bhagavad gita (saral hindi)

77
saral hindI BAgavad gItA yogeSvar ne yudDa kSetra meM xarjun ko jo gyAna diyA, gItA ke xusa param gyAn kA hamane man meM DyAn kiyA.

Upload: virendra-singh

Post on 16-Nov-2014

2.800 views

Category:

Documents


18 download

DESCRIPTION

Bhagavad Gita in Hindi poetic form in Saral Hindi script. To know more about Saral scripts, please see "Rational Approach to Hindi Literacy" and "Mandala approach to rational alphabetic script (MATRAS)".

TRANSCRIPT

Page 1: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

saral hindI

BAgavad gItA

yogeSvar ne yudDa kSetra meM xarjun ko jo gyAna diyA,

gItA ke xusa param gyAn kA hamane man meM DyAn kiyA.

Page 2: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

2

prastAvanA

sarvavidit hE ki BAgavad gItA par 3000 se xaDik pustakeM liKI jA cukI hEM jinameM xanek

xanuvAd, qIkA, vyAKyA xAdi sammilit hEM. bahut sI pustakeM hindI BAFA meM BI liKI gaxI

hEM, Pir xek xOr pustak hindI meM liKane kA kyA xuddeSya hE?

hindI BAFA meM liKI pustakoM meM xAm tOr se do kamiyAM mahasUs kI jAtI hEM, xek to xunakI

hindI BAFA xitanI kaQin hotI hE ki sab logoM kI samaJ meM nahIM xAtI. dUsare, xaDikatar ye

pustakeM gadya ke rUp meM liKI gaxI hEM jinako paRA jA sakatA hE lekin gAyA nahIM jA sakatA.

saMskrit kI mUl gItA padya rUp meM hE xOr xusakI lokapriyatA kA yah xek muKya kAraN mAnA

jAtA hE.

xin donoM bAtoM ko DyAn meM raKate huxe yah suJAv milA ki yadi BAgavad gItA ko sADAraN logoM

kI samaJ meM xAne vAlI hindI BAFA meM padya rUp meM prastut kiyA jAye to vah xOr BI rocak ho

sakatI hE. xis suJAv se hindI gItA liKane kI preraNA milI.

xAm logoM ko hindI meM liKI BAgavad gItA kI pustakoM meM BAFA kI kaQinatA ke xalAvA BAvoM

kI jaqilatA se BI pareSAnI hotI hE. SAbdik xanuvAdoM meM BAv-pravAh kI kamI honA svABAvik

hE. xisako DyAn meM raKate huxe hindI gItA meM SAbdik xanuvAd kI xapekSA BAv-pravAh par

xaDik mahatva diyA gayA hE. xisI driFqikoNa se SrI kriFNa xOr xarjun ke gItA meM jo xanek

nAm prayukta huxe hEM, xun sabakA hindI gItA meM xupayog nahIM kiyA gayA hE.

jahAM tak BAgavad gItA ko gIt rUp meM prastut karane kA praSna hE, hindI gItA kI yah sabase

pramuKa viSeFatA hE. xisake CandoM ko saMgIt-badDa karake sugamatA se gAyA jA sakatA hE. xisase

gItA ko yAd karane xOr hindI samaJane vAloM meM xOr xaDik lokapriy banAne meM sahAyatA milegI.

sAptAhik pAQ karane vAloM kI suviDA ke liye BAgavad gItA ko 52 pAQoM meM viBAjit karane kA

xek nayA WaMg xapanAyA gayA hE.

gItA kA saral hindI padya meM yah nayA rUp pAQakoM ke sAmane prastut hE. xASA hE xise saPalatA

milegI.

DanyavAda

vIrendra pAl siMaha

riFikeSa

Page 3: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

3

sUcI

xaDyAya-01

xaDyAya-02

xaDyAya-03

xaDyAya-04

xaDyAya-05

xaDyAya-06

xaDyAya-07

xaDyAya-08

xaDyAya-09

xaDyAya-10

xaDyAya-11

xaDyAya-12

xaDyAya-13

xaDyAya-14

xaDyAya-15

xaDyAya-16

xaDyAya-17

xaDyAya-18

Page 4: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

4

BAgavad gItA

xaDyAya-01

xarjun viFAd yog

sAptAhik pAQa-1/1.01 DritarAFqra ne kahA:

kurukSetra kI Darma-BUmi par, laLane ko xekatrit ho,

saMjaya, mere xOr pAMwu ke putroM ne kyA kiyA? kaho.

1.02 saMjaya ne kahA:

sajI pAMwavoM kI senA TI, vyUha racit xus ko pAkar,

duryoDan ne kahA droNa guru se, xun ke sammuKa jAkar.

1.03

he xAcArya! pAMwu putroM kI senA sajI huxI deKo.

SiFya xAp ke DriFqadyumna ne kiyA xise vyUhit, deKo.

1.04

BIm xOr xarjun jEse hEM SUravIr yodDA, YUMYvAr,

mahAraTI yuyuDAn, virAq, drupad BI laLane ko tEyAr.

1.05

DriFqaketu hE, cekitAn hE, xOr vIr hE kASIrAj,

kuntiBoj hE, purujit BI hE, xOr SEvya BI hE nararAj.

1.06

yuDAmanyu, xaBimanyu, xuttamOjA, sAre hEM vIr baLe,

mahAraTI, drOpadI, suBadrA, donoM ke sab putra KaLe.

1.07

he xAcArya! xAp suniye xab hAl hamArI senA kA,

xis meM BI hEM vIr bahut, mEM nAm batAtA hUM xun kA.

1.08

xAp, pitAmaha BIFma, vijetA krip, mahAn yodDA hE karNa,

somadatta kA putra xOr xaSvatTAmA ke sATa vikarNa.

1.09

xanya bahut se SUravIr, sab ne muJa par hEM prANa diye,

laLane ko tEyAr KaLe hEM, raNaSastroM ko sATa liye.

Page 5: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

5

1.10

xapanI jo xapAr senA hE, xus ke rakSak BIFma bane,

sImit pAMwav-senA, xus ke rakSak yodDA BIm bane.

1.11

xAp saBI xapanI-xapanI jagahoM par hI jam kar rahanA,

DyAn BIFma kI rakSA kA, jEse BI ho vEse karanA.

1.12

xAnandit karane rAjA ko, BIFma ne jaya-jayakAr kiyA,

SaMKa bajAyA xOr garaj kar siMha kI taraha nAd kiyA.

1.13

SaMKa, nagALe, Wol, BeriyAM, bajane lage vahAM sab xor,

baje yudDa ke sAre bAje, hone lagA BayaMkar Sor.

1.14

kriFNa xOr xarjun, safed GoLoM ke raTa par vahAM caRe,

bajA rahe ve divya SaMKa, donoM xAge kI xor baRe.

1.15

pA}cajanya TA SaMKa kriFNa kA, devadatta xarjun kA SaMKa,

nAd BayaMkar karane vAlA, pOMwra mahAn BIm kA SaMKa.

1.16

kuntIputra yuDiFQir kA TA xanaMtavijaya nAm kA SaMKa,

maNipuFpak sahadeva kA taTA bajA nakul kA suGoF SaMKa.

1.17

kASIrAj DanurDArI kA, bajA SiKaMwI kA BI SaMKa,

mahAaraTI DriFqadyumna, virAq, sAtyakI xajeya ke BI SaMKa.

1.18

drupad, drOpadI ke putroM ke sATa vIr xaBimanyu KaLe,

cAroM xor bahAdur xapane SaMKa bajAkar garaj paLe.

1.19

SaMKa nAd se DaratI xOr xAkASa vahAM gUMjane lage,

jis ko sun kar kOrava dal ke hridaya bahut kAMpane lage.

sAptAhik pAQa-2/1.20

Gor nAd ke bIc, vIr xarjun ne xapanA DanuF liyA,

deKa kOravoM kI suvyavasTit senA, SrI kriFNa se kahA.

Page 6: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

6

1.21 xarjun ne kahA:

he yogeSvar ! kripA kIjiye, baRAxiye mere raTa ko,

turaMta donoM senAxoM ke bIc KaLA kar do xis ko.

1.22

muJe le calo vahAM, jahAM par sab yodDA tatpar raNa ko,

jin ke sATa muJe laLanA hE, deKa sakUM mEM xun sab ko.

1.23

deKUM mEM xun sab ko jo hEM laLane ko tEyAr huye,

duFqa budDi vAle duryoDan ke kahane par xaLe huye.

1.24 saMjaya ne kahA:

he DritarAFqra! kriFNa ne jab xarjun ke xEse Sabda sune,

raTa ko donoM senAxoM ke bIc kar diyA tab xus ne.

1.25

kahA kriFNa ne, BIFma, droNa sab rAjA Te mOjUd jahAM,

xarjun, sab kuruxoM ko deKo, xekatrit ve huye yahAM.

1.26

donoM senA KaLI huxI TIM, xarjun ne xun ko deKA,

putra, gurU, mAmA, BAxI, dAdA va pOtra sab ko deKA.

1.27

xun donoM senAxoM meM Te, Svasur xOr mitra BI KaLe,

xarjun ke sAmane vahAM Te, yudDa-BUmi ke driSya baLe.

sAptAhik pAQa-3/1.28

dayA xA gaxI xarjun ko, vaha xudAs, man xus kA wolA,

yudDa BUmi par, vikalit ho kar, yogeSvar se yUM bolA.

1.29 xarjun ne kahA:

mere xaMga ho rahe WIle, muMha BI merA sUKa rahA,

KaLe roMgaqe sAre, merA SarIr Tar-Tar kAMp rahA.

1.30

giratA hE gANwIva hATa se, tan sArA jalatA jAtA,

man merA ho rahA Bramit, xab KaLA nahIM mEM ho pAtA.

1.31

yogeSvar, mEM deKa rahA xapaSakun xOr lakSaNa viparIt,

nahIM dIKatI kalyANI, sambanDI-baDa karane kI rIt.

Page 7: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

7

1.32

nahIM rAjya yA suKa kI xicCA, muJe vijaya kI cAha nahIM,

sirfa rAjya, suKa, vijaya hI nahIM, jIvan kI paravAha nahIM.

1.33

jin ke liye rAjya, suKa Bog cAhate Te, ve KaLe yahIM,

sab ne tyAgA moha prANa kA, Dan kA BI kuCa moha nahIM.

1.34

bURe dAdA, pitA, putra, mAmA ke sMg xAcArya baLe,

priyagaN, sAle, Svasur xOr sambanDI sAre yahAM KaLe.

1.35

tIn lok kA rAjya mile, to BI na kaBI xin ko mArUM,

Pir kyA bAt xis jagat kI, mEM mar jAxUM, na xinheM mArUM.

1.36

xinheM mAr kar, he yogeSvar! pAyeMge ham bas santAp,

xin ko mAr diyA ham ne to niScaya hameM lagegA pAp.

1.37

ye kOrava sambanDI, xin kA baDa karanA hE xucit nahIM,

mAr xinheM, he kriFNa! milegA suKa ham ko kyA kaBI kahIM?

1.38

ye xaMDe, loBI hEM, xinheM nahIM diKAxI detA xAp,

kul-vinASa yA mitra-droha kA, xin ko nahIM dIKatA pAp.

1.39

jab ham ko hE dIKa rahA, kul ke vinASa kA kyA xaMjAm,

hameM cAhiye, dUr pAp se raheM, nA kareM xEsA kAm.

1.40

kula-vinASa se saBI purAne Darma naFqa ho jAte hEM,

jis se parivAroM meM kitane hI xaDarma baRa jAte hEM.

1.41

xaDarma baRane se kul kI nAriyAM BraFqa ho jAtI hEM,

BraFqa nAriyoM se varNoM meM saMkaratAyeM xAtI hEM.

1.42

varNoM kI saMkaratA, parivAr ko narak meM pahuMcAtI,

xanna xOr jal se puraKoM kI xAtmA vaMcit raha jAtI.

Page 8: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

8

1.43

hote hEM parivAr naFqa, jab saMkaratA baRa jAtI hE.

jAti-Darma, kul-Darma bigaLate, maryAdA miq jAtI hE.

1.44

he yogeSvar! jis kul ke sab Darma naFqa ho jAte hEM,

kahate hEM, xus ke logoM ko sirfa narak meM pAte hEM.

1.45

deKo, ham tEyAr, bahut hI baLA pAp yaha karane ko,

rAjya-loBa ke kAraN, xapane logoM kA baDa karane ko.

1.46

yadi kOrava le Sastra, mAr deM muJe, sahUMgA mEM xus ko,

binA laLe mArA jAxUM, kuCa hAni nahIM hogI muJa ko.

1.47

CoLA DanuF, bANa xarjun ne, yudDa samaya xEsA kahakar,

vyAkul bahut huxA duKa se, vaha bEQa gayA xapane raTa par.

xUpar

Page 9: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

9

xaDyAya-02

sAMKya yog

sAptAhik pAQa-4/2.01 saMjaya ne kahA:

xarjun kI dayanIya daSA, xAMKoM meM xAMsU dIKa rahe,

duKI bahut vaha, yogeSvar ne, tab xus se ye Sabda kahe.

2.02 yogeSvar ne kahA:

yudDa samaya kEse, he xarjun! yaha sammoha huxA tuJa ko?

svarga nahIM pAyegA, xapayaSa BI jag meM hogA tuJa ko.

2.03

SoBA detA nahIM tuJe yaha, nAmardI kI bAt kare,

durbalatA ko tyAg, xucit hE, duSman ke sMg yudDa kare.

2.04 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! BIFma, droNa par bANa calAxUM mEM kEse?

pUjanIya hEM ve, xun ke xUpar mEM vAr karUM kEse?

2.05

guru-hatyA se behatar hE, mEM BIKa mAMg kar KAxUMgA,

hoMge sane YUn se ve suKa, jinheM jIt kar pAxUMgA.

2.06

gyAt nahIM kyA xucit, vahI jIteM yA ham jIteM xun ko,

xun ke marane par na rahegI, jIne kI xicCA ham ko.

2.07

xapanI durbalatA ke kAraN, samaJa Ko rahA bebas hUM,

kyA hE xucit? batAxo, xab mEM SiFya tumhIM par xASrit hUM.

2.08

mile sampadA sab jagatI kI, rAj mile yA svargoM kA,

nahIM karegA dUr Sok, jo nASak merI xindriyoM kA.

2.09 saMjaya ne kahA:

xin SabdoM ko kaha vikalit TA, parAkramI xarjun raTa par,

‘nahIM karUMgA yudDa' xOr Pir SAnta ho gayA yaha kahakar.

sAptAhik pAQa-5/2.10

hAl burA TA xarjun kA, par yogeSvar muskarA rahe,

senAxoM ke bIc KaLe ho, xarjun se ye vacan kahe.

Page 10: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

10

2.11 yogeSvar ne kahA:

jisakA Sok viPal, xus kA tU Sok kare? hE xagyAnI,

jIvan xOr maraNa donoM se, warate nahIM kaBI gyAnI.

2.12

mEM, tU xOr xanya ye rAjA, pahale Te mOjUd saBI,

xAge BI sab yahIM raheMge, ho na sakeMge naFqa kaBI.

2.13

bacapan, yOvan xOr buRApA, jEse jIvan meM xAte,

vEse xAtmA deha badalatI, kyoM xis se Pir GabarAte?

2.14

SIta-garma, suKa-duKa ke xanuBava, xindri Bog se hote hEM,

xAte hEM, jAte hEM, ye to pal, do pal hI rahate hEM.

2.15

SreFQa vahI prANI, suKa, duKa se kincit vikal nahIM hotA,

jis ko donoM sam hEM, xusameM mokSa prApti kA bal hotA.

2.16

xasatya kA xastitva nahIM hE, satya sadEva yahAM rahatA,

gyAnI ke xAge donoM kA xasalI rUp banA rahatA.

2.17

jis se PElA hE jag sArA, xavinASI xus ko jAno,

ho sakatA vinASa xavinASI kA, xis ko mat sac mAno.

2.18

kahate hEM xAtmA ko xakSaya, deha mare par yaha na mare,

he xarjun! jab maratI hE bas deha, kyoM na tU yudDa kare?

2.19

jo soce, yaha xAtmA mar jAtI yA kaBI mAratI hE,

samaJo hE xanajAn, nahIM maratI xAtmA na mAratI hE.

2.20

janme nahIM, na mare kahIM, xis kA xastitva sadA rahatA,

xAtmA sadA xajanmI, SASvat, SarIr hI keval maratA.

2.21

jo yaha jAne, xAtmA rahatI sadEva, maratI nahIM kaBI,

kEse mAr sake vaha xOroM ko yA mare kisI se BI?

Page 11: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

11

2.22

tyAg purAne kapaLe, jEse tan pahane poSAk naxI,

CoL purAnI deha, jIva BI pA letA hE deha naxI.

