganam,bhogshch mokchhavasha karasth eva.....

Arthat---- jahan bhog hai vahan mokchh nahi aur jahan mokchh hai vahan bhog nahi kintu bhagvati tripur sundri ki aaradhna karne walon ke liye bhog aur mokchh dono hi sahaj va sulabh hain...... Aur kamakhya peeth par maa Raj-Rajeshwari tripur sundri ke roop me hi virajman hai.....Ahobhagya gurusev ki aapne hum akinchan ko ye gyan diya....

Page 12: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai sadgurudev, kya aap jante hain.....? ki kisi bhi sadhna me hume anya surakchha kavach ki aavshyakta nahi hoti......Kyonki..... Us sadhna se sambandhit mantra hi humari surkschha karta hai....Tatha sadhak ke guru sookchhm roop me na keval sadhk ki rakchha karte hain apitu sadhk ki chhoti se chhoti galtiyon ko sudharkar poornta tak le jate hain.......Om nikhileswaray namah......

jai sadgurudev,gurudev ne apne narayan swaroop jivankal me apne shishyon, sadhkon ko sikhane aur jivan ko urdhvgati dene ke liye apna ek-ek chhan laga diya.......Unhone kitabon ke madhyam se siviron ke madhyam se gyan ke aise moti bikhere ki......Jinme se yadi vyakti ek moti ko hi sadh le to jivan ko safal bana sakta hai.....Unhone aneko bar kaha hai.....

Ki shastrokt kathan hai ki jo manavjivan pakar bhi jivan ka aanand aur poornta prapt nahi karta uska jivan vyarth hi chala jata hai....Jivan ka uddeshya khana-pina, sona ya santan paida karna hi nahi hai, apitu prakrati ke un rahshyon ko bhi jaanna jaroori hai jisse yah srashti sanchalit hai....Jivan ke un tathyon ko samjhna aawashyak hai,jinke liye prabhu ne hume jivan diya hai.....aur us brahmatva ko prapt karna hai, jise vedon ne 'poornamadah poornmidam' kaha hai.Arthat......bramha se sakchhat kar prakrati ke sath apne ko ekakar karna.......shri nikhileswaray namah........

jai sadgurudev, sadgurudevji ke dwara diye gaye kuchha mahtwapoorn sadhna rahasya------kisi bhi sadhna me apne samne yadi parad gutika sthapit ka sadhna sampnna ki jaye to kisi bhi prakar ki badha nahi aati aur safalta bhi milti hai.......Mool-utsha ke jagarat hote hi wyakti teen kalaon ko par kar leta hai.....Kundlini jagaran ek mahatwapoorn prakriya hai.... Jiske pashchat vyakti mahviddha sadhnaon me nishchit hi safal hota...... Jai-jai nikhilam.......

Page 13: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai gurudev,bhaiyo-bahnon, sadguru dev ke sanyasi shishya yogiraj shri vigyananandji ke anusar------guru, maa arthat prakrati (maa kamakhya ) aur kundlini shakti me koi bhed nahi hai.....Jisne inme se kisi bhi ek ko sadha..... Use poornta tak pahuchne se koi nahi rok sakta....ye ek adbhut satya hai humare guruvar prakratimay hokar hume nitya naye sndesha dete hain........ye humare upar nierbhar hai ki hum un sandeshon ko kaise pakde........Jai-jai nikhilam....

jai gurudev, upnishadon ka adhhyan karte samay kebal vahi vidhyarthi aashankit hota hai jo yogya guru ke charanon me baith kar adhhyayan nahi karta.......Anubhavi guru apne vidhhyarthi ko pratyek star me anubhooti ke liye protsahit karta hai.:..Guru ka prayas humesha yahi rahata hai ki vah jo kuchh bhi use padhaye, use shishya apne vyavharik jivan me prayog kar sake.....Guru kabhi apne budhhibal ka prayog nahi karta, apitu apne hraday ki gufa me anubhoot tatva ko apni vani se apni shikchaon ke dwara shisya tak pahuchane ka prayas karte hain.......Ye shishya ki kashauti hai ki vah apne budhhi ke, man ke dwara prashno ke uttar pane ka prayas band kare aur apne hriday ki gaharai me baithne ka prayas kare.....Tab vah dekhega ki uske andar hi anant gyan bhara hua hai.....Aur us pratibh gyan ke divya prakash me tumhe apne samst prashno ke uttar mil jayenge.......Yahi hai mere gurudev ki prerna......

jai gurudev, pustkiy gyan aur anubhavatmak gyan me antar hai.Prayah buddhijivi logon ke sath yahi samsya hai.Unke paas gyan bahut hai, lekin ve apne gyan ka apne jivan me prayog nahi kar pate balki usi gyan ke karan unka ahankar bad jata hai.manushya janta to hai bahut kuchh kintu uska vah gyan uske dainik jivan me acharit nahi ho pata...yadi us gyan ka vyavharik jagat me abhyas na kiya gaya to vah gyan keval bojhaswroop ho jata hai...

Page 14: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

sachcha gyan vahi hai jo hume mukti de sake....Jisse humara shuddhikaran ho, humare jivan ka vikas ho aur hum apni hi aatma ki gahraiyon me baithkar apne aap ko jaan saken....vahi sachcha gyan hai........

jai gurudev,sadharntaya logon ko ekchhashakti ke vishay me kuchh jyada gyan nahi hota hai.Ekchhashakti sarvopari shakti hai.Aatmshakti teen roopon me vyakt hoti hai.....Ve hain---- mahakali, mahasarswati aur mahalkshmi.Inhi ko ekchhashakti, gyanshakti aur kriyashakti kaha jata hai.Ye shaktiyan divya hain aur humare ander soi hui hain.Aadhyatmik sadhna ke dwara in shaktiyon ko jagaya jata hai.In shaktiyon ke jagrat hote hi hum sarva-shaktiman se jud jate hain.Ekchhashakti ke dwara hi hum karya karne ki ekchha karte hain, sankalp lete hain.Gyanshakti ki sahayta se hum kisi karya ko karne ka nirnay lete hain aur kriyashakti ki sahayta se hum karya karte hain...Gyan aur kriya ke mool me ekchhashakti hi hai jinke ander ekchha poornroop se jagrat ho jati hai vah sidhha kahe jate hain.isi ekchhashakti se hi prakrati par vijay prapt kar sakte hain........jai nikhilam

jai sadgurudev,aatm-samrapn, aatmgyan ka ek uchchatam sadhan hai. Swayam ko eswar ke charanon me samarpit kar dene wala vyakti sada hi devi saktiyon dwara surkchhit rahta hai.Jisne apne apko eswar ke charanon me samarpit kar diya uski rkschha swayam ko guru ke charano me apne aap ko samarpit kar diya uski rakschha swayam gurudev prakratimay hokar mata ki tarah uski dekhbhal karate hain.isiliye kahte hain.....Twamev mata cha pita twamev,twamev bandhu ch sakha twamev.........shri gurudevay namah.....

jai gurudev,bhaiyo, bahno gurudev sada kahte the vyakti kahin bhi rahkar apne jivan ke sarvochch lakchh ko prapt kar sakta hai,

Page 15: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

vah har paristithi me ainse vatavaran ka nirman kar sakta hai......Jiske madhyam se vah apne bhitar chhipi hui shaktiyon ka vikash kar sakta hai....Yadi manushya sauchmuch me dran-sankalpit ho jaye ki use apne ander chhipi hui shaktiyon ka jagana hai.......Jo log jivan me lakchhya ke prati sachet nahi, apni bhitar ki shaktiyon ke prati sachet nahi.....Ve yoon hi bhramjal me fanste jate hain.......shri gurudevay namah.....

jai sadgurudev,santon, ka jivan aur karya-pranali bahut hi rahasyamyi hoti hai, sant, yogijan humare man ki samajh se pare hain, unki pratyek kriya aur aagya ke pichhe humesha kuchh na kuchh rahsya chhipa hota hai.Jai jai nikhilam

chhod diya vo bandhu-bandhav, chhod diya va ganv,guru charanon ka pyasha ye man, prabhu kahan se pau,udte-udte thak raha hoon, pankh bhi toot rahe hain,upar himgirg, niche sagar naina barash rahe hain, ai hawaon, ai toofan, sunlon meri pukar, jahan virajen mere sadguru pahucha do va ganv, pahucha do va ganv.......