2.23

xAtmA kaqatI nahIM Sastra se, nahIM xAg se vaha jalatI,

vAyu suKAtI nahIM xuse, vaha jal se kaBI nahIM galatI.

2.24

xAtmA kaqatI nahIM, na jalatI, galatI yA sUKatI nahIM,

yaha xanaMt, yaha sarvavyApta hE, niScal rahatI sadA yahIM.

2.25

xise xavyakta, xacintanIya kahate, xavikArya xise kahate,

xis ko sahI samaJane vAle, koxI Sok nahIM karate.

2.26

yadi samaJe, yaha xAtmA letI janma xOr Pir mar jAtI,

to BI, xarjun, tuJe Sok karane kI bAt nahIM BAtI.

2.27

jo pEdA hotA vaha maratA, mar kar letA janma kahIM,

jis ko gyAt, bAt yaha niScaya, cintA hotI xuse nahIM.

2.28

pragaq nahIM hotA koxI BI, jab tak letA janma nahIM,

hokar pragaq, xaMta xAne par, ho jAtA hE lupta kahIM.

2.29

xAtmA se xAScarya saBI ko, sab xis se hEM cakarAte,

kuCa Baqake, kuCa dUr bahut, ve xis ko samaJa nahIM pAte.

2.30

saBI deha meM vAs kare, yaha xAtmA xavinASI hotI,

Sok na kar, xis kI rakSA to xapane xAp yahAM hotI.

sAptAhik pAQa-6/2.31

xapane kartavyoM kA DyAn kare, to BI ho vikal nahIM,

Darma-yudDa se baLA xOr kSatriya kA koxI Darma nahIM.

2.32

tEyArI yudDa ke liye, jEse ho KulA svarga kA dvAr,

kSatriya ko mokSa kA suxavasar milatA hE bas xisI prakAr.

Page 12: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

12

2.33

Darma-yudDa ke samaya, xagar raNa se pICe haq jAyegA,

xapayaSa PElegA duniyA meM, tuJe pAp lag jAyegA.

2.34

badanAmI hogI, jis kI carcA BI sadA yahAM hogI,

badanAmI, xijjat vAle ko, burI mOt se BI hogI.

2.35

war ke kAraNa haqA yudDa se, sab yodDA yaha samaJeMge,

jin logoM meM mAn baLA, ve hI tuJa ko tAnA deMge.

2.36

Satru tere bal kI nindA kar, boleMge xanakahanI bAt,

xis se baLI xOr kyA ho sakatI hE tuJa ko duKa kI bAt?

2.37

jItegA to rAjya milegA, svarga milegA marane par,

xuQakar ho tEyAr, yudDa kar, xarjun, tU xab der na kar.

2.38

suKa-duKa, lAB-hAni, jaya xOr parAjaya hEM sab xek samAn,

xise samaJa kar yudDa kare to pAp na hogA, yaha sac mAn.

sAptAhik pAQa-7/2.39

yaha to gyAn sAMKya kA TA, xarjun, sun gyAn yog kA xab,

xise jAn kar qUq jAyeM, tere karmoM ke banDan sab.

2.40

xis mArga ke prayAs saPal, sab bADA dUr raheM xis se,

ToLA sA pAlan karane se, BArI Baya miqate xis se.

2.41

he xarjun! xis meM hotI hE, budDi xirAde vAlI xek,

jo na xirAdA ho to Paq kar, ho jAtI hE budDi xanek.

2.42

xagyAnI, vedoM ko paRa, kAmanA svarga kI karate hEM,

xis se xAge nahIM xOr kuC, yahI hameSA kahate hEM.

2.43

karma-kAMwa ve karate rahate, suKa BogeMge, xisI liye,

mIQI bAteM karate, ve lAlasA Sakti kI sadA kiye.

Page 13: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

13

2.44

lage raheM nit BogoM meM, yA pAne ko xESvarya kahIM,

ve kamazor budDi ke, xun ko samADi kA kuCa gyAn nahIM.

2.45

ved tIn guNa par xADArit, svatantra guNa se ho jA tU,

tyAg kAmanAyeM pAne kI, brahma prApti meM lag jA tU.

2.46

sAgar pA lene par jEse, saravar kA xupayog nahIM,

brahmalIn gyAni ko vEse, vedoM kA kuCa loBa nahIM.

2.47

hE xaDikAr karma karane kA, Pal kA hE xaDikAr nahIM,

karma-PaloM kI xicCA vEse, jEse karma na karo kahIM.

2.48

sidDi, xasidDi; saPalatA yA xasaPalatA se mat raKo lagAv,

nitya santulit karma karo tum, yog xek samatA kA BAv.

2.49

budDi yog hE SreFQa, jahAM bina Pala-xicCA ke karma kare,

hAlat xusakI dIna, xagar vaha Pal kI BI kAmanA kare.

2.50

budDi lagAkar karma karo to pAp-punya nahIM lagatA hE,

karma, budDi se karo, yog kA matalab karma-kuSalatA hE.

2.51

gyAnI jan jo budDi lagAkar, karma PaloM kA tyAg kare,

mukta janma banDan se hokar, suKI daSA ko prApta kare.

2.52

jab yaha budDi moha kA gandA tAl pAr kar jAyegI,

xaBI sunA, jo sunanA, sab se vErAgI ho jAyegI.

2.53

Sruti se BrAnta budDi terI, jab xavical ho jAyegA tU,

yog-yukta hokar samADi meM, niScalatA pAyegA tU.

sAptAhik pAQa-8/2.54 xarjun ne kahA:

kis ko kahate xaqal budDi? kis ko hEM samADisTa kahate ?

kEse xEse log bEQate, calate, kahate yA rahate ?

Page 14: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

14

2.55 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! jo xapane man kI sab xicCA taj detA hE,

hotA hE santuFqa xAp meM, xaqal budDi vaha hotA hE.

2.56

suKa kI nahIM kAmanA jis ko, duKa se BI kuCa Ked na ho,

rAg, kroD, Baya se vimukta jo, xuse gyAnarat munI kaho.

2.57

SuBa ho yA ho xaSuB, mile kuCa BI, prasanna vaha ho jAye,

budDi sTir hone se harFa, Sok kA xaMtar miq jAye.

2.58

jEse kaCuxA xagoM ko, sameqatA hE xapane xandar,

vEse budDimAn xindriyoM ko, kar letA xapane xandar.

2.59

keval viFaya dUr hote, jab prANI xanna tyAgatA hE,

pAkar brahma, moha jo ras kA, vaha BI dUr BAgatA hE.

2.60

karate hEM vidvAn yatna, xindriyoM ko vaSa meM karane ko,

lekin hEM balavAn xindriyAM, karatI xAkarFit man ko.

2.61

saMyam se roke xin ko, muJa meM rat ho, xAsTA jis kI,

jis ne xindriyoM ko jItA, hotI hE budDi sTir xus kI.

2.62

viFaya lagAva baRe xindriyoM se, viFayoM se kAmanA baRe,

jab kAmanA bahut baRa jAye, prANI ko tab kroDa caRe.

2.63

pEdA ho sammoha kroDa se, sammoha smriti BraFqa kare,

BraFqa smriti se budDi nASa hE, jo prANI ko naFqa kare.

2.64

xindriyoM ko vaSa meM kar koxI, rAg, dveF se rahe pare,

viFayoM meM vicaraNa kar ke BI, dEvI prasAd prApta kare.

2.65

dEvI prasAd pAne se, duKa kI beLI kaq jAtI hE,

prasanna-cit hone se jaldI, budDi xaqal ho jAtI hE.

Page 15: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

15

2.66

vikal budDi se gyAn na hotA, binA gyAn ke DyAn nahIM,

DyAn na ho to SAnti nahIM hE, binA SAnti xAnanda nahIM.

2.67

rahe xindriyoM meM jis kA man, caMcal banA svaBAva rahe,

xus kI budDi BaqakatI, jEse havA se jal meM nAva bahe.

2.68

he xarjun! jis ne xindriyoM ko viFayoM se hE dUr raKA,

xapane xandar budDi xusI ne, saMyam kar ke xaqal raKA.

2.69

jab sArA jag so jAtA hE, tab yogI jag jAtA hE,

sArA jag jab jAg rahA ho, yogI tab so jAtA hE.

2.70

jEse nadiyAM mileM, kintu sAgar meM bARa nahIM hotI,

xusI taraha, karmoM se man kI SAnti nahIM vicalit hotI.

2.71

tyAg saBI xicCAxoM ko, jo xaham pAr kar jAtA hE,

mukta kAmanAxoM se hokar sadA SAnti, suKa pAtA hE.

2.72

prApta kare jo brahma cetanA, sammoha meM nahIM paLatA,

xis ko pAkar vyakti, xaMta meM, paramAnaMda prApta karatA.

xUpar

Page 16: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

16

xaDyAya-03

karma yog

sAptAhik pAQa-9/3.01 xarjun ne kahA:

yogeSvar, yadi tum karmoM se xuttam gyAn batAte ho,

to muJa ko xin BIFaNa karmoM meM kis liye lagAte ho?

3.02

bAt dogalI sI kar tum ne, baRA diyA mere Bram ko,

donoM meM kis ko xapanAyeM? sAf batAxo tum muJa ko.

3.03 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! jag meM do rAhoM ko xis liye banAyA hE,

gyAnI ko to gyAn-mArga, yogI ko karma batAyA hE.

3.04

keval karma na karane se, kyA karma-mukta hotA koxI?

yA lekar sanyAs karma se, sidDi prApta karatA koxI?

3.05

binA karma koxI BI prANI, rahatA nahIM xek pal BI,

prakriti guNoM par ye xADArit, karma ruk sake nahIM kaBI.

3.06

roke karmendriyAM, kintu jo raKe vAsanAyeM man meM,

mUrKa vyakti vaha, bahut baLA pAKaMwa BarA xus durjan meM.

3.07

jo xindriyoM ko vaSa meM kar, xun se sab karma karAtA hE,

xus ko samaJo SreFQa, vahI saccA yogI kahalAtA hE.

3.08

xacCA hE niyamit karmoM ko karanA, kuCa nahIM karane se,

tan kI BI rakSA na ho sake, koxI karma na karane se.

3.09

yagyoM ke xatirikta, karma sAre hote banDanakArI,

nirAsakta ho yagya rUp hI, karma karo tum hitakArI.

3.10

xAdi kAl meM xISvar ne, jab sriFqi racAxI yagyoM se,

kahA, baRe santAn xOr xicCA pUrI ho yagyoM se.

Page 17: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

17

3.11

tum devoM ko poFo, ve BI tum ko poFeM yagyoM se,

prApta karo kalyANa, puFqa hokar, tum donoM yagyoM se.

3.12

kar prasanna devoM ko, prANI xun se sab kuCa pAyegA,

Boge jo deva ko diye bin, vo to cor kahAyegA.

3.13

bacA yagya kA jo KAte, ve saMta log hote niFpAp,

duFqa pakAte hEM jo xapanI YAtir, xun ko lagatA pAp.

3.14

xannoM se prANI hote, varFA se pEdA hotA xanna,

yagyoM se varFA hotI, karmoM se hotA yagya xutpanna.

3.15

xakSar se hE janma jagat kA, jis meM hote karma saBI,

brahma sarvavyApI hE, xus ko darSAte hEM yagya saBI.

3.16

xis saMsArI cakkar ke xanusAr nahIM jo calatA hE,

duFqa-svaBAvI, xindri suKoM meM lipta, vyarTa hI jItA hE.

sAptAhik pAQa-10/3.17

jo hE xAtma-suKI, santoFI, xAtma-trapti jis ko hotI,

xAvaSyakatA kaBI karma karane kI xuse nahIM hotI.

3.18

xEsI koxI vastu na jag meM, karmoM se vo prApta kare,

nirBar rahe xOr par, xEse jIvan se vaha rahe pare.

3.19

xanAsakta ho, xisI liye, jo karma yogya hE xuse karo,

xEse karmoM dvArA hI tum sarvoccam pad prApta karo.

3.20

janak xAdi logoM ne BI to sidDi-prApti ke karma kare,

deKa xOr logoM ko BI yaha xAvaSyak hE, karma kare.

3.21

jin karmoM ko gyAnI karate, xunheM xOr BI karate hEM,

mahAn puruFoM kI diKalAxI rAhoM par sab calate hEM.

Page 18: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

18

3.22

ho muJa ko xAvaSyak, xEsA karma na tInoM lokoM meM,

sab kuCa prApta muJe, Pir BI mEM lagA huxA hUM karmoM meM.

3.23

yadi mEM nahIM lagAxUM Yud ko, karmoM meM bin xAlas ke,

sab xapanAyeM rAha merI, ve bEQe raheM karma taj ke.

3.24

yadi mEM karma CoL dUM, sAre lok naFqa ho jAyeMge,

BaMga karUMgA saBI vyavasTA, log BraFqa ho jAyeMge.

3.25

jEse xagyAnI, hokar xAsakta, yahAM par karma kare,

xusI taraha gyAnI, xOroM ke Bale ke liye karma kare.

3.26

xagyAnI ke man ko gyAnI vicalit kaBI nahIM karatA,

karmalIn ho svayaM, xunheM BI karane ko prerit karatA.

3.27

sAre karma jagat meM, prakriti guNoM par xADArit hote,

‘mEM hUM karane vAlA', xEsA keval mUrKa log kahate.

3.28

guN, karmoM kA Bed prakriti meM, jis ne BI hE jAn liyA,

viFaya, xindri donoM meM guN, yaha nirAsakta ho mAn liyA.

3.29

jo xAsakta karma meM, jis ko prakriti guNoM kA gyAn nahIM,

xus xagyAnI ko vicalit karanA, gyAnI kA kAm nahIM.

3.30

xarpit kar karmoM ko muJa par, xapane man ko SudDa karo,

xicCAxoM ko, xahaMkAr ko, Baya ko tyAgo, yudDa karo.

3.31

hokar dUr dveF se, jo SradDA se muJa meM yukta rahe,

pAlan kar merA xupadeS, karma banDan se mukta rahe.

3.32

jo hEM Bare dveF se, merA gyAn nahIM xapanAyeMge,

xanDakAr meM PMse mUrKa, ve SIGra naFqa ho jAyeMge.

Page 19: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

19

3.33

gyAnI, nij svaBAva ke hI xanusAr xAcaraNa hEM karate,

daman viPal hE, saBI prakriti ke hI xanukUl karma karate.

3.34

saBI xindriyoM ko viFayoM se rAg, dveF donoM hote,

ye hEM Satru, jAn kar BI Pir kyoM xin ke vaSa meM hote?

3.35

xapnA Darma xapUrNa, kintu vaha xOr Darma se xuttam hE,

xOr Darma se waro, mOt pAnA svaDarma meM xuttam hE.

sAptAhik pAQa-11/3.36 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! kyoM karatA hE? nahIM cAhatA jab nar xAp,

kOn xuse VAbU meM karatA? kOn karAtA xus se pAp?

3.37 yogeSvar ne kahA:

kAm, kroD, jo pEdA karatA, xuse rajoguNa hI mAno,

kaBI na ho santuFqa, xisI ko pApI xOr Satru jAno.

3.38

jEse xagni WakI DUMxe se, JillI se hE garBa WakA,

darpaNa WakA mEl se, vEse gyAn kAm se rahe WakA.

3.39

yaha to Satru gyAniyoM kA, yaha xagni samAn xatripta rahe,

xarjun, xise samaJa le, xis se vivek sab kA WakA rahe.

3.40

kAm vAs karatA xindriyoM meM, cit meM xOr budDi meM BI,

yaha Wak detA gyAn, vimohit hotA xisa se xAtman BI.

3.41

rok xindriyoM ko pahale, yaha xucit, kAm kA daman karo,

gyAn xOr vigyAn naFqa karane vAle ko Yatma karo.

3.42

tan se xUMcI banI xindriyAM, xun se xUMcA mana hotA,

mana se xUMcI budDi, budDi se BI xUMcA xAtman hotA.

3.43

pare budDi ke xAtman, xis ko jAna, jIta tU xapane ko,

kAm jItanA durlaB, Satru baLA, kar le vaSa meM xis ko. xUpar

Page 20: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

20

xaDyAya-04

gyAn yog

sAptAhik pAQa-12/4.01 yogeSvar ne kahA:

yog xanaSvar, yaha mEMne TA, vivasvAn ko siKalAyA,

vivasvAn ne manu ko, manu ne xikSavAku ko batalAyA.

4.02

yog, rAj-riFiyoM ne, paramparAgat xApas meM sIKA,

bahut kAl tak lupta ho gayA, tab yaha yog nahIM dIKA.

4.03

yog purAnA, jis ke xandar param rahasya samAyA hE,

tU hE merA Bakta, saKA BI, tuJa ko vaha siKalAyA hE.