s ah,uchhkoti ke aur sansar me safal sadhk ve kahe jate hain, jo sahi samay par sahi nirnay lete hain...hri guru devay namVe vyakti hi is vishva me safal mane jate hain jo apne guru ke pratyek maun ishare ko samjhakar samay ka sadupayog karte huye pratyek sadhna ko karte huye aatmsat kar le vahi shishyta ki bhavbhoomi par pahunch pata aur safal hota hai......

jai gurudev,aadhyatmik sadhna me man ka ekagra hona, budhhi ka kushagra hona bahut awashyak hai,kintu us ekagra man ko aur kushagra budhhi ko sahi disha pradan karna usase bhi adhik aawashyak hai.....Anyatha manushya tarkik ban jata hai....kintu aisi paristithi me yadi

Page 16: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

hriday ke dwar khul jaye to kisi na kisi roop me eswar ka/ guru ka margdarshan milne lagta hai.Esha kripa se pratibha evam pragya ke dwar khul jate hain.Ainshi paristithi me bhagyavan sadhk ko parm tatva ka darshan hone lagta hai....Us pragya ke pravah me bahte huye hum antaratma ki gahraiyon tak pahuchate hain aur hume vahan apni aatma aur parmatma ke parsparik sambandh ka gyan ho jata hai. Jisase hume ek aantrik shanti ka anubhav hota hai...Man, indriyan aur samanvay ki stithi paida ho jati hai vygrataen samapt ho jati hain... Chinta aur bhaya sab mit jate hain....Yahi hai guru kripa aur aatma ka sadguru ke charno me vilin hone ki kriya ....jai jai nikhilam.....

jai gurudev, eswar kiske upar kab kripa karenge yah koi nahi bata sakta.Eshwar ki kripa hote hi humare vyaktitwa me poorn parivaratan aa skta hai......Hum bhootkal ki samsyaon se door hat kar vartman me is divya aur eshwariya gyan, sukh aue shanti ka anubhav kar sakte hain.....Sansar ke divya aur mahan santon me kai apne jivan kal me bahut achhe vyakti nahi the....Pashchimi sabhyata me sant paul jinka pahle nam saul tha evam humare rishi balmiki ek adbhut udaharan hain...Sahsa hiunke hriday me gyan ki kiran jagi aur ek kchhan me hi unka sampoorn vyktitva parivartit ho gaya....aur saul se sant paul aur dakoo se mahrishi balmiki ho gaye.....Isliye apne aap ko kabhi apradhi samajhkar apne ander hinbhavna ko na panpne den,bhootkal me aap kitne bhi nindniya rahe hon, kitne bhi tuchh karya kiye hon, kintu dhyan rahe ki apko apne jivan ko sudharne ka avser humesha prapt hai...Parivaratan hone me kuchh bhi samay nahi lagta kintu, hanuske liye apko taiyar hone ki awshyakta hai....Sachha sadhak kabhi bhi satya ki anubhooti karke swayam ko bandhan evam dukhon se mukt kar sakta hai...Isi prakar aap bhi ek kchhanmatra me apne aap ko prakashit kar sakte hain.....Aur humare sath sadgurudev hain to fir der kaisi.....jai jai nikhilam..

Page 17: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai sadgurudev, aaj kamakhya me sankranti ke din mahakali ka vishist poojan ho raha hai. Adbhut drashya hai. Jaise maa apne jajvlymaan swaroop me chahoon or viddaman ho gai hain, kaha jata hai ek samay yahan bahut bhayanak mahamari ka rog fail gaya tha, aur log dhire-2 ka grash bante ja rahe the, tab yahan ke peetha pujari ne dravit hokar maa se vinay ki, maa ne unhen swapn me is pooja ka vidhan aur rahsya bataya.......Aaj ke di yadi is vidhi ke sath yadi poojan kiya jaye to yahan mahamari jaisa rog bhavishya me kabhi vyapt nahi hoga... Behad adbhut hai in logon ki shradhha aur prem,jai maamahakali,

jaiy gurudev,shastron me maya ka do prakar se varanan kiya gaya hai, kuchh darshnik maya ko bhram kahte hain kintu fir bhi us maya ko poore sansar ka karan batate hain. Enka kahna hai ki maya ka astitva na hote huye bhi isi maya se poore sansar ki rachna hui hote hai.Lekin Tantra shastra me maya ka ek doosra roop hai, tantrashastra maya ko astitvahin nhi batate.Tantra shastra me maya sampoorn bramhand ki mata hai, parbramha parmesver ki shakti hai, kuchh granthon me use prakrati bhi kaha gaya hai.Uchchkoti ke tantrik granthon me use hi shri vidhya kaha gaya hai. Shiv ki para shakti kundlini shakti bhi isi maya ko kaha gaya hai. Use hi jagdamba kahte hain.Yah paramshakti poore sansar ko vyapt karke apne aap me istitha hai,isi param satya se vishva ka uday hua hai, aur samay aane par isi paramshakti me leen hi jata hai. Humare ander bhi yahi shakti viddman hai,kintu soi padi rahti hai. Sadna ke dwara hum is shakti ko jagane ka prayas karte hain. Jaise-2 yah shakti humare ander jagti hai humare ander gyan ka prakash hone lagta hai,

aur fir humare ander utsah, sahas aadi vrattiyan janm lene lagti hain, humare ander ka aanand ka pravah umad padta hai.isi ko kahate hain aatmanubhooti.Guru kripa hi kevam.. Jai jai nikhilam......

Page 18: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

jai gurudev,sadhna me aatmprashikchha evam aatmanushasan behad awshyak hai.Apne bhavon ko samjhna, samjhkar unhe pariskrit karna, sadhna kaha jata hai.Sadhk vahi hai jo apne man, vani aur karm ke prati poornroop se prabudhha rahta hai, jagrit rahta hai.Sadhna koi jadugari nahi hai ki ek bar baithe ya mantra kiya aur sab samsyaen gayab,sadhna ke dwara man aur sharir ka dhire-dhire pariskar hota hai,tab sadhak safalta prapt karta hai, sadhna me safal hone ke liye sadhak ko sabse pahle apne bahri aur bhitri jivan ko niyamit aur santulit karne ki awshyakta hai,jo ati awshyak hai,

jai gurudev,prakrati ke madhumay sangit ko sunne tatha uski sarahna karne se jivan ki har stithi aur har vatavarn me ek param shanti ka anubhav hone lagta hai.Maa prakrati ki god me nivas karne se humari sharirik, vachik, aur mansik sabhi gatividhiyan apne aap shant ho jati hain.Uske bad adhyan karne se, sadhna karne se hume prakrati ke saundarya ka bodh hota hai,jiske bad satya swatah hi pragat ho jata hai aur gyan ke prakash ka uday hote hi humare sub dukhmay andhakar nasht hoj jata hai.

jai gurudev,akelapan ek mansik rog hai,jabki ekantvash shakti ka pratik hai. Aantarik shakti se sampann sadhak hi ekantvash ka aanand le sakta hai.....

Kyoki humare hriday me baitha hua divya purush hi humara sachcha mitra hai. Jise jab pachanne lagte hain tab sahi mayno me humara jivan sukhmay ho jata hai.......

jai sadgurudev,sadhna to jivan ka swarnim pal hota hai jisse vyakti swayam ko janana sikhta hai, sadhna to adhar htiai vyakti ka,vyaktitva ka. Atah bina sadhna ke manav jivan pashuvat hi hai.

jai sadgurudev,prabuddh se suprabuddh awstha me aane ke liye sada hyan rakhate huye yathasambhav har pal prabuddh bhav ko bachaye rakhna chahiye---'prabuddh:sarvdatisthet' | prabuddh rah saken to mahashakti ki

Page 19: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

kripa se suprabudhh hona sunishchit hai prabuddh awstha ki jad me jo samadhi kam karti hai, uska nam hainimilan samadhi | unmeelan samadhi ke falswroop prabuddh se suprabuddh awstha tak akhand istithi prapt hoti hai.......om nikhilam omkar nikhilam....