4.04 xarjun ne kahA:

vivasvAn janmA pahale, vaha tum se pahale xAyA TA,

kEse samaJUM tumane hI yaha yog xuse siKalAyA TA?

4.05 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! ham donoM pEdA huye xanekoM bAr yahIM,

mEM to saBI jAnatA, lekin tuJa ko kuCa BI gyAt nahIM.

4.06

mEM hUM xamar, xajanmA, saBI prANiyoM kA mEM svAmI hUM,

Pir BI hotA pragaq, prakriti ke niyamoM kA xanugAmI hUM.

4.07

he xarjun! jab Darma patan se vyAkul yaha saMsAr huxA,

puna: Darma ko sTApit karane, tab merA xavatAr huxA.

4.08

rakSA karane hetu sajjanoM kI, mEM tatpar rahatA hUM,

karUM naFqa duFqoM ko, xis ke liye pragaq mEM hotA hUM.

4.09

mere divya janma, karmoM ko, jo BI vyakti jAn jAye,

janma na le Pir xis jag meM, vo mere pAs calA xAye.

4.10

rAg, kroD, Baya se vimukta, jo merI SaraNa pahuMcatA hE,

gyAn, tapasyA dvArA, ho pavitra, muJa meM xA milatA hE.

Page 21: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

21

4.11

jEse BI koxI xAye, mEM xusI taraha xapanAtA hUM,

he xarjun! mEM sab rAhoM se, xapane pAs bulAtA hUM.

4.12

priTvI par jo xapane karmoM se Pal kI xicCA raKate,

bali dekar ve, deva gaNoM se, Pal ko SIGra prApta karate.

sAptAhik pAQa-13/4.13

guN, karmoM se niyamit, cAr varNa kI racanA kI mEMne,

kintu nahIM mEM baMDA karma se, cAha na Pal kI kI mEMne.

4.14

karma muJe dUFit na kareM, Pal kI muJa ko kAmanA nahIM,

jo yaha jAne, xus ko koxI karma kaBI bAMDatA nahIM.

4.15

xAdi kAl meM mokSa prApti ke liye saBI ne karma kiye,

xun kI taraha karma kar tU BI, mokSa mile, bas xisI liye.

4.16

deKa xakarma, karma kA xaMtar, gyAnI BI hEM cakarAye,

mEM batalAxUMgA vaha jis se, doF-mukta tU ho jAye.

4.17

karma, xakarma, vikarma saBI kA, muJa se tU pAyegA gyAn,

xise samaJa xarjun, karmoM meM xaMtar hotA baLA mahAn.

4.18

karmoM meM jo xakarma deKe, xakarma meM deKe jo karma,

yog-yukta gyAnI hE, yadyapi karatA hE vaha sAre karma.

4.19

jisake sAre karma, PaloM kI xicCA se svatantra rahate,

xagni parIkSA kare karma kI, xuse log paMwit kahate.

4.20

karma-PaloM ko tyAge, trapta rahe, na kisI par xASrit ho,

xus kA xAtman mukta, Bale hI sadA karma meM vaha rat ho.

4.21

xaham xOr cit jis ke vaSa meM, xicCA koxI rahe nahIM,

tyAg sampadAxoM ko, tan se karma kare to doF nahIM.

Page 22: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

22

4.22

santoFI, dvandva se pare, xIrFyA na rahe jis ke man meM,

jIt, hAr meM samAn rahatA, nahIM karma ke banDan meM.

4.23

jo ho xanAsakta, gyAn meM yukta, sTir man ho jAye,

karma kare yagya kI taraha, vaha karmoM se xUpar jAye.

4.24

karma xuse hE brahma, vastu jo xarpit ho vo BI hE brahma,

xanuBava kare brahma ko vaha karmoM meM, pA letA hE brahma.

sAptAhik pAQa-14/4.25

kuCa yogI xapane devoM ke liye yagya ko karate hEM,

xanya, yagya ko brahma xagni meM hI xarpit kar dete hEM.

4.26

kuCa saMyam se SravaNa xAdi sab xindri Basma kar dete hEM,

xanya xindriyoM meM xun ke viFayoM kI xAhuti dete hEM.

4.27

kuCa karate xarpit xindriyoM meM, prAN-Sakti ke karmoM ko,

xAtma-niyantraNa kI jvAlA meM, gyAn jalAtA hE jin ko.

4.28

kuCa sampati, kuCa tap, kuCa yogAByAs samarpit karate hEM,

kuCa man vaSa meM kar, vidyA yA gyAn samarpit karate hEM.

4.29

kuCa SvAsoM ke dvArA xapane prANa niyantrit karate hEM,

pAn, xapAn vAyu ko xucit mArga meM xarpit karate hEM.

4.30

kuCa niyamit Bojan kI, xapane prANoM meM xAhuti dete,

ve hEM gyAnI yagyoM ke, xun ke sab pAp naFqa hote.

4.31

prApta kareM vo brahma sanAtan, bacA yagya kA jo KAyeM,

yagya binA to lok xOr paralok nahIM kuCa BI pAyeM.

4.32

jag meM yagya bahut se, jin kI rAha brahma ke muKa tak jAn,

ve sab pEdA huye karma se, mukti dilAyegA yaha gyAn.

Page 23: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

23

sAptAhik pAQa-15/4.33

gyAnamayI yagyoM ko BOtik yagyoM se xuttam pAte,

saBI karma, xaMta meM, gyAn meM mil kar vilIn ho jAte.

4.34

xAdar, vinaya, praSna, sevA ke dvArA prApta karo vaha gyAn,

gyAnI, baLA dArSanik hI batalAyegA yaha xUMcA gyAn.

4.35

kaBI BrAnti meM nahIM paLe, yaha gyAn xagar tU pA jAye,

sab sattA pAye xAtman meM, taba mere xandar pAye.

4.36

pApI kEsA BI tU hove, xanya pApiyoM se baRakar,

pahuMcegA xus pAr, gyAn kI nEyA ke xUpar caRakar.

4.37

jEse xagni jalAkar sab xIMDan ko rAKa banAtI hE,

xagni gyAn kI, vEse hI, karmoM ko YAVa banAtI hE.

4.38

priTvI par gyAn ke barAbar koxI xOr na pavitratA,

pAye jo pUrNatA yog se, xus ko gyAn xAp milatA.

4.39

SradDAvAn, jIt xindriyoM ko, gyAn prApta kar letA hE,

gyAn prApta kar SIGra, SAnti sarvocca prApta kar letA hE.

4.40

jo xagyAnI, SradDAhIn, SakI, vaha ho jAtA hE naFqa,

lok xOr parlok sab jagaha, vaha keval pAtA hE kaFqa,

4.41

saMSaya ko gyAn se miqA, jis ne karmoM kA tyAg kiyA,

yog-lIn ho, xAtma-niyantraNa kar, xapane ko mukta kiyA.

4.42

xapane man ke saMdehoM par, calA gyAn rUpI talavAr,

gyAn-yog se, he xarjun! ho jAyegA xun kA saMhAr.

xUpar

Page 24: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

24

xaDyAya-05

karma sanyAs yog

sAptAhik pAQa-16/5.01 xarjun ne kahA:

kaBI praSaMsA karma tyAg kI, karma yog kI kaBI karo,

yogeSvar, batalAxo, xin meM kOn xucit hE? kise karo?

5.02 yogeSvar ne kahA:

karma tyAg yA karma yog, donoM hI mukti dilAte hEM,

karma yog lekin xuttam, xEsA gyAnI batalAte hEM.

5.03

sanyAsI hE vahI, kAmanA xOr dveF se mukta rahe,

hokar mukta saBI dvandvoM se, banDan se BI mukta rahe.

5.04

xaMtar sAMKya va karma yog meM, xagyAnI batalAte hEM,

kisI xek par calane vAle, donoM kA Pal pAte hEM.

5.05

sAMKya yog se jo Pal pAte, karma yog se BI pAte,

sahI gyAn xun ko, jo xek mArga donoM ko batalAte.

5.06

he xarjun! yaha bahut kaQin hE, binA yog sanyAs mile,

jo niFQA se lage yog meM, brahma xusI ko yahAM mile.

5.07

yog yukta, man nirmal, xAtma niyantrit, jIte xindriyoM ko,

sab meM xapanI xAtmA deKe, pAr kare vaha karmoM ko.

5.08

hokar lIn brahma meM jo jAnatA, tatva hEM kyA gahare,

sab xindriyoM se karma kare, par jAne xus ne kuCa na kare.

5.09

CUte, KAte, xAMKa Kolate, sAMs CoLate yA lete,

samaJe keval xindriyoM se hI, sAre viFaya lage hote.

5.10

nirAsakta ho, xarpit kare brahma ko xapane karma saBI,

jEse jal na lage paMkaj ko, pAp xuse nA lage kaBI.

Page 25: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

25

5.11

yogI karma kare bin cAhat, karane pavitra xAtman ko,

tan, cit, budDi, xindriyoM dvArA, sadA karAye karmoM ko.

5.12

karma-PaloM ko tyAg, yog meM lIn, SAnti ko pAtA hE,

raKe kAmanA karma-PaloM kI, banDan meM paL jAtA hE.

5.13

tyAg karma-Pal, man ko jIte, xAtman kuCa na karAtA hE,

nO dvAroM ke SreFQa DAm meM, xArAm suKad pAtA hE.

5.14

paramAtmA na karAye karma, karma-Pal se vaha xalag rahe,

prANI svaBAva ke kAraNa hI, karma-PaloM meM lagA rahe.

5.15

xISvar xanAsakta donoM se, pAp na le vo punya na le,

Wak de jab xagyAn gyAn ko, sammohit ho man wole.

sAptAhik pAQa-17/5.16

gyAn prApta kar koxI jab xagyAn naFqa kar detA hE,

xus ke man ko gyAn, sUrya kI taraha prakASit karatA hE.

5.17

Bakti, vicAr, cetanA dvArA, jo parmAtmA pA jAte,

vApis nahIM lOqate, xun ke pAp gyAn se Dul jAte.

5.18

vinayaSIl vidyA se jab pak jAtA hE paMwit kA gyAn,

brAhmaN, gaxu, hATI, kuttA, cAMwAl dIKate xek samAn.

5.19

sAmya xavasTA pAkar jab priTvI par sab ko jIt liyA,

paramAtmA nirdoF, sAmya hE, xus kA hI xanukaraNa kiyA.

5.20

suKI na ho xacCI cIzoM se, burI cIz se duKI na ho,

xaqala-budDi, moha-rahit, gyAnI, xuse brahma meM lIn kaho.

5.21

pAtA xAtmAnand vahI, jo bAhya viFaya se rahe pare,

jo hE lIn brahma meM, vaha xanupam suKa kA xupaBog kare.

Page 26: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

26

5.22

xindri-Bog se milate jo suKa, janma duKoM ko hEM dete,

xun kA hE xAramBa, xaMta BI, gyAnI xunheM nahIM lete.

5.23

kAm, kroDa donoM ko roke, jo karane se pahale hI,

vaha nar hE saccA yogI, suKa se rahatA hE yahAM vahI.

5.24

jo xapane xandar hI suKa, xAnanda, jyoti ko pAtA hE,

milatA hE nirvANa xuse, vaha brahma rUp ho jAtA hE.

5.25

jo pavitra, niFpAp, dvEt ke saMSaya jin ke dUr huye,

xanuSAsit, paropakArI, ve param brahma meM lIn huye.

5.26

kAm, kroDa se mukta huxe jo, man xapane vaSa meM jin kA,

param gyAn jin ko hE, hotA hE nirvANa yahAM xun kA.

5.27

lagA driFqi ko bIc Brikuqi ke, saBI viFaya kA tyAg kare,

pAn, xapAn vAyu kA sAMsoM se niyamit saMcAr kare.

5.28

vaSa meM kar xindriyAM, budDi, cit, mokSa-prApti ko tatpar ho,

kAm, kroD, Baya, se xUpar, xus ko sadEva hI mukta kaho.

5.29

mEM sab yagya, tapoM kA BogI, lokoM par SAsan karatA,

sab kA mitra, xise jo jAne, niScaya SAnti prApta karatA.

xUpar

Page 27: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

27

xaDyAya-06

DyAn yog

sAptAhik pAQa-18/6.01 yogeSvar ne kahA:

karma kare Pal kI xicCA taj, yogI ho yA sanyAsI,

yagya kuMwa bas nahIM jalAye, nahIM bane vo sanyAsI.

6.02

jis ko sanyAsI kahate hEM, xus ko hI kahate yogI,

saMkalpoM ke tyAg binA, koxI BI nahIM bane yogI.

6.03

jo cAhe yog tak pahuMcanA, karma xuse sADan banatA,

yog prApta ho jAne par hI, Sam xus kA sADan banatA.

6.04

jab viFayoM yA karmoM meM, xAsakti nahIM raha jAtI hE,

tyAg kare saMkalpoM kA, tab yog prApti ho jAtI hE.

6.05

xapane xAp xuQAye xapane ko, na kaBI deve girane,

xAtman xapanA mitra bane, xAtman hI xapanA Satru bane.

6.06

jis ne xahaMkAr ko jItA, xAtman xus kA mitra bane,

jo na jIt pAye xapane ko, xus kA xAtman Satru bane.

6.07

xahaMkAr jo jIta, SAnti ko pAye, xAtma-gyAn pAye,

suKa-duKa, sardI-garmI, mAn-xapamAn, xinheM samAn pAye.

6.08

xindriyAM jIte, sudriRa rahe, jis meM hEM gyAn xOr vigyAn,

yog-yukta vaha, jis ko miqqI, patTar, sonA xek samAn.

6.09

mitra, Satru, niFpakSI, taqasTa, xudAr-hridayI, xaBimAnI,

pApI, banDu, saMta, sab se, samatA kA BAva raKe gyAnI.

6.10

xAtma-niyantraNa kare, rahe xekAkI, ho xicCA se mukta,

parigraha kI kAmanA na ho, man BI paramAtmA meM ho yukta.

Page 28: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

28

6.11

svacCa BUmi jo xUMcI-nIcI na ho, vahAM xAsan raKakar,

kuSA GAs, mrigaCAl xOr ho vastra sAf xus ke xUpar.

6.12

citta, xindriyAM vaSa meM kar, bEQe, man ko xekAgra kare,

xAtma-SudDi ke liye vahAM, yogI xapanA xaByAs kare.

6.13

SarIr, sir, gardan ko sTir kar ke vaha bEQe sIDA ho,

xOr kahIM BI deKe nahIM, driFqi nAsAgra par lagI ho.

6.14

praSAnta man vAlA, nirBaya, brahmacarya kA pAlan karatA,

man ko merI xor moLakar bEQ, DyAn muJa par karatA.

6.15

vaha yogI, jis kA man vaSa meM, sadA yog meM hI lag kar,

prApta kare nirvAN, SAnti, jo vidyamAn mere xandar.

6.16

xus ko yog nahIM, jo KAtA zyAdA yA kam KAtA hE,

nahIM xuse BI, jo sotA hE bahut, yA na so pAtA hE.

6.17

yogI niyamit karma kare, xAhAr, vihAr kare parimit,

xus meM xanuSAsan duKa-nASI, nIMd, jAganA hEM niyamit.

6.18

citta, lAlasA se haqakar, xAtman meM sTit ho jAtA hE,

sam-svaratA ko prApta huxA, vaha yogalIn kahalAtA hE.

sAptAhik pAQa-19/6.19

yogI kA cit jEse dIpak jalatA vAyuhIn sTal par,

xAtman se vaha mel karAye, pahale mati ko vaSa meM kar.

6.20

mati vaSa meM hone se, caMcal citta SAnta ho jAtA hE,

cetanatA xAtman meM pAkar, xAnanda param pAtA hE.

6.21

suKa jo pare xindri-suKa ke, vaha budDi lagAkar hE pAtA,

xusako pA, BOtik tatvoM se vicalit kaBI nahIM hotA.

Page 29: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

29

6.22

jise prApta kar samaJe, xis se baLI prApti hE kahIM nahIM,

xEsI sTit meM, bahut baLe duKa se BI vicalita ho na kahIM.

6.23

vahI yog kI punya sTiti, jis kA na kaBI duKa se saMyog,

xaqal budDi, driRa niScaya, xaByAsoM dvArA pAte vaha yog.

6.24

saMkalpoM se xupajI, saBI kAmanAxoM ko jo CoLe,

saBI xor se, xindriyoM ko, mati dvArA vaSa meM kar, moLe.

6.25

budDi lagAkar driRatA se, man ko xAtman meM lIn kare,

DIre-DIre SAnti prApta kar, xOr na koxI DyAn kare.

6.26

hokar caMcal xOr vikal, jab yaha man dUr BAg jAye,

xuse niyaMtrit kar, xAtman ke xandar, Pir vApis lAye.

6.27

sarvottam suKa prApta kare, vo yogI jis kA man ho SAnta,

vo niFpAp, brahma tak pahuMcA, huxA rajoguNa jis kA SAnta.