jai gurudev, mai aaj maa kamakhya ke dham me hoon, sacha me mujhe aaj unke darshan ke bad jo anubhooti hui vo shabdon me bayan nahi ho sakti. Maa yahan poorn jajvalymaan swaroop me upsthit hain, jitne bar unke darshan karo alag anubhav, jai maa ambe....

prakrati ka har tatwa ek doosre se juda hai har kriya ke pichhe ek nishchit aadhar hota hai, aur us kriya ki pratikriya awshya hoti hai, yah parmanu prakriya anwarat chalti rahti hai. pani ka washp banna akash me dhan aur rin parmanuon ka sangam ho kar barsaat hona, aandhi, toofan, bhookamp sab kriyain ek doosre se judi hain, tantra vigyan apne bhitar ek vishes shakti ko jagrat kar dene ki kriya hai; jisse is parmanu vyawastha kram ko apne anusar dhal sakte hain aur isi ko siddhi kahte hain, sabhi shaktiyon ka prawah watavaran me har samay chalta rahta hai aur jab aap ke bhitar ki shakti us bahri shakti ko vash me karne me samarth ho jayegi tab aap apni ikchhanusar karya sampnna kar sakte hain aur yahi tantra vigyan hai jahan sadhk ki ikchha sarvopari rahti hai....jai sadgurudev...

जय गु�रुदे�व, त्रिपु�रा राह्स्य में� है�........... . 'रा धि�ता पुरामें दे�व� सम्यकु� ता�ष्टा सता� तादे | . त्रिवचा रा रूपुता य त्रिता धिचात्ता कु शे� रात्रिवय!था ||" . ---अथा !ता ह्रदेय स्था सकुल त्रिकु आत्में रुपु� अ)ताय !मिमेंनी�धिचान्मेंय� मेंहै�श्वरा� कु. आरा �नी द्वा रा प्रसन्न कुरानी� स� वहै� स �कु कु� धिचात्ता में� त्रिवचा रारूपु में� उदिदेता है.ता� है� | यदिदे दे4र्घ!कु ल ताकु सद्गु7रु द्वा रा क्रमें नी�स रा फलत्रिवचा रा स� रात्रिहैता है.कुरा इस ह्रदेय-व धिसनी� आत्में दे�व� त्रिकु आरा �नी कुरानी� स� उनीकु; कु< पु उपु सकु कु� धिचात्ता में� त्रिवचा रा कु� आकु रा में� स्फु� रिराता है.ता� है� इस� त्रिवचा रा स� क्रमेंशे: सभी� अध्य त्मित्मेंकु अवस्था कु त्रिवकु स है.ता है� औरा अ)ता में� आत्में-स्वरूपु में� स्तिस्ताथा है.ता� है�

jahan ekdam se gyan ka prakash failta hai-----

jahan jivan ka lakshya, jivan ka abhist poora hota ha------

jahan aatma ka parmatma se sambandha sthapit hota ho---

janah upnishadkaron ne kaha ki---poornat poornmuchchayate-----yahi hai dhyan kiuchchata aur ishi mr hai jivan ki sarthakta------

mai, aaj apne aap ko bahut lucky maan rahi hoon, kyonki mai aaj us Bhimashankar me hun jahan mere gurudev ke shri-charan bar-bar pade

Page 20: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

aur unhone shivarchan kiya, us jyotirling ke darshan karkr mai dhanya ho gayi,

Jai-sadgurudev.....

Jai Sadgurudev,nirasha to bhram grasta me, bhatkaw me ulajhane wale----saste raste dhoondhane wale ko hi hairan karti hai, sadhk ko nahi.....Jahan dranta hai, nischitata hai, vahin safalta hai. Kamjor manhshakti, aur nakaratmak mansikta ke liye sadhna ka marg hai hi nahi.....

jai gurudev, kabir.... Se aage han ji to hum bat kar rahe thhe kabir ki almsti ki, samanya roop se dekhane par to yahi lagta hai ki sub kuchh chhod kar bairagi ban jao, kintu wastvikta kuchh aur hai, unki ek-2 pankti,pad, aur shabd ek goodh arth liye hai,unke harek shabd ek upma liye huye hai, jaise ram ki 'dulhaniyan' ban jate hain, to kahin kabira kutta ram ka, kabhi 'man ke banjara, ban jate hain, to kabhi lali dekhate-2 lal ho jate hain, ye to sadhu ke man ki tarang hai jab jo bha gaya vahi uska ho gaya. Aur yahi dasha bhartiya chintan me shivatva ki bhi kahi gayi hai. wastav me kabir inhi panktiyon me bade goodh dhang se jivan ka marm samjha jate hain, jo sastron kki jatil bhasha me bhog aur moksh ka samnvay kaha hai, yahan hath me khappar ka arth dan dene ki manovratti aur bagal me shota ka matlab vah paurusha jo danvratti dharan karne ke liye jivan me hona awasyak hai, jab jivan me aisi udarvratti aa jati hai tabhi man ush fakiri me lag sakta hai, jiska sukh anirvachaniya hai.yahi bhagwan shiva ke anand ki bhavbhoomi hai. Apna sub kuchh lutane me tatpar ush aughardani ke hath me bhi khappar ka hona isi bat ka pratik hai ki khappar bhikshavratti ka nahi varan khappar hi to vah akshay patra hai jisase bhautikata ke chahane wale ko bhog aur muktikami ko shiva poore anand se gyan lutate hain. Kabhi poojya gurudev ne kaha tha kabhi kisi jaruratmand ko kuchh dekar dekhiye uski ankhan me kaisa bhav uatar ata hai, yahi dan vratti ka manviya paksh hai aur yahi us prem ki dasha hai jisme bhagwan shiva sadaiv magn rahte hain.jise anubhav kar kabir ne swayam ko 'prem nagar me rahni humari' kaha tha.char purusarthon me pahla dharm aur dusra arth hai, air isi se bhog aur moksh ki prapti bhi sambhav hai. Sadhana bhi ek purusarth hai, swayam shivavat banane ke liye shiva ke atirikt aur koi sadhna ho hi nahi ho sakti aur grahsth ke liye bhagwan ke liye bhagwan shiva ki sadhana sampanna karne se sarvadhik tivradayak phal milta hai. Kyonki tridevon me shiv ka hi swaroop ek sampoorn sadgrahsth ka hai atah pratyek sadhak ko shiva ki sadhna sampnna karna hi chahiye.

Page 21: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

Aaj se prayah char sou varsh poorva ek prasidhha santa,vicharak aur kavi huye hain-- kabirdasji. Ish tathya ko kahne ki awsyakta nahi kabirdas kisi parichay ke moataj nahi kintu jo mahtwapoorn bat hai vah ye ki ek sartha nirakshar vyakti ne aaj se charsou varsh poorv, jish chetna ko sparsh kiya uski nitnootan vyakhyayen aati ja rahi hain.....aur phir bhi unka parichay sampoorn nahi ho pa raha. ... Ush almast fakir ne apne padon me kya-kya goodh tathya badi sahajta se kah diye,ise dekhakar to yahi kaha ja sakta hai ki vah samanya bhavbhoomi me hi vicharan kar raha tha, jiske pas yadi kuchha tha to.... Hath me koonda bagal me shota, charon disha jagiri me.... Yahi bhavbhoomi thi kabirdas ki. Lekin kya aisa kahne ke pichhe kabir ka mantavya tha ki sab kuchh chhod kar vairagi ban kar jivan ka vastvik lakshya prapt kiya ja sakta hai......?kramsah.....

Shri gurudevay namah, Tantra shiddhi me guru hi shiv shwaroop hokar sahayak hote hain. Tantra sadhna me guru dharn karne par vishesh jor diya gaya hai kyoki guru viddhya ke jankar hote hain tatha sadhak avm shishya ko bhatakane nahi dete, sadhana me shishya ke sanshakaron ke karn safalta bhale hi der se milne wali ho kintu guru apni tapah-urja se us kriya ko tivra kar dete hain. Swayam ke anubhavanusar...shri guru charan kamlebhyo namah.

Jai gurdev, Gakarah siddhidah prokto refah papsya dahaka. ukarah shambhurityukta istridhatma gururavyah...........guru shabd ka arth hai gakar sidhhi dene wala hai, ref samst papon ko dahan karane wala hai ukar shiv ka parichayak hai. Is prakar tinon shaktiyon se yukt guru avinashi hain. Atah shri gurucharan kamlebhyo namam.........