6.28

ho pApoM se mukta, yog meM xAtman sadA lagAtA hE,

xAsAnI se brahma sparSa kar, SIGra param suKa pAtA hE.

6.29

xAtman meM deKe sab prANI, saBI prANiyoM meM xAtman,

samadarSI vaha yogI, niSpakSI hotA hE xus kA man.

6.30

jo mere xandar sab deKe, sab meM deKe bas muJa ko,

dUr nahIM rahatA vaha muJa se, nahIM BUlatA mEM xus ko.

6.31

mEM hUM saBI prANiyoM meM, jab yogI muJa ko BajatA hE,

kEsI BI hAlat meM ho, vaha muJa meM nivAs karatA hE.

6.32

he xarjun! jo samadarSI, sab ko xapane samAn pAtA,

Kud cAhe suKa meM yA duKa meM ho, vaha yogI kahalAtA.

Page 30: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

30

6.33 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! tum ne jo samatA kA yog batAyA hE,

man kI caMcalatA se xus kA xADAr nahIM pAyA hE.

6.34

caMcal, pracaMwa, balaSAlI man, sadA cAhatA haQa karanA,

xus par VAbU kaQin, jis taraha kaQin havA vaSa meM karanA.

6.35 yogeSvar ne kahA:

ni:sandeha kaQin hE, caMcal man ko VAbU meM karanA,

par, vErAgya xOr xaByAsoM se samBava vaSa meM karanA.

6.36

yog-prApti hE kaQin xuse, jo man par VAbU nahIM kare,

jo saMyamI, xAtma-bal rakKe, vahI yog ko prApta kare.

sAptAhik pAQa-20/6.37 xarjun ne kahA:

SradDA hote BI man ko yadi xapane vaSa meM nahIM kare,

kyA hotA xus kA jo prANI sidDi ko nahIM prApta kare?

6.38

brahma prApti se pahale hI jo, wagamag hokar BraFqa huxA,

kyA vaha Paqe bAdaloM jEsA, kuCa na prApta kar, naFqa huxA?

6.39

pUrI taraha miqA de xab, he yogeSvar! merA saMSaya,

tere sivA nahIM koxI jo dUr kar sake yaha saMSaya.

6.40 yogeSvar ne kahA:

xarjun, xis jag meM yA xOr lok meM xus kA nASa na ho,

BalA kAm jo karatA prANI, xus kI durgati kaBI na ho.

6.41

yog mArg meM xasaPal ho, vaha punya-lok ko jAtA hE,

puna: pavitra, samridDa vyakti ke Gar meM janmA jAtA hE.

6.42

yA vaha budDimAn yogI ke kul meM le sakatA hE janma,

kintu xis jagat meM, xati durlaBa hotA xis prakAr kA janma.

6.43

vahAM prAta karatA xun saMskAroM ko, jo pahale vikase,

yatna kare xun ke baRane kA, hoM sampUrNa yahAM Pir se.

Page 31: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

31

6.44

huxA vivaSa sA piCale xaByAsoM se, xunnati prApta kare,

jigyAsu, yoga dvArA, SAstra banDnoM ko BI pAr kare.

6.45

pApoM se ho mukta, kaxI janmoM meM nij ko pUrNa kare,

prApta kare sarvocca lakSya, yadi lagan lagAkar yatna kare.

6.46

tapasviyoM se baRakar yogI, gyAnI se baRakar yogI,

karma-kAMwiyoM se baRakar vaha, xarjun, tU ban jA yogI.

6.47

saBI yogiyoM meM xus yogI ko hI SreFQa mEM samaJatA,

jo SradDA se xapane man ko muJa meM lagA, muJe BajatA.

xUpar

Page 32: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

32

xaDyAya-07

gyAn vigyAn yog

sAptAhik pAQa-21/7.01 yogeSvar ne kahA:

man ko muJa meM lagA, yoga meM lIn, muJe hI xASraya mAn,

kEse pUrI taraha muJe jAnegA, xarjun, xab yaha jAn.

7.02

pUrI taraha batAxUMgA mEM tuJa ko, gyAn xOr vigyAn,

kuCa BI SeF nahIM raha jAyegA, jab legA xis ko jAn.

7.03

xek, hazAroM meM, muJa ko pAne kA yahAM yatna karatA,

xun meM se viralA hI merA saccA rUp prApta karatA.

7.04

priTvI, jal, xagni, vAyu, xAkAS, budDi, cit xOr xahaMkAr,

xAQa tatva ye prakriti meM nihit, jin se nirmit hE saMsAr.

7.05

yaha merI hE nimna prakriti, batalAxUM xucca prakriti ko BI,

cetan jIva rUp, jis par xADArit hE yaha viSva saBI.

7.06

yaha BI samaJ, saBI prANI donoM se pEdA hote hEM,

mEM hI xun ko detA janma, mere kAraNa hI marate hEM.

7.07

muJa se xalag vastuxeM, xarjun, yahAM nahIM koxI hotIM,

sab muJa meM, jEse maNiyAM DAge meM guMTI huxI hotIM.

7.08

xarjun, mEM hUM jal meM svAd, cAMd, sUraj meM prakASa hUM,

mEM vedoM meM xom, Sabda naBa meM, puruFoM meM pOruF hUM.

7.09

camak xagni kI hUM mEM, viSudDa suganDa hUM mEM priTvI meM,

saBI prANiyoM meM jIvan hUM, tap hUM baLe tapasvI meM.

7.10

sArI vidyamAn cIzoM kA, bIj sanAtan muJa ko mAn,

budDimAn kI budDi, tej tejasvI kA, muJa ko hI jAn.

Page 33: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

33

7.11

xicCA xOr kAm ke tyAgI, balavAnoM kA bal hUM mEM,

saBI prANiyoM ke xandar, DarmAnukUl cAhat hUM mEM.

sAptAhik pAQa-22/7.12

guNa sAtvik, rAjasik, tAmasik, tInoM janme hEM muJa se,

ve muJa se, mEM xun se nahIM, BalI prakAr jAn le xise.

7.13

prakriti guNoM se Bram meM paL, jag muJe nahIM pahacAn sake,

mEM sab se xUpar xavinASI hUM, xis ko nA jAn sake.

7.14

tIn guNoM kI mAyA ko jItanA, bahut muSkil hotA,

jo muJa ko Bajate, mAyA se bacanA xunheM saral hotA.

7.15

bure kAm karane vAle jo mUrKa, xaDam, BaramAte hEM,

ve svaBAva se rAkSas, merI SaraNa meM nahIM xAte hEM.

7.16

he xarjun! merI pUjA karate hEM cAr taraha ke log,

duKa meM PMse, satya ke premI, Dan ke xicCuk, gyAnI log.

7.17

xin meM gyAnI SreFQa, brahma meM lIn, DyAn meM vjo hotA,

mEM xus kA priya hUM, vaha BI muJa ko xati priya sadEva hotA.

7.18

yUM to sab xacCe, par gyAnI sarvaSreFQa, mEM BI vo hUM,

pUrI taraha yog meM lag, xus kA jo lakSya, vahI mEM hUM.

7.19

bAd bahut se janmoM ke, gyAnI samaJe, sab xISvar hE,

mEM hotA hUM prApta xuse, par xEsA gyAnI durlaBa hE.

sAptAhik pAQa-23/7.20

jin kI mati ho gaxI vikrit, man kI xicCAxoM par cal kar,

jAte xanya devatAxoM ko, xapane svaBAva ke bal par.

7.21

kisI rUp meM pUje koxI Bakta muJe, kar ke SradDA.

xusI rUp meM sudriRa banA detA hUM mEM xus kI SradDA.

Page 34: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

34

7.22

pUjA kare kisI kI BI, par ho pUrI SradDA xusameM,

vAMCit Pal mil jAtA hE, vaha Pal xus ko detA hUM mEM.

7.23

xalpa budDi ke log, yahAM keval xasTAxI Pal pAte,

milate deva, deva pUjA se, mere Bakta muJe pAte.

7.24

xagyAnI, jo mere xasalI svaBAva ko jAnate nahIM,

vyakta mAnate, mEM xavyakta hUM, xucca gyAn jAnate nahIM.

7.25

WakA yog mAyA se, sammuKa xAtA hUM mEM kaBI nahIM,

mUrKa na jAne, janma xOr parivartan se mEM baMDA nahIM.

7.26

jo xatIt meM huye, xis samaya hEM, BaviFya meM jo hoMge,

xarjun, mEM xun sab ko jAnUM, muJe nahIM ve jAneMge.

7.27

sab prANI xicCA se xOr dveF se pEdA hote hEM,

kintu dvandva ke cakkar meM paL, Bram meM Koye hote hEM.

7.28

par ve punyAtmA prANI, sab naFqa ho gaye jin ke pAp,

mukta dvEt se, hokar sTir, merI pUjA karate hEM xAp.

7.29

jarA, maraNa se mukti prApta karane jo SaraNa merI xAye,

xAtman, brahma, karma, xin sab kI pUrI bAt jAn jAye.

7.30

mEM hUM xananya, mEM hI SAsak, priTvI, deva, yagya kA hUM,

jo yaha jAne xuse maraNa par divya cetanA detA hUM.

xUpar

Page 35: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

35

xaDyAya-08

xakSar brahma yog

sAptAhik pAQa-24/8.01 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! xAtman kyA hE? kyA hE brahma? karma hE kyA?

kyA tatvoM kA kSetra jagat meM? kSetra devatAxoM kA kyA?

8.02

yahAM kOn sA yagya SreFQa hE, xus ko kEse pahacAneM?

vaSa meM kar xapane ko, marate samaya tuJe kEse jAneM?

8.03 yogeSvar ne kahA:

brahma xanaSvar sarvopari hE, svaBAva xAtman ko mAno,

kAraNa sab kA jo srajanAtmak Sakti, karma xus ko jAno.

8.04

kSar kA hE xADAr prakriti, hE puruF xamaratA kA xADAr,

he xarjun! mEM hI SarIr meM sab yagyoM kA hUM xADAr.

8.05

mrityu samaya koxI, muJa meM hI DyAn lagA, tan tyAg kare,

kuCa BI saMSaya nahIM ki vo merI hI sTiti ko prApta kare.

8.06

karatA huxA DyAn jis kA, xapane SarIr kA tyAg kare,

lagA rahe vaha xusI DyAn meM, xusI daSA ko prApta kare.

8.07

xisI liye, tU muJe yAd kar sadA, xOr kar yudDa yahAM,

muJa meM lagA budDi, cit xapane, prApta karegA muJe yahAM.

8.08

lagA yog meM budDi, koxI BI, param puruF kA DyAn kare,

Baqake nahIM citta xus kA, vaha divya puruF ko prApta kare.

8.09

jo SAsak, poFak, sab kA gyAtA, xanAdi, xaNuxoM meM hE,

xus kA rUp xacintanIya, tam nASak, vaha kiraNoM meM hE.

8.10

Bakti yog se prANa Sakti ko, kendrit BOM ke bIc kare,

xEsA kar, vaha mrityu samaya, xus divya puruF ko prApta kare.

Page 36: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

36

sAptAhik pAQa-25/8.11

xab sun varNan xakSar kA, saMyamI jahAM praveSa karate,

kar jis kI kAmanA, brahmacArI xAcaraNa SudDa karate.

8.12

man xapanA driRa kar, saMyamit kare jo tan ke dvAroM ko;

ho kar lIn yog meM, prAN-mArga meM roke sAMsoM ko;

8.13

muMha se nikale Sabda ‘xom’, yadi karatA yAd rahe muJa ko,

tyAge tan, CoLe jag ko, vaha pAye divya cetanA ko.

8.14

xanya kisI kA DyAn na kar, merA sadEva hI DyAn kare,

vaha xanuSAsit yogI, muJa ko xAsAnI se prApta kare.

8.15

muJa tak pahuMc, mahAn xAtmAyeM, sidDi prApta hEM kar letIM,

jag, duKa kA Gar hE xasTAxI, xis meM janma nahIM letIM.

8.16

brahmalok se nIce sab lokoM se punarjanma hotA,

kar le prApta muJe koxI, tab xus kA janma nahIM hotA.

8.17

brahmmA kA din hazAr yug kA, hazAr yug kI hotI rAt,

jis ne jAn liyA yaha, xus ko rAtri, divas hEM pUre gyAt.

8.18

din xAne par, xavyakta sab vastuxeM pragaq ho jAtI hEM,

hotI rAt, kahIM xavyaktatA meM vilIn ho jAtI hEM.

8.19

hAl burA xastitvamAn cIzoM kA bebas hI hotA,

hotA rUp vilIn rAtri meM, din meM puna: pragaq hotA.

8.20

xEsI sTiti se pare, xanya xavyakta sanAtan hE xastitva,

miqatI xastitvamAn cIzeM, par rahatA xus kA xastitva.

8.21

vahI xavyakta xanaSvar BI, sarvocca sTiti xus ko kahate,

jahAM pahuMcakar nahIM lOqate, merA param DAm kahate.

Page 37: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

37

8.22

jis se yaha saMsAr racit, jis meM sab BUt nivAs kareM,

he xarjun! xus param puruF ko, xaqal Bakti se prApta kareM.

8.23

xab vaha samaya batAtA hUM, saMsAr CoL jab jAte hEM,

yA to jag meM nahIM lOqate, yA Pir vApis xAte hEM.

8.24

Sukla pakSa, xujiyAlA, divas, xagni, Ca: mAs xuttarAyaNa ke,

xin meM jag tyAge koxI to pahuMce nikaq param brahma ke.

8.25

kriFNa pakSa, xaMDakAr, rAtri, DuxAM, Ca: mAs dakSiNAyan ke,

xA jAte hEM lOq yahIM par, xin meM candra jyoti pA ke.

8.26

jyoti xOr xanDakAr ke, do SASvat mArga kahe jAte,

pahuMc jyoti tak, nahIM lOqate, lOq xMDere se xAte.

8.27

xus ne dUr kiyA xapanA Bram, jis ne sahI mArg jAnA,

xarjun, tere liye xucit hE, yog mArga meM juq jAnA.

8.28

vedoM ke xaDyayan, dAn, tap, punya, yagya ke sAre Pal,

lagate hEM Coqe xus yogI ko, jo pahuMce brahma sTal.

xUpar

Page 38: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

38

xaDyAya-09

rAj vidyA rAj guhya yog

sAptAhik pAQa-26/9.01 yogeSvar ne kahA:

xarjun, tU xIrFyA se rahit, samaJa le gopanIya yaha gyAn,

mukta burAxI se hogA, jab legA xis vidyA ko jAn.

9.02

yaha vidyA sab se pavitra, yaha param gyAn xanuBava se ho,

yaha DarmAnukUl, xis kA xaByAs saral, yaha naFqa na ho.

9.03

xarjun, jo DarmAnusAr SradDA na kaBI kar pAte hEM,

muJe na kar ke prApta, lOqakar mratyu-lok meM xAte hEM.

9.04

mEM hUM nirguN, lekin, mEM hUM vyApta yahAM sAre jag meM,

sab muJa par xADArit, lekin mEM na diKAxI dUM xun meM.

9.05

yaha rahasya tU samaJa, kahIM jIvoM meM merA vAs nahIM,

sab ko saMBAlatI hE merI xAtmA, rahatI vahAM nahIM.

9.06

jEse naBa meM sadEva calatI, vAyu pracaMwa xOr gatimAn,

xusI taraha sab vastu kareM muJa meM vicaraN, tU xis ko jAn.

9.07

huxA kalpa kA xaMta, prakriti meM sab vastuxeM samAtI hEM,

vo merI hI prakriti, kalpa meM Pir vApis xA jAtI hEM.

9.08

vastu niraMtar pEdA karatA, sadA prakriti ko kar vaSa meM,

bebas hEM sab pEdA hokar, saBI prakriti ke baMDan meM.

9.09

kaBI na bAMDe muJako, koxI karma kisI BI baMDan meM,

xanAsakta xOr xudAsIn, karmoM ke xandar rahatA mEM.

9.10

he xarjun! merI hI deKa-reKa meM jAn xis prakriti ko,

jis se saMsAra-cakra GUme, milatA janma carAcar ko.

Page 39: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

39

9.11

mUrKa log, mAnava SarIr Dar, xavahelanA kareM merI,

jAneM nahIM rUp svAmI kA, xucca prakriti jo hE merI.

9.12

ve xasuroM kA xOr rAkSasoM kA svaBAva le yahAM raheM,

xASA, karma, gyAn hEM viPal, binA vivek ve sadA raheM.

9.13

xarjun, mahAn xAtmA vAle, divya prakriti meM jo rahate,

muJe xanaSvar, sab kA mUl mAn, merI pUjA karate.

9.14

nat hokar mere xAge, merA guNagAn sadA karate,

hokar sTir ve Bakti BAva se, merI hI pUjA karate.

9.15

xanya log gyAn-yagya dvArA merI xupAsanA karate,

xek rUpa yA xanek rUpoM vAlA jAn muJe Bajate.

sAptAhik pAQa-27/9.16

karma-kAMwa hUM mEM, pitaroM kA piMwa dAn hUM, yagya hUM mEM,

xOFaDi, mantra xOr GI hUM mEM, xagni taTA xAhuti hUM mEM.

9.17

mAtA, pitA, pitAmaha, DAtA, punya, gyAn kA lakSya hUM mEM,

sAmaved, rigved, yajurved xOr ‘xom’ kI Dvani hUM mEM.

9.18

poFak, mitra, nivAs, SaraN, svAmI, sAkSI, xuddeSya hUM mEM,

sarvanAS, BaMwAr, sTal, xutpatti, xanaSvar bIj hUM mEM.

9.19

mEM tapatA, mEM varFA karatA, mrityu, xamaratA detA mEM,

xarjun, mEM hUM satya xOr xus ke hI sATa xasatya hUM mEM.

9.20

pAp-mukta, vedoM ke gyAnI, som pAn kar yagya kareM,

svarga lok meM pahuMc, vahAM devoM ke sab suKa prApta kareM.

9.21

svarga lok se vApis, Pir ve mrityulok meM xA jAte,

ved-Darma kA pAlan kar, suKa-xicCA se xAte, jAte.

Page 40: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

40

9.22

jo xaDyavasAyI hokar, cintan karate hEM merA hI,

xun ke yog xOr hit donoM ko, sMBAlatA hUM, mEM hI.

9.23

SradDA se jo xanya devatAxoM kI pUjA karate hEM,

yadyapi pUrNa nahIM, Pir BI ve merI pUjA karate hEM.

9.24

mEM sab yagyoM kA xupaBogI, mEM sab kA pAlan karatA,

merA xasalI rUp na jAne, vaha sadEva nIce giratA.

9.25

pUjeM deva, deva pAyeM, pitaroM ko pUj, pitar pAyeM,

BUt pUj kar BUt mileM, muJa ko pUjeM, muJa ko pAyeM.

9.26

pattI, pAnI, puFpa xOr Pal, muJa ko de SradDA ke sAT,

nirmal man se dI BeMqeM, mEM letA saBI prem ke sAT.

9.27

xarjun, tU jo karatA, KAtA, xOr yagya jo tU karatA,

samaJa muJe xupahAr saBI kuC, dAn xOr tap jo karatA.

9.28

SuBa yA xaSuBa karma ke saBI PaloM se ho jAyegA mukta,

muJe prApta kar, tyAg mArga dvArA, hogA baMDan se mukta.

9.29

muJa ko saBI samAn, kisI se bEr, lagAva nahIM muJa meM,

Bakti BAva se pUjA karate, mEM xun meM hUM, ve muJa meM.

9.30

baLA durAcArI, yadi tyAge pAp xOr muJa ko Baj le,

samaJo xus ko DarmAtmA, jo yaha xacCA niScaya kar le.

9.31

SAnti cirasTAxI milatI hE, punyAtmA ban jAtA hE,

he xarjun! yaha satya, Bakta merA na naFqa ho pAtA hE.

9.32

xOrat, vESya, SUdra ho, cAhe nIce kul meM janma liyA,

xAkar merI SaraNa saBI ne, lakSya xuccatam prApta kiyA.

Page 41: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

41

9.33

Pir pavitra brAhmaNoM, rAj-riFiyoM kA to hE kyA kahanA,

xasTAxI, duKa Bare jagat meM, Darma, merI pUjA karanA.

9.34

yagya karo mere hI liye, Bajo xapane man meM muJa ko,

xAxo merI SaraN, yukta ho muJa meM, prApta karo muJa ko.

xUpar

Page 42: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

42

xaDyAya-10

viBUti yog

sAptAhik pAQa-28/10.01 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! xab mere sab se xUMce vacanoM ko sun tU,

tuJe batAtA hUM mEM vaha, jis se xAnand param le tU.

10.02

merA mUl jAnane meM riFi xOr deva BI karate BUl,

sab prakAr se mEM hI sAre riFiyoM, devoM kA hUM mUl.

10.03

muJe xajanmA, xanAdi, sab kA svAmI, jis ne jAn liyA,

mrityu lok meM Bram se, pApoM se, xapane ko mukta kiyA.

10.04

budDi, kSamA, saMmoha-tyAg, xindri-niyaMtraN, gyAn, satyatA,

suKa-duKa, xanastitva, xastitva, xAtma-saMyam, Bya, nirBayatA;

10.05

yaS, xapayaS, saMtuFqi, xahiMsA, tap, samatA, dAnavIratA,

ye sab daSA prANiyoM kI hEM, jin ko mEM pEdA karatA.

10.06

sAtoM riFi, cAroM manu, sab muJa se hI hote hEM pEdA,

ve sab merI prakriti se bane, xun se sab prANI pEdA.

10.07

tatva rUp meM merI Sakti xOr yaSa ko jo jAn gayA,

xis meM saMSaya nahIM, yog se xus ne muJa ko prApta kiyA.

10.08

mEM sab kA xutpatti sTal hUM, muJa se sriFqi cale sArI,

gyAnI xis ko jAn, raKeM viSvAs, kareM pUjA merI.

10.09

jIvan muJa par xarpit kar, jo budDi lagAte hEM muJa meM,

merI carcA kar xApas meM, xAnaMda prApta kareM muJa meM.

10.10

kareM niraMtar Bakti merI, prem se kareM pUjA merI,

xunheM budDi xekAgra mile, xun ko ho SaraNa prApta merI.

Page 43: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

43

10.11

dayA diKAtA sab par, xapane xasal rUp meM rahatA hUM,

gyAn dIp se xun ke man ke xaMDakAr ko haratA hUM.

sAptAhik pAQa-29/10.12 xarjun ne kahA:

param brahma tU, param DAm tU, pAvan tU, parameSvar tU,

tU hE praTam devatA, tU hE xajanma, sarvavyApta hE tU.

10.13

nArad, xasit, vyAs, deval ne xEsA hI batalAyA hE,

sab riFiyoM ne yahI kahA, xab tU ne yahI batAyA hE.

10.14

yogeSvar, mEM satya mAnatA, jo kuCa BI tU kahatA hE,

terA rUp, devatA, rAkSas, koxI nahIM jAnatA hE.

10.15

purUFottam, sab kA svAmI, devatA saBI devoM kA tU,

jagat pitA, mUl tU saBI kA, sab kuCa xAp jAnatA tU.

10.16

xapane saBI divya rUpoM ko xab tU batalA de muJa ko,

jin ke dvArA sab lokoM meM vyApta huxA samaJUM tuJa ko.

10.17

kEse, nit cintan kar ke, pAxUM mEM terA pUrA gyAn,

kin viBinna rUpoM meM, he yogeSvar! ho terI pahacAn.

10.18

kriFNa, batA tU xapanI Sakti, viBUti, saBI varNan kar ke,

nahI xaGAtA hUM mEM xamrit jEse vacanoM ko sun ke.

sAptAhik pAQa-30/10.19 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! mEM tuJa ko xapanI divya viBUti batAxUMgA,

xaMta nahIM xus kA, mEM keval xaMSa mAtra batalAxUMgA.

10.20

saBI prANiyoM ke hridayoM meM basI huxI xAtmA hUM mEM,

saBI vastuxoM kA prAramBa, maDya BI xOr xaMta BI mEM.

10.21

xAdityoM meM viFNu, prakASoM meM jyotirmaya sUrya hUM mEM,

marutoM meM marIci hUM mEM, nakSatroM meM candA hUM mEM.

Page 44: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

44

10.22

vedoM meM hUM sAmaved, mEM xindra devatAxoM meM hUM,

saBI prANiyoM meM cetanatA, xindriyoM se xUpara man hUM.

10.23

kuber yakSoM xOr rAkSasoM meM, SaMkar hUM rudroM meM,

parvat ke SiKaroM meM meru, xagni hUM sAre vasuxoM meM.

10.24

he xarjun! mEM purohitoM meM muKya purohit brihaspati hUM,

skanda hUM senApatiyoM meM, jalASayoM meM sAgar hUM.

10.25

mahAn riFiyoM meM Brigu hUM, vANI meM xakSaya xom hUM mEM,

yagyoM meM jap yagya, himAlaya xacal vastuxoM meM hUM mEM.

10.26

vrikSoM meM pIpal hUM xOr divya riFiyoM meM nArad hUM,

sidDoM meM hUM kapil, citraraTa mahAn ganDarvoM meM hUM.

10.27

xamrit se xutpanna huxA xuccESravA hUM mEM xaSvoM meM,

SreFQa hATiyoM meM xErAvat, rAjA hUM mEM manujoM meM.

10.28

SastroM meM hUM vajra xOr gaxuxoM meM kAmaDenu hUM mEM,

kAmadeva santAnotpatti meM, sarpoM meM vAsuki hUM meM.

10.29

mEM nAgoM meM xanaMtanAg hUM, varuNa saBI jaladevoM meM,

putaroM meM xaryamA xOr yam hUM mEM saMyamaSIloM meM.

10.30

dEtyoM meM hUM mEM prahlAd, ginatI ke liye kAl hUM mEM,

garuLa pakSiyoM meM hUM, paSuxoM meM paSurAj siMha hUM mEM.

10.31

pavitra karane vAloM meM hUM pavan, rAm hUM vIroM meM,

macCoM meM hUM magaramacCa, gaMgA hUM bahatI nadiyoM meM.

10.32

srijit vastuxoM kA prAramBa, maDya BI xOr xaMta BI mEM,

gyAnoM meM xADyAtma gyAn, mEM tarka hUM vAd-vivAdoM meM.

Page 45: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

45

sAptAhik pAQa-31/10.33

mEM hUM kAl xanaSvar, xakSar meM ‘xa', dvandva samAsoM meM

mEM hUM vahI viDAtA jis ke muKa hEM saBI diSAxoM meM.

10.34

sab ko nigale vahI mrityu hUM, BaviFya kA xudgam hUM mEM,

nArI meM SrI, kIrti, smriti, Driti, vANI, budDi, kSamA hUM mEM.

10.35

gItoM meM hUM baLA sAm, gAyatrI hUM mEM CandoM meM,

mAGa mahInoM meM hUM, puFpit vasaMta hUM mEM rituxoM meM.

10.36

Calane vAloM kA jUxA hUM, tejasvI kA tej hUM mEM,

mEM hUM vijayI kA prayatna, xacCoM meM xacCAxI hUM mEM.

10.37

pAMwava putroM meM xarjun hUM, vAsudeva hUM vriFNiyoM meM,

muniyoM meM hUM vyAs xOr xuSanA kavi hUM mEM kaviyoM meM.

10.38

nIti vijaya pAne vAloM kI, daMwa SAsakoM kA hUM mEM,

mOn rahasyapUrNa cIzoM kA, gyAn gyAniyoM kA hUM meM.

10.39

he xarjun! sArI cIzoM kA bIj mere xaMdar hotA,

nahIM carAcar koxI, jo mOjUd binA mere rahatA.

10.40

xitanI viBUtiyAM hEM merI, xaMta nahIM hogA xun kA,

xarjun, batalAyA hE mEMne, xaMSamAtra xus mahimA kA.

10.41

jo koxI BI gOrava, SoBA, xUrjA se xutpanna huxA,

xus kA janma, samaJ, mere hI tejasvI xaMSa se huxA.

10.42

xarjun, kyA xAvaSyakatA, tU sIKe xitanA gaharA gyAn,

mere sUkSma xaMSa ke xUpar, qikA huxA yaha viSva mahAn.

xUpar

Page 46: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

46

xaDyAya-11

viSva rUp darSan yog

sAptAhik pAQa-32/11.01 xarjun ne kahA:

xAtmA kA tUne, yogeSvar, param rahasya batAyA hE,

xus ne mere man ke sAre Bram ko dUr karAyA hE.

11.02

saBI vastuxoM kI xutpatti xOr xunnati kA gyAn sunA,

tere xakSaya, xanaMta gOrava ko mEMne sampUrNa sunA.

11.03

yogeSvar, yadi xEsA hI hE, jEsA batalAyA muJa ko,

to xapane xISvarI rUp ko BI xab diKalA de muJa ko.

11.04

yadi samaJe, terA vaha rUp diKAxI de sakatA muJa ko,

he yogeSvar! xapanA rUp xanaSvar diKalA de muJa ko.

11.05 yogeSvar ne kahA:

he xarjun! mere sEkaLoM, hazAroM rUpoM ko tU deKa,

viviDa rMgoM, xAkritiyoM vAle, xanagin divya rUp tU deK.

11.06

xAdityoM, vasuxoM, rudroM, xaSvinoM xOr marutoM ko deKa,

kaBI nahIM deKe pahale, xun xanek xAScaryoM ko deK.

11.07

he xarjun! tU jam kar xAj yahAM sab carAcaroM ko deKa,

jo cAhe deKanA xuse xekatrit mere tan meM deK.

11.08

kintu mAnavI xAMKoM se tU, muJe nahIM pAyegA deKa,

divya driFqi detA hUM, jis se merI divya Sakti ko deK.

11.09 saMjaya ne kahA:

xis prakAr kahakar, yogeSvar ne xarjun ko samaJAyA,

xapanA xISvarIya, sarvocca rUp xus ko tab diKalAyA.

11.10

xanek muKa, xAMKoM vAle xadBut SarIr sammuKa xAye,

divya BUFaNoM se SoBit, xanaginatI divya Sastra pAye.

Page 47: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

47

11.11

lep, vastra, mAlAyeM xOr xitra hEM lage huye tan par,

vismayakArI, divya, baLe muKa dIKa rahe hEM xiDar-xuDar.

11.12

jyoti hazAroM sUryoM kI yadi xek sATa naBa meM camake,

xus mahAn Cavi kA tejasvI rUp xus taraha se damake.

11.13

devoM ke SarIr ko BI tab xanek rUpoM meM deKA,

bMqe huye sAre lokoM ko xek jagaha kendrit deKA.

11.14

huye roMgaqe KaLe, vIr xarjun ne xAScarya BI kiyA,

SISa JukAkar, hATa joLakar, SrI kriFNa ko praNAm kiyA.

sAptAhik pAQa-33/11.15 xarjun ne kahA:

saBI devatA, xanek prANI-samUh, mEM hUM deKa rahA,

kamalAsan par brahmmA, riFiyoM, nAgoM ko BI deKa rahA.

11.16

bAMha, peq, muKa, xOr netra, sab xanaMta rUpoM meM xAye,

kintu kahIM BI xAdi, maDya yA xaMta nahIM xun ke pAye.

11.17

mukuq, gadA, cakrAdi saBI ke tej rUp mEM deKa rahA,

jyotirmaya sUrya kI taraha vo xAg DaDakatI deKa rahA.

11.18

tU hE viSrAm sTal jagat kA, tU hE gyAn xOr BagavAn,

tU hE xamar Darma kA rakSak xOr sanAtan tU xinsAn.

11.19

Sakti xanaMta, xasaMKya BujAyeM, sUraj, cAMd netra tere,

xAdi, xaMta, maDya se rahit, hE xagni BarI muMha meM tere.

11.20

naB, priTvI par, saBI diSA meM, vyApta xakelA terA rUp,

tInoM lok kAMp xuQate hEM, deKa BayaMkar terA rUp.

11.21

devoM ke samUha tuJa meM kar praveS, terI stuti karate,

riFi, muni BI maMtroM dvArA kaha ‘svasti' tuJe SoBit karate.

Page 48: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

48

11.22

rudra, xaditya, sADya, vasu, xaSvini, ganDarva, marut xOr pitar,

yakSoM, xasuroM, sidDoM ke samUha deKeM vismit hokar.

11.23

xanek muKa, xAMKoM, bAMhoM, jAMGoM, pEroM, peqoM vAlA,

kAMp rahA hUM, deKa terA yaha rUp baLe dAMtoM vAlA.

11.24

cOLA muMha, viSAl xAMKeM, naBa tak raMgInI damak rahI,

DErya, SAnti hEM BaMga, xaMtarAtmA BI war se kAMp rahI.

11.25

muMha meM deKa baLe dAMtoM ko, lapaqoM ko, lagatA hE war,

yogeSvar! svAmI jag ke! xASraya do! dayA karo muJa par!

11.26

DritarAFqra ke saBI beqe, BIFma, karNa xOr droNa ke sAT,

rAjAxoM ke samUha sAre, praDAn yodDAxoM ke sAT;

11.27

Guse jA rahe lambe dAMtoM ke muMha meM bebas hokar,

ve dAMtoM meM PaMse paLe yA cUr ho rahe hEM pis kar.

11.28

jEse vegavatI nadiyAM sAgar meM milane ko jAtIM,

vEse vIroM kI qolI, lapaqoM vAle muMha meM xAtIM.

11.29

jEse jalatI huxI xAg meM, pataMg tezI se jAte,

xusI taraha yodDA vinASa ke liye tere muMha meM xAte.

11.30

xapane lapaqoM ke muKa meM, tU sab lokoM ko nigal rahA,

terI teja BarI kiraNoM se, sArA jag hE Julas rahA.

11.31

tU hE kOn BayAnak? SreFQa deva! karatA praNAm tuJa ko,

kar de kripA, batA xapane ko, terA kuCa na patA muJa ko.

sAptAhik pAQa-34/11.32 yogeSvar ne kahA:

mEM hUM kAl vinASak, sab lokoM ko mEM karatA hUM naFqa,

donoM senAxoM ke yodDA, bin tere BI hoMge naFqa.

Page 49: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

49

11.33

xuQakar jIt SatruxoM ko, yaSa mile, rAjya par SAsan kar,

ye muJa se mar cuke kintu, xarjun, ban xis kA kAraNa Bar.

11.34

BIFma, jayadraT, droN, karNa, xin sAre yodDAxoM ko mAr,

ye to hEM vinaFqa, mat war, yudDa meM na hogI terI hAr.

11.35 saMjaya ne kahA:

sun kar xin vacanoM ko xarjun, hATa joL kuCa vismaya se,

war se kAMp, ruMDI vANI meM, yUM bolA yogeSvar se.

11.36 xarjun ne kahA:

jo terA yaSagAn kar rahe, xAnaMda kA xanuBava karate.

rAkSas war kar BAg rahe hEM, sidDa terA xAdar karate.

11.37

tU xanaMt devoM kA svAmI, baLA brahma se BI hE tU,

tU hE xanastitva, xastitva, pare xus se jo BI, hE tU.

11.38

tU hI xAdi puruF, tU gyAtA, tU hI gyeya, lakSya BI tU,

he xanaMt rUpoM vAle! jo jag meM vyApta, vahI hE tU.

11.39

vAyu, vinASak, xagni, varuN, candramA tuJe namatA hUM mEM,

tU hI pitA xOr pati sab kA, namaskAr karatA hUM mEM.

11.40

namaskAr xAge, pICe se, saBI xor tU hI to hE,

terI Sakti xasIm, ramA sab meM, sab kuCa tU hI to hE.

11.41

bin pahacAne terI mahimA, mAn liyA sATI tuJa ko,

xagyAnatA, prem, lAparavAhI se kahA saKA tuJa ko.

11.42

KAte, sote, xOr Kelate, tuJe nahIM sammAn diye,

he yogeSvar! kSamA yAcanA karatA hUM mEM, xisI liye.

11.43

tU hE jagat pitA, guru xAdaraNIya, saBI ko pUjya hE tU,

koxI nahIM tIn lokoM meM tuJa sA, xati xanupam hE tU.

Page 50: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

50

11.44

JukatA hUM praNAm karane, he dev! kSamA kar de muJa ko,

jEse pitA, mitra, premI karate nij putra, mitra, priya ko.

11.45

xAnaMdit hUM deKa rUp jo pahale kaBI na deKA TA,

kAMp rahA Baya se, xab diKalA rUp vahI jo pahalA TA.

11.46

deKUM tuJa ko kirIqaDArI, gadA, cakra ko liye huye,

sahasra bAMhoM ke sTAn par, cAr BujAyeM liye huye.

sAptAhik pAQa-35/11.47 yogeSvar ne kahA:

divya Sakti se mEMne tuJa ko, sarvapraTam diKalAyA hE,

darSan param brahma kA pahale nahIM kisI ne pAyA hE.

11.48

manuj lok meM tere sivA na koxI deKa sakA xis ko,

ved, yagya, tap, kriyA, dAn, vidyA se pA na sakA xis ko.

11.49

GabarA nahIM, na ho vimURa tU, merA rUp BayAnak deKa,

Baya ko tyAg, mudit hokar, xab mere xanya rUp ko deK.

11.50 saMjaya ne kahA:

yaha kahakar yogeSvar ne xapanA pahalA hI rUp liyA,

sOmya rUp DAraNa kar, ware huye xarjun ko SAnta kiyA.

11.51 xarjun ne kahA:

kriFNa, tuJe xinsAn deKa, mEM xaBI hoSa meM xAyA hUM,

xapanI sADAraNa hAlat ko Pir se vApis lAyA hUM.

11.52 yogeSvar ne kahA:

tUne deKA rUp, kaQinatA se hI jise deKa sakate,

xEsA rUp deKane ko to deva sadEva hEM tarasate.

11.53

jEsA rUp xaBI deKA, xusako na koxI pahacAna sake,

ved, tapasyA, dAn, yagya dvArA xse na jAna sake.

11.54

yadi koxI ban jAye merA Bakta, deKa vaha sakatA hE,

xOr batAxUM, xarjun, muJa meM praveSa BI kar sakatA hE.

Page 51: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

51

11.55

karma muJe xarpit kar, jo merI hI pUjA karatA hE,

ho xAsakti-rahit, Satru-rahit, muJa tak vahI pahuMcatA hE.

xUpar

Page 52: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

52

xaDyAya-12

Bakti yog

sAptAhik pAQa-36/12.01 xarjun ne kahA:

koxI pUjA kare tumhArI, koxI xavyakta ko mAne,

yogeSvar, batalAxo, xin donoM meM kOn xaDik jAne?

12.02 yogeSvar ne kahA:

man ko muJa meM lagA taTA niFQA, SradDA se ho sampUrNa,

pUjA karate merI, vahI yog meM sab se zyAdA pUrNa.

12.03

jo karate pUjA xus kI jo xavinASI, kUqasTa, xacal,

nirAkAr, sarvavyApta, pare DyAn ke, xavyakta, xOr xaqal;

12.04

xindriyoM ko xapane vaSa meM kar, samatA se deKeM sab ko,

sab ke hit meM xAnandit, ve BI to prApta kareM muJa ko.

12.05

jin ke vicAr xavyakta par, xun ko xupAsnA bahut kaQin,

nirguNa lakSya, deha vAloM ko, pAnA hotA bahut kaQin.

12.06

par jo log saBI karmoM ko muJa par hEM xarpit karate,

Bakti BAva se merA DyAn kareM, merI pUjA karate.

12.07

xapanA man muJa par kendrit kar, raKate hEM jo SudDa vicAr,

mrityu lok ke pApoM se, mEM SIGra karUM xun kA xudDAr.

12.08

tan ko vaSa meM kar pahale, Pir xapanA citta lagA muJa meM,

yaha xaByAs kare to niScaya hI tU vAs kare muJa meM.

12.09

xarjun, tan ko vaSa meM kar yadi tU muJa meM nahIM xA sakatA,

gyAn prApti kA prayatna kar, jis se tU muJa ko pA sakatA.

12.10

yadi ho gyAn kaQin, to mere cintan kA hI lakSya kare,

muJa par xapanA DyAn lagAtA rahe, sidDi ko prApta kare.

Page 53: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

53

12.11

yadi xasamarTa xise BI karanA, yog SaraNa jAnA xacCA,

xapane ko vaSa meM kar ke, tU tyAg karma-Pal kI xicCA.

12.12

xaByAs se gyAn xuttam hE, DyAn, gyAn se hE xuttam,

jis se SAnti mile, vaha Pal kA tyAg, DyAn se BI xuttam.

12.13

yogI sab kA mitra, karuN, DEryavAn, bEr nahIM raKatA,

xahaMkAr, mamatA se xUpar, samAn suKa, duKa meM rahtA.

12.14

driRa niScaya vAlA, santuFqa, raKe jo vaSa meM xapane ko,

kare samarpit citta, budDi muJa par, vo priya hotA muJa ko.

12.15

jis se jag GabarAtA nahIM, na jag se jo GabarAtA hE,

harFa, xIrFyA, Baya, cintA se mukta, muJe priya hotA hE.

12.16

xudAsIn, xanapekSa, vyaTA se dUr, dakSa, jo nirmal hE,

tyAg diye jis ne sab karmAramBa, vahI muJa ko priya hE.

12.17

prasannatA, xicCA, duKa, dveF saBI se virakta jo hotA,

Bale-bure kA tyAgI, Bakti kare merI, vo priya hotA.

12.18

Satru, mitra jis ko samAn hEM, mAn xOr xapamAn samAn,

nahIM lagAva kisI se, suKa-duK, sardI-garmI xek samAn.

12.19

jise praSaMsA, nindA sam, jo mOn xOr santoFI hE,

niScaya nahIM nivAs sTal, mati xaqal, Bakta muJa ko priya hE.

12.20

SradDA se jo muJa ko xapanA xUMcA lakSya samaJate hEM,

vahI Bakta muJa ko xati priya, jo xamar gyAn par calate hEM.

xUpar

Page 54: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

54

xaDyAya-13

kSetra kSetragya viBAg yog

sAptAhik pAQa-37/13.01 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! yaha batalAxo, kyA hE prakriti? puruF hE kyA?

kyA hEM kSetra xOr kSetragya? lakSya hE gyAn, gyeya kA kyA?

13.02 yogeSvar ne kahA:

xarjun, BOtik SarIr sab kA, kSetra yahI kahalAtA hE,

jo xis ko jAne vaha gyAnI, kSetragya kahA jAtA hE.

13.03

sAre kSetroM kA kSetragya yahAM keval muJa ko hI jAn,

kSetra xOr xus ke gyAnI kA gyAn, samaJa le saccA gyAn.

13.04

xab sun kyA hE kSetra, kis taraha kA, parivartan kyA xus meM,

kEse xAyA hE, kitanA hE, xOr SaktiyAM kyA xusa meM.

13.05

riFiyoM ke mantroM meM xis kA gAn bahut hE kiyA gayA,

xis kA varNan tarka-SAstra ke sUtroM meM BI bahut huxA.

13.06

pAMc tatva, mati, xahaMkAr, xavyakta sATa jo hE xun ke,

das xindriyAM, saMga xun ke cit, pAMc viFaya jo xindriyoM ke.

13.07

suKa, duKa, xicCA, dveF, cetanA, Driti va SarIr jahAM rahate,

xun ke sATa vikAr xunhIM ke, samaJo ‘kSetra' xuse kahate.

13.08

sarvaSreFQa kahanA na svayam ko, kSamA, xahiMsA, vinamratA,

guru-sevA, SudDatA, saralatA, xAtma-saMyam xevam driRatA;

13.09

viFayoM se vErAgya, xaham kA tyAg, saBI doFoM kA gyAn,

janma, mrityu, vridDAvasTA, bImArI, duKa, sab kI pahacAn;

13.10

xanAsakti; santAn, vaDU, Gar, sab se moha nahIM karanA;

xacCI burI saBI GaqanAxoM ke prati BAva xek raKanA;

Page 55: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

55

13.11

sadA xananya yog se prerit, muJa meM xaqal Bakti raKnA,

rahanA xekAnta meM, taTA jan-samudAxoM se BI bacanA;

13.12

lIn hameSA xAtma-gyAn meM, param satya kA karanA DyAn,

saccA gyAn yahI, xis se jo Binna xuse kahate xagyAn.

13.13

kare xamaratA prApta, gyAn jo le muJa se xus kA SASvat,

vaha xanAdi hE, sat BI vahI, xuse kaha sakate nahIM xasat.

13.14

hATa pEr sab jagaha, xAMKa, sir, muKa vaha saBI jagaha raKatA,

cAroM xor kAn xus ke, sab jag xus meM nivAs karatA.

13.15

xus meM saBI xindriyoM ke guN, binA xindriyoM ke hE vo,

xanAsakta, sab ko sMBAlatA, guNa bin Bog kare hE vo.

13.16

vaha sab ke bAhar, xaMdar BI, xacal xOr calatA BI hE,

xitanA CoqA, deKa na pAyeM, bahut dUr, vo pAs BI hE.

13.17

vaha xaviBakta, lage viBakta, sab kA pAlan poFaNa karatA,

sab ko vinaFqa kar ke vaha Pir se xun ko pEdA karatA.

13.18

jyoti, xMDerA donoM xus meM, har dil meM jAno xus ko,

gyAn, gyAn kA viFaya, gyAn kA lakSya, saBI mAno xus ko.

13.19

kSetra, gyAn, gyAn ke viFaya kA varNan hE saMkSipta kiyA,

Bakta merA jo xis ko samaJe, xus ne muJa ko prApta kiyA.

sAptAhik pAQa-38/13.20

prakriti, puruF donoM xanAdi hEM, xarjun, tU xis ko le jAn,

rUp xOr guNa pEdA huye prakriti se, xis ko BI pahacAn.

13.21

kArya, xOr xus ke sADan kA kAraNa prakriti batAte hEM,

xAtman ko suKa-duKa ke xanuBava kA kAraNa batalAte hEM.

Page 56: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

56

13.22

pEdA huye prakriti dvArA guNa, Bog puruF kA banate hEM,

guNa hI jag meM xacCe, bure janma kA kAraNa banate hEM.

13.23

tan meM sTit parameSvar sAkSI, xanumati dene vAlA hE,

xupaBogI, mahAn praBu, vaha sab ko sMBAlane vAlA hE.

13.24

jo BI guNa ke sATa prakriti, xAtmA kA Bed jAn letA,

koxI BI vaha karma kare, dobArA janma nahIM letA.

13.25

kuCa paramAtmA ko nij man se xAtman meM deKeM, kar DyAn,

xanya, divya-darSan pAne ko kareM karma yA pAyeM gyAn.

13.26

bahut log xis ko na samaJate, sunane meM xAsTA raKate,

ve BI to tar jAte hEM, jo sun kar xupAsanA karate.

13.27

he xarjun! tU samaJ, carAcar jIva yahAM par jo hote,

kSetra xOr kSetragya milan dvArA hI ve pEdA hote.

13.28

jo paramAtmA ko sab cIzoM meM nivAs karatA deKe,

keval cIz naFqa hotIM, paramAtmA nahIM, xise deKe.

13.29

saBI rUp meM vidyamAn, xISvar sab jagaha nivAs kare,

man se xAtman ko na kaFqa de, taBI lakSya ko prApta kare.

13.30

sAre karma prakriti se hote, jo prANI xis ko deKe,

vaha jAne xAtmA na kare kuC, keval karmoM ko deKe.

13.31

jo deKatA xise ki viviDatA sab praBu meM kendrit hotI,

xus se hI jag vistrit hotA, brahma prApti xus ko hotI.

13.32

xAtmA nirguNa, xamar, xanaSvar, yadyapi SarIr meM hotI,

Pir BI koxI karma na karatI, lipta nahIM tan meM hotI.

Page 57: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

57

13.33

jEse xAkASa sarvavyApI, lipta kisI vastu meM nahIM,

xusI taraha xAtmA SarIr meM sTit hE, lekin lipta nahIM.

13.34

xarjun, jEse sUrya prakASit karatA hE sAre jag ko,

xusI taraha svAmI kSetroM kA, kare prakASit kSetroM ko.

13.35

farVa kSetra, kSetragya bIc, toLanA prakriti ke baMDan ko,

deKe jo gyAn cakSu dvArA, pAye vahI param brahma ko.

xUpar

Page 58: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

58

xaDyAya-14

guNatraya viBAg yog

sAptAhik pAQa-39/14.01 yogeSvar ne kahA:

xarjun, sun le xab vaha gyAn, jise sarvottam batalAte,

jise jAn kar munijan xUpar xuQate, param sidDi pAte.

14.02

xis gyAn ke sahAre muJa ko pAte, janma nahIM lete,

xOr pralaya ke xAne par ve bebas duKI nahIM hote.

14.03

brahma viSAl garBa sab kA, mEM bIj wAlatA hUM xus meM,

prANI xOr vastuyeM sArI, pEdA hotI hEM jis meM.

14.04

xarjun, jahAM kahIM BI rUp yoni se hE pEdA hotA,

brahma samAn yoni sab kI, mEM pitA samAn bIj botA.

14.05

satva, rajas, tam ye guNa tIn, prakriti se pEdA hote hEM,

xarjun, ye hI xAtmA ko SarIr se bAMDe raKate hEM.

14.06

xin meM satva viSudDa, prakAS, svAsTya hote xis ke kAraN,

gyAn xOr xAnanda se manuja bMDatA hE xis ke kAraN.

14.07

rajas hE xanurAgAtmak, jis se xAsakti, cAha pEdA hE,

yaha xAtman ko xAsakti se karma meM jakaLe rahatA hE.

14.08

tamaguNa meM hotA xagyAn, saBI prANI Bram meM xis se,

lAparvAhI, xAlas, nidrA meM PMs jAte hEM jis se.

14.09

sataguNa se xAnand, rajoguNa se karmoM ko pA lete,

kintu tamoguNa se mati Wakakar, pAgalpan meM hI rahate.

sAptAhik pAQa-40/14.10

kaBI satoguNa vijayI hotA, rajaguN, tamaguNa ke xUpar,

kaBI rajas vijayI sat, tam par, yA tam vijayI sat, raj par.

Page 59: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

59

14.11

SarIr ke sab dvAroM se jab gyAn prakASa nikalatA hE,

tab yaha samaJA jA sakatA hE, vahAM satoguNa baRatA hE.

14.12

loB, lAlasA, xaSAnti, gativiDi, xanucit kAryoM kA prAramBa,

jab baRatA hE rajoguNa taBI ye sab hote hEM xAramBa.

14.13

prakASa kA xaBAva, niFkriyatA, lAparavAhI va mURatA,

jab caRatA hE tamaguNa, tab xin kA BI hE prakop baRatA.

14.14

jab sataguNa praDAn, xAtmA yadi deha tyAg kar jAtI hE,

tab vaha gyAn se Bare SudDa lok ko sIDI jAtI hE.

14.15

janma karmaSIloM meM le, yadi vaha rajaguNa meM tan tyAge,

janme keval mURa yoniyoM meM, yadi tamguNa meM tyAge.

14.16

sataguNa meM karmoM kA Pal suKakar, jis se milatA hE gyAn,

rajaguNa meM Pal hotA duKa, tamaguNa meM Pal hotAa xagyAn.

14.17

gyAn satoguNa se hotA hE, loBa rajoguNa se hotA,

pAgalapan, pILAdAyak xagyAn, tamoguNa se hotA.

14.18

rajaguNa meM bIc meM raheM, sataguNa meM jAyeM xUpar ko,

tamaguNa meM jaGanya karmoM meM lagakar, jAyeM nIce ko.

sAptAhik pAQa-41/14.19

jab driFqA, karmoM kA kartA, tIn guNoM ko hI mAne,

guNa se pare kOn? yaha jAne, merA svarUp pahacAne.

14.20

guNa se xUpar xuQa kar jab, vaha deha tyAg kar jAtA hE,

janma, maraN, vridDAvasTA, duKa se vimukta ho jAtA hE.

14.21 xarjun ne kahA:

tIn guNoM se xUpar jo hotA, ham pahacAneM kEse?

rahan-sahan kEsA xus kA? guNa se xUpar xuQatA kEse?

Page 60: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

60

14.22 yogeSvar ne kahA:

jab prakAS, gativiDi yA moha raheM, vaha mAne burA nahIM,

jab ve nahIM raheM tab xun ke liye kAmanA kare nahIM.

14.23

xudAsIn kI BAMti guNoM se hile nahIM, niScal rahatA,

guNa hI sAre karma kareM, xis ko vaha jAn sudriRa rahatA.

14.24

suKa, duKa hEM samAn; miqqI, sonA, patTar hEM xek samAn;

man hE sTir; priya-xapriya xek hEM; nindA-stuti hEM xek samAn,

14.25

mAn xOr xapamAn xek se, mitra, Satru hEM xek samAn,

karma PaloM kA tyAg kare jo, xus ko guNAtIt hI jAn.

14.26

xananya Bakti yog se jo BI merI sevA karatA hE,

tIn guNoM se xUpar xuQakar, brahma yogya vaha banatA hE.

14.27

xajar, xanaSvar, param brahma ko pAne kA sADan hUM mEM,

SASvat Darma va paramAnanda, saBI kA punya DAm hUM mEM.

xUpar

Page 61: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

61

xaDyAya-15

puruFottam yog

sAptAhik pAQa-42/15.01 yogeSvar ne kahA:

jaL xUpar, SAKAyeM nIce, xaSvatTa peL kahalAtA,

patte xus ke ved, xise jo samaJe, vedoM kA gyAtA.

15.02

SAKAyeM sab xor guNoM kI, kaliyAM viFayoM ko kahate,

jaL PElI hEM manuj lok tak, jisameM saBI karma hote.

15.03

xisakA xasalI rUp na dIKe, yaha bin xAdi, xaMta, xADAr,

driRa jaL kA xaSvatTa peL kAqo, kar xanAsakti kA vAr.

15.04

prApta karo tab xus kI SaraN, racA jis ne sArA saMsAr,

Kojo tum vaha DAm jahAM se, nahIM lOqate hEM xis pAr.

15.05

jo xaBimAn, moha se CUqe, xicCAxoM ko SAnta kare,

lage mukti meM, suKa-duKa tyAge, param DAma ko prApta kare.

15.06

xuse na sUrya prakASit karatA, candra xOr xagni BI nahIM,

param DAm hE merA, vahAM pahuMc kar, lOqe kaBI nahIM.

15.07

merA xaMSa sanAtan jIvAtmA ban kar jag meM rahatA,

prakriti meM nihit xindriyoM taTA man ko xAkarFit karatA.

15.08

jab xISvar tan banatA, xuse CoLatA, xAtmA sMg jAtI,

jEse vAyu suganDoM ko xun ke sTAn se le jAtI.

15.09

kAn, xAMKa, nAsikA, tvacA, jivhA, man kA xupayog kare,

xin se suKa pAne ke liye, xindri viFayoM kA Bog kare.

15.10

mile guNoM se, Bog kare, tan meM xAye, tyAge tan ko,

mUrKa na deKe lekin gyAn cakSu vAlA deKe xus ko.

Page 62: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

62

15.11

yatnaSIl yogI xapane meM xuse sADanA se deKe,

maMda-budDi, xaniyantrit, yatna kare, par xuse nahIM deKe.

15.12

jo sArA saMsAr prakASit karatA, vaha sUraj kA tej,

tej xagni kA xOr candramA kA, sAre mere hI tej.

15.13

priTvI par prANa Sakti dvArA, janma niraMtar letA hUM,

ras se BarA candramA banakar, sab ko poFit karatA hUM.

15.14

ban kar pAcak-xagni yahAM prANI ke tan meM xAtA hUM,

pAn, xapAn vAyu meM milakar, cAroM xanna pacAtA hUM.

15.15

detA gyAn, smriti, vismriti, mEM sab ke dil meM rahatA hUM,

mEM hI gyAn ved kA, mEM vedAnta, ved kA gyAtA hUM.

15.16

naSvar xOr xanaSvar donoM rUp vyApta hote jag meM,

naSvar se xastitva, xanaSvar xaMtaryAmI hE sab meM.

15.17

xin se Binna xOr sarvottam, jisako paramAtmA kahate,

jo tInoM lokoM kA svAmI, jis se sab poFit hote.

15.18

mEM kSar se hUM pare, xOr mEM xakSar se BI xUpar hUM,

xisI liye jag meM, vedoM ke xandar, mEM puruFottam hUM.

15.19

BrAnti-rahit ho, puruFottam ko jAnA, sab kuCa jAn liyA,

pUrI taraha samaJa lo, merI pUjA karanA mAn liyA.

15.20

he xarjun! xis taraha batAyA mEMne rahasyapUrNa yaha gyAn,

hote sab xis se kritArTa, xis se ban jAte hEM vidvAn.

xUpar

Page 63: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

63

xaDyAya-16

devAsur sampadA yog

sAptAhik pAQa-43/16.01 yogeSvar ne kahA:

nirBayatA, man kI nirmalatA, vidyA-prApti, yog-ruci, dAn,

xAtma-niyantraN, sIDApan, tap, yagya, SAstra kA saccA gyAn;

16.02

satya, xahiMsA, kroD-niyantraN, SAnti, doF se viraktatA,

dayA, loBa se mukti, mridulatA, lajjA, tyAg, xacaMcalatA;

16.03

dveFa-hInatA, tej, kSamA, Driti, pavitratA xOr namratA;

ye guNa xus ke jo dEvI svaBAva lekar pEdA hotA.

16.04

kaQoratA, pAKaMwa, xakaLapan, kroD, GamaMwa xOr xagyAn,

xin ko le jo pEdA huxA, xuse xAsurI prakriti kA mAn.

16.05

banDan mile xAsurI guNa se, dEvI guNa se mokSa mile,

xarjun, duKI na ho, tU pEdA huxA sampadA dEvI le.

sAptAhik pAQa-44/16.06

dEvI xOr xAsurI, do prakAr ke prANI hote hEM,

dEvI to sun liye, suno xab kOn xAsurI hote hEM.

16.07

nahIM tyAg kA gyAn xunheM, karmoM kA gyAn nahIM hotA,

pavitratA yA sadAcAr yA satya, nahIM xun meM hotA.

16.08

ve kahate jag xasatya, bin svAmI, buniyAd nahIM koxI,

jag kA niyamit kAraNa yA nEtik xADAr nahIM koxI.

16.09

xalpa budDi, BraFqAtmA, kaqqar driFqikoNa yaha xapanAte,

banakar Satru jagat ke, xis kA vinASa karane ko xAte.

16.10

xahaMkAr, xaBimAn se Bare, pAKaMwI, xicCA raKate,

mUrKa, Zalat driFqikoNa vAle, niScaya binA karma karate.

Page 64: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

64

16.11

dabe huye cintAxoM se ve, xun kA xaMta mOt meM hE,

xicCA-tripti lakSya keval, ve samaJeM, sab kuCa xis meM hE.

16.12

PMse lAlasA ke PandoM meM, dabe vAsanA meM rahate,

Bog ke liye hI ve WeroM sampati xekatrit karate.

16.13

mEMne saBI pA liyA, mEM sab xicCA pUrI kar lUMgA,

yaha merA hE, vaha BI merA hogA, mEM sab kuCa lUMgA;

16.14

xis ko mAr diyA hE mEMne, xusako BI mArUMgA mEM,

mEM xISvar, xupaBoktA, saPal, suKI, balavAn saBI kuCa mEM;

16.15

mEM DanavAn, xucca kul kA, mEM yagya karUMgA, dUMgA dAn,

mEM xAnanda manAxUMgA - yaha kahate mUrKa xOr xagyAn.

16.16

xEse BrAnta vicAroM se, ve moha jAl meM PMsate hEM,

karate rahate trapta kAmanA, bure narka meM girate hEM.

16.17

xaBimAnI, xakaLU, Dan ke, mAn ke, naSe meM rahate hEM,

pAKaMwI, bas diKlAne ko, yagya, rIti bin karate hEM.

16.18

dveFa, xaham, bal, GamaMwa, kAm, kroDa ke vaSa meM ve rahate,

mEM jo sab ke xandar basatA, nafarat ve muJa se karate.

16.19

nIc, krUr, vEr se Bare ve, kAm bure karate jAte,

bAr-bAr, xAsurI yoni meM, xisI liye PeMke jAte.

16.20

mUrKa, pahuMc xAsurI yoni meM, janma kaxI lekar BI ve,

prApta nahIM kar pAte muJa ko, gire hameSA rahate ve.

16.21

tIn taraha ke dvAr narka ke, kareM nASa vo xAtman kA,

kAm, kroD, loBa se bane hEM, tyAg karo xin tInoM kA.

Page 65: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

65

16.22

tIn dvAr se xanDakAr meM jAne se jo hE bacatA,

kalyANI karmoM ko karatA, xUMcA lakSya prApta karatA.

16.23

CoL SAstra niyamoM ko, jo xapanI xicCA se karma kare,

xuse na hote prApta sidDi, suKa, na vo punya-Pal prApta kare.

16.24

kyA karanA hE, kyA nahIM karanA, SAstroM se nirDArit kar,

SAstra niyam ko jAn, xunhIM kA nitya jagat meM pAlan kar.

xUpar

Page 66: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

66

xaDyAya-17

SradDAtrya viBAg yog

sAptAhik pAQa-45/17.01 xarjun ne kahA:

yagya kareM SradDA se, binA SAstra, xun kI kyA gati hotI?

satva, rajas, tam guNa meM karate, kEsI vaha SradDA hotI?

17.02 yogeSvar ne kahA:

dehaDAriyoM kI SradDA, jEsA svaBAva vEsI hotI,

vaha sAtvik, rAjasik, tAmasik, guNa jEsA, vEsI hotI.

17.03

har prANI kI SradDA xus ke svaBAva jEsI hI hotI,

svaBAva ke xanukUl, guNoM par xADArit SradDA hotI.

17.04

sAtvik pUjeM deva, rAjasik pUjeM yakSa, rAkSasoM ko,

jo hote tAmasik, pUjate BUt, pret, xAtmAxoM ko.

17.05

yadi karate ve xugra tapoM ko, SAstroM dvArA jo varjit,

xahaMkAr se pUrNa, GamaMwI, kAm, rAg se hEM prerit;

17.06

mUrKa, xAsurI, ve tan ke tatvoM ko bahut satAte hEM,

mEM jo xun ke xandar hUM, muJa ko BI duKa pahuMcAte hEM.

17.07

Bojan sab ko priya hotA hE, tIn taraha kA xus ko jAn,

yagya, dAn, tap tIn taraha ke, sun le xun kI BI pahacAn.

17.08

xAyu, prANa, bal, sehat, suKa, xumaMga jo Boj baRAte hEM,

mIQe, cikane, rucikar, poFak, ve sAtvik kahalAte hEM.

17.09

jo tIKe, Kaqqe, namakIn, garam, mircIle, rUKe hEM,

pEdA kareM Sok, duKa, rog, jalan, vo Boj rAjasik hEM.

17.10

jo Bojan bigaLA ho, jis meM svAd na ho, jo bAsA ho,

saLA huxA, jUQA, gaMdA ho, xuse tAmasik Boj kaho.

Page 67: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

67

17.11

Pal-xicCA bin karo, kintu viSvAs yahI, kartavya hE yagya,

SAsatra niyam xanukUl karo jo, kahalAtA hE sAtvik yagya.

17.12

he xarjun! jo yagya kisI Pal kI xASA se hEM karate,

vaha rAjasik yagya hE, xus ko bas diKalAve ko karate.

17.13

xanna na bAMqe, na de dakSiNA, niyam binA, bin mantra kare,

xEsA yagya tAmasik hotA, bin SradDA ke jise kare.

sAptAhik pAQa-46/17.14

deva, brAhmaNoM, guruxoM, vidvAnoM kA xAdar, pavitratA,

satya, xahiMsA, brahmacarya, yaha to SarIr kA tap hotA.

17.15

Sabda kahe jo burA na ho, saccA ho, priya, hitakArI ho,

pAQa kare vedoM kA niyamit, yaha to vANI kA tap ho.

17.16

jis se mOn, prasanna, tripta ho, pUrNa xAtma-saMyam hotA,

BAvoM kI pavitratA jis se, vahI mAnasik tap hotA.

17.17

tIn taraha kA tap karane meM, xagar saMtulit man hotA,

Pal-xicCA ke binA kare SradDA se, sAtvik tap hotA.

17.18

jo xAdar karane, pUjA ke samaya, diKAve ko hotA,

xuse rAjasik tap kahate, vaha kaccA, pal Bar ko hotA.

17.19

jis tap dvArA haQI, mUrKatA Bare log duKa ko sahate,

yA xOroM kI hAni ke liye kareM, tAmasik tap kahate.

17.20

jise yogya vyakti ko, binA Pal-xicCA, karma samaJa karate,

xucit jagaha par, xucit samaya par diyA dAn, sAtvik kahate.

17.21

dAn, jise Pal kI xicCA yA lABa prApti ko karate hEM,

jis meM hotA kleS, xusI ko dAn rAjasik kahate hEM.

Page 68: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

68

17.22

Zalat jagaha yA Zalat samaya par dAn xayogya vyakti ko do,

samAroha bin, tiraskAr se diyA dAn, tAmasik kaho.

17.23

xom, tat, sat ye tIn Sabda, saMket brahma kA karate hEM,

xin se pUjA, ved-pAQ, yagyoM ke viDAn hote hEM.

17.24

yagya, dAn, tap meM sab karma, SAstra xanukUl jinheM karate,

SuBAramBa xun kA brahmavAdI, ‘xom’ Sabda se hI karate.

17.25

yagya, dAn, tap ke xun sAre karmoM ko ‘tat’ kahate hEM,

jin ko, mokSa cAhane vAle, Pal-xicCA bin karate hEM.

17.26

‘sat’ kA xupayog xacCAxI, yaTArTa darSAne ko hotA,

praSaMsanIya kArya karane ko BI xis kA prayog hotA.

17.27

yagya, dAn, tap meM driRa ho, niScaya karanA, sat kahalAtA,

xisI taraha kA niScaya, xanya karma meM BI sat kahalAtA.

17.28

yagya, dAn, tap, karma, binA SradDA ke kiyA, xasat hotA,

lok xOr paralok kahIM BI, xisa se lABa nahIM hotA.

xUpar

Page 69: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

69

xaDyAya-18

mokSa sanyAs yog

sAptAhik pAQa-47/18.01 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! tyAg xOr sanyAs gyAn kI cAha muJe;

donoM xalag-xalag batalAxo; kyA saccA? do gyAn muJe.

18.02 yogeSvar ne kahA:

kahate hEM, sanyAs, kAmanA se prerit karmoM kA tyAg,

sab karmoM ke Pal ko taj denA BI, kahate, saccA tyAg.

18.03

kuCa kahate hEM, doF mAn karmoM ko, xun kA tyAg karo,

xanya kaheM, tap, dAn, yagya ke karmoM kA mat tyAg karo.

18.04

he xarjun! xab tU muJa se sun, satya rUp meM kyA hE tyAg,

budDimAn, vidvAn batAte, tIn taraha kA hotA tyAg.

18.05

yagya, dAn, tap ke karmoM ko karo, na xun kA tyAg karo,

budDimAn ban kar xapane jIvan ko xun se SudDa karo.

18.06

nirAsakta ho karma karo, karmoM ke Pal kA tyAg karo,

he xarjun! yaha merA niScit mat hE, xis par DyAn karo.

18.07

nit karane ke yogya karma kA tyAg, xucit na kahA jAtA,

xis prakAr kA xagyAnI kA tyAg, tAmasik kahalAtA.

18.08

kaFqa xOr dEhik duKa ke Baya se jo karma tyAg karatA,

vaha rAjasik tyAg hE, xus se nahIM tyAg kA Pal milatA.

18.09

niyamit karmoM ko jab koxI, xucit samaJ, karatA jAtA,

xanAsakta ho tyAge Pal, vaha sAtvik tyAg kahA jAtA.

18.10

gyAnI hotA sAtvik tyAgI, Pal se xuse lagAva nahIM,

GriNA nahIM hE xapriya karma se, priya se kuCa xanurAg nahIM.

Page 70: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

70

18.11

samBava nahIM, dehaDArI kar de karmoM kA pUrA tyAg,

kintu karma ke Pal ko tyAge, vaha BI to hotA hE tyAg.

18.12

karmoM kA priya, xapriya xOr miSrit Pal mrityu bAd milatA,

jis ne tyAgA karmoM ko, xus ko na kahIM BI Pal milatA.

sAptAhik pAQa-48/18.13

he xarjun! xab tU muJa se karmoM ke xupakaraNoM ko jAn,

ye xAvaSyak, pAMc taraha ke, sAMKya yog meM xinakA gyAn.

18.14

karma-BUmi, kartA, xus ke sMg sADan saBI xindriyoM ke,

viviDa karma, dEvI xicCA, ye pAMc xupakaraNa karmoM ke.

18.15

jab manuFya xapane SarIr, vANI, man se kuCa BI karate,

karma xucit ho yA xanucit, pAMcoM xupakaraNa sadA rahate.

18.16

mUrKa vyakti keval xapane ko karmoM kA kartA mAne,

xus kI budDi xaSikSit hotI, saccI bAt nahIM jAne.

18.17

jo ho xahaMkAr se mukta, budDi jis kI ho malin nahIM,

vaha manuFya sab ko mAre, Pir BI baMDan meM paLe nahIM.

18.18

gyAn, gyeya, gyAtA ye tInoM, karmoM ko prerit karate,

karNa, karma, kartA ye tInoM, karmoM kA saMgraha karate.

18.19

gyAn, karma, kartA ke xarTa, batAtA hE guNa kA vigyAn,

tIn taraha ke hote hEM, xin ko BI QIk taraha se jAn.

18.20

jisase saBI prANiyoM meM deKe yaTArTatA xek mahAn,

viBaktatA meM deKe sattA xek, vahI hE sAtvik gyAn.

18.21

jis ke kAraNa jag ke prANI, nahIM dIKate xek samAn,

dIKe xastitva kI viviDatA, kahate xuse rAjasik gyAn.

Page 71: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

71

18.22

jis se xek kArya hI jAne, kAraNa kA kuCa DyAn na ho,

tatva xarTa kyA? xise na samaJe, xuse tAmasik gyAn kaho.

18.23

tyAg PaloM kI xicCA, niyamit karma jinheM gyAnI karate,

rAg, dveF se pare karma jo, sAtvik karma xunheM kahate.

18.24

Pal kI xASA liye, xaham ke BAvoM se jo prerit ho,

jin meM kaQin pariSram hotA, xunheM rAjasik karma kaho.

18.25

gyAt na ho pariNAm xOr pOruF kA jis meM DyAn na ho,

hiMsA, hAni ho sake jis se, xuse tAmasik karma kaho.

18.26

sidDi, xasidDi se sadA xavikal, mukta xaham se jo hotA,

DErya xOr xutsAha se BarA, vaha sAtvik kartA hotA.

18.27

loBI, hiMsak, rAgI, karma-PaloM ko xutsuk jo hotA,

harFa, Sok se vikal, xaSudDa, rAjasik kartA vaha hotA.

18.28

DoKebAz, haQI, xasaBya, dveFI jo kAm qAlatA ho,

duKI, xAlasI, xasantulit, xus kartA ko tAmasik kaho.

sAptAhik pAQa-49/18.29

he xarjun! guNa par xADArit Bed budDi, Driti ke hote,

pUrI taraha batAtA hUM, ye tInoM xalag-xalag hote.

18.30

karma, xakarma; xaBaya,BayaBIt; kareM kyA, kyA na kareM, hEM kyA?

sAtvik budDi samaJatI sab ko, baMDan xOr mukti hEM kyA?

18.31

jis se kyA karanA hE, kyA nahIM karanA, xis kA gyAn na ho,

Darma, xaDarma sahI nahIM jAne, xuse rAjasik budDi kaho.

18.32

jis ke kAraNa xaMDakAr PEle, xaDarma ko Darma kaho,

jisase sab kuCa xulaqA dIKe, xuse tAmasik budDi kaho.

Page 72: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

72

18.33

vaha xavical Driti jis se man ko, prANoM xOr xindriyoM ko,

ho xekAgra karA le vaSa meM, sAtvik kahate xus Driti ko.

18.34

jis ke dvArA Dan, kartavya, suKoM ke sMg cipake rahate,

Pal kI xicCA karate rahate, xuse rAjasik Driti kahate.

18.35

jis se viFAd, nidrA, Baya, xaBimAn, Sok nahIM taj sakate,

sadEva mUrKa bane rahate hEM, xuse tAmasik Driti kahate.

18.36

guNa par hI xADArit jAno, tIn taraha ke suKa hote,

xaByAs se xinheM jAne jo, dUr xusI ke duKa hote.

18.37

jo kaLavA hotA pahale, par mIQA hotA hE pariNAm,

xAtma-gyAn se jo pEdA ho, sAtvik hE xus suKa kA nAm.

18.38

jo mIQA pahale, par hotA kaLavA xaMta, jise sahate,

xindri suKoM par jo xADArit, xuse rAjasik suKa kahate.

18.39

jisase pahale xOr xaMta meM, sirfa moha pEdA hotA,

xAlas, nIMd, pramAd baRAye, vahI tAmasik suKa hotA.

sAptAhik pAQa-50/18.40

xis priTvI par xOr svarga meM, koxI nar yA deva nahIM,

prakriti se bane tIn guNoM se, jis kA jIvan bMDA nahIM.

18.41

brAhmaN, kSatriya, vESya, SUdra, xin sab kI gativiDiyAM hotIM,

guNa se niyamit svaBAva ke kAraNa hI xalag-xalag hotIM.

18.42

Sam, dam, tap, pavitratA, kSamA, sacAxI, tarkapUrNatA, gyAn,

xAstikatA, DArmikatA, xin karmoM se brAhmaNa kI pahacAn.

18.43

tej, DIratA, sUJ-bUJ, vIratA, yudDa meM waq jAnA,

ye kSatriya ke karma, kare netritva, dAn kA BI karnA.

Page 73: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

73

18.44

kriFi, paSupAlan xOr tijArat, ye kartavya vESya ke hEM,

sevA karanA sab kI, svABAvik kartavya SUdra ke hEM.

18.45

xapane karmoM meM lag kar hI, vyakti prApta karatA hE sidDi,

xarjun, xab samaJAtA hUM, kis taraha prApta hotI hE sidDi.

18.46

vyApta huxA hE jo sab meM, jo sab prANI pEdA karatA

xus kI pUjA kartavyoM dvArA kar, sidDi prApta karatA.

18.47

xapanA Darma xapUrNa, xanya ke pUrNa Darma se xacCA hE,

nij svaBAva ke karmoM ko karane se pAp na lagatA hE.

18.48

nij svaBAva ke karma na tyAgo, cAhe xun meM doF rahe,

jEse xAg WakI DUMxe se, doF karma ko Wake rahe.

18.49

jo hE xanAsakta, xapane vaSa meM, xicCA BI bacI nahIM,

vaha sanyAsI vahAM pahuMcatA, jahAM karma hE SeF nahIM.

sAptAhik pAQa-51/18.50

he xarjun! xab tU sun, sidDi prApta kar lene par kEse,

gyAn xuccatam xEsA milatA, brahma-gyAn hotA jEse.

18.51

budDi SudDa kar le pahale vaha, xapane ko saMyam meM kar,

Sabda, xanya viFayoM kA tyAg kare, vaha rAg, dveF taj kar.

18.52

rahe xakelA, xalpAhArI, tan, man, vacan saMyamit ho,

sadA DyAn meM lIn, xuse vErAgI jIvan meM ruci ho.

18.53

xahaMkAr, bal, kAm, kroD, xaBimAn xOr sampati tyAge,

SAnta citta ho, brahma prApti ke yogya bane, mamatA tyAge.

18.54

hokar xekAkAr brahma meM, samAn sab ko xapanAtA,

koxI Sok na koxI xicCA, xucca Bakti merI pAtA.

Page 74: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

74

18.55

mEM hUM kOn xOr kEsA hUM, xis kA gyAn Bakta karatA,

tatva rUp meM muJe jAn kar, vo praveSa muJa meM karatA.

18.56

xAkar merI SaraNa Bakti se, jo sab karma yahAM karatA,

xus par merI kripA nirantar, vaha xAnanda prApta karatA.

18.57

man se xapane tan ke sab karmoM ko muJa par xarpit kar,

kar xaByAs, budDi ko sTir kar, lagA vicAroM ko muJa par.

18.58

budDi sTir hogI muJa meM to sab duKa se tar jAyegA,

nahIM sunI yadi xahaMkAr meM, tU vinaFqa ho jAyegA.

18.59

xahaMkAr ke vaSa meM ‘nahIM karUMgA yudDa' kahe xis ko,

xEsA kahanA vyarTa, karegI vivaSa prakriti yaha karane ko.

18.60

he xarjun! Bram ke kAraNa yadi nahIM cAhatA karanA tU,

cAha na hote BI svaBAva se hokar vivaSa, karegA tU.

18.61

xISvar saBI prANiyoM ke hridayoM meM xA bas jAtA hE,

xun ke sAre xaMgoM ko, yantroM kI BAMti calAtA hE.

18.62

kar xus ko xarpit xapnA xastitva, SaraNa meM jAyegA,

xus kI kripA rahegI, jis se sadA SAnti, suKa pAyegA.

18.63

Bed Bare ye gURa gyAn, mEMne tuJa ko hEM batalAye,

kar vicAr xin par, Pir kar tU jo tere man ko BAye.

sAptAhik pAQa-52/18.64

xab xun vacanoM ko sun, jin meM param rahasya gURatar hE,

tU muJa ko priya hE, tuJa ko batalAtA hUM, kyA hitakar hE.

18.65

man ko muJa meM lagA, Bakta ban, mere liye yagya kar tU,

niScaya hI muJa tak pahuMcegA, sab se xaDik muJe priya tU.

Page 75: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

75

18.66

sab DarmoM ko tyAg, xagar tU merI SaraNa calA xAye,

dUr karUM tere sab pApoM ko, sab duKa se bac jAye.

18.67

xEsA gyAn xuse mat denA, jo na sune, jo Bakta na ho,

merI nindA karatA ho, tap kI, sevA kI Sakti na ho.

18.68

jo mere xis gURa gyAn ko, BaktoM ko siKalAtA hE,

muJa tak pahuMcegA xavaSya, vaha BI to Bakti diKAtA hE.

18.69

xus se baRakar Bakta koxI BI, mere liye nahIM hogA,

duniyA meM xus se zyAdA, koxI na muJe pyArA hogA.

18.70

yaha pavitra saMvAd, DyAn dekar jab koxI BI sunatA,

mEM samaJUM, vaha gyAn yagya se, merI hI pUjA karatA.

18.71

jo koxI SradDA se, yaha saMvAd, dveF bin, sunA kare,

mukti prApta kar, param punya ke divya lok ko prApta kare.

18.72

he xarjun! jo kahA, xuse hE sunA DyAn se, kyA tUne?

xapanA Bram, xagyAn se BarA, miqA diyA hE, kyA tUne?

18.73 xarjun ne kahA:

he yogeSvar! naFqa huxA Bram, yAd lOq xAxI merI,

dUr huxA saMdeha, sTir hUM, xAgyA mAnUMgA terI.

18.74 saMjaya ne kahA:

mEMne sunA kriFNa, xarjun kA yaha saMvAd DyAn dekar,

mere saBI roMgaqe KaLe ho gaye hEM, xis ko sun kar.

18.75

yaha to kripA vyAs kI, jis se xitanA gaharA gyAn sunA,

yogeSvar ke dvArA hI yaha diyA gayA xupadeSa sunA.

18.76

yaha saMvAd kriFNa, xarjun kA, yAd muJe jab xAyA hE,

pulakit hokar tab mEMne xAnanda bahut hI pAyA hE.

Page 76: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

76

18.77

yogeSvar kA xadBut rUp, yAd jab BI muJa ko xAtA,

hotA hE xAScarya muJe, man merA harFit ho jAtA.

18.78

jahAM kriFNa yogeSvar xOr DanurDArI xarjun hoMge,

vahAM nIti, kalyAN, vijaya, SrI, xavaSya hI rahate hoMge.

xUpar

Page 77: Bhagavad Gita (Saral Hindi)

77

BAgvad gItA kA sAptAhik pAQa

saptAha 1 - 1-01 se 1-19 tak

saptAha 2 - 1-20 se 1-27 tak

saptAha 3 - 1-28 se 1-47 tak

saptAha 4 - 2-01 se 2-09 tak

saptAha 5 - 2-10 se 2-30 tak

saptAha 6 - 2-31 se 2-38 tak

saptAha 7 - 2-39 se 2-53 tak

saptAha 8 - 2-54 se 2-72 tak

saptAha 9 - 3-01 se 3-16 tak

saptAha 10 - 3-17 se 3-35 tak

saptAha 11 - 3-36 se 3-43 tak

saptAha 12 - 4-01 se 4-12 tak

saptAha 13 - 4-13 se 4-24 tak

saptAha 14 - 4-25 se 4-32 tak

saptAha 15 - 4-33 se 4-42 tak

saptAha 16 - 5-01 se 5-15 tak

saptAha 17 - 5-16 se 5-29 tak

saptAha 18 - 6-01 se 6-18 tak

saptAha 19 - 6-19 se 6-36 tak

saptAha 20 - 6-37 se 6-47 tak

saptAha 21 - 7-01 se 7-11 tak

saptAha 22 - 7-12 se 7-19 tak

saptAha 23 - 7-20 se 7-30 tak

saptAha 24 - 8-01 se 8-10 tak

saptAha 25 - 8-11 se 8-28 tak

saptAha 26 - 9-01 se 9-15 tak

saptAha 27 - 9-16 se 9-34 tak

saptAha 28 - 10-01 se 10-11 tak

saptAha 29 - 10-12 se 10-18 tak

saptAha 30 - 10-19 se 10-32 tak

saptAha 31 - 10-33 se 10-42 tak

saptAha 32 - 11-01 se 11-14 tak

saptAha 33 - 11-15 se 11-31 tak

saptAha 34 - 11-32 se 11-46 tak

saptAha 35 - 11-47 se 11-55 tak

saptAha 36 - 12-01 se 12-20 tak

saptAha 37 - 13-01 se 13-19 tak

saptAha 38 - 13-20 se 13-35 tak

saptAha 39 - 14-01 se 14-09 tak

saptAha 40 - 14-10 se 14-18 tak

saptAha 41 - 14-19 se 14-27 tak

saptAha 42 - 15-01 se 15-20 tak

saptAha 43 - 16-01 se 16-05 tak

saptAha 44 - 16-06 se 16-24 tak

saptAha 45 - 17-01 se 17-13 tak

saptAha 46 - 17-14 se 17-28 tak

saptAha 47 - 18-01 se 18-12 tak

saptAha 48 - 18-13 se 18-28 tak

saptAha 49 - 18-29 se 18-39 tak

saptAha 50 - 18-40 se 18-49 tak

saptAha 51 - 18-50 se 18-63 tak

saptAha 52 - 18-64 se 18-78 tak

xUpar