Me jivav jeene ke sidhhant ki or vishesh dhyan dete huye is jagat ke sare karyon ki unki kriyaon ke sahi roop se sampdan karne par jor diya hai. isliye tantra bhog aur mokchha me kisi prakar ka virodh nahi karta. Jai gurudev..

Tantra jo ki apne aap me prakriya hai iska mool lakchhya spast hai. tantra ka lakchhya 3 prakar se hai. 1 gyan ki prapti. 2-aatmsakchhatkar awm 3-trividha tapon se mukti hai. in teen lakchhyon ki prapti se hi jivan mukt ho sakta hai aur iske liye tantra---

Aaj mothers day par........... I love my all kids. mera smpurn gaurav, mere sapne sab kuchh tumhari sarvonnati, tumhari muskan me hai khush raho age bado sadhna ke unnati ke uchch ayamo tak pahucho. isi akankchha ke sath.........aapki Bhbhi ma

Chakron ke dwar swtah udghatit hokar sahstrar gaman ki yatra prarmambha ho jati hai.

Page 22: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

om shrim shrim guruver praday shrim namh, pujya gurudev aishi digant wyapi chetna hain, jinke chintan matra se hi hriday tantra jhankrit hone lagta hai, sadhnaon ke shukchmtam sutra shanaih-2 sulajhne lag jate haina. Aabhyantari

Banane me sahayak siddha hoti hai. yadi wyakti ke pas sadhna ka tej, mantra bal ho to wah kahin bhi parajit nahi ho sakta.

Sadhana, shakti ka shrot hai, jisse wyakti sharirik roop se to swastha va balwan hota hi hai, apitu mansik roop se bhi wah purn swasth ho jata hai kyonki use sadhna ka bal, oj aur tejswita prapt ho jati hai, jo use jivan ke pratyek kchhetra me vijayi......

Jivan me, chahe wo koi kchhetra ho vijay prapt nahi ho sakti jab tak tumhe samay ka gyan nahi hoga, kchhan ka gyan nahi hoga, pratyek kchhan apne aap me ek alag mahtwa liye huye hota hai........ sadgurudev-anusar...

jai gurudev, shubh muhurt me ki gai pratyek sadhna safal hoti hi hai, kyonki samay ka prabhaw sarvopari hai, ek kchhan ka chook jana karya me vighn hai. samay ki sadupayogita sadhak ka shondrya hai, sadhak ki dakchhta hai. so time is money.

Samarth hote hain aur mahakal rudra sanhar karte hain us param satta ka nam guru tatva hai,us sarwochh satta ko me barmbar naman karti hoon.

Jai gurudev, yashyagyam jagtsrasta, viranchi: palko-hari, sanharta kalrudrakhyo, tashmai shri gurwai namah jiski agya se bramha shrasti ki rachna karte hain, visnu ishka palan karne me.......

Me vistar se unke gunon ki wyakhya ki gai hai. swaym bhagwan shiv ke shabdon me guru ka sthan sab devi-devtaon se uper hai aur pratyek wyakti ke jivan me guru awshya hona chahiye. jisase usake jivan me ek chetanyata ek spandan aur ek thosh adhar prapt ho.

Jai gurudev, guru sevam prakurwano, yastu mrityumwapnuyat, sa muktah sarva papebhya, shiv lokm sa gachhti. Bhagwan shiv dwara uchcharit GURU-TANTRA ek mahakavya hai, jisme guru ke sambandh me

उद्यमें�नी है� धिसद्धयत्मिन्ता कु य !णिG नी मेंनी.राथा�H

नी है� स�प्तास्य सिंसKहैस्य प्रत्रिवशेत्मिन्ता: में�खे� में<गु :

Vasudev kutumbm shivmeparamam amrtatvm swmbhu dhyanam parenym, shivoham varenymew sharnyam twamevam sharnyam

Page 23: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_

twamevm. Talashe yar me jo khud ko mitaya nahi karte, Wo manjile-maqshood ko paya nahi karte. Sriee guru charan kamlebhyo namh. Shubharmbh.........

Page 24: म__ क_ स_वर_ण_म ल_खन